18
Dharam achaar Karam joaar 100 QUESTIONS & ANSWERS ABOUT BARMATI PANTH (E-BOOK – Roman Urdu/Hindi Version) “This is an Electronic Version of the Book “Barmati Panth Ke Baarey Mein Sou (100) Sawalaat Aur Un Ke Jawabaat” published in Sept, 2011 in Karachi.” Issued & Published by

100 Q & A - About Barmati Panth by MGSRC

Embed Size (px)

DESCRIPTION

This is an Electronic Version of the Book “Barmati Panth Ke Baarey Mein Sou (100) Sawalaat Aur Un Ke Jawabaat” published in Sept, 2011 by MGSRC. All the questions and answers are excerpted from the Vedas of Shri Mamai Dev, the spiritual master of Maheshwari Community. It's highly recommended for Maheshwari Children & Youngsters specially to get the basic information about Barmati Panth.

Citation preview

Page 1: 100 Q & A - About Barmati Panth by MGSRC

Dharam achaar Karam joaar

100 QUESTIONS & ANSWERSABOUT

BARMATI PANTH(E-BOOK – Roman Urdu/Hindi Version)

“This is an Electronic Version of the Book “Barmati Panth Ke Baarey Mein Sou (100) Sawalaat Aur Un Ke Jawabaat” published in Sept, 2011 in Karachi.”

Issued & Published by

M G S R C

MAHESHWARI GINAN STUDY & RESEARCH CENTRE

| Pakistan – India |

© 2011-12, MGSRC - All rights reserved.

Page 2: 100 Q & A - About Barmati Panth by MGSRC

E-Book “100 Questions & Answers About Barmati Panth” – Published by MGSRC

Book Title: “100 Questions & Answers about Barmati Panth”

Compiled by: Mahesh Narayan Kochra

Proof Reading: Lakshman Keshavjee BachraLakshman Devjee DheraSunil Devjee Dhera

Composing: Suresh Asmal Aamna

Publishing Date: September, 2011

E-Book Issuing Date: September, 2012

Publisher: Kishan Arjun Matang

Available at: Maheshwari Ginan Study & Research Centre – MGSRCMaheshwari Educational Institute, (Charinal), Lee Market, Karachi, Pakistan.

Page - 2

Page 3: 100 Q & A - About Barmati Panth by MGSRC

E-Book “100 Questions & Answers About Barmati Panth” – Published by MGSRC

| GANESH NAMO SAT GURU JI SAANR |

Jaas Ganr’pat Sarevanta

Taas Tanraan Beta Budhvanta

Kanr Kothaar Uni Ja Bharyaa

Baavo Dinen Te Bouri Mattaa

Baavo Samaryo Suren Jo Saami

Aanken Taareendo Baavo Antarjaami

Taas Tanraan Koye Liye Naa Lopey

Karor Chhatri Har Tinni Ke Sonpey

Agochar Ved Agam Puraan

Naad Gyaan Jo Gurensh Saar

Bhanren Tirlochan Dev Gurens Ke Pujiyo

Gavri Jo Putar Guren Jo Bhandaar

Page - 3

Page 4: 100 Q & A - About Barmati Panth by MGSRC

E-Book “100 Questions & Answers About Barmati Panth” – Published by MGSRC

Q1. Jab hum kisi se miltey hain to kya kehtey hain?Ans: DHARAM AACHAAR.

Q2. “Dharam Aachaar” ke jawaab mein humen kya kehna chahiye?Ans: KARAM JOAAR.

Q3. “Dharam Aachaar” ka kya matlab hai?Ans: Ishwar ke banaaye gaye Qaanoon ko “DHARAM” kehte hain or is

Qaanoon par amal kerney ko “AACHAAR” kehtey hain.

Q4. “Karam Joaar” ka kya matlab hai?Ans: “KARAM” ka matlab hai Amal (Act) or “JOAAR” ka matlab hai “Arpan

karna / Naman karna. Yaani, Aey Ishwar mein apney sabhi Karam tumhen Arpan karta hun / Tumhara Naman karta hun.

Q5. Humein koi bhi kaam shuru karne se pehley kya kehna chaiye?Ans: PASAA.

Q6. “PASAA” ka kya matlab hai?Ans: Alakh Dev ke Hukum se.

Q7. Humein khaana khaaney se pehle kya kehna chaiye?Ans: PASAA, PASAA ALAKH JEE.

Q8. Din or Raat mein kitne Pehar (Por) hotey hain?Ans: Aath (8) Pehar (Por).

Q9. Hum par Din mein kitni baar AARAADH farz hai?Ans: 2 (do) Baar.

Q10. Hum kis waqt AARAADH kartey hain?Ans: Hum “PIRBHAAT” yani Subhaa Sawerey or “SANJAA” yaani Shaam ke

Waqt AARAADH kartey hain.

Q11. Humein AARAADH karne se pehley kya karna chahiye?Ans: SANAAN karna chahiye.

Q12. Hum sab se pehley kis ka NAMAN kartey hain?Ans: Shri Lurang Dev ka.

Q13. Hum kis par PATRI charhatey hain?Ans: Shri Lurang Dev par.

Page - 4

Page 5: 100 Q & A - About Barmati Panth by MGSRC

E-Book “100 Questions & Answers About Barmati Panth” – Published by MGSRC

Q14. “Maala” (Maara) se hum kya kaam letey hain?Ans: “Mala / Maara” se hum apne Prabhu Alakh Dhani Matang Dev ka naam

japtey hain. Q15. Shri Lurang Dev ki sewa kyun ki jaati hai?Ans: Shri Lurang Dev ki sewa is liye ki jaati hai ke Shri Lurang Dev soyam

Ganesh ke Avataar hain. Shri Lurang Dev 36 Karor Devi Devta’on ke Baadshah hen. An’n, Dhan or Zindagi ki Saari Zarurat’en Shri Lurang Dev poori kartey hain. Woh kamzor insaanao ka sahaara hai aur Gati Mati deney wala hai. Shri Lurang Dev dukho’n ko mitaa kar Sukh deney wala hai. Woh bhookh or Gareebi ko dur karta hai. Shri Lurang Dev ki sewa karney waley Shishya (Students) zindagi ke har medaan mein Safaltaa haasil kartey hain.

Q16. Aaraadh kyun ki jaati hai?Ans: Aaraadh insaan or Ishwar k darmiyaan milaap ka zariyaa hai. Aaraadh

se hum Ishwar Dhani Matang se miltey hen. Aaraadh 84 Laakh key pher’on se bachaati hai. Aaraadh karney waley insaan Jug Panchorath mein Param-Aatmaa Muru Raja se mile’n ge.

Q17. DHAAM kis ko kehtey hain?Ans: “PAVITAR ASTHAAN” ko DHAAM kehtey hain.

Q18. Humarey kitney Dhaam hain?Ans: Humarey 04 Chaar Dhaam hain.

Q19. Humarey kitney Dev hain?Ans: Humarey 04 Chaar Dev hain. Q20. Humarey Chaar’on Dev’on ke kya Naam hain?Ans: Shri Matang Dev, Shri Lurang Dev, Shri Matai Dev or Shri Mamai Dev.

Q21. Humarey Shri Matang Dev ki Maata Shri ka kya naam hai?Ans: MAATA JASDEY DEVI.

Q22. Humarey Shri Matang Dev ke Pitaa Shri ka kya naam hai?Ans: Shri Maatra Rikh (Shri Maatra Rishi)

Q23. Humarey Shri Matang Dev ke Bhaai ka kya naam hai?Ans: Thaakro

Q24. Shri Matang Dev ne kitne Vivaah kiye?Ans: 02 (Two).

Page - 5

Page 6: 100 Q & A - About Barmati Panth by MGSRC

E-Book “100 Questions & Answers About Barmati Panth” – Published by MGSRC

Q25. Shri Matang Dev ki Dharam Patni’yon ke kya naam hain?Ans: (a) Maata Lakhrayin Devi, (b) Maata Sekdey Devi.

Q26. Shri Matang Dev ke kitney Betey or Betiyaan hain?Ans: Shri Matang Dev ke 02 Betey or 04 Betiyaan hain.

Q27. Shri Matang Dev ke Do (02) Bet’on ke kya naam hain?Ans: (a) Shri Lurang Dev, (b) Shri Murand Dev.

Q28. Shri Matang Dev ki 04 Chaar Betiy’on ke kya naam hain?Ans: (a) Kapur Devi, (b) Sita Devi, (c) Pundey Devi, (d) Punaa Devi.

Q29. Mata Kapur Devi ke Pati ka kya naam hai?Ans: Raja Sundhraa.

Q30. Mata Sita Devi ke Pati ka kya naam hai?Ans: Ratan Gachaa.

Q31. Mata Pundey Devi ke Pati ka kya naam hai?Ans: Laal Chandey.

Q32. Mata Punaa Devi ke Pati ka kya naam hai?Ans: Parlaal Chandey.

Q33. Shri Lurang Dev ke Pita Shri ka kya naam hai?Ans: Shri Matang Dev.

Q34. Shri Lurang Dev ne kitney Vivaah kiye?Ans: 02 (Two).

Q35. Shri Lurang Dev ki Dharam Patiy’on ke naam kya hen?Ans: (a) Punrakh Dev, (b) Tharai Devi.

Q36. Shri Lurang Dev ke kitne Betey hain?Ans: Shri Lurang Dev ka sirf ek hi Beta hai.

Q37. Shri Lurang Dev ke Betey ka naam kya hai?Ans: Shri Matai Dev.

Q38. Shri Matai Dev ki kitni Dharam Patniyaan hain?Ans: 01 (One).

Q39. Shri Matai Dev ki Dharam Patni ka kya naam hai?Ans: Maata Ren’raa Devi.

Page - 6

Page 7: 100 Q & A - About Barmati Panth by MGSRC

E-Book “100 Questions & Answers About Barmati Panth” – Published by MGSRC

Q40. Shri Matai Dev ke kitne Betey hain?Ans: (a) Shri Mohan, (b) Shri Beejak.

Q41. Shri Beejak ko hum kis naam se pukaartey hain?Ans: Shri Beejak ko hum Shri Mamai Dev ke naam se pukartey hain.

Q42. Shri Mamai Dev ke Pita Shri ka kya naam hai?Ans: Shri Matai Dev.

Q43. Shri Mamai Dev ki Dharam Patniy’on ke kya naam hain?Ans: Shri Mamai Dev ki 04 Chaar Dharam Patniyaan hain:

(a) Maata Bhindey Devi, (b) Maata Bhuri Devi,(c) Maata Menr’al Devi, (d) Maata Heeradey Devi.

Q44. Shri Mamai Dev ke kitne Betey aur Beti’yaan hain?Ans: 06 (Six) Betey or 02 (two) Betiyan.

Q45. Shri Mamai Dev ke 06 Bet’on ke naam kya hen?Ans: (a) Shri Matiya Dev, (b) Shri Bhagwant Dev, (c) Shri Mahadey Dev,

(d) Shri Marchand Dev, (e) Shri Megharand Dev, (f) Shri Laalan Dev.

Q46. Shri Mamai Dev ki 02 Betiy’on ke kya naam hain?Ans: (a) Maata Papai Devi, (b) Maata Paandan’r Devi.

Q47. Konsi 04 Chaar Deviyon ka Shri Mamai Dev ne Subhaa Shaam Samran (Naam Pukaarne) ka Hukum diya hai?

Ans: (a) Maata Jasdey Devi, (b) Maata Lakhrayin Devi, (c) Maata Punrakh Devi, (d) Maata Ren’raa Devi.

Q48. “SEMBH KARAM” hum kis ko kehtey hain?Ans: Shri Matang Dev ko.

Q49. “JYOT KARAM” kis ki taraf Ishaara hai?Ans: Shri Lurang Dev ki taraf.

Q50. “SAT WAADI KARAM” kisey kehtey hain?Ans: Shri Matai Dev ko.

Q51. Hum “NIJJ KARAM” kis ko kehtey hain?Ans: Shri Mamai Dev ko.

Q52. Jaater (Yaatra) kyun ki jaati hai?Ans: Apney aap ko Ishwar ko Arpan karney or apney Karm’on ko sudhaarney

ke liye Yaatra ki jaati hai.

Page - 7

Page 8: 100 Q & A - About Barmati Panth by MGSRC

E-Book “100 Questions & Answers About Barmati Panth” – Published by MGSRC

Q53. “SEN’RI” ko hum or kis naam se pukaartey hain?Ans: Sen’ri Ganga, Sen’ri Mata, Sen’ri Matang.

Q54. Sen’ri Ganga ka sanaan hum kis liye kartey hain?Ans: Sen’ri Ganga ka sanaan hum khud ko 84 Laakh ki Yoni or “Janam

Maran” ke Pher’on se Mukht karney ke liye kartey hain.

Q55. BAARAI ke waqt “LODEY” par kon betha hua hota hai?Ans: BAARAI ke waqt “LODEY” per Dharam Guru betha hota hai. Humari

Aankhe’n tou Dharam Guru ko dekhti hain magar Giyaan ki aankhon se dekha jaaye tou Soyam Shri Matang Dev “LODEY” per biraajmaan hotey hain.

Q56. Hum’en KAANGAN’R kis haath se bharwaana chahiye?Ans: Seedhey Haath (Right Hand) se.

Q57. BAARAI ko hum or kis naam se pukaartey hain?Ans: BARMATI / MAHESH PANTH.

Q58. Shri Mamai Dev ne pehli baar BAARAI kis din di thi?Ans: KAARTIK mahiney ke PONAM waley din.

Q59. Duniya mein total kitni Dishaay’en (Directions) hain?Ans: 04 Chaar Dishaay’en / 04 Directions.

Q60. 04 Chaar Dishaa’on / Directions ke naam kya kya hen?Ans: (a) Purab (Mashriq-East), (b) Pachhim (Maghrib-West),

(c) Utar (Shumaal-North), (d) Dakhinr (Junoob-South).

Q61. Pachhim Dishaa (West) mein kis ka Waasa hai?Ans: Shri Matang Dev ka.

Q62. Purab Dishaa (East) mein kis ka Waasa yaani kon mojood hai?Ans: Shri Lurang Dev ka.

Q63. Utar Dishaa (North) mein kis ka Waasa hai?Ans: Shri Matai Dev ka.

Q64. Dakhinr Disha (South) mein kis ka Waasa hai?Ans: Shri Mamai Dev ka.

Q65. Shri Matang Dev ka Asthaan kahaan hai?Ans: Senri Thar (Sindh) mein.

Page - 8

Page 9: 100 Q & A - About Barmati Panth by MGSRC

E-Book “100 Questions & Answers About Barmati Panth” – Published by MGSRC

Q66. Shri Lurang Dev ka Asthaan kis jaga hai?Ans: Tharai (Sindh) mein.

Q67. Shri Matai Dev ka Asthaan kahaan hai?Ans: Baadhraa (Sindh) mein.

Q68. Shri Mamai Dev ka Asthaan kahaan hai?Ans: Makli-Thatta (Sindh) mein.

Q69. Jug / Yug kisey kehtey hain?Ans: Dor / Zamaney (Era / Age / Period) ko Jug kehtey hain.

Q70. 04 Chaar Jug’on ke naam kiya hain? or Shri Mamai Dev ne mustakbil (Future) ke kitney Jug’on ki Quantity bataayi hai?

Ans: 04 Chaar Jug’on ke naam ye hain: (a) Kirta jug, (b) Tentra jug, (c) Duwhaa jug, (d) Kar Jug (Kalyug).or Shri Mamai Dev ne Future ke 1440 Jug’on ki Quantity bataayi hai.

Q71. KAL JUG ke khatam honey ke baad konsa Jug aaye ga?Ans: Jug Panchorath.

Q72. Jug Panchorat mein Ishwar kis naam se Avatar dhaaran karen gey?Ans: Shri Muru Raja ke naam se.

Q73. Shri Muru Raja kis ke Avatar hongey?Ans: Shri Muru Raja, Shri Dhani Matang Dev ke 11th Avatar hongey.

Q74. KIRTA JUG mein Alakh Shri Dhani Matang Dev ne kitney Avatar liye?Ans: 04 Chaar Avatar.

Q75. Kirta Jug mein Shri Dhani Matang Dev ke 04 Chaar Avatar’on ke naam kiya hain?

Ans: (a) Shri Machh, (b) Shri Koram, (c) Shri Vaaraah. (d) Shri Narsingh.

Q76. TENTRAA JUG mein Alakh Shri Dhani Matang Dev ne kitney Avatar liye or un ke naam kya hen?

Ans: 03 Teen Avatar liye or un ke naam yeh hen:(a) Shri Vaaman (b) Shri Parshuram (c) Shri Ram

Q77. DUWHAA JUG mein Alakh Shri Dhani Matang Dev ne kitney Avatar liye or un ke naam kya hen?

Ans: 02 Do Avatar liye or un ke naam yeh hen:(a) Kaan (Shri Krishan) (b) Shri Buddh (Buddha)

Page - 9

Page 10: 100 Q & A - About Barmati Panth by MGSRC

E-Book “100 Questions & Answers About Barmati Panth” – Published by MGSRC

Q78. KAL JUG mein Alakh Shri Dhani Matang Dev ne kitney Avatar liye or un ke naam kya hen?

Ans: Sirf Ek (01) Avatar “Karki Paatar” (Kalki Avatar) Shri Dhani Matang Dev

Q79. Shri Dhani Matang ke Kul kitney Avatar hen?Ans: Dus (10) Avatar

Q80. Shri Dhani Matang Dev ke Dus (10) Avatar’on ke naam kya hen?Ans: (1) Machh (2) Koram (3) Vaaraah (4) Narsingh

(5) Vaamanr (6) Parshuram (7) Shri Ram (8) Kaan (Kirshan)(9) Buddh (10) Karki Paatar

Q81. Konsi do (02) cheezon per Shraddha rakh kar hum “Maheshwari / Maaisri” kehlaatey hen?

Ans: 1) Shri Dhani Matang Dev ko 10th (Duswaan) Avatar maan kar,2) Shri Dhani Matang ke Gyaan (Vachan) ko Maan kar / Emaan rakh kar

Q82. Humarey Saal (Year) ke kitney Mahiney (Months) hotey hen?Ans: Humarey Saal (Year) ke 12 (Baarah) Mahiney (Months) hotey hen:

(1) Chetar (2) Vaisaakh (3) Jeth (4) Aasaath(5) Siraavanr (6) Badro (7) Aso (8) Kaartik(9) Naari/Maghsar (10) Pos (11) Maagh (12) Faganr

Q83. Hum Shri Dhani Matang Dev ki Yaatra konsey Mahiney mein kartey hen?Ans: Vaisaakh mein

Q84. Hum Shri Lurang Dev ki Yaatra konsey Mahiney mein kartey hen?Ans: Chetar mein

Q85. Hum Shri Matai Dev ki Yaatra konsey Mahiney mein kartey hen?Ans: Faganr mein

Q86. Hum Shri Mamai Dev ki Yaatra konsey Mahiney mein kartey hen?Ans: Vaisakh mein

Q87. Hum “Ginaan” ke saarey Ved’on ko kis naam se pukaartey hen?Ans: Atharman Ved

Q88. “Atharman Ved” kis ne bayaan farmaya hai?Ans: Shri Matang Dev ne.

Q89. “Atharman Ved” ko Vistaar (Detail) mein kis ne bataya?Ans: Shri Mamai Dev ne.

Page - 10

Page 11: 100 Q & A - About Barmati Panth by MGSRC

E-Book “100 Questions & Answers About Barmati Panth” – Published by MGSRC

Q90. Shri Mamai Dev ne hum’en “Atharman Ved” kesey samjhaaya?Ans: Shri Mamai Dev ne hum’en “Atharman Ved” ko 09 Laakh Ved’on mein

yaani 09 Laakh Baaton mein kanthan kar ke samjhaaya.

Q91. Shri Mamai Dev kon kon si Zabaan’on (Languages) ke maahir hen? Un mein se kuch zabaan’on ke naam bataiye.

Ans. Gujratri – Sanskrit – Hindi – Sindhi – Kutchi – Haalari

Q92. Shri Mamai Dev ne kis zabaan mein Giyaan ko kanthan kiya hai?Ans. Purbhi Zabaan mein jo ke Gujratri, Hindi, Sanskrit, Sindhi, Kutchi aur

Haalaari ke Shabd’on (Words) se mil kar bani hai.

Q93. Devtaa’on ki taadaad (Quantity) kitni hai or un ke Sardaar yaani “Aagewaanr” kon hen?

Ans. Devtaa’on ki taadaad (Quantity) 36 Karor hai or in ke Sardaar (Aagewaanr) Soyam Shri Lurang Dev hen.

Q94. Shri Mamai Dev ne kis tarteeb (Arrangement) se Ginan ko kanthan kiya hai?

Ans. Wagat – No’raan – Daam – Sangar – Ramtanri – Aagam Vaanri

Q95. Shri Mamai Dev ek or khaas zabaan bolney ke maahir hen. Kya aap bata saktey hen konsi zabaan?

Ans. Ji haan! Shri Mamai Dev “Jaanwar’on ki Zabaan” bhi jaantey hen.

Q96. Konsey Jaanwar se Shri Mamai Dev ne us ki apni zabaan mein Baat Cheet ki hai?

Ans. Bhagaari (Bhe’riyaa) – Wolf

Q97. Ginan mein Shri Dhani Matang Dev ko aur kon kon se Naam’on se pukaara gaya hai?

Ans. - Samrath Matang - Damru Matang- Sembh Karam - Har Matang- Narayan Dev - Agam Matang- Apaar Matang - Muraar Dev- Nijan’r Matang - Nirakaar Matang- Niradhaar Matang - Moor Matang

Q98. Ginan mein Shri Lurang Dev ko aur kon kon se Naam’on se Pukaara gaya hai?

Ans: - Gurens’raa - Ratan Tej- Daawal Dev - Soondhaaro- Gavri Nandan - Veer Vi’raang- Sangh Gajaadar - Gemarvantaa

Page - 11

Page 12: 100 Q & A - About Barmati Panth by MGSRC

E-Book “100 Questions & Answers About Barmati Panth” – Published by MGSRC

Q99. Jab GAT per musibat aayi tou Shri Mamai Dev ne kis ko pukaara?Ans: Shri Mamai Dev ne GAT ko musibat’on aur Aafat’on se bachaney ke

liye “Shri Dhani Matang Dev” ko pukaara.

Q100.Shri Dhani Matang Dev, Shri Lurang Dev, Shri Matai Dev aur Shri Mamai Dev ki Qurbaaniy’on ke badley hum’en kya karna chahiye?

Ans: Hum’en in Chaar’on Dev’on ke Giyaan ko Sun kar aur us per Amal (Kriyaa) kar ke dosrey Maheshwariy’on tak puhunchaana chahiye.

TRANSLATIONS FROM VEDAS OF “GINAN”

Matang Dev is Andherey Jug ki Roshni hen.Matang Dev ka Noor 7 Deep,12 Khand aur 21 Brahmaand

mein phelaa hua hai.

********************************

Matang Dev sabhi ke Dil’on ki Baat jaantey hen.

********************************

Aey Ishwar!! Hum sab se pehley teri Aaraadhna kartey hen. Aey Sehnri ke Raja (Matang Dev) Humari Zindagi mein aa kar tu hi basna,

tumh’en humari zindagi, maut aur janm’on ki khabar hai.

********************************Gyaan (Knowledge) haasil karo, is se tumh’en Bodh (Aqal) milegi

jis se tum Kriyaawaan (Baa-amal) ban jaao ge.

********************************

Mamai Dev ke Vachn’on (Gyaan) se Jism (Body) aur Sar (Mind) Roshan ho jaatey hen.

********************************

Mein ne Sachey Insaan’on ko Gyaan diya hai jo Maut ke waqt mere paas hongey.

The End

Page - 12

Page 13: 100 Q & A - About Barmati Panth by MGSRC

E-Book “100 Questions & Answers About Barmati Panth” – Published by MGSRC

MGSRC’s further E-Books:

Gur Maam Quotations - Season 1 (Illustrated/Pictured & Roman Hindi-Urdu Version)

It is a collection of 25 Gur-Maam Quotations with Pictures. These quotations are excerpted from the Vedas of Shri Mamai Dev, the Spiritual Guide of Barmati Panth. 

http://www.scribd.com/doc/101251250/Gur-Maam-Quotations-Season-1-Roman-Hindi-Urdu

Stay Connected with MGSRC Facebook Page for more updates:https://www.facebook.com/MGSRC

Ask your friend to introduce you in a MGSRC Facebook Group.

M G S R C

MAHESHWARI GINAN STUDY & RESEARCH CENTRE| Pakistan – India |

Page - 13