23
DISCLAIMER: This story is not written to serve purspose of reading x-rated stuffs. This is purely a story which deals with emotions and circumstances of characters. People who are just interested to read porn material please you are advised not to waste your time. This story is pure imaginatory. PYAAR – EK LOVE STORY (PART 1) Ankit aur Urmil ek saath marine drive ke wall par iss tarah baithe the mano dur se aisa lag raha ho ki koi couple baithe ho. Haan duniya ki nazron mein woh do ladke the. Acche khanse khubsurat naujawan. Uss shaam ka mahaul kuch aisa hi tha. Aasman me suraj dub raha tha. Samunder ki lahre wall par aakar takra rahi thi aur un lahroki awaaz se un dono ko ek dusre ke jyaada paas aakar baat karni pad rahi thi. Dono ki jindagi se jude ek ajeeb aur important decision lene uss waqt woh saath the. Ankit ki aankhe bhari hui thi, maano koi shabd uske muh se nikal paana mushkil tha. Kai baar woh dono iss jagah par apna waqt gujaar chuke the. Woh hawa mein samunder ke paani ki khushbu, aas paas ka romantic climate, woh dhalta hua suraj aasmaan mein gulaal bikherta hua nazar aa raha tha, aaj sab kuch wohi tha lekin Ankit aur Urmil ke liye sab kuch dhundalasa tha. Woh ek dursreko 6 saal se jaante the. Senior college ki padhai ke liye jab Urmil ne Mumbai ke Sydnam college mein admission liya tha tab woh bahot khush tha. 12 th ki exam acche marks se pass hone ki wajah se usse Mumbai ki college mein admission mil to gayi lekin college ki modern chaka chaundh se woh hamesha apne aap ko alag hi rakhta. Gujraat ke ek chhote se shehar se usne 12 th pass ki thi. Aur apne mama ki wajah se woh aaj Mumbai jaise shahar aaya tha. Uske mama nahi chahte the ki padhai mein itna smart ladka apni ghar ki haalat ki wajah se aage theek se naa padh sake. Mama ki pahchaan se aur Urmil ke acche marks ki wajah se usse admission easily mil gayi. Who apna waqt jyaadatar library mein hi bitata. Haan aur ussi library ki wajah se Ankit uske life mein aaya tha. Issse pahle pata nahi lekin usse kissi ladki ke liye sharirik akarshan mahsoos nahi hota tha. Haan 12 th mein ek accha dost tha jiske saath woh hamesha padhai karta tha, dikhne mein seedha sa tha, lekin jab kabhi dono ek-saath padhai karte to raat ke waqt woh sirf shorts mein hota to Urmil ke maan mein kuch ajeeb khayaal aate the. Tab usse lagta shaayad usse koi problem hai. Lekin dheere dheere woh samaz gaya ki usse ladko ke prati akarshan hai. Aur jabse woh Mumbai aaya tha, Mumbai ki ladko ki fashion, unke chaal dhaal ka tariqua, baatoin mein ek khulapan usse accha lagne laga tha. Ek din jab dopahar ke waqt jab woh library mein baitha tha kuch 3-4 ladke jor se baate karte hue library mein aaye. Shaayad directly play ground se aaye the kyonki sabhi ne sports kapde pahne the aur tired se lag rahe the. Urmil ka dhyaan acchanak se ek ladke pe gaya, gora sa, tej naak wala, dark hair, fair skin, lagbhag five feet seven inches around height. Woh pasine se naha raha tha. Kissi ko

Pyaar - Ek Love Story

Embed Size (px)

Citation preview

Page 1: Pyaar - Ek Love Story

DISCLAIMER: This story is not written to serve purspose of reading x-rated stuffs. This is purely a story which deals with emotions and circumstances of characters. People who are just interested to read porn material please you are advised not to waste your time. This story is pure imaginatory.

PYAAR – EK LOVE STORY

(PART 1)

Ankit aur Urmil ek saath marine drive ke wall par iss tarah baithe the mano dur se aisa

lag raha ho ki koi couple baithe ho. Haan duniya ki nazron mein woh do ladke the. Acche

khanse khubsurat naujawan. Uss shaam ka mahaul kuch aisa hi tha. Aasman me suraj dub

raha tha. Samunder ki lahre wall par aakar takra rahi thi aur un lahroki awaaz se un dono

ko ek dusre ke jyaada paas aakar baat karni pad rahi thi. Dono ki jindagi se jude ek ajeeb

aur important decision lene uss waqt woh saath the. Ankit ki aankhe bhari hui thi, maano

koi shabd uske muh se nikal paana mushkil tha. Kai baar woh dono iss jagah par apna

waqt gujaar chuke the. Woh hawa mein samunder ke paani ki khushbu, aas paas ka

romantic climate, woh dhalta hua suraj aasmaan mein gulaal bikherta hua nazar aa raha

tha, aaj sab kuch wohi tha lekin Ankit aur Urmil ke liye sab kuch dhundalasa tha. Woh ek

dursreko 6 saal se jaante the.

Senior college ki padhai ke liye jab Urmil ne Mumbai ke Sydnam college mein admission

liya tha tab woh bahot khush tha. 12th

ki exam acche marks se pass hone ki wajah se usse

Mumbai ki college mein admission mil to gayi lekin college ki modern chaka chaundh se

woh hamesha apne aap ko alag hi rakhta. Gujraat ke ek chhote se shehar se usne 12th

pass ki thi. Aur apne mama ki wajah se woh aaj Mumbai jaise shahar aaya tha. Uske

mama nahi chahte the ki padhai mein itna smart ladka apni ghar ki haalat ki wajah se

aage theek se naa padh sake. Mama ki pahchaan se aur Urmil ke acche marks ki wajah se

usse admission easily mil gayi. Who apna waqt jyaadatar library mein hi bitata. Haan aur

ussi library ki wajah se Ankit uske life mein aaya tha. Issse pahle pata nahi lekin usse

kissi ladki ke liye sharirik akarshan mahsoos nahi hota tha. Haan 12th

mein ek accha dost

tha jiske saath woh hamesha padhai karta tha, dikhne mein seedha sa tha, lekin jab kabhi

dono ek-saath padhai karte to raat ke waqt woh sirf shorts mein hota to Urmil ke maan

mein kuch ajeeb khayaal aate the. Tab usse lagta shaayad usse koi problem hai. Lekin

dheere dheere woh samaz gaya ki usse ladko ke prati akarshan hai. Aur jabse woh

Mumbai aaya tha, Mumbai ki ladko ki fashion, unke chaal dhaal ka tariqua, baatoin mein

ek khulapan usse accha lagne laga tha.

Ek din jab dopahar ke waqt jab woh library mein baitha tha kuch 3-4 ladke jor se baate

karte hue library mein aaye. Shaayad directly play ground se aaye the kyonki sabhi ne

sports kapde pahne the aur tired se lag rahe the.

Urmil ka dhyaan acchanak se ek ladke pe gaya, gora sa, tej naak wala, dark hair, fair skin,

lagbhag five feet seven inches around height. Woh pasine se naha raha tha. Kissi ko

Page 2: Pyaar - Ek Love Story

shaayad library ki book change karni thi. Urmil ko yaad aaya ki yeh wohi ladka hai jo

usski class mein aakhri benches par baiththa hai. woh soch mein tha ki uss ladke ne aakar

hi kaha aur Urmil ke next chair par baith gaya. Table par news papers aur magazines

bikhre pade the uss mein ek news papar lekar pages turn karne laga. Urmil ne notice kiya

ki us ladki ki daayi arms par kuch kharoch thi aur ussmein se halka sa blood nikal raha

tha. Urmil ne kaha areey tumhare haath se khoon nikal raha hai, kuch laga hai kya. Usne

dekha aur kaha areey football khelte waqt woh gir gaya tha to shaayad kuch laga ho.

Anyway thanks, my name is Ankit and urs? Mera naam Urmil hai. Aur main tumhari hi

class mein huin, maine hamesha tumhe front bench dekha hai. Urmil ne kaha if you don

mind I know 1st aid aur mujhe saamne 1st aid ka box dikhayi de raha hai, librarian se key

lekar tumhe dressing kar deta huin. Ankit ne kaha aise bhi ghar hi jaana hai phir bhi theek

hai dressing ho jaayegi to blood nikalana band ho jayega. Urmil ne librariyan ke

pemission se 1st aid box mein se ointment or bandage lekar Ankit ke arm par dressing kar

diya. Kah nahi sakta lekin kuch ajeeb sa laga jab ussne Anikt ko chhua. Tabhi Ankit ke

dost aa gaye to unhone Ankit ko chalne ko kaha, unmein se aur ek ladka unhi ki class

mein tha jiska naam Ryan tha. Thank you very much Urmil. Phir milenge. Yeh kahkar

Ankit chala gaya aur Urmil apni padhai mein kho gaya.

Next din jab woh college aaya to …………….

Page 3: Pyaar - Ek Love Story

PYAAR – EK LOVE STORY

(PART 2)

Next din jab woh college aaya to corridor mein Ankit uske dosto ke saath khada tha, usne

halki blue rang ki shirt pahni thi aur jeans mein tha. Urmil ko aate dekhkar apne dosto se

hatkar woh aage aaya aur usne Urmil ko hi kaha aur kal ki help ke liye phir se shukriya

kiya. Lecture ki bell baji aur sabhi class room mein chale gaye. Urmil as usual front

benches par baith gaya aur Ankit aakhri benches par. Dheere dheere woh dono ek doosre

ko jaanne lage. Urmil ko maloom pada ki Ankit ek acche rayees khaandaan se hai aur

apni gaadi mein college aaya jaaya karta hai. Urmil to train se travel karta tha. Ek baat

co-incident thi ki dono hi Andheri mein rahte the. Isske baad hamesha dono ek dusreko hi

hello karte aur smilte dete. Ek din Ankit ne kaha yaar tum hamesha lectures ke baad ek to

library jaate ho ya phir ghar chale jaate ho. Kabhi dosto ke saath nahi ghumte? Nahi main

Mumbai mein abhi kuch mahine pahle aaya huin aur mere yaha par jyaada dost nahi hai.

Tum aisa kaise kah sakte ho koi dost nahi hai? Yeh Ankit jo hai tumara dost. Ankit ne

kaha. Yeh sunkar Urmil ko usski baato se kuch apnapan sa laga. Koi bhi problem ho

mujhe bata dena okie. Uss din tumne bina mujhe jaane meri sahayata ki hai, ab to hum ek

dusreko jaante hai. Aur phir dono everyday college mein milne lage. Ankit apne dosto se

hatkar kuch waqt Urmil ke saath bitata. Usse bhi Urmil ke saath library mein baithne ki

aadat lag gai. Ek-do baar Urmil Ankit aur usske group ke saath movie dekhne bhi chala

gaya. Lekin Urmil ko apne ahsiyat ka pata tha issliye usne apne shauk ko limited hi

rakhta tha.

Ek din jab Ankit college aaya to Urmil dikhyaee nahi diya, usne uske dosto se pucha ki

Urmil ko dekha hai, sabhi ne kaha abhi tak to aaya nahi shaayad. Tabhi dur se Urmil aate

dikha, white color short kurta, beige color is straight trouser, bikhre hue baal, aankho

mein khoobsurat sa sharmilapan, chaal mein ek ramp male model jaisi harkate, shaayad

Ankit pahli baarUrmil ko gaur se dekh raha tha. Jab Urmil uske pass aaya to

Ankit ne pucha, der kyon ho gayi, arey pitaji ne money order bheja tha to post-office

gaya tha. Phir usne kaha Ankit ek baat kahun? Haan sure why not? Ek kya sau baatein

bolo. Pitaji ne iss baar thode jyaada paise bheje hai, mai chahta huin ki peechli do baar

tumne mere liye movie ke tickets nikale hai to iss baar main tumhe movie dikhaoonga,

lekin haan haan acchi baat hai lekin kya? Lekin yaar mai tumhari tarah pure group ki

ticket nahi le paaunga. Ankit sochne laga aur phir usne kaha koi baat nahi hum ek kaam

karte hai, Saturday humhare lectures kum hote hai to uss din college nahi aate hai direct

bahar milke hum dono hi movie dekhne jaate hai. Urmil ne kaha haan agar tumhe accha

lage to hum yeh kar sakte hai. Ankit ne kaha mujhe kyon nahi accha lagega yaar. So lets

go for movie on Saturday.

Uss Friday Jism release ho rahi thi to dono ne decide kiya ki Jism movie dekhenge. Ankit

ne kaha ki woh usse Andheri se pick up karega aur town mein Regal mein movie dekhne

jaayenge. Saturday subah jab Urmil utha to Mami ko kaha ki aaj woh college se late ho

jayega. Aur phir nahakar nasta kar liya aur light faded blue color ki jeans aur white color

ki blue stripes ki shirt pahen lee. Usne mirror mein apne aap ko gaur kiya, to usse khud

Page 4: Pyaar - Ek Love Story

ko hi aisa mahsoos hua ki jaise woh kuch mahino se accha dikhne laga hai. Aise hi

dikhne mein khoobsurat to tha hi. College mein front bench baith ta tha to usski

scholerness aur looks ki wajah kai ladkiya baat karne ka bahana dhundti. Woh baatein to

sabhi se karta lekin kissi ladki se usne khaas dosti nahi banayi thi.

Jab woh ready hokar bus-stop par aaya jahan unhone milneka decide kiya tha tabhi 10.00

baj rahe the. Suraj aasmaan me chadhte jaa raha tha. Ussne college bag shoulder se cross

lagai thi. Kaafi handsome lag raha tha woh. Itne mein Ankit apni gaadi lekar saamne

khada hua aur apni gaadi ki window neeche karke usne Urmil ko hi kaha. Yaar aaj tu

bahot hi accha lag raha hai..kya baat hai. Kya everyday bekaar dikhta huin? Urmil ne

kaha?? Nahi aisi koi baat nahi, everydayhi tu accha dikhta hai. Accha jaldi se under aa,

nahi to dhoop mein pasina pasina ho jayega. Dusre baaju se darwaja kholkar Urmil under

aake baith gaya to gaadi ki AC mein usse kaafi accha laga. Usne dekha Ankit ne ek white

color tight t-shirt pahni hui aur upar se short length ki cotton ki checkswali shirt aur blue

jeans. Kaafi accha lag raha tha. Phir Andheri se LBS marg se hokar Siddhivinayak temple

se hokar dono Regal Cinema pahunch gaye. Uss waqt 12.15 ho gaye the aur 1st show

11.45 ko already shuru ho chuka tha. Next show 2.30 baje tha. Urmil ne gaadi se utarkar

2.30 ki tickets le liye aur gaadi mein aakar usne kaha yaar ab itni der kya karenge? To

Ankit ne muskurakar kaha ki areey kaha hamhe itna time free milta hai, abhi mila hai to

yehi par ghoom lenge aur kuch shopping bhi karenge. Ankit ne gaadi ek parking place

mein park ki tabhi Ankit ne kaha Urmil tumne Gateway of India dekha hai? Haan jab

shuru mein aaya tha tabhi Mama aur unki family ke saath aaya tha. Mere mind mein abhi

yehi khayaal aa raha tha ki chalo Gateway chalte hai. Ankit ne kaha theek hai. Aur dono

Gateway ki taraf chalne lage. Raaste mein Ankit ne Cigarettes le liye aur Urmil ko offer

kiya. Tab Urmil ne kaha maine jab 11th

mein tha tabhi try to ki thi lekin usske baad kabhi

dil nahi kiya. Aaj tumhe company dene ke liye le sakta huin. Aur dono Cigarettes ke

dhuwe ko hawa mein udate hue chalne lage. Gateway par kaafi dhup thi, Ankit ne apna

goggle laga liya, lekin Urmil ke pass goggle nahi tha. Ankit ke maan mein kuch khayaal

aaya lekin ussne kuch nahi kaha. Thodi der dono wahi khade ho gaye. Samunder ki lahre

Gateway ke samne waali seediyo paraakar takra kar bikhar rahi thi. Kuch foreigners ka

group waha ghum raha tha. Aas pass chahal pahal thi. Kuch der baad Ankit ne kaha jab

tumne 12th

kiya tabhi koi dost nahi bane? Bane to the, lekin sabhi gaav se the kuch ne

aage same college join kiya, koi aage nahi padh sake. Mai to mamaaji ki wajah se yaha

chala aaya. Jab girl friend ki baat nikli to Urmil ne kaha ek ladki acchi to lagti thi lekin

kabhi maine seriously nahi liya. Aur tumhari koi girlfriend nahi bani? Urmil ne pucha.

Yeh sunkar Ankit thoda sa chup ho gaya aur phir usne kaha haan thi lekin ab woh abroad

chali gayi hai, hum ek dusre ke prati kuch soche ki usske pahle hi usse abroad jaana pada.

Rishta kuch bana hi nahi tha to phir maine kuch jyaada socha hi nahi, woh mere daddy ke

dost ki beti hai. Mere daddy ne partnership me kuch business US mein start kiya hai jo

abhi mera bada bhai sambhal raha hai. Chalte chalte dono Colaba aa gaaye aur tabhi

Ankit ko goggle ka show-room dikha. Woh Urmil ko lekar under chala gaya, aur usne

apne hisaab se kuch goggles nikale aur ek-ek karke Urmil ko try karne ko kaha. Urmil ne

kaha tu kiske liye le raha hai apne liye ya mere liye? Ankit bola tu sirf select kar, tabhi

Urmil bola please agar tu agar yeh soch ke le raha hai ki mai yeh rakh loonga then sorry.

Mujhe yeh accha nahi lagega. Lekin kyon? Mai tumhe gift kar raha huin. Iss mein kya

Page 5: Pyaar - Ek Love Story

burai hai? Urmil ne kaha gift karne mein burai to kuch bhi nahi lekin main badlemein

tumhe iss tarah ka expensive gift philhaal to nahi de paoonga. Areey yaar maine kab

tumse koi gift expect kiya hai, tu bhi naa!!!

Nahi yaar main yeh nahi le sakta. Urmil ne kaha. Theek hai nikalte hai phir. Shop ke

baahar aate hi Ankit ka mood ukhda hua sa ta. Urmil kuch bolte jaa raha tha lekin Ankit

sirf haan haan karte jaa raha tha. Yaar kya ho gaya tujhe? Aise kyon behave kar rahe ho?

Kya gift lene se hi mai tumhara dost huin yeh prove hota hai? Ankit kuch nahi bol paaya.

Aaj pahli baar Ankit ki aankhe halki si bhari hui thi. Hamesha hasta hua masti karta hua

Ankit aaj alag lag raha tha. Aur isske liye Urmil ko bura lag raha tha. Pata hai Urmil? tum

mujhe kyon acche lagte ho? Tum ek simple se ladke ho, mere sabhi dost mere jaise hai,

kuch to mere pass issliye hote hai kyonki main unpar paise kharch karta huin, aur kuch

mere jaise sirf apni pitaji ki kamai uda rahe hai. Jabse maine tumhe dekha mujhe tumse

dosti karne ki iccha ho gai. Aur jab pahli baar jab library mein maine tumse baat ki mujhe

accha laga tha. Tumahre care karne nature ki wajahs se mujhe tumhare prati jyaada

lagaav hone laga. Aur aaj jab tumne meri taraf se jab gift accept nahi kiya to pahli baar

aise laga ki koi mujhe bhi naa kar sakta hai. Accha to yeh baat hai Urmil ne kaha to

tumhe bura laga ki maine tumse gift nahi liya?

Mai tumhari feelings samaz sakta huin, lekin Theek hai chalo wapas shop mein aur le lo

uss goggle ko, lekin ahinda ek baat yaad rakhna mai agar tumhe kuch du to tum bh naa

nahi bologe. Ankit thoda khush ho gaya. Bina kuch bole woh dono shop mein gaye aur

Ankit ne woh goggle kharidkar Urmil ko gift kar diya. Phir foot-path ke shops kuch

shirts ki shopping karke woh dono khaana khan eek acche se restaurant chale gaye. Jahan

restaurant ka bill Urmil ne hi diya. Jab woh cinema hall pahunche to 2.30 ho chuke the

aur baahar crowd jam gaya tha. Urmil ko kaafi accha lag raha tha, bina kuch bole uske

chehre se khusi jhalak rahi thi. Jab andar chhoda gaya pata nahi dono ne kab ek-dusreka

haath thaam liya aur saath-saath chalne lage. Movie shuru ho gai aur kab khatam ho gai

pata hi nahi chala. Movie dekhte waqt dono hi pure waqt ek dusreka haath thaame baithe

the. Yeh shaayad dono ki ek dusreki prati mohhabat ki shuruaat thi.

CONTD……

Page 6: Pyaar - Ek Love Story

PYAAR – EK LOVE STORY

Part III

Wapas drive karte waqt Urmil ko neend aa gai aur woh gaadi mein hi jhappiya lene laga

to Ankit ne kaha yaar tum comfortably legs strech karke so jao. Aur Urmil gaadi mein hi

so gaya. Ankit baar baar usse dekhte jaa raha tha. Usska face bahot hi masoom sa lag

raha tha mano koi innocent sa bachcha aankhe band karke so raha ho. Ankit ke mind

mein hamesha ek dabi hui iccha thi ki kisi ladke ke itna pass aaye ki uske body ko

mahsoos kare. Usse kabhi kabhi yeh lagta tha ki usse ladko ke liye akarashan hai lekin

ussne apni iss iccha ko kabhi badhava nahi diya. Lekin jab se Urmil se dosti ho gai, uske

dil mein hamesha uska khayaal aata. Woh sharirik akarshan nahi tha lekin usse aisa lagta

ki woh Urmil ka khayaal rakhe, uske saath jyaada waqt bitaye. Andheri aane se pahle

Urmil jaag gaya, uski aankhe halki si gulabi lag rahi thi, bahot hi sweet sa lag raha tha.

Ankit Urmil ko hamesha ek mod par chhod deta, usse yeh pata tha ki aage kuch duri par

Urmil kissi chawl mein rahta hai. Urmil ko awkward na lage issliye usne kabhi uske ghar

jaane ki iccha nahi ki. Woh chahta tha ki Urmil khud hi usse apne ghar bulaye. Jab Urmil

gaadi se utra aur ghar jaane ke liye chal pada, kuch dur chalkar woh wapas aaya window

se andar jhankkar ussne Ankit ke gaal par kiss kiya aur thank you for gift bol kar chal

pada. Ankit surprisingly khush ho gaya. Urmil ka usske nazdiq aana usse accha lag raha

tha. Jaise jaise din guzarte gaye dono ek-dusreke itne kareeb aa gaye ki ab un dono ki

friendship pure college ko maloom ho gayi. Sabhi jaane lage ki Ankit aur Urmil ek dusre

ke kaafi acche dost hai. Ghar mein bhi hamesha Urmil Anikit ke baare mein kahta. Aur

Ankit ne bhi apne ghar mein Urmil ke baare mein bol rakha tha. Ankit ke daddy iss baat

se khush the unka ladka awaara ladko ki bajay kissi sincere padhai karne waale ladke se

dosti kar raha hai. Urmil padhai mein naturally smart tha, uski grasping kaafi acchi thi.

Commerce ke sabhi topics woh aasani se samaz sakta tha. Woh hamesha Ankit ke liye

notes banata, aur Ankit bezizak padhai mein uski help le leta. Kabhi kabhi Ankit Urmil

ke ghar phone karke ghanto baate karta. Kuch dino baad Mamaaji ne kaha kyon bhai

Ankit se hi baate karte ho ya Ankit ke naam se kissi ladki se. Nahi Mamaji, Ankit hi hai,

usko kuch na kuch padhai ki problems hoti hai to mujhe puch leta hai. Aur phir uske

sports club ki baate batata rahta hai.

Ankit hamesha apne dosto ke saath parties mein jaata tha. Lekin Urmil ke uske life mein

aane ke baad woh sab thoda kam ho chuka tha. Ek baar Ankit ke parents shaadi ke liye do

dino ke liye out of station gaye the, to Ankit ke dosto ne Ankit ko party ke liye invite

kiya. Ankit bahot dino se nahi gaya tha kissi party mein, usske ek dost ki girlfriend ki

birth-day party thi. Ankit ne Urmil ko join hone ko kaha. Lekin Urmil ne naa kah diya.

Party kaafi acchi rahi, drinks aur smoking sab kuch allowed tha. Kuch aur dosto ki bhi

girl friends aayi thi. Kuch pandhrah bees logo ka group tha. Background mein

instrumental music baj raha aur mahaul aur bhi romantic ho gaya tha. Sabhi log hansi

mazak kar rahe the, lekin Ankit ka mind wahan nahi tha. Woh soch raha tha ki Urmil

saath hota to aur bhi maaja aata. Urmil kyon mere saath nahi aaya. Aakhir usne Urmil ko

phone kiya, Urmil gharwalo ke saath khaana kha raha tha usne phone uthaya. hey hi how

are you dear? Urmil ne Ankit ki aawaz pehchaan lee, kya kar raha hai, Urmil ne kaha

khaana kha raha huin. Ankit ne kaha mere bagair? Urmil jaan gaya ki drinks ki wajah se

Page 7: Pyaar - Ek Love Story

Ankit bahki bahki baate kar raha tha. Usne halke se aawaz mein kaha yaar tune jyaada le

lee hai kya?” Haan kuch thohhodi si jyaadaaa le lee hai mujhe tumhe milne ka maan kar

raha hai kkyaa tum mujhe abhi mil sakte ho??? Urmil kuch pal ke liye kuch bhi nahi bol

saka tabhi mama ne awaaz di “khana to khatam kar lo aur phir baate karma” Urmil bola

haan Mamaji abhi aata huin usne Ankit se kaha kahan milne aau? Ankit ne kaha jahan

main tumhe drop karta huin wahi aa jana bas half n hour mein mai aa jata huin. Ghadi

mein 10 baj rahe the, usse samaz mein nahi aa raha tha ki woh mama ko kya kahe, aur

bahat to jaa sakta hai lekin pata nahi kitni der lagegi. Phir ussne mama se kaha ki Ankit

ko study ki problem hai to mai usse milne jaa raha huin. Itni raat ko? Ab jayega to

lautega kab? Mama ne kaha. Chinta mat karna aa jaunga. Thodi der baith kar woh bahar

nikal gaya. Unki hamesha ki jagah woh pahuncha to dekha Ankit already waha aa chukka

tha, gaadi mein badi aawaz mein songs sun raha tha.

Urmil ko dekhkar ussne kaha hi jaan tumhe bahot miss kar raha tha. Urmil samaz nahi

paa raha tha ki aaj Ankit aisa kyon behave kar raha hai, dear , jaan yeh sab words uske

muh se pahli baar sun raha tha. Woh gaadi mein jaakar baith gaya, drinks ke smell uske

naak mein chali gayi. Usse thoda sa gussa aaya aur woh bola Ankit kya jarurat thi itni

sharaab pine ki, time pass ke liye theek tha, lekin tumne kuch jyaada hi pee li.Yaaraar

bahot dino ke baaad parrrrty mein gaya tha to pee li, please dantna mat. Aur aise bhi

mummy daddy ghar par nahi hai to socha le hi loo. Aur subse important baat tumhe miss

kar raha tha. Accha ab batato tum ghar kaise jaaoge? Iss halaat mein gaadi theek se chala

paoge? Haan haan kyon nahi, itna bhi ludhak nahi raha huin. Ankit ne kaha. Haan pata

hai mujhe, chalo mai tumhe chhod deta huin, Ankit ne kuch dino se Urmil ko driving

sikha di thee, aur Urmil acchi driving bhi karne laga tha aur driving licence ke liye test

bhi de chuka tha, sirf driving license milna baanki tha. ‘wah yeh acchi baat hai tum mujhe

ghar chhod do lekin tum phir mere yehi ruk jaana, itni raat ko waapas mat aana. Aise bhi

kal Sunday hai. Urmil ne kuch socha aur bola ‘tu yehi rukna main ghar jaakar mamaji se

kahke aata huin, ghar jaakar ussne kuch kitabe uthai aur mama ko kaha woh padhai ke

liye Ankit ke ghar jaa raha hai aur wahi rukega. Mami ne kaha theek hai lekin padhai hi

karna, baate waate karte mat baith jaana. Urmil ne track suit nikalkar jaldi se trouser

pahen lee aur t-shirt to usne pahan hi chuka tha. 10 minuites mein Urmil waapas aaya,

Ankit abhi bhi gaane sun raha tha. Urmil ne usse shift hone ko kaha aur khud driving seat

par baith gaya, Ankit se direction lete hue dono ek acchi si socieity ke saamne aa gaaye,

Anikit ne horn dabaya to watchman ne gate khol diya. Gaadi park karke dono lift se 3rd

floor par gaye. Ek floor par 3 flats the. Ankit ke daddy ne teeno flats kharidkar ek hi flat

mein convert kar diye the. Ankit ne chaabhi lagane ki koshish ki lekin uske haat kaanp

rahe the to Urmil ne chabhi lekar darwaza open kiya. Andar ek aalishaan sa ghar nazar

aaya. 4-5 bed-rooms ka ek bada sa flat. Ghar ke furniture bhi kaafi mahenge aur

decorative the. Interior bhi bahot accha tha. ‘Welcome to my home dear’ aisa bolkar

Ankit sofe par baith gaya. Phir bola kya loge 1st time tum mere ghar aaye ho. Urmil ne

kaha kuch nahi bas chilled water kaafi hai aise bhi mai khaana kha chukka huin. Ankit

uthkar kitchen mein gaya aur fridge se ek thande paani ki botal aur ek glass lekar aaya

aur Urmil ko de diya. Urmil paani pine laga to usne dekha ki Ankit ke aankho mein aaj

Page 8: Pyaar - Ek Love Story

alag sa nasha hai, woh sirf drink ka nasha nahi tha. Phir Ankit bola main tumhe change

karne ke liye clothes deta huin tum change kar lena aur main fresh hokar aata huin, tab

tak TV dekh le. Ek safed rang ki shorts or sleeveless t shirt laakar usne Urmil ko de di aur

woh apne kamre ke bath room mein chala gaya. Urmil ne kapde change kiye, usse kuch

ajeeb sa laga, actually un dono ki personality ek jaise hi thee to Ankit ki shorts aur tee-

shirt uspar theek se baith gai. Khud ko mirror mein dekhne ke liye Urmil ussi kamre mein

gaya jahan Ankit gaya tha. Bath room se paani ki awaaz aa rahi thi, Urmil ne wardrobe

ke mirror mein dekha, apne aap ko ke khoobsurat naujawan bante dekh raha tha. Woh

phir bahar aakar TV on karke koi music channel dekhne laga.

CONTD……

Page 9: Pyaar - Ek Love Story

PYAAR – EK LOVE STORY

Part IV

Kuch der baad Ankit hall mein aaya, usne body par sirf ek towel lapeti thi. Pehli baar

time Urmil Ankit ko iss tarah dekh raha tha, chest par ubharte hue baal, sports khelne ki

wajah se gatheela badan, chust arms aur narrow waist, broad shoulders, handsome yeh ek

hi word ho sakta tha usse describe karne ke liye. Yaar main two mintues mein aata huin

kahke phir se woh apne kamre mein gaya aur kuch der baad sleevless shirt aur three forth

bermuda pahankar waapas aa gaya aur Urmil ke baaju mein baith gaya. Uske badan se

sabun ki halki si mahak aa rahi thi, baal abhi bhi geele the. Urmil ka man kiya ki uske

gaal par kiss kare, lekin usne aisa kuch nahi kiya. Phir Ankit ne kaha sorry Urmil, aaj

tumhe meri wajah se mujhe chodne mere ghar aana pada. Jabki mujhe pata hai ki tum

mere ghar aana avoid karte rahe ho. Lekin such to yeh hai ki party mein main tumhe

bahot miss kar raha tha, aur maine socha bhi nahi tha ki aaj raat tum iss tarah se mere

ghar par aaoge. Yeh kahkar ussne Urmil ka haath apne haath mein liya aur uss par apne

honth rakh diye. Ek ajeeb see sarsarahat Urmil ke badan se nikal gai. Uske hontho ke

sparsh se mano uske badan mein bijlee si nikal gai. Ankit ke drinks ka nasha abhi tak puri

tarah se utra nahi tha. Ankit Urmil ka haath pakde hi baitha raha, aur dono pair sofe pe

lekar baith gaya. Is position mein uski thighs Urmil ke thighs par aa rahi thi. Phir Ankit

ne apni right hand se Urmil ka right hand pakadkar daanya haat Urmil ke kandhe par

daalkar uske kandhe par sar rakhkar aankhe band karke baitha raha. Kuch pal beet gaye

aur phir apna sir uthakar Ankit apna muh Urmil ke kaano ke pass lakar bola ‘I love you’

Urmil ne kaha haan yeh baat tum kal savere bhi kah sakte ho. Chalo abhi so jaao. Urmil

ko yakin nahi tha ki yeh drinks ka nasha hai ya Ankit usse apni dil ki baat bol raha hai.

Phir Ankit ne kaha theek hai bed room me so jaate hai, aur usne remote se TV off kiya

aur dono Ankit ke bed room mein chale gaye.

Wohi bed room jisme thodi der pahle Urmil aakar apne aap ko mirror mein dekhkar chala

gaya tha. Kaafi clean aur specious bed room tha. Windows kaafi badi thi, bahar dekhne se

sirf trees nazar aa rahe the. Ek window khulee hone se hawa ki thandi lahar aa rahi thi.

Ankit ne bed ki chaddar thik ki aur Urmil ke dono khande ko pakadkar ussne usee bed

par bithaya. Aur khud apna sar uski godi mein rakh let gaya. Urmil ko abhi woh ek

baccha lag raha tha jisse ek surakshit bhavna se baahon mein lene ka man kar raha tha.

Ankit aankhe band kar ke party ke baare mein bolte jaa raha tha ki ussne jaana ki usski

saanso mein Urmil ki saanse mix hone lagi hai. Ussne aankhe kholi to Urmil ka chehra

uske chehreke pass paya. Dono ne bina kuch bole apne lips ek dusreke lips par rakh diye.

Kuch der aise rahne ke baad Ankit ne muh kholkar Urmil ke lips ko choosna shuru kiya.

Isske baad Urmil ko pata hi nahi chala ki ussne kab apne aap ko Ankit ko saunp diya, jab

subat 8 baje Urmil ki aankh khuli tab un dono ke beech sharirik sambandh ho chuke the.

Ankit ke sharir par kuch bhi clothes nahi the aur woh pet ke bal leta hua tha aur uska ek

haat Urmil ke chest par tha. Urmil ko raat ki baate yaad aai kaise eek dusreko badan se

kapde hat gaye aur do badan ek ho gaye the. Ek halki se muskuraahat Urmil ke lips par aa

gai aur usne aage badhkar Ankit ke lips ko chumna shuru kiya. Ankit neend se jaag gaya

aur jhatke se uth gaya. Aur ek ajeeb nazro se Urmil ko dekhne laga. Aur phir bina kuch

kahe bath room chala gaya.

Page 10: Pyaar - Ek Love Story

Dus min ke baad jab bahaar aaya to woh naha chuka tha. Bahar aate hi usne kaha Urmil

jao jaakar naha lo tab tak mai nashte ka bandobast karta huin. Urmil kuch soch mein pad

gaya, Ankit raat ke bartaav ko lekar kyon koi reaction nahi de raha hai!!! Woh bed se

utha aur Ankit ke pass gaya, uske dono khande par haath rakhkar kuch bolne wala tha ki

Ankit ne uske lips par ungli rakh di aur bola…….

Jaanu agar tumhe lagta hai ki raat ko jo kuch hua woh mujhe yaad nahi to tum galat ho,

mujhe har ek baat yaad hai jo hamhare beech hui, issliye mujhe tumse sorry kahna

chahiye lekin main khud sharm mehsoos kar raha huin. Yeh kahkar uski aanke jhuk gai.

Urmil ne usse josh se gale lagakar kaha arey yeh acchi baat rahi, enjoy dono ne kiye aur

sorry tum bolo, to phir mujhe bhi to tumhe sorry bolna chahiye hai na? Urmil ne Ankit ka

muh haanth se uthakar uske band aankho ko kiss kiya, phir uske maathe par chuma, aur

phir uske cheeks pe, aur phir uski naak pe , aur phir uske chin pe, aur usne apne lips uske

lips par teeka diye. Bina kuch bote dono yeh jaan chuke the ki un dono ko ek dusreki

kitni jarurat hai.

CONTD……

Page 11: Pyaar - Ek Love Story

PYAAR – EK LOVE STORY

Part V

College ke teen saal kaise gujar gaye yeh pata hi nahi chala. Un dono ke life ke woh

behatarin saal the. College ke last year mein to dono ne bahot masti ki. Dheere dheere

Urmil bhi khulne laga.Usne college ki picnics attend ki. Annual function mein Urmil ne

ek song bhi gaaya. Ab woh Urmil nahi raha jab woh shuru shuru mein college aaya tha.

Us mein kaafi badlaav aa chuka tha. Woh ek confident insaan ban gaya tha. Ankit ke

dosti ne usse life mein kaafi kuch sikhaya tha. Dono ab ek dusre ke ghar mein jab jee

chahe tab jaa sakte the. Ankit bina koi jhijhak se Urmil ke ghar jaata aur kabhi kabhi

wohi khaana bhi kha leta. Urmil beginning me thoda awkward mehsoos karta lekin

dheere dheere sub kuch simple sa hone laga. Iska major karan tha Ankit ka nature, Ankit

ke swabhav mein kabhi bhi ghamand ya attitude dikhayi nahi diya. Woh hamesha apna

ghar samaz ke hi Urmil ke ghar aaya jaaya karta tha. Ankit ke gharwale bhi swabhaav se

acche the, unhe bhi Urmil ke unke ghar aane se koi pareshaani nahi thi. Dono ki dosti

maano ek example ban gai thi. Duniya ki nazro mein unka pyaar bhai bhai ke pyaar jaisa

tha. College ke baad dono ne MBA karne ka faisla kiya. Sirf Urmil ne correspondence

course join kiya, kyonki woh chahta tha ki jaldi se koi naukari karte karle aur uske pitaji

ka boz kum kare. Ankit ko naukari ki jarurat to thi nahi to ussne regular MBA college

join kiya. Dono jab bhi waqt milta mil hi lete the. Off days ya week ends mein to kabhi

kabhi ek dusre ke saath small pic nic par chale jaate. Urmil ki office Nariman Point mein

thi to office ke baad Ankit usse milne aa jata aur woh dono Marine Lines ke wall par

ghanto baith jaate, especially Friday evening kyonki Urmil ko Sat, Sun off hota tha.

Jab pahli baar dono ne ek dusreke saath raat gujari thi, uss raat ko dono kabhi bhi nahi

bhool paaye, aakhir uss raat unka pyaar ek dusreke liye charan seema par pahonch

chukka tha. Jo anubhav unhe uss raat mahsoon hua mano duniya mein usse badi koi

sukhdayak cheez hi na ho. Issmein kabhi unhe kissii bhi baat ka lust ya sharmindapan

nahi laga. Jo kuch uss waqt hua aur usske baad bhi jab kabhi hua woh sirf aur sirf ek

dusre ke prati pyaar or trust ka natija tha. Ab dono ne MBA ke finals ki exam de chuke

the aur results ki wait kar rahe, kuch dino se pata nahi Urmil ko aise laga ki Ankit kuch

udaas sa rahne laga hai, shaayad kuch baat ussse chupa raha hai, ussne bahot baar koshish

ki usse woh baat nikalwa le lekin Ankit kuch na kuch kahkar taalta raha. Infact Urmil ko

lag raha tha unke khushi ke din ab shuru ho jaayenge kyonki MBA ke baat usse bhi acchi

khaasi job mil jayegi aur woh puri tarah se financially independent ho jayega. Lekin ek

din Ankit ke daddy ne Urmil ko apne ghar bula liya aur…

Jab Urmil Ankit ke ghar gaya Ankit ghar par nahi tha. Ankit ke daddy ne kaha aao beta

kaise ho? MBA ka result to aane wala hai.idhar udhar ki baate karke woh thoda serious

ho gaye aur unhone kaha Urmil beta tum to jaante ho Ankit ka bada bhai US mein

business handle kar raha hai, wohi business jo unhone unke dost ke saath shuru kiya hai

aur last kuch saalo mein unn departmental stores ki chain badh chuki hai. Shuru mein sirf

ek departmental store unhone shuru kiya tha ab jaakar unke apne 2 aur partnership mein 4

shops the. Aur bade bhai ko yeh sab manage karna mushkil ho raha tha. Aise hi Anupam

(Ankit ka bada bhai) ne bahot pahle hi Ankit ko waha bulaya tha, taaki woh MBA wahi

Page 12: Pyaar - Ek Love Story

se finish kar le, lekin Ankit ki jid ki wajah se ussne India mein hi MBA karne ki thaan

lee. Aur ab jab uski MBA khatam hone ko hai, Ankit ke daddy aur Anupam chahte the ki

Ankit jald hi US chala jaaye aur business ki baagdaur apne haath mein le le. Aur haan

beta aur ek khushi ke baat yeh hai ki mere dost jo mere partner bhi hai unhone apni beti

Arpita ka rishta bhi Ankit ke liye bheja hai. Yeh to dono pariwaar walo ne pehle se hi

socha tha ki agar dono ek dusreko pasand karte hai to yeh rishta bhi kaayam ho jayega.

Arpita apne parents ke eklauti beti hai to woh bhi chahte hai ki Ankit aur Arpita ki shaadi

ho jaaye. Ankita ko Arpit pahle se hi pasand tha. Ab tum hi batao beta Ankit yeh baat

samaz hi nahi raha hai, jab ki saare raaste ussse US jaane ko kah rahe hai woh iss baat ko

seriously le hi nahi raha hai. Last kuch dino se iss baat se lekar ghar mein pareshaani si

ho gayi hai. Tum hi batao beta tum to usske karibee dost ho ab mai isse kaise samjhau?

Mai chahta huin ki Urmil tum usse samjhao ki hum jo bhi soch rahe hai woh usske bhalai

ka hi soch rahe hai. Mujhe aisa lagta hai agar tum usse samjhao to woh iss baat ko jaldi

samaz payega.

Yeh sab sunkar Urmil ke dil par jaise koi pathhar sa gir pada, ab woh jaan paya ki last

kuch dino se Ankit kyon pareshaan sa hai. Kuch halke se awaaz mein usne kaha theek hai

uncle aap chinta mat kijiye, mai puri koshish karunga ki usse yeh baat samaz mein aaye.

Iss beech Anikt ki mummy saamne aake baith gayi thi, unke aankho mein aansoo the jo

woh chupane ki koshish kar rahi thi. Jab kabhi bhi Urmil unke ghar aaya tha unhone usse

apne bete jaise hi pyaar kiya tha kyonki woh jaanti thi ki Urmil apne maa aur pitaji se dur

rahta hai. Har ek maa iss halaat mein uss ladke ko pyaar karti hai jiski maa uss-se dur hai.

Ankit ke mummy aankho mein aansu dekhkar Urmil ko raha nahi gaya, woh bola aunty

iss baat ko lekar aap bilkul pareshan na ho, aap yeh baat mujhpar chhod do yeh kahkar

woh unke paanv chukar chal pada. Jab woh lift se neeche aaya to uski aankho se aansoo

bahar nikal rahe the.

CONTD……

Page 13: Pyaar - Ek Love Story

PYAAR – EK LOVE STORY

Part VI

Urmil ko pata tha kal Friday hai aur Ankit uss-se milne jaroor aayega. Dusre din jab

office mein Ankit ka phone aaya to Urmil kaam mein busy tha, usne sirf kaha hum 6.00

baje apni jagah milte hai mujhe tumse kuch baat karni hai. Ankit yeh nahi samaz saka ki

Urmil ko kya aisi baat karni hai. Jab Urmil marine liens ke wall par pahuncha Ankit aaya

nahi tha, woh kuch sochne laga ki tab Ankit ne usse awaaz dee, woh ussiki taraf chala aa

raha tha. Dono wahi walls par baith gaye. Ankit tumhara mood kaisa hai? aaj kal tum

kuch tensed lagte ho baar baar puchnepar bhi tum kuch nahi bol rahe ho, tumhe kya laga

agar tum nahi bataoge to mujhe kuch pata nahi chalega? Tumhe shaayad yeh pata nahi ki

kal tumhare daddy ne mujhe ghar bulaya tha, yeh sunkar Ankit chaunk gaya.woh bola

daady ne ? aur woh kyon? Ankit ab tum mujhse kuch chupao mat. Mujhe sab pata chal

gaya hai ki tum kiss liye pareshan ho. Kal jab daddyji ne mujhe bataya ki tum US nahi

jaana chahte aur woh kyon pareshaan hai, tab mujhe sab baate clear ho gai.

Mujhe ek baat batao Ankit tum kyon nahi jaana chahte? Ankit tumhara future ussi par

nirbhar hai. Ankit ne Urmil ke aankhon mein aankhe daalke pucha tumhe pata nahi hai ki

mai kyon nahi jaana chahta? Haan haan haan mujhe pata hai, lekin har ek problem ka koi

na koi solution hota hai na! Aur ek baat batao tum yaha rahoge aur kya karoge? Apna

business ya phir koi badi si company me job? Right? Iss-se hum dono ek hi city mein

rahenge , sahi hain na? Lekin mujhe batao kya jindagi bhar hum iss tarah se rah sakte

hai? Urmil ne pucha. Ankit jhat se bola wohi to mai bhi soch raha tha dear lekin mere

dimag mein kuch aur tha. Mai soch raha tha, ki mai kissi aur country mein job dhoond

loonga aur tum bhi kuch dino ke baad mere yahan hi job karne aa jaoge aur phir hum

dono saath-saath rah sakte hai. Mujhe pata hai hum yeh sab yaha nahi kar sakte. Urmil ne

kaha tum jo bol rahe woh sahi hai lekin utna aasaan nahi. Kya tum shaadi nahi karoge?

Tumhe pata hai mere gharwaale bhi mamaji ko mere liye acchi ladki dekhne ke liye bol

rahe hai. Aur mamaaji ne yeh baat seriously lee to mujhe bhi . Ankit hum

dono ek-dusre ke liye kya hai yeh sirf hum dono jaante hai aur Bhagwaan jaante hai.

Lekin hum duniya ko nahi samjha sakte. Maan lo jaise tum kah rahe ho uss tarah se tum

kissi aur country mein chale jaao aur kuch dino baad mai bhi waha haa jau, lekin mere

maa pitaji ne mere liye ab tak jo efforts liye hai mere padhai ke liye aur unhone jo

khwaab mere future ke baare mein dekha hoga kya mai unhe chhodkar waha aa sakta

huin? Kya yeh sahi rahega? Mai kitne dino se chahta tha ki Ma aur Pitaji ko Mumbai leke

aau aur unke aage ki jindagi ka pura khaayal mai rakhu. Un par kya guraregi jab mai

India chhodke videsh chala jaau? Kya issi din ke liye unhone mujhe Mumbai padhne ke

liye bheja tha? Yeh to rahi meri baate and what about you? Kya tumhare family ne kabhi

socha hoga Ankit aage jaakar kissi ladke ke saath settle ho jayega?? Tumhare daddy aur

unke dost yaani ki Arpita ke pita ne naa jaane kabse kya kuch soch rakha tha tumhare aur

Arpita ke liye. Kya tum in sab cheejo par paani pher doge?? Tumne mujhe ek baar bataya

tha ki tumhare dil mein kahin to Arpita ke liye lagaav tha ,aur tumhe yeh bhi paata hoga

ki Arpita bhi tumhe chahti hai. Kya jawaab doge tum in sab baato ka jab tum kissi aur

country mein mere saath jindagi bitane ki soch rahe ho? Tumhe kya lagta hai mujhe koi

Page 14: Pyaar - Ek Love Story

dukh nahi ho raha in sabhi batoin ka? Ankit my love jab se main tumhare daddy se mila

huin mujhe khud ko pata nahi ki mai kya kya soch raha huin.

Mai kuch dino se kuch bhi nahi soch paa raha huin Urmil, shaayad mai mar jaaunga. Hey

Urmil ne apna haath Ankit ke muh par rakha. Please marne ki baate mat karo. Tum

mujhse pyaar karte ho na? Haan!! duniya mein sabse jyaada!!! Ankil bola, to mujhe ek

baat batao kya pyaar mein kissi ko paana hi sub-kuch hai? Kissi ko paa lena matlab pyaar

ka test pass karna hai? Ankit kuch nahi bola. Dear pyaar mein kabhi kabhi kuch khona

bhi padta hai, kuch sacrifice bhi karna padta hai. Aur mujhe iss baat ki proud rahegi ki

hum dono ka pyaar itna bhi kamjor nahi nikla ki humhare swaarth ke liye humne apne

gharwaalo ko hi dukh diya. Batao tumhare daddy ne jis trust se mujhe bulaakar apni

problem share kee hai, kya hoga agar unhe yeh maloom pad jaaye ki jisse solution ki

ummed karte the wahi iss problem ki jaadh hai. Kya mai unhe life mein kabhi face kar

sakunga?? Ankit mai chahta huin tum apna waqt le lo lekin aisa kuch bhi mat karna jiski

wajah se hum dono ko apne gharwaalo ke saamne sharminda hona pade ya phir unhe

apne beto par sharam aaye. Aur rahi baat tumhare mujhse dur jaane ki, to yaad rakho tum

wahan jaakar settle ho jaaoge, tumhari family life achchi bas jaayege to sabse jyaada

khushi mujhe hi hogi. Aur main bhi to jaldi se jaldi yaha settle ho jaaunga aur mere maa

pitaji ko yahan lekar aaunga. Aur meri yeh koshish hamesha rahegi tumse milne saal do

saal mein US aa hi jaau. Tum bhi India aa sakte ho. Hum hamesha ek dusreke saath hi

rahenge physically naa sahi lekin ek dusreke dil mein to rahenge hi. Urmil bolte jaa raha

tha aur Ankit ke ankho se aansu bahte jaa rahe the. Unhe pata hi nahi chala ki kab 8.30

baj gaye, Marine drive ki duniya kab lights se chamakne lagi thi. Kuch waqt ke liye woh

sab kuch bhool gaye the. Phir Urmil ne kahan chalo ab nikalte hai. Usne Ankit ka haath

apne haath mein liya to Ankit uske sahare uth gaya. Dono gaadi ki taraf nikal pade.

Dusre din pure din mein Ankit ka phone nahi aaya. Aur Urmil chahta tha ki Ankit ko

kuch der akele chhodna chahiye taaquie woh kuch sahi soch sake. Shaam ko 6.00 jab

Ankit ka phone aaya tab ussne bataya ki Urmil maine raat bhar socha, aur ab jyaada nahi

sochna chahta, lekin maine faisla kar liya hai ki mai US chala jaaunga. Tumne kal mujhe

jo kuch bataya woh sub kuch sahi tha. Hum apne dono ki wajah se itne logo ka dil nahi

dukha sakte, sabhi ke apne liye kuch na kuch dreams hai woh nahi tod sakta. Mera ek

bhai to kum se kum mere Daddy aur Mummy ke khwaab pure kar raha hai, lekin tum to

apne maa baap ke eklaute bete ho. Agar humne kuch galat step liya to mere parents aur

tumhare parents society mein face bhi nahi kar sakte. Mai aaj raat ko daddy se kah dunga

ki mai jaane ke liye taiyaar huin. Tum khush ho na meri decision se? Urmil kuch pal ke

liye shaant ho gaya lekin phir ussne kaha Ankit mujhe tum par hamesha naaz rahega.

Samne se Ankit ne jaan liya ki Urmil ki aankhe bhar chuki hai!

CONTD……

Page 15: Pyaar - Ek Love Story

PYAAR – EK LOVE STORY

Part VII

Ankit ke faisle se Ankit ke gharwaali bahot khush ho gaye. Ankit ke daddy ne Urmil ko

phone karke kaha, Bete tumne meri sabse badi problem solve kar dee, hamesha khush

raho, Woh kahan jaante the ki uski khushi to woh kissi ko hamesha ke liye dene jaa raha

hai. Kuch dino ke baad Ankit ke friends ne Ankit ke liye send off party arrange ki aur

Urmil ko bhi bulaya. Ankit ka mood bilkul nahi tha lekin dosto ke baar baar kahne par

Urmil ko puchkar woh raaji ho gaya. Party kissi ek dost ke ghar par Kalyaan mein thi

jisske parents kuch dino ke liye tour par gaye the. Party ka mahaul kaafi accha bana.

Urmil ne jaan buzkar Ankit ke saath jaane ke liye mana kar diya. Main baad mein join

kar loonga, office mein kuch urgent kaam hai, tum time par pahonch jaana yeh kahkar

ussne Ankit ko aage kar diya. Woh nahi chahta tha ki woh dono kissi couple ki tarah ek

saath party mein entry kare. Ho na ho kissi ko koi shaque karne ka bahana mil jaaye, aise

bhi kuch dosto ko inki dosti ke baare mein jeolosy thi.

Jab Urmil party mein pahuncha Ankit aur baanki dost waha maujud the. Kaafi haansi

majaak chal raha tha. Urmil directly office se waha pahuncha tha. Urmil ne dekha Ankit

ke chehare par ek anjaana sa suna pan tha. Lekin jaise hi Urmil ander aaya, uske chehre

par khushi ki chamak aa gayi. Aur phir woh group mein hansi majaak mein sharique ho

gaya. Iss baar Urmil ne bhi sharaab jyaada le lee, Ankit sab dekh raha tha, lekin usse pata

tha ki Urmil ne to usse samjhane ki puri koshish kee aur woh uss mein safal bhi raha,

lekin Urmil ke dukh ki dawa Ankit ke paas bhi nahi thi. Usse pata tha ki upar se to Urmil

bahot khush bata raha lekin ander se tut raha hai. Iss liye ussne jyaada sharaab lene se

roka bhi nahi. In fact usne khud jyaada drinks nahi lee kyonki woh chahta tha ki aaj woh

puri tarah se Urmil ka khaayal rakhe. Western numbers par sabhi ne dance kiya, kuch

ladkiyo ne bhi apni boyfriends ke saath dance kiya. Sabhi ne Ankit ko parting gifts diya

aur apne e-mail ids or contact numbers Ankit ke diary mein note kar diye aur hamesha

contact mein rahne ke liye kahke gale milke chale gaye. Jiske ghar mein party thi woh

bhi dost kaafi accha tha. Rohit naam tha uska. Usse bhi gale milke aur party ke liye

thanks kahke Ankit aur Urmil usse ke yahan se nikal pade. Party ka pura kharcha sabhi

dosto ne (including Urmil) share kiya tha.

Ankit ghar bata kar aaya tha ki aaj woh ghar par nahi aayega. Uska maan aaj long drive

par jaane ka tha. Usne Urmil ko ghar mein inform karne ke liye kah diya, Urmil ke sar

mein nasha chadhte jaa raha tha. Issliye usne hi Urmil ke maami ko phone karke bol diya

ki Urmil uske saath hai aur woh dono party mein late ho jaayenge to Urmil kal hi ghar

aayega. Jab dono gaadi mein aakar baith gaye to Ankit Urmil ko dekhte jaa raha tha. Hey

youuu… kya dekh rahe ho, mujhe kya pahli baar dekh rahe ho? Urmil ne kaha Haan pahli

baar mai tumhe iss rup mein dekh raha huin. Aaj kuch jyaada hi haseen lag rahe ho. Uski

white shirt party mein dance ki wajah se pasine se bheeg chuki thi. Aur uski body uss

mein se jyaada sexy lag rahi thi. 6 saal se woh Urmil ko jaanta tha, jab ussne pahli baar

college library mein ussse baat ki thi tab shaayad un dono ko pata bhi nahi tha ki woh

dono ek dusrese iss tarah se jud jaayenge. Gaadi start karne ke baad, Ankit gaadi ko

Khandala ki raaste par chalane laga. Urmil ne pucha hum kaha jaa rahe hai, to ussne

Page 16: Pyaar - Ek Love Story

kaha tumhe mujh par bharosa hai naa? to Urmil jor se has pada aur bola yeh sawaal

shaayad tumhe mujhe bahot pahle karna chahiye tha aur phir kuch nahi bola. Ankit bola

hum long drive pe jaa rahe hai. Ankit ne gaadi ka AC band kiya aur uski taraf ki window

khol dee. Bahot acchi thandi hawa ander chali aayi, bahot accha laga. Highway par lights

ke khambe pass hote to Urmil ka chehra dekhta, hawa mein udte hue baal aur uske chehre

ki masoomiyat ki wajah se woh khoobsurat hi lag raha tha. White shirt mein Urmil

hamesha sexy lagta tha. Uski shirt pheehe pant se bahar nikal gayi thi, Ankit ne left hand

se saame ne se Urmil ka shirt bahaar nikala taki shirt puri tarah se bahar ho jaaye. Jab

ussne uske pant ke upar ki taraf se shirt kheenchne ke liye haath daala to Urmil ke sharir

ka sparsh usse hua. Ussi waqt kahi ruk-kar Ankit ko usse pyaar karne dil aaya. Ankit

uttejit hone laga tha. Urmil aankhe band karke hi pucha hum kahin pahonch bhi rahe hai

ya nahi? yaa raat bhar drive hi karte rahoge. Ankit ne kuch nahi kaha aur gaadi ki speed

bada dee, woh Khandala pahonch chuke the, 11.45 ho chuke the. Usne ek aalishaan hotel

ke samne gaadi khadi kar dee, aur reception mein jaakar ek executive room ke liye

poocha. Sardi ka mausam tha, executive rooms to available nahi the lekin ek special room

available tha, uske charges kuch jyaada the. Ankit ne turant advance diya, aur chabhi

lekar gaadi ki taraf aaya.

Tab tak Urmil baahar aakar thandi hawa ke jhoko mein gaadi to lagkar khada tha. Ankit

ke pass aate hi ussne puch kya hum night kisi hotel mein gujarne wale hai? Ankit ne kaha

tumhe koi problem hai. Urmil bola mujhe kya problem hogi maine to sirf puch liya. Ab

tak Urmil ka nasha thoda sa utar chukka tha. Jab dono room mein pahunche do dekha

room kaafi badhiya tha. Double bed par white dhulie hui bed sheet thi. Phooldaan mein

mahekte huie phool rakhe the. Ek taraf wardrobe tha. Ek table par TV rakha tha. Ek bada

sa mirror wardrobe se attached tha. Room bahot hi saaf suthra tha. Ander jaate hi

prasaannta mahsoos hui. Urmil ne kaha ki woh baath lena chahta hai, theek hai mai jara

reception mein milke aata huin tum bath le lena. Jab Ankit waapas aaya to Urmil ke saare

kapde bed par pade hue the. Unn dono ne kuch extra kapde to saath mein laaye nahi the

to jaayaz hai ki Urmil ko sabhi kapde nikalne pade. Ankit ne Urmil ko aawaz di aur kaha

kya jyaada time lagega? Mujhe ander se towel de do main bhi shower lena chahta huin.

Tab Urmil ne kaha, aaj pahli baar to hum ek dusre ko nange nahi dekh rahe hai, towel ki

kya jarurat hai, aise bhi humhare pass kapde nahi hai, mere khayaal se yaha ek bath robe

hai. Ankit ne turant reception mein phone karke ek extra bathrobe manga liya aur kuch

der baad apni shirt utaarne laga tabhi door bell baji, door par hotel ka aadmi hanger mein

ek bath robe lekar khada tha. Ankit ne woh receive karke usse thanks kah diya aur phir

ussne bathrobe ko bed par rakh diya. Aur phir ussne apni pant nikal dee ab woh sirf apni

undi mein tha, usse halki se hansi aayi, haste haste woh bath room mein chala gaya. Usne

dekha ki Urmil neeche baitha kar ghutno mein apna muh daalkar baitha hai. Upar se

shower shuru tha aur Urmil ke badan par kuch bh kapde nahi the. Yeh dekhkar Ankit

usse satkar baith gaya aur usne apne haatho se Urmil ka chehra utha liya. Woh jaan

chukka ki Urmil ro raha tha. Shower ke paani mein uske aankh se nikalate aansu bhi bah

rahe the. Ankit ne utkar shower band kiya aur phir neeche baithkar ankit ke sarko apni

godi mein liya. Urmil ka face ab Ankit ki face ki taraf tha. Bathroom chhota hone ki

wajah se Urmil ne apne pair ghutno se fold kiye the aur woh Ankit ki aankho mein

dekhne laga. Ankit ne bina kuch kahe apne honth Urmil ke hontho par rakh diye aur woh

usse chumne laga. Iss ek baat se hamesha unn dono ko itna sukun milta ki, unhe aisa

Page 17: Pyaar - Ek Love Story

lagta ki humhe bhagwaan sirf ek dusro ke liye hi banaaya gaya hai. Phir Ankit ne apne

honth Urmil ke aanko par rakh diye. Ankit Urmil ke annkho mein aansu nahi dekh sakta

tha. Phir usne uska maatha chum liya. Useke baal pure gile the, Ankit ka haath ab dheere

dheere Urmil ke body par ghumne laga. Urmil bhi excite hone laga tha to phir usne bhi

usse response dena shuru kiya. Aur kuch pal ke liye maano dono ek dusre mein iss tarah

se kho gaye ki jaise agar duniya mein kahin swarg hai to bas wohi ek pal hai. Kuch der

baat jab dono nahakar bath robe pahenkar baahar aaye, apne aap ko trupt mehsoos kar

rahe the. Itne mein door bell baji. Baira trey mein Champagne aur kuch cheeze lekar

khada tha. Ankit ne usse ander liya aur trey ko table par rakhne ko kaha. Kuch der baira

wahi khada raha, Ankit samaz gaya aur usse kuch tip de di. Thank you Sir bolke woh

chala gaya.

CONTD……

Page 18: Pyaar - Ek Love Story

PYAAR – EK LOVE STORY

Part VIII

Ankit ne Champagne ke saath kuch khaana bhi order kiya tha. Party mein uska dhyaan

jyaada Urmil par tha aur udaasi ki wajah se woh jyaada kuch khaa nahi paaya. Wohi

haalat Urmil ki bhi thee. Jab usne Champagne ke glass bhare aur Urmil ki taraf dekha,

Urmil ke chehre par ek smile si thi woh muskuraya aur cheers karke dono ne apne

haantho se ek dusre ko Champagne ka pahla ghoont pilaya. Urmil phir bola Ankit mai

tumse kuch kehna chahta huin. Kya? Ankit ne pucha. Kuch dino se soch raha huin kyon

naa tum US me mere jaisa ek dost bana lo jissse tum,,,,, Jisse mai kya?? Meri baat to puri

suno Urmil ne kaha agar tumhe mere jaisa koi dost mil jaata hai aur tum uske kareeb

jaana chahte ho to,,,,, aur ek slap Ankit ne Urmil ke gaal par laga diya. Bas tum kya

mujhe itna hi samaz rahe ho Urmil? Kya mai tumse sirf? aage woh kuch kah nahi saka.

Urmil samaz gaya ki ussne yeh baat kahkar Ankit ka maan dukhaya hai. Woh uthkar uske

kareeb aaya aur uska chehra apne haato mein lekar bola dear mai tumhe hurt nahi karna

chahta tha. Maine to sirf ek baat boli. Mujhe maaf kar do please, mujhse galti ho gayi.

Ankit bola I am also sorry aaj maine pahlee baar tum par haath uthaya hai. Urmil bola

Nahi mujhe iss baat se koi dukh nahi tumne mujhpar haath uthaya, in fact mai khush huin

tumne yeh apna adhikaar samaza, aur iss baat se sirf tumhara pyaar jhalakta hai. Phir

dono ne dher saari batein karte karte Champagne khatam ki aur khana kha liya. Jab woh

bed mein sone gaye tab subah ke sadhe teen baj rahe the. Urmil ne Ankit ka sir apne

chest par liya aur uske baalo mein apni ungliya ghumane laga. Kuch pal Ankit chup sa

tha, lekin phir Urmil ne gaur kiya to Ankit ro raha tha. Urmil se dur jaane ka gam usse

sata raha tha. Jab Urmil ne uska chehra apni taraf ghumaya to woh phut phut kar rone

laga. Drinks ke nashe ki wajah se maano us waqt saare parde utha diye the, dono sirf aur

sirf ek dusreko bahon mein rahna chahte the. Urmil samaz gaya ki Ankit US jaane ka

decision to le liya lekin uski wajah se woh kaafi sensitive ho gaya hai. Ankit ke aanko se

aasuon ko apne hotho se chumte hue Urmil ke aankho se bhi aansu bahne lage. Aisa lag

raha tha ki jaise unn dono ki yeh akhari raat hai saath mein. Kuch der baad jab dono

sambhal gaye to dono ke sharir uttejit hone lage aur woh apne swarg jaise duniya mein

kho gaye.

Subah jab Ankit ki aankh khuli to sadhe nau ba chuke the, ussne gaur se Urmil ka chehra

dekha aur uske chehre ko chumne laga, issse Urmil ki neend khul gayi, kya time hua

yaar, aur jaise his Ankit ne time bataya, Urmil bola yaar humhe ab nikalna chahiye, bahot

late ho jayenge. Ankit bola haan theek hai, lekin pata nahi bed se uthne ka man hi nahi

hai, aise lagta hai ki yeh waqt yehi par tham jaaye. Haan lekin ab jaldi se iss duniya mein

aa jaao, humhe nikalna hai. Dono ready hokar jab reception aaye. Ankit ne payments

clear kiya aur dono gaadi ki taraf chal pade. Woh yeh nahi jaante the ki peeche se hotel

ka waiter jisne unhe Champagne serve ki thi woh muskurakar un dono ko dekh raha tha.

Ankit ka US jaane ka din tay ho gaya. Kuch aur pandharah din baanki the. Urmil aur

Ankit dono man hi man mein udaas the, lekin dono ek-dusreko apna dukh nahi batana

chahte the, issliye jab bhi ek-dusreke saamne aate to chehre par ek smile dikha dete jab ki

balki dono yeh dil se jaante the ki woh underse kitne udaas hai. Ek shaam jab dono mile

Page 19: Pyaar - Ek Love Story

to Urmil ne ek chhota sa gift packet Ankit ko dete hue kaha Ankit yeh meri taraf se

tumhare liye hai. Ankit ne kuch nahi kaha aur bola kya mai abhi isse dekh sakta huin,

Urmil bola sure why not. Ankit ne usse kholkar dekha to ek khoobsoorat sa golden color

ka pen tha, issme American stones bithaye the aur kaafi mehanga lag raha tha. Ankit ne

usse chum liya aur bola yaar itni mehangi gift kyon lekar aaya. Urmil bola agar hum iss

baat par kuch na bole to accha hai. Ankit bola okie sir, lekin such mein mujhe yeh bahot

accha laga. Usne apna haath Urmil ke haath mein de diya aur Urmil usski bhavnaoko

samaz gaya. Dusre din raat ko Ankit ki flight thi, aur,,,,,

Next part is the end……

Page 20: Pyaar - Ek Love Story

PYAAR – EK LOVE STORY

Part IX. (Last Part)

Dusre din raat ko Ankit ki flight thi, aur Ankit ki puri shopping ho chuki thi. Almost

ussne sub kuch Urmil ke saath milkar hi shop kiya tha. Ankit ne Urmil ko phone kiya aur

bola aaj shaam apni jagah par aa jaana, to Urmil ne kaha ki woh aaj jaldi nikalega office

se , to Ankit ne kaha theek hai mai char baje marine lines ke walls par pahunch jaoonga.

Jab Urmil waha pahuncha to Ankit aaya nahi tha. Char baje bhi kadi dhoop thi, usse

samaz mein nahi aaya ki woh kahan ruke, kyonki walls par shed nahi thi, bahot dur ek

bus-stop tha lekin wahan bhi bheed khadi thi. Tab usne apne office bag mein se Ankit ne

gift kiya hua goggle nikala aur aankho par chadha diya. Tight fitting straight cut trouser

aur crème color ki shirt aur usspar aankho par goggle woh kissi hero se kum nahi lag raha

tha. Ussne Ankit ko apne cell se phone lagaya, toh Ankit ne phone kaat diya. Urmil kuch

samaz nahi paaya aur woh wahi khada raha. Kuch dus minuite ke baad Ankit ke gaadi ka

horn baja. Ankit ne gaadi se dekha Urmil dhoop mein khada hai, ussne usse awaaz di aur

gaadi ke pass aane ka isshara kiya. Urmil gaadi mein aakar baith gaya. Ankit ne windows

ka sheesha oopar kiye aur Urmil ko chomane laga. Hey yeh kya, kal jaa rahe ho isska

matlab yeh to nahi ki jindagi bhar ka pyaar ek hi din mein khatam kar do. Ankit

muskuraya aur bola ki sorry maine tumhe wait karwaya aur peeche ki seat par jhukar ek

polythin bag ko haath mein uthakar Urmil ke haath mein de diya. Kya hai yeh? Urmil

bola. Dekh to lo, Urmil ne dekha ander ek chotisi jwellery ki dibiya thi, ussne kholkar

dekha to ander chain mein daalne wale gold mein dimond studded two lockets the aur ek

nahi balki do the. Ussne gaur se dekha to uss mein alphabets U aur A kuch iss tarah se

banaye gaye the ki dekhnewalo ko lage ki koi design hai. Urmil samaz gaya aur kuch

nahi bola. Ankit ne kaha ek mai apne gale mein daloonga aur ek tum. Urmil ki ankhe na

chahte hue bhi bhar aayi. Dono ka yeh ek aisa rishta tha, jiska koi bhi naam nahi tha,

haan duniya waalo ke liye woh acche dost the, lekin sirf unhe aur GOD ko pata tha ki

woh ek dusreke liye kya mayne rakhte hai.

Urmil ki aankho mein aansu dekhkar Ankit bhi sahma sa gaya, phir usne kuch ruhani

awaaz mein pucha, jaan mai kal yahan se jaaunga pata nahi kab phir aaoonga ho sakta

jaldi hi tumhe milne aa jaau ya phir business mein phans gaya to phir pata nahi kab aa

pau, aur mano iss dauraan meri shaadi agar fix ho jaati hai to, to kya tum meri shaadi

mein aaoge. Mai chahta huin ki tum mere Best Man raho. Urmil ne kabhi iss baat par

jyaada socha nahi tha phir bhi ussne jhat se muskurakar kaha tumhari shaadi aur uss

shaadi mein main nahi? Mere bagair tum shaadi kar paoge? Haan agar tum mujhe

seriously puchoge to definitely aana chahunga, lekin iss waqt mai kuch bhi nahi kah sakta

dear. Kyonki tumhare jaane ke baad mai khud ko iss tarah busy karna chahta huin ki bus

aage mujhe life mein aage hi aage jaana hai. Ma aur Pitaji ko mai Mumbai laana chahta

huin. Life ki sabhi khushiya unhe dena chahta huin. Iss chakaar mein ho sakta hai mujhe

apne aap ko puri tarah se kaam mein juta lena padega. Hey lekin kyon yeh sab baate ab

kare, jab ki tab dekha jayega. Ankit ne pucha to kal mujhe drop karne Air-port aaoge na?

Urmil bola kya tum chahte ho ki mai tumhe drop karne aau? Hmmmm actually nahi,

kyonki mai tumhe mujhse dur jaata nah dekh sakta aur gharwaalo ke samne apne feeling

show bhi nahi kar sakta. Maine koshish ki thi ghar se koi naa aaye taki tum mere saath

Page 21: Pyaar - Ek Love Story

air-port aao lekin mummy aur daddy ke saath bua ke ladke bhi aana chahte hai. Theek

hai na, koi baat nahi, aise bhi hum yeh soch ke kyon chale life mein kabhi nahi milenge.

Humne kabhi ek dusrese ko koi promise nahi kiya lekin hum dono ek dusreko itni acchi

tarah se jaante hai ki humhe pata hai, duniya ke kissi bhi corner mein hum apni life bitaye

hum rahenge to ek dusreke dil mein na! Aur aaj kal touch mein rahne ke kitne saare

saadhan available hai. Aur tumhe to pata hai Ankit, mai jyaada negative sochta nahi,

hamesha humhe positive hi sochna chahiye. Kya hua agar hum physically saath nahi

lekin humhare dil mein humhe yeh to pata hai kahin duniya ke kissi ek jagah koi mere

liye soch raha hai. Kya yeh baat dil ko sukun nahi deti? Ankit ne Urmil ki taraaf dekha

aur bola dear tumhari aisi baate karne ki wajah se hi to mai tumpar fida huin. Tum

situation ko hamesha easy bana lete ho. Aaj mai proud se kah sakta huin ki mujhe acchi

tarah se jaanewala ek inssan hai aur woh ho tum, yeh kahkar Ankit apne honth Urmil ke

gaal par teeka diye. Ankit bola sun Urmil kal to Saturday hai tumhe office mein off hoga.

Haan, please kal jaldi uthna. Haan uth jaaunga tumhe iss mein please kahne ki kya jarurat

hai. Lekin uthke kya karu? Mujhe 7 baje milna. Theek hai. Ankit jaanta tha, Urmil

palatkar sawaal nahi karega ki kyon? kahan jaana hai? Tab tak shaam ho gayi thi, dono

gaadi se bahaar aakar hamesha ki jagah par baith gaye. Urmil soch raha jab uss din issi

jagah hum baithe the kitne saare tufaan is dil mein the. Ankit ka US jaana decide karna

bahot kuch aasaan kar gaya, nahi to life mein dono families mein kitni saari uljhan ka

samna karna padta. Ankit dil mein soch raha tha, last time aur iss baar yahan baithne

mein kitna saara fark hai. Aaj Urmil ki wajah se mujhe life ke decision lene mein kitni

badi help mili. Bhagwaan kare Urmil jaisa dost har kissi ko de lekin Urmil ko sirf mere

liye hi rakhe.

Dusre din jab 7 baje Urmil Ankit ko mila, Ankit usse lekar Siddhivinayak ke mandir

gaya, Saturday tha aur subah ka waqt tha to jyaada bheed nahi thi. Dono darshan lekar ek

corner mein aankhe mund kar baith gaye. Ankit uss waqt Urmil ne diya hua self

embroidered white short kurta pahne hue tha aur Urmil short sleeves ka white shirt jo

usse Ankit ne diya tha. Dono ke chehrepar halki si prasaanta thi, ander se dono dukhi the

lekin nahi chahte the ki apne liye woh pareshaan ho jaaye. Siddhivinayakji se unn don ne

kya maanga hoga ab yeh baat to readers jaan hi sakte hai. Pass hi mein shivaji park beach

tha to dono wahan kuch der ke liye gaye. Ret par jab dono baithkar ek hi nariyaal se

nariyaal paani pee rahe the dono ki nazare sirf ek dusroki aankho mein hi thi. Nariyaal

mein se paani to khatam ho gaya lekin dono ki aankho mein paani jamne laga tha. Dono

bahot kuch kahna chahte the lekin har baat jubaan par aakar ruk jaati thi. Urmil jaanta tha

ki agar ab woh kuch bhi kahne jaayega to ro padega. Aur Ankit ko jaate waqt woh aisi

yaad nahi dena chahta tha. Ankit ne Urmil ke khande par haath daala aur apni pass

kheench liya. Suraj aasmaan me dheere dheere chadhta jaa raha tha. Mano bata raha tha,

chalo apne kaam par lag jao, naye din ki shuruat ho chuki hai. Kuch der baad dono wahan

se nikal pade aur Urmil ke ghar pahonch gaye. Ankit ko Urmil ke mama aur maami ka

aashirwad lena tha. Mami ne Ankit ke maathe ko chum liya aur kaha hamesha khush raho

beta. Mama ne bhi aashirwaad de diya. Urmil ke ghar se nikalte waqt mama ne kahan,

beta upne dost ko mat bhulna, Ankit ne dil mein kaha agar mai jindagi mein usse bhool

gaya to meri jindagi hi kaha bachegi. Urmil neeche usske saath aaya aur dono ussi jagah

aaye jahan hamesha Ankit usse drop karta tha. Dono jaan chuke ki ab unko beechadana

padega. Kitna control kar paate ab, gaadi mein hi dono phut phut kar rone lage. Uss waqt

Page 22: Pyaar - Ek Love Story

unhe duniya ki parwah nahi thi. Urmil ne bola dekh Ankit ab bas, humhare life ke plans

humne decide kiye hai na. Aur jaise ki humne kaha ek-do saal mein hum milte hi rahege.

Ab please jyaada rona mat nahi to mai kamzor pad jaaunga. Yeh kahkar woh Ankit ka

face chumne laga, dono ke honth ek dusre mein kho chuke the. Urmil jab gaadi se utra,

Ankit bola main phone karunga nikalne se pahle, aur ussne gaadi start ki aur chal pada.

Flight ka time 10.30 ka tha, lekin usse 8 baje check in ke liye pahunchna tha. ghar se

nikalne se pahle Ankit ne Urmil ke cell par bahot baate ki, Urmil ko bahot shor sunai de

raha tha, shaayad usse send off karne ke ghar mein bheed bhi thi. Ankit ne phone rakha

aur apne aap ko sambhala. Aur woh apni cousins aur mummy daddy ke saath air port

jaane ke liye nikal pada. Air-port par Ankit ki mummy ro padi, uske daddy ne samjhaya,

arey ab woh apne bhai aur bhabi ke pass to jaa raha hai, kahan wahan akela hoga. Check

in karke jab Ankit apne seat par aake baitha, to ussne apne aap ko thoda free paya aur

turant Urmil ko phone lagaya lekin uska phone unreachable tha. Usne uske ghar par

phone kiya to mama ne kaha ki woh kuch der pahle ghar se baahar nikla hai. Jab flight

take off hua, Ankit sirf Urmil ke baare mein soch raha tha, aur Urmil, woh bhala Ankit

ke siway kya soch sakta tha uss waqt? Raat ke uss waqt ek flight aasmaan se pass ho

gayi to Urmil ne aansu bhare aankho se apna ek haath upar karke hilya, uska dusra haath

gale mein latke uss locket par tha jisse Ankit ne gift diya tha. Woh iss waqt marine lines

ke wall par ussi jagah baitha tha jahan woh aur Ankit hamesha baith-te the.

THE END

Page 23: Pyaar - Ek Love Story