Eid e Ghadeer Mubarak

Embed Size (px)

Citation preview

KHABAR HAI SAAREY ZAMAANEY KO IBTEDAA-E-GHADEER, KE ZUL ASHEERAH MEIN RAKHI GAYI BINAA-E-GHADEER, WAHI RAHEGA QAYAAMAT KI DHOOP SEY MEHFOOZ, NASEEB HOGA JISEY SAAYA RIDAAYE GHADEER.

Charha hai Madhe-e-Ali ka Nasha Ghadeer ke din Sharaab-e-Ishq Pila Saaqiya Ghadeer ke din Ajeeb Shaan se "AKMALTO" kah ke Qudrat ne Qaseeda Madhe-e-Ali ka parha Ghadeer ke din !! "

JO AAB-O-TAAB MEIN KAABA DIKHAI DETA HAI HAMAIN ALI(A.S) KA UJALA DIKHAI DETA HAI ALI(A.S) KE NOOR K AGAY GHADEER E KHUM KI QASAM YE AAFTAB BHI SAAYA DIKHAI DETA HAI

ya ali tera haseen naam bhala lagta ha teri nisbat sa ya islam bhala lagta ha log khate hain tera ishq main kafir mujko par mera dil ko ye ilzam bhala lagta ha

es jahan ki kushiyan tum le lo shabeer ka ghum hum late hain es jahan k gulshan tum le lo ik bagh eram hum late hain es jahan k parchum tum le lo Ghazi ka Alam hum late hain dunia k shahar tum le lo karbala ki gali hum late hain ye sari dunia teri hain bas ek Ali hum late hain.

Ali ki Bazm ka kuch aisa ehtaram karain Farishtay aakey zamin per hamain salam karain ye arzo hai k yun zindagi tamam karain najaf main subh karain karbala main shaam karain

ALLAH KI NAMATON MAI JO AALA THA KAH DIYA,,, MIZAAN-E-AZAL PE JISSAY TOLA THA KAH DIYA,, " MAN QUNTO " KAH K SAHABA K SAAMNAY,, RASOOL(saw) SE KHUDA NAY JO BOLA THA KAH DIYA.....

Ali [a.s.] ka Naam Bhi lay loun tu yeh Ibadat Hai Yehi tu Khoon ki Paaki ki Bhi Alamat Hai Nabi [saww] sey Ishq ka Daawa hai, Bughz-e Haider Bhi Yeh haal jis ka hai uss pey Khuda ki Lanat Hai

Kis sher ki amad hai k ran kanp raha hai Ran aik tarfa charkh-e-kuhan kanp raha hai Rustam ka badan zair e kafan kanp raha hai Hr qasr e salatien e zaman kanp raha hai Shamsheer bakuf daikh k Haider(a.s) k pisar ko Jibraeel kanpty hain samaity hoe par ko

KUCH TO HAIDER KUCH ALI KUCH MURTAZA KEHNE LAGE KUCH SHABE HIJRAT MUHAMMAD MUSTAFA KEHNE LAGE DARTE DARTE HAMNE TO ALLAH KI QUDRAT KAHA TAUBA TAUBA YE NUSAIRI TO KHUDA KEHNE LAGE.

Ya ALI (a.s) tery Siwa koi Mera Peer Nahi, Or Aaina-e-DiL Mei koi tasweer Nahi. HYDERi Naaro'n Se kat jata hy Dushman ka jigar, Munkiro'n k Liye is jaisa koi TEER Nahi. Bughz-e HYDER bhi Shifa'at ki taLab bhi DiL Mei, Yeh to Wo khuwab hy jis ki koi tabeer Nahi..

''ya ''ali'' kehkey kadam - -apna bada dete hain rastey' khud hame manzil -- ka pata detey hain ;humko' -milti hi nahi -- teri '' fazilat'' ki -- hadein log -kehtey -hain -ke -- hum -had -se- bada -dete hai

Har dour har jahan ne kaha Ya Ali(A.S) Madad.. Har qalb har zaban ne kaha Ya Ali(A.S) Madad.. Girta hua zameen pe bachcha sambhal gaya.. Be sakhta jo maa ne kaha Ya Ali(A.S) Madad..

Kat Jata Hay NEKi Ka Badan Bugzz'e ALi Say Smjho Tu Ye AmaaL Ke Gardan Py Chura Hy iNKAR'e WiLAYAT Bhi Ajab Marez Hy Shokat Mar K Bhi Nahi Chorta DENGUE Say Bura Hy

Zikr-e-Haider(A.S) hi ibadat ka maza daita hai.. Naam laita hun, tilawat k maza dayta hai.. Jab nusayri meray Maula(A.S) ko khuda kehtay hain.. Jhoot tau hai, per Haqeeqat ka maza daita hai..

Zikr E Ali (A.S) se dilon ko suroor milta hai, Nigah-e-fikr ko taza shaoor milta hai, Naseeb kaisa bhi ho, ya Ali (A.S) madad keh ker, Khuda se kuch bhi mango, zroor milta hai.

Ik Raat Muhammad(SAWW) Howa Mehman Jali Ka.. Khaliq Se Hui Baat Yeh Kehna Ha Wali Ka.. Parde Mei Khuda Tha K Nai Tha Usay Maloom.. Sarwar(SAWW) Ne Bataya Hai K Lehja Tha ALI(A.S) Ka..

Badli musebton ki jo chaai thi chhat gayi Mushkil meri hayat kay raston say hat gayi Mai nay ALI ka naam liya jab jalaal mai Ghabra kay meri maut bhi waapas palat gayi!!-

quran - ki roo se hukme khuda hai ghadeer me aailaan jo nabi ne kiya hai ''ghadeer ''me '' dastey rasoole pak pe ''haider ''ko dekh lo '' quran '' ''poorey '' 'qad ''se khada hai ghadeer me har fard keh raha tha ''mubarak '' ho ''ya -ali '' ab tak na jo huaa tha huaa hai ''ghadeer'' me '' aauron ko kya mila na mila ''usse kya hume'' '' moula ''hamara humko mila hai ''ghadeer'' me * nafse -khuda - rasool''ali - nafse -- mustufa '' ** poshida'' raaz ye bhi khula hai ''ghadeer'' Mein

Mola mola bol musalman, mola mola bol Mola mola bol musalman, mola mola bol Mola mola bol musalman, mola mola bol Name muhammad jis tarha hai rab ko nabi ke pyaara, name ali bhi us tarha hai rab ke nabi ko pyaara nuqta nahi nuqta nahi dono par koyi, dono hai unmol Mola mola bol musalman, mola mola bol hijrat ki shab kon nabi ke bistar par hai soya kon nabi ke paas ghaar me cheekh mar ke roya kuch to samaj (i)se kuch to samaj ise, kaam le bhaya, man ke aankhe khol Mola mola bol musalman, mola mola bol Hum he dare haider ke ghadagar, jo bhi chahaa paya hai khuddari hai apna wasila, haath nahi phailaaya hai

hum nahi jaante hum nahi jaante, kya hota hai, kasaa aur kashko Mola mola bol musalman, mola mola bol Chore chaar kar saari dunya tu majlis me aayenga ashke azaa ki kya kimat hai, tujko pataa chaljayenga dono alaam dono alaam, tul jayenge ik aansoo to tol Mola mola bol musalman, mola mola bol Khayber khandaq badrohad ye, sab hai ali ke tohfe kisne sare maidan diye hai, bhag bhag kar dhoke parh to zaraa parh to zaraa tareekh khol ke, khul jayengi pol Bughs ke raah pe chalne waale, kadam kadam pe ghirte hai Ilm ke darwaaze se hatkar, maare maare phirte hai Akn ke andhe chor ye dhande, man ke ankhe khol Mola mola bol musalman, mola mola bol Kufr ki is andhi se musalmaa, kyu hai tu ghir ghir Tere sar pe sayaa pidhan hai, haider or shabbir tere muhafiz Kambar salaam, mesum or behlool Mola mola bol musalman, mola mola bol Mere maula ka ik ashik tha behlool-e-dana Behcha zubayda ko jab usne, jannat ka parwaana bola uska Shohar apna, hogaya pattiya gol Mola mola bol musalman, mola mola bol Khwab me ye manzar dekha to, aur bhi kuch ghabraya Jannat me sone ki mehel par, heero se likha tha kasr-e-zubayda hai ye, dene wale hai behlool Mola mola bol musalman, mola mola bol Hum logh to maulayi hai bhi, hahsr ki aysi taysi Jese zubayda ne payi hum, paayenge jannat wesi Maula maula bol ke leykin, kaano me ras ghol Mola mola bol musalman, mola mola bol

Eid e Ghadeer Mubarak Qasiday 1) Midhate haider mere lab par zara aane to do Khud ba khud phirte nazar aayenge tufaano ke rukh [2]

Tum fizaa me parchame abbas lehrane to do Midhate haider mere lab par zara aane to do Kon roya kon soya sab pataa chal jayega [2] Tum shab e hijrat ka kissa hum ko dohrane to do Midhate Haider mere lab par zara aane to do Dekhna kaisa tawaana hoga ye laghar mareez [2] Majlise Sheh ka tabaruk tum ise khaane to do Midhate Haider mere lab par zara aane to do Saaf ayega nazar maidan ka had e nazar [2] Hazrat e Abbas ko maidan me aane to do Midhate Haider mere lab par zara aane to do

Ali Imam e Manasto Manam Ghulam e Ali Hazaar Jaane Girami Fida e Naam e Ali Ali hain sher -e Khuda aur Nafs e Paigambar Ali hain shaam e aqamat Ali azaan e sahar Na meray dil main ho kis tarah ehteram e Ali Ali Imam e Manasto Manam Ghulam e Ali Hazaar Jaane Girami Fida e Naam e Ali Ali ki jaaye wiladat e Khana e Kaba Ali ka isme girami hain Ilm ka dariya Samajh sakega bhala kaun ehtesham e Ali Ali Imam e Manasto Manam Ghulam e Ali Hazaar Jaane Girami Fida e Naam e Ali

Takmeel DEEN Naam hai JASSAN e GHADEER ka, Bheja hai taj RAB ne NABI s.a.w.w ke WAZEER ka... Aao ALI a.s ke chahne walon khushi khushi, Yeh JASSAN ho raha hia JANAB e AMEER ka... Koi ALI a.s ko MOULA kahe, koi na kahe, Yeh masla azal se hai zarf-o-zameer ka... Kafir humein woh likhte hain deewar-o-dar pe ajj, Hai JIN ke DIL mein ZAKHAM abhi tak GHADEER ka... MADH e ALI a.s ka jis ko jassan mein hunar mila, Ehsan hai uss ki zaat pe rab-e-qadeer ka... Mushkil to uss ke qadmon mein khud lotne lagi, Jis ne bhi naam le liye QAMBER ke PEER ka...

Takmeel-e-Deen Ba-Daste Risalat Ghadeer main , Barpa hai aaj Jashn-e-Imamat Ghadeer main , MOLA (SAW) bana rahe hain ALI (A.S) ko Imam-e-Haq , Takmeel paa rahi hai shariyat Ghadeer main...!. *_ JASHAN-E-EID-E-GHADEER *_.

KUCH TO KAHO GADEER K KHUSH RANG MANZARON KAB KARNAMA AISA HUA HAI GADEER MAIN JASHN-E-WILA MAIN KOI TO AISA UDASS HAI JAISE KISI KA BAP MARA HU GADEER MAIN =) !

WILA KE HATH PE BEYAT NAMAZ KARTI HAI, ALI a.s WALI KI MIDHAT NAMAZ KARTI HAI, ALI a.s KA BUGHZ RAKH K PARHTA HAI JO NAMAZ, USKI SHAKL PE LANAT NAMAZ KARTI HAI!!!!!!!

shaah-e-mardaaN sher-e-yazdaaN quvvat-e-parvardigaar laa fataa illaa Ali laa saif illaa zulfiqaar

MAULA ALI(A.S) KA PYAR HaI JISKe KHAMEER MAY USKI HAR eK SAANS MEIN JASHN E GHADEER HAY LO FAISLA ZUBAAN E RISALAT SAY HO GAYA SARA JAHAN FAQEER HAY HAIDER(A.S) AMEER HAY

SAFAR TAVEEL HAI RAHEY NIAJAT CHOTI HIA, BOHAT HAI ZIKR_E ALI(A.S)AUR HAYAAT CHOTI HIA, ALI KO KAISAY MEIN MOUALA E KAINAT KAHOON, ALI(A.S)KA NAM BARA AUR KAINAT CHOTI HIA...........

Baad-e-Ghadir Ali ko Pehchana to common-sense hai Ali ko chorh ke kisi aur aur aur ko manna to non-sense hai Nabi ne jo kaha tha naqvi woh kehday tu bhi Ali Ko jo maane jannat me bas usiki entrance hai

Chamakta hai kahan aflaq per mohr-e-mubeen aisa, Kahan hoga wilayat ki anghooti mein nageena aisa, Khuda mehfooz rakhe chashm-e-bad se Husn-e-Haider ko, Bari mushkil se paya hai Nabi saww ne janasheen aisa....

ISHQE HAIDER HAI IK AJEEB NASHA, MUBTLAE SUROOR RAHTA HOON, ZINDAGI MAI KABI SHARAB NA PI, PHIR BI NASHAY MAI CHOOR RAHTA HOON....