26
ik Subah

ik Subah 03.pdf

Embed Size (px)

Citation preview

ik Subah

In tribute to the fun that we all ‘cousins & spouses’ are ..

and will always be..

This is an example of how a common canvas of a chatting app can be used to

paint a series of spontaneous shayaris one fine sunday morning .. no reason

to start no reason to end .. just free flowing contributions ..

Content created : Sunday, 2 March 2014, 9AM

Compiled : 4 March 2014

Contributions:Manjeet, Ashwin, Swati

( in order of appearance )

Design & Compilation:Ashwin

ik Subah : One Morning

Mat mere jale pe namak chidko aye ghalib,

Hum pehele hi rakh ban chuke hai.

Hum aag bujhaney waley ..

Raakh bhi maathey par

pehentey hai...

Is duniya-e-jungle me hum mehefuz

they, par afsos hum jannat-e-gulistan

me shikaar ho gaye.

Is sher se shikar hum bhi hue hai.. jannat bhi jaalim hoti hai, hum nahi jaantey ..

Aaj taqdir ne aisa din dikhlaya, hum apne

hi janaaje ka maatam manaane lage..

...........

Is sannatey mein na bujhao hamein ...

. . . . . .

Ye khamoshi toofan hai aye dost,

hawa ka jhoka nahi jo saanso me simat jaaye.

Kya khoobsurat dastak di hai is subah

ne .. woh lameh kya jisme shayari na ho ...

Aarzoo hum karte the ke aaftab ko bhi raushan kare,

magar hum to khud andhero me dube the aur jugnoo bhi

humara Sahara bane.

Hume neend thapkiya de rahi thi....kissi aahat se

aankh khuli...pata chala sheroshayari ki mehfil

gunguna rahi thi

Aaja din kuch yu nikla ke khud gazal ki neend

shayri se khuli ..

Hum kitabon me chaley ghalib ko dhoondney..

is subah ne bataya woh hamare ghar ke kono

kono mein hai

Shayri to dil me basti hai to kabhi jaam me,

kabhi ghaalib me to kabhi zuak me.

Wah kya mehfil jami hai dil o dosto ki ......

koi jaam kahi se le aaye ...to baat bane!!

Is khubsoorat kaaynat me hum sitara nahi to

ik patthar hi sahi..

Aye khuda ye tera Karishma hai jo

paimane se jaam chalak gaya aur ye teri hi kudrat hai

to aaftab ke ssaame chand jhalak gaya

Timepass Publications2014