45

Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

Embed Size (px)

DESCRIPTION

Infra-Surkh Shayars(What is Life?)Artists - Melina Dina (Melibee) :: Dr. Inayat Khan Qazi :: Mohit Sharma (Trendster)Editor – Kamlesh Sharma

Citation preview

Page 1: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)
Page 2: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

Infra-Surkh Shayars (What is Life?)

Artists - Melina Dina (Melibee) :: Dr. Inayat Khan Qazi :: Mohit Sharma (Trendster)

Editor – Kamlesh Sharma

© Freelance Talents (2013), all rights reserved.

Page 3: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

Similar to Infrared (IR), an invisible radiant energy with longer wavelengths than those of visible light, Infra-Srukh Shayars is a group of

indy poets with high abstract frequencies than those of societal norms. In this volume (Theme – Creativity without borders), three Infra Surkh

Shayars unite and take life head on (.....textually). :)

Page 4: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

Poet: Melina Dina (Melibee), USA

What is life?

Is life everything outside of mind, out of the being,

everything that you can see, or a flower at sunset?

Is life a capsule,

of pain, anguish, sadness, health, friends, family,

or the love that doesn't cease? May it be determined, lived

for the bread that arrives, or doesn't arrive at the table?

Is life an experience?

With sweets, music, culture, a painting of the essence...

a journey of the senses, and miracles of your presence?

Being, or not to be, is life a moment of patience?

So many questions in mind,

Page 5: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

of everything the people see; BUT it is felt, no?

It feels, who says the truth or lies, that it is necessary to live in the present.

[Original Spanish / Español Latino]

Que es la vida?

Es la vida todo fuera de la mente, fuera de un ser,

todo lo que puedes ver, o una flor al atardecer?

Es la vida una capsula,

de dolor, angustia, tristesa, salud, amigos, familia, o el amor que no cesa?

A de ser determinada, vivida por el pan que llega, o no llega a la mesa?

Es la vida una experiencia?

Con dulces, musica, cultura, una pintura de la essencia...

Page 6: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

un viaje de los sentidos, y milagros de tu presencia?

Ser, o no ser, es la vida un momento de paciencia?

Tantas preguntas en la mente,

de todo lo que ve la gente; PERO se siente, no?

Se siente, el que dice la verdad o miente, que es necessario vivir en el presente.

*) - Little Heart Lives in a Melody

This little heart lives in a melody, in a sad little place

but reluctant, if ever, it was found, it was found with benevolence, igniting grace in a time when it didn't believe in "forever",

always singing, always making sound

Yet, something sparked along awkward voices and lingering words, flying day and night - on wings no one ever saw! Oh, this heart

rejoices, on blossoming wishes, hoping to be met by

Page 7: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

sight

Does it fall in love with the echo of the soul, seen by the eyes,

or does it fall in love with new notes, sewn by the heart, sent by the mind?

Little heart living in a melody, forever seeking dreams and sunrise,

did you know you paint my days in starlight, quite bright and blind?

*) - Brightening Up

Somewhere in the morning embers

the night seethes a starling delight like flowers from ashes, your eyes a darling sight agonies are embracing the limbs together there

It's been a tough renewing,

the pain still living inside the marrow, and it's been quiet, so very endearing,

the whispers from the outdoors It's a day of reveling, you breathe it in,

you feel awake, and shake about.

Page 8: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

Leaves strike your brow in leaves like feathers, silence now

Lips are sealed while things do happen busy days and ultraviolet rays,

Somehow you're not really there. Yet, there is a day's music in the air,

Passersby are on their way to life itself, and you linger by a sidewalk, thinking,

always thinking. Lips perusing silent words, and as the sky is brilliant blue, searing orange,

rosy pink, and startling purple... midnight indigo,

your skin is bold, your heart is gold, your bones shiver.

And still alone, ever so alone,

Despite the nightly rain and drizzle; You are lovely, brilliant, bright,

in this starlit after-evening light.

Page 9: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

Poet: Inayat Khan Qazi (IKQZ), Pakistan

*) - Rukh

Rukh Pe Phehli Hain Zulfain Sanwaroh Ke Chand Badli Me Jhachta Nahih He Tum Yuh Aahe Ho Aa K Jaane Lage Ho

Ye Bhi Kya Dil Lagi,Dil Lagi He Tum Khuda K Liye Yuh Na Jaho

Ke Me Ne Ji Bhar K Dekha Nahih He Tum Aa K Mehfil Ko Meri Sajao

Dil Aur Kisi K liye Aise Machalta Nahih He Hum Ne Chaha Tha K Tum Maan Jaho

Kisi se Haar jana Hum Ne Seekha Nahih He Uss Ko Apni Aankhoh Me Qazi Basaho

Bin Uss K Yahah Kohi Aur Sajhta Nahih He

Hum Hain Ishq K Qahil,Muhabbat Hum Nahih Karthe

Jo kuch Bi Karthe he Phir Wo Kam Nahih Karthe Jise Chaha He Tho Usse Be Loas Hi Chaha He

Ye Wo Jazbe Hain Jinki Tijarat Hum Nahih Karthe

Khaloos e Insan K Saamne Bhich,Bhich Jhate Hain

Page 10: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

Har Kisi Ko Apni Zaat me Hum Zam Nahih Karthe Diloh Ki Hurmatoh Ki Tehreem Karethe Hain Kisi Ki Be Rukhi O Be wafai Ka Gham Nahih

Karthe Zabt e Gham Ne Khud se Be Ghana Kar Diya

Qazi Kisi Bi Baat Pe Apni Aankheh Nam Nahih

Kartheh

HUM TAKLEEF KO TAKALUF SAMAJH BHETTE

THE

ZAKHAM KHANE KO BOHAT DOST BANA BHETTE

THE

AASTENOH ME SANP PAALNA HUME LEH

DHOOBA QAZI

GAO KHA K DEKHA K KAMEENGAH ME YAAR

BHETTE THE

Har Qadam Par Dukhoh Ko Barrh Kar Gale Lagaya He

Doob Kar Beher e Karb ME Hum Aur Nikhar Jaate Hain

Naqsh Unn K Jab Bhi Ubharte Hain Yadoh Ki Dhund Me Qazi

Page 11: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

Ban K Raakh Udaas Khwaboh Ki Wo Naqsh Bikhar Jaate Hain

DUNYA HE RAWAH MAST APNI DAGAR PAR

AUR HUM HAIN KISI KI YAAD ME KHOYE

ARMAAN YE HE K BAAD E MARG QAZI

AISA THO KOI JO HUME BHI ROEYE

GHAM KI SHIDAT SE RAAT GAYE TAK JAAGTHE RAYE QAZI

DARD KO SEENEY ME CHUPA KAR AKHIR E SHAB SOA PARRE

MEHFIL K KHUSK RAKHNE KO MERE QEHQAHE LAGHTE RAHE

JAA CHUKE JAB SAB THO MERE QEHQAHE BHI ROA PARRE

Kami,Baishi,Ghaltiah Insaan Ki Fitrat Me He

Shamil

Jo Ye Raaz e Zindagi Paa Lain,Ho jaatain Hain

Kamil

Ishq Ka Safar Teh Karne Wale Sache Loag Qazi

Bhipri Moujoh Se Larr Ke Paa Lehte Hain Sahil

*) - Yaad

Page 12: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

KISI K YADOH K SAHARE JEENE ME WAQT KATT

JAATHA HE

KISI K WAHDOH K SAHARE JEENE SE DIN KATT HI

JAATA HE

RAAT JO AATHI HE THO AA K TEHER SI JAATHI

HE QAZI

KISI K CHAHAT K SAHARE SE JEEWAN KATT HI

JAATA HE

CHUPAYA LAAKH MAGAR GHAM THA US SE

BICHARRNE KA

USSE HABOOR THA MEIRE CHEHRE SE HAAL

PARRHNE KA

BOHAT KEHNA CHAHA THA,KUCH BHI NA KEH

SAKE QAZI

LEH DHOOBA ZOHAM HUME ANJAN RAHOH PE

CHARRNE KA

Ajeeb Sa Shakhs Jo Apna Habib Lagtha He

Door Ho Ke Bhi Wo Dil K Qareeb Laghta He

Page 13: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

Bas Gaya He Istarah Wo Apni Zaat Me Qazi

Usse Alag Se Jo Sochoon Ajeeb Laghta He

Urri Hey Neend Meiri,Tho Jaagtha Wo Bhi Hoga

Wasal Ka Lamha Tho He,Rawah Raig Ki Manand

Sametne Se Pehle Wo Haath Se Nikal Chuka

Hoga

Mein Us K Haath Ki Lakeeroh Pe Sabt Tha Kabhi

Bicharr Ke Mujh Se Pachtaatha Tho Wo Bhi

Hoga

Apni Zaat Mein Jistarah Tanha Reh Gaya Hoon

Mein

Faseel e Jism K Andar Akaila Wo Bhi Hogaya

Hoga

Mohabbateh Yuh Baigangi Mein Badal Jathin

Hain

Ye Baat Meiri Tarah Wo Bhi Har Pal Soachta

Page 14: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

Hoga

Kisse Khabar Thi K Aik saath Rehne Waloh Ko

Meire KHUDA Ye Zamana Bhi Dekhna Hoga

Liye Phirte Hain Nagar Nagar Judai Ka Saleeb

Qazi

Na Paya Uss ko Tou Ab Khud Ko Doondna Hoga

*) - Hawon ki Zubani

AISI HAWA CHALI K GHAROH SEY NIKAL PARREY

WO MUSSAFIR BAN K GHAROH SEY NIKAL

PARREY

NAYA,NAYA UNNEY URRNEY KA SHOAQ LEH

DOOBA

ZAMEEN KI GIRD BAN K WO ASHIAH SEY NIKAL

PARREY

TIMTAMATHEY HUWE CHAND RAAT K TAROH KI

TARAH

Page 15: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

APNEY HI KEHKASHAH SEY WO BAHIR NIKAL

PARREY

NA KARO TALAASH UNN KO DUNYA K MAILEY

MEIN

GANWAO NA WAQT K WO DASTAN SEY NIKAL

PARREY

JUDAA HAIN UNN K RAASTEY,JUDAA HEY UNN

KI SOACH

WO HUMQADAM TEREY AB KARWAN SEY NIKAL

PARREY

NA MANZILOH KA NISHAN HEY NA WAAPSI

MUMKIN QAZI

WO TEREY CHAHNE WAALEY TERI DUNYA SEY

NIKAL PARREY

PHIR YE HUWA K RAASTEY APNEY JUDAA HUWEY

ANNAPARASTI NEY KAAM KA REHNE NAHIH DIYA

SAATH,SAATH CHALTEY RAHEY PATRIOH KI

Page 16: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

TARAH SANG ZAAT K GIRD BANEY HISAAR NEY MILNEY NAHIH

DIYA

YE BHI HUWA K TOOTTHE,BIKHARTHEY RAHEY HUM

INN HASRATHOH NEY KHUL K KHILNEY NAHIH DIYA

CHAHAT,KHWAHISH AUR MOHABBAT BHI BARRI

THI BADNASIBIOH NE CHAAK-E-DIL SILNEY NAHIH

DIYA

DONOH NE PEHEL KARNEY ME ZEEST BITAA DI QAZI

NA KHUD WO KEH SAKA,NA MUJHE YE KEHNEY DIYA

APNI ZAAT KE DAIROH MEY MUQIYAD HO CHUKA THA

BAHIR NIKAL K JHANKNEY KI FURSAT HI NAHIH MILI

HUM KHO CHUKEY THEY ISS TARAH APNEY HI

Page 17: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

RAASTEY HUMEY TOU LOAT AANEY KI RUKHSAT HI NAHIH

MILI

SUNNA THA MOHABBAT KARO GEY MOHABBAT MILEY GI

MUJH KO ISS KE BADLEY MEY CHAHAT HI NAHIH MILI

DUNYA NEY APNEY BEECH DEEWAREH KHARRI

TOU KIH NA HUM HI MAR SAKEY USEY SHOARAT HI

NAHIH MILI

INN FAASLOH NEY CHAIN SEY REHNEY NAHIH DIYA

KISI BHI TAOR SAKOON KI DAULAT HI NAHIH MILI

WEHM O GUMAH SEY US NEY BADAL DAALEY

RAASTEY HUM KO KUCH BHI KEHNEY KI MAULAT HI

NAHIH MILI

SAYA PALAANG KAR USEY MANA SAKTA THA MAGAR

Page 18: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

ANNA SEY APNI HUM KO ISS KI IJAZAT HI NAHIH MILI

QAZI RAH MEY HUMEY KAI CHARA SAAZ MILEY

ZAROOR YE AUR BAAT HEY KISI SEY APNI TABIAT HI NAHI

MILI

HAR YAAD KI APNI HI KHUSHBOO HOTI HEY

JIN KEY NAQSH DIL PEY GEHREY HOTEY HAIN

SAB DILKASH RANG THEY TERI HI RAFAQAT K

WO MANZAR AANKHOH MEY TEHREY HOTEY

HAIN

SAB WEHM O GUMAN THEY,TERI HI MOHABBAT

K

ZEHN O DIL PAR TEREY JIS K PEHREY HOTEY

HAIN

MEY TAKHAIYUL MEY JO BHI KHAKEY BUNTHA

HOON

WO SAB KHAKEY TEREY HI CHEHREY HOTEY

HAIN

Page 19: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

QAZI MERI AANKHON PEY CHAI HAIN AANKEN

US KI

YADOH NEY JAISEY LAGAYEY DAIREY HOTEY

HAIN

AHSAAS NA HOH PAAS THO MUFLIS HEY WO

SHAKHS

DAULAT SEY HOTHA NAHIH KOI TAWANGAR

USEY KEHNA

USS K JAZBAAT KO KABHI TAIS THO POANCHI

HOGI

HOTHA NAHIH KHUSHI SEY KOI MUSAFAR

USSEY KEHNA

ISHQ ME USS NEY BHI KOHI CHOTT THO KHAI

HOGI

YUN BANTHA NAHIH KOHI SUKHANWAR USSEY

KEHNA

KHWAHISH BHI WAHIH AUR MANZIL BHI WAHIH

Page 20: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

HEY

RASTOH MEY BADAL JAATHEY HAIN MANZAR

USSEY KEHNA

APNOH KI MUHABBATOH SEY JO SERAAB NA

HOH WO LOAG

BARAAN K TARSEY HUWE HO JAATHE BANJAR

USSEY KEHNA

HAR ZAKHAM KI NOHIYAT AUR GEHRAI ALAG

HOTI HEY QAZI

APNEY HI BADAL LEHTEY HAIN KHANJAR USSEY

KEHNA

JO KAM GO HEY USEY MAGHROOR NA JANO

HAR DASTAN KO KISI KA HAAL E DIL NA SAMJHO

KUCH LOAG DILOH MEY BHAIR RAKHTEY HAIN

ADOO KO KISI BHI HAAL MEY GHAFIL NA

SAMJHO

YE SAB LOAG WO NAHIH JO NAZAR AATHE HAIN

Page 21: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

HAR BEHROPIYE KO MARD E KAMIL NA SAMJHO

BIPHRI MOUJO SEY LARRNA ASAN NAHIH HOTA

THAK KAR JAHAH UTHRO USEY SAHIL NA

SAMJHO

NAZAR RAKHO APNI AASMAN KI WUSAATOH

PAR

SAFAR K PAIRRAO KO KABHI MANZIL NA

SAMJHO

QAZI KO TAHALUQ BANANEY MEY DAIR LAGHTI

HEY

WO MUKHLIS DOONDTHA HEY USEY KAHIL NA

SAMJHO

DAYAAR E GHAIR SEY HUM PALATT AATAY

TUM GAR DIL SEY HUMAY SADAA DEHTAY

AGAR TUM NAY ROAK LIYA HOTA MAN SEY

DOOR HO K KHUD KO NA GANWA DEHTAY

AAS HOTI AGAR KISI KI CHAHAT KI QAZI

HUM SAB KUCH USS PAR LUTTA DEHTAY

Page 22: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

GUZRAY HALAAT KA KISI SEY HISAAB KYA LEHTAY

HIJAR KI SAHATON KA KISI SEY JAWAB KYA LEHTAY

HUM BATHA NA SAKEN,NA WO SAMAJH PAYEN QAZI

BE HUNARON SEY HUM BAWAFA KA KHITAAB KYA LEHTAY

HAWA MIZAAJ SAHIH SEENAY MEIN AAG

RAKTAY HAIN

PAS E MISHGAAN BOHAT SEY KHWAAB

RAKHTAY HAIN

INAA PARAST THAY YUN GHUTT K FANA

HOGAYE QAZI

KHULI KITAAB MEIN CHAND KUFIA BAAB

RAKHTAY HAIN

GARDASHEN JIN SEY TAKALUF NAHIH KIYA KARTHEEN

UNN KI HALAT BHI MERI AANKHON HI JAISI HOGI

KYUN POOCHTAY HAIN LOAG MUJH SEY RONAY KA SABAB QAZI

RO PARRA HOON TOU KOI BAAT HI AISI HOGI

Page 23: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

*) - Zikr

ZIKR JAB BHI CHALA AAYA SAR E MEHFIL UNN

KA

APNAY GHAM KO HANSI MEY CHUPA DEHTAY

HAIN

SHAB E GHAM KI TANHAI MEY BE IKHTIYAR

QAZI

ASHK ANKHON K APNA QARZ CHUKA DEHTAY

HAIN

Raith Pey Likhey Huwe Naam Mitt Jaatay Hain

Dil Pey Likhey Huwe Naam Par Mitthay Nahih

Aas Qaim Ho Tou Saansen Chalti Rehti Hain

Jism K Mar Jaanay Sey Insaan Martay Nahih

Qazi Unn Loagon Ko Bhool Jaana Behtar Hai

Jo Loag Jo Kuch Kehta Hain Wo Kartay Nahih

SULAGHTAY LAMHON KO MUTTHI MEY DABA RAKHA HAI

KHUDI KO HADF E SITAM HUM NEY BANA RAKHA HAI

Page 24: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

USS KO FURSAT HI KAHAN JO MERAY AANSOO

POONCHAY WO JIS KI PARCHAIYON KO SEENAY SEY LAGA

RAKHA HAI

WO MERI AANKH K DARYA MEY UTTAR KAR DEKHAY

KITNAY TOOFANON KO AANKHON MEY CHUPA RAKHA HAI

BE EHTENAI KI SHIKAYAT WO KAR RAHA HAI

QAZI JIS KO AANSOO KI TARAH CHASHM E TAR MEY

RAKHA HAI

Aisa Nahih K Unn Sey Mohabbat Nahih Rahi

Be Chain,Be Taab Rehnay Ki Aadat Nahih Rahi

Aik Roz Ka Rona Ho Tou Ro Kar Guzaar Len

Har Roz Jeenay,Marnay Ki Sakat Nahih Rahi

Basti Jo Apni Duur Basa Kar chalay Gayen

Ab Yaad e Raftagaan Ki Himmat Nahih Rahi

Page 25: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

Khwahish Tou Hai Zaroor K Wo Loat K Aaye

Shayed Usay Hi Milney Ki Chahat Nahih Rahi

Har Shakhs Yahan Zar Ka Talabgaar Nazar aaya

Khaloos Ki Dunya Mey Wo Qeemat Nahih Rahi

Jis Ko Meri Rafaqat Pey Barra Maan Tha Qazi

Ab Uski Talab Mey Bhi Wo Shidat Nahih Rahi

Pyaar Mein Do dil Mil Kar Qareeb Hotay Hain

Sachay Ashiq Aik Doosray K Habib Hotay Hain

Meray Dost Mohabbat Kartay/Bhantthay Rehna

Pyaar Karnay Walay Khushnaseeb Hotay Hain

Kyun Hum Ghalat Andaaz Mein Sochtay Hain

Qazi

Jazbon Walay Tou Masiya Aur Tabeeb Hotay

Hain

Mohabbat K Hathon Se Wo Shakhs Yun Maara

Gaya

Page 26: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

Raqeebon Ki Nafraton K Jo Saaray Waar Sey

Gaya

Sunna Hai Wo Sachay Khaloos Ka Talabgar Tha

Qazi

Shayed Isi Liye Wo Dunya Mey Tanha Ho K Reh

Gaya

Dard Ki Tarah Wo Merey Dil Mey Teher Gaya

Hai Aisa Laghta Hai K Ab Dil Bhi Mera Mar Gaya Hai Uss Ko Sochoon Ya Usay Bhool Hi Jahoon Qazi

Aik Shakhs Jo Jeena Mera Dushwar Kar Gaya Hai

*) - Ahsaas

AHSAAS NA HOH PAAS THO MUFLIS HEY WO

SHAKHS

ZAR SEY NAHIH HOTHA KOI TAWANGAR USEY

KEHNA (Zar means wealth & Tawangar means

Rich)

KISI KI CHAHAT NEY USAY MAJBOOR KAR DIYA

HOGA

Page 27: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

KHUSHI SEY NAHI HOTHA KOI MUSAFAR USSEY

KEHNA

USS K DIL PAR BHI KOI ISHQ MEY TOU GUZRI

HOGI

BANTHA NAHIH YUNHI KOI SUKHANWAR USSEY

KEHNA

KHWAHISH BHI WAHIH THI AUR MANZIL BHI

WAHIH HEY

RASTOH MEY BADAL JAATHEY HAIN MANZAR

USSEY KEHNA

CHAHNA,TAWAJO AUR MOHABBAT HI SAR SABZ

RAKHTI HAI

PYAR K TARSEY HUWE HO JAATHE BANJAR

USSEY KEHNA

ZAKHMON KI NOHIYAT AUR GEHRAI ALAG HOTI

HEY QAZI

APNEY HI BADAL LEHTEY HAIN KHANJAR USSEY

KEHNA

Page 28: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

Wo Is Tarah Sey Mujhey Hairaan Kar dehta Hai Kabhi Sairaab Tou Kabhi Veeran Kar dehta Hai

Meray Yaar Ki Har Adaa Hai Uss ki Tarah ajeeb Hijr O Wasl Donon Mey Pareshaan Kar Dehta

Hai

Duur Hoon Tou Wo Milnay Ka Gilla Karta Hai Qurbat Mey Wo Faaslay Darmiyan Kar Dehta

Hai

Khata Uski Ko Bhi Mey Jurm Ki Tarah Bhugtun Qazi

Zindagi Meray Liye Aksar Imtehan Kar Dehta Hai

Daali Pairr Sey Gir Kar Sookh K Mar jaati Hai

Mey Banjar Ho Raha hoon Tum Shadaab Kar Do

Kab Tak Teri Ye Mohabbat Dhaan Maangey Gi

Barbaadi Sey Bacha Kar Mujhe Abaad Kar Do

Hijr Ka Gham Doorian Muqadar Kar Gaya Hai

Yaden Cheen Kar Apni Mujhe Tum Shaad Kar Do

Page 29: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

Teri Qaid Mey Bohat Roz Raha Mera Wajood

Meri Rehahai Ka Ab Hukm Tum Saad Kar Do

Mohabbat Meray Liye Ab Bohj Ban Gai Hai Qazi

Mujhey Apni Mohabbat sey Tum Azaad Kar Do

*) - Masroof-Mehroof

ABHI MASROOF HOGAY TUM APNI NAI URRAN

MEY SHAYED

KABHI FURSAT MEY SOCHO TOU TUMHEY WO

YAAD AAYE GA

NAHIH MAR JAYEGA TANHA MAGAR TOOT

JAYEGA WO QAZI

JISEY TUM CHORR GAYE TANHA TUMHEY WO

YAAD AAYE GA

WO MUJH MEY BAS K DIL MEY SAMAA KAR CHALA GAYA

Page 30: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

KHWABEEDA KHWAHISHON KO JAGA KAR CHALA GAYA

BICHRRA WO ISS TARAN SEY K PATAH BHI NAHIH DIYA

QAZI WO HUM KO HUM SEY CHURRA KAR CHALA GAYA

QAZI DIL MEY YADON NEY DERAY SEY LAGA

RAKHAY HAIN

ISS LIYE SHAAM SEY HI DIYE HUM NEY BHUJA

RAKHAY HAIN

Jis Sey Mil K Bhi Hum Bicharr Gaye Hijr Mey Toott K Hum Bikhar Gaye Wo Jis Sey Mujh Ko Ishq Tha Qazi Usi K Pyar Mey Hum Nikhar Gaye

Dhoop Nikli Hai Barf Iss Liye Pigli Hai

Dil Sulga Hai Tou AA Iss Liye Nikli Hai

Wo Jo Meri Zaat Mey Shamil Hai Qazi

Uss K Janay Sey Jan Iss Liye Nikli Hai

Ehl E Wafa Hi Is Tarah Sey Girtay Hain Ishq Mey

Girto Ko Thaam Kar Khud Bikhartay Hain Ishq

Page 31: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

Mey

Mohabbat Mey Khud Ki Nafi Karna Sharth Hai

Qazi

Dil Walay Fana Ho Kar Hi Nikhartay Hain Ishq

Mey

Khoon IsliyeAankhon Mey Nazar Aaya hoga

Dard Dil Ka Aankhon Mey Uttar Aaya Hoga

Uktaya Ulja Sa Bechain Nazar Aata Hai Qazi

Koi Aks Uski Aankhon Mey Ubhar Aaya Hoga

DIL K BEHLANAY KO SOACHTA HOON K TU

MERA NAHIH

CHEEKH AATI HAI ANDAR SEY,AISA TOU HARGIZ

NAHIH

QAZI KAB NIKALTA HAI KOI DIL MEY BAS JANAY

K BAAD

ISS GALI KI DOOSRI TARAF SEY AUR KOI RASTA

NAHI

Page 32: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

Poet: Mohit Sharma (Trendster), India

Page 33: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

*) - Aaj phir us dar se lautna hua….

Ek Raah mujrim tang thi,

Do musafiron ka saath chalna hua,

Ek pyaar betarteeb yun…

Kitne shikven aur ek muflis shukriya,

Aaj phir us dar se Lautna hua !

Koshish rahegi umr bhar,

Ek naam par nikle dua…

Jin kamro mey Tanhaai thi,

Wahin yaadon se milna hua..

Aaj phir us dar se lautna hua !

Jo vaayda aankhon mey hua,

Veeranon mein Armaano ka majma laga

Parda naa hone ka malaal unhe,

Jab shafaaq-O-shabhnam thi darmiyaa,

Aaj phir us dar se lautna hua !

Khudgarz kab patjhad laga,

Saawan kasam dene laga…

Ek khwaab dil ke kareeb tha,

Khwaishon mein jo shaheed hua…

Tab himmat se haara karte the…

Ab kismet se haare jua…

Aaj phir us dar se lautna hua !

Page 34: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

Jiske shafugta hone par jashn tha,

Jaane kahan wo gum hua,

Jinse rooh wabasta thi,

Kis mod wo Tanha hua,

Aaj phir us dar se lautna hua….

*) - "Amara Last Wish Poora ho Gaya!"

(November 2007)

*Poem written in Hindi-Parsi accent.*

Linda Kursiwala Goa mey rehti thi jinke pati

kai saal pehle mar chuke thay unka sahara

tha unka beta Victor Kursiwala. Par 6

mahine pehle hi Victor bhi achanak gayab ho

gaya......koi kehta tha ki wo bhi mar gaya, koi

kehta tha ki pagal ho gaya, koi kehta tha ki

wo kisi aur jagah reh raha hai.....logo ki

baatein khatm nahi hoti thi.....par Linda

Kursiwala jinhe sab Linda Aunty kay naam

se jaante hai jis kisi se bhi milti thi usko bas

yahi kahani sunati thi.

Page 35: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

Aye hai uska Photo,

Amara Victor jidhar ko bhi chalta,

Girls pagalo ki maafik usko dekhne ko nikalta.

Handsome, joshila ni dimaag se thoda sa sick,

Ditto uske pappa ki maafik.

Childhood se hi tha O sayana,

Pappa ki death kay baad se,

Har zimmedari ko usne khud hi sambhala.

Amara chhota bakery ko saara din deta,

Bacha hua time mey colony mey Tutions leta.

Amare ko karta itna pyaar,

Roz itna saara kiss leta aur kehta,

"Utar raha hun aapke diye pyaar ka udhaar."

Page 36: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

Peechla Christmas mayne usse itna rooka par,

Tab ko bhi bada restaurant mey amara saath kiya

O Dinner.

May poocha ->

"Tere ko girlfriend nahi hai kya ?

ya tere ke dimaag mey bhar gaya hai gobar."

O Bola ->

"Jab sabse beautiful aurat humare saath hai,

tab Goa ki saari ladkiyaan gayi hai mere liye

mar."

Dheekra, Naa jaane kab thakta,

Itna saara saal Late night tak kuch naa kuch

likhta.

Usme koi jaadu tha,

uska prose aur poetry par to saara locals fida tha.

Page 37: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

1 baar usne apne saare notes aur work ko 1

publisher ko diya,

Unko padhkar publisher uss sab ko print kar

Victor ko bahut paisa dene ka promise kiya.

Victor O day khushi se bola,

"Ab saari mushkilein door ho jaayengi,

Aapko har wo cheez milegi jo aap chahengi."

Usko tease karne kay vaaste may bola,

"Amara wish list bahut lamba hai tum nahi

jaanta,

Abhi kay liye amko Gao mey bada sa mansion

maangta."

O bola,

Page 38: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

"Bas, jaan bhi de deta agar aap wo

bhi.....'maangta'."

1 din O bahut upset hokar ghar aaya,

Apna saath bahut books laaya.

About dozen books amko thama diya,

Rotay huey bola...uske saalo kay work par kisi

aur nay fame aur profit kama liya.

Apna head pakadkar O idhar-udhar bhaga,

Itna helpless maine kabhi nahi dekha apna Baba.

Printing Mistake hoega bolke usse console kiya,

Phir publisher se baat karne kay vaaste chala

gaya.

Tabi se six month honay ko aaya,

Abi tak O waapas nahi aaya.

Page 39: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

O faaltu ka pain liya,

Am to jaanta hai saara mehnat usne kiya.

O dheekra itna bhi nahi jaanta,

USKA MAMA KO KOI WISH NAHI BAS

APNA VICTOR WAAPAS MAANGTA!!

Mayra last wish mere ko do dila,

Amare son se amko do mila.

Bete ki waapsi ki raah dekhti Linda

Kursiwala ki maansik haalat bigadti gayi aur

aakhirkar unhe sarkari maansik aspatal mey

bharti karvaya gaya. Unhe Ward Number 14

mey jagah di gayi aur sanyog se unki 'last

wish' poori ho gayi kyoki Ward Number 13

unka beta Victor bharti tha. Ye dono wards

lohay ki jaali se vibhajit thay. Aaj bhi Maa

Bete jaali se chipak kar har waqt Ek doosre

se baat karte rehte hai......aur jo koi bhi inn

wards kay paas unn dono ki baatein sunkar

thodi dair thithak jaata hai wo apne aansu

rook nahi paata hai.

Page 40: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

*) - "...Aur Humney Usko Patharon se

Maara!"

(September 2007)

"Hello, Agra Fire Service Station."

"Hello....Yahan....Shahganj elake mey Transit

building mey aag lag gayi hai, jaldi Fire Van

bhejiye."

Siren bajati aage badh rahi thi Fire Van,

Har guzarte pal kay saath lutt raha tha usme

baithe Vikal ka chainn.

Transit Building waalo par jaise grahan lag tha

gaya,

Unki umeed ka akmatr sahara traffic jam mey

tha fasa.

Vyakul Vikal sadak par utar aaya,

Chillakar usne raasta banana chaha,

Page 41: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

Par badkismati kisi ko raasta nahi deti,

Itni si baat wo bechara samajh nahi paaya.

Aakhir Van ko raasta mila,

Apni manzil par pahunchne par Vikal aur uske

saathiyo ko mila unki kosisho ka sila.

Par ye santosh kay pal tham gaye thay,

Fire Van par aakroshit bheed kay pathar pad

rahe thay.

Vikal nay yeh khoon ka ghoont bhi piya,

'Madadgaaro' ko hi niyati ka pathar aisa laga,

Bahar kay zakhmo ki chinta kise thi,

Dard to andar lagi chot nay diya.

Aakhirkar, Transit Building ki cheekho nay,

Bheed kay patharo ko rook liya.

Page 42: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

Doosro kay liye bhool gaye ye Vardiwaale apne

zakhmo se hui pareshaani,

Transit Building par ab baras raha tha paani,

Kuch dair ko aisa laga jaise iss paani se jald dhul

jayege saare gam,

Par bereham takdeer nay phir dhaaya sitam,

Fire Van ka paani ho gaya khatm.

Aur Madad aane mey abhi samay lagta,

Par logo ko jalta hua Vikal kaise dekhta,

Building ki aur badhte huey Vikal par Pathar,

gaaliya aur taane baras rahe thay,

Vikal kay haath andaar fhasey logo ko bachane

ko taras rahe thay.

Vikal kay sahaas nay saathiyo mey josh bhar

diya,

Page 43: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

Kuch hi dair mey inn jabaazo nay lagbhag sabhi

logo ko bacha liya.

Aag phir se bheeshan ho rahi thi,

Tabhi bheed mey se aawaz aayi ->

"Meri bachchi yahan hai nahi,

kahin wo andar to nahi reh gayi."

Wahan maujood itney logo mey jaise ye vakya

sirf Vikal kay kaano mey pada,

Badhavaas sa wo phir building ki taraf daud

pada.

Uff.....Pad gaya manhoosiyet ka saaya,

Phir Transit building se koi bahar nahi aaya.

Page 44: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

Kisi nay bhi ummeed chhodi nahi,

Intezaar mey sabki aankhein pathar ban gayi.

Aur tab to sabki zubaan jaise sil hi gayi,

Jis bachchi kay liye Vikal andaar gaya tha wo

bheed mey hi mil gayi.

Thodi dair baad ->

"Hello.....Sir, Aag par kabu paa liya gaya

hai.Iss ghatna mey koi nagrik nahi maara

gaya hai."

"Nagrik......so, you mean kya koi Fire

Constable maara gaya hai?"

"Nahi sir....aapne galat kaha.......

Page 45: Infra-Surkh Shayars (Freelance Talents)

EK FIRE CONSTABLE SHAHEED HO

GAYA HAI!!!!"