35
NAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: SAURABH VORA Before I start: Namami sharda devi Vidhyarambhe sumanglam Narastasya prasaden Pandityam labhte sada... Hey sharda maa vidhya ki suruwat karne se pehle main aap ko naman karta hu. Namuthunam Sutra Aao sab mil k ye sutra ka parichay karte hai Veer stav ka matlab hai veer ki prathna Pukkhvar sutra ko shrut stav bhi kehte hai aur iss ka matlab hai shrut (gyan) ki prathna Loggasa sutra ko naam stav kehte hai aur uss ka matlab hai prabhu k naam ki prathna Namuthunam sutra ko shakra stav kehte hai. Shakra matlab indra. Lekin shakra stav ka matlab indra ki prathna ye nahi hota Shakra stav ka matlab hota hai indra dwara ki gayi bhagwan ki prathna Har sutra main jis ki prathna karni ho us ka naam rehta hai. Eg. Veer stav ~ veer ki prathna Naam stav~ bhagwan k naam ki prathna Lekin indra ki uttam bhakti ko dekh k indra ne banaye hue iss sutra ko indra ka naam diya gaya hai Prabhu ko vandan karne k liye indra maharaj thode dur aage badh k bhav purvak prabhu ki prathna karte hai " hey prabhu bhale hi aap yaha se dur ho Yaha toh mastak jamin pe hai aur mann k bhaav aakash se bhi upar" Ek baat jarur hai k iss chhote se namuthunam sutra main arihant bhagwan ki adbhut chemistry haiNamuthunam ka matlab hota hai NAMO Aur namuthunam ka antim shabd hai vandami Ye dono shabd k beech main arihant k liye 35 se jyada gun vaachak naam (name vch indicate gun) Jaise k dekh lo k arihant bhagwan ka pura bio-data Aacharya haribhadra suri ne likhe hue granth lalit vistara main namuthunam ke har ek shabd ko samjaya gaya hai. Namuthunam bolna matlab prabhu ko pehchanna Prabhu kya hai us ki samaj matlab namuthunam Prem ya toh fir darr ye dono ka utpann hone ka sthal (place) hai parichay Eg. Koi ek vyakti hai uss ko dekh k darr nahi lagta lekin agar patta chal jaye ke woh vyakti khunkhar khuni hai (us ka parichay ho jaye) toh us ko dekh ke darr lagta hai Theek issi tarah prem ki utppati bhi parichay se hi hoti hai iss ka matlab parichay bahot jaruri hai Jab hum chaitya vandan karte hai us ka kram (order) kitna sundar hai Pehle jankichi sutra aata hai.

NAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: …xa.yimg.com/kq/groups/274593/81112391/name/NAMUTHHUNAM.pdfNAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: SAURABH VORA Before I start: Namami sharda devi Vidhyarambhe

Embed Size (px)

Citation preview

Page 1: NAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: …xa.yimg.com/kq/groups/274593/81112391/name/NAMUTHHUNAM.pdfNAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: SAURABH VORA Before I start: Namami sharda devi Vidhyarambhe

NAMUTHUNNAM WORD BY WORD

AUTHOR: SAURABH VORA

Before I start:

Namami sharda devi

Vidhyarambhe sumanglam

Narastasya prasaden

Pandityam labhte sada...

Hey sharda maa vidhya ki suruwat karne se pehle main aap ko naman karta hu.

Namuthunam Sutra

Aao sab mil k ye sutra ka parichay karte hai

Veer stav ka matlab hai veer ki prathna

Pukkhvar sutra ko shrut stav bhi kehte hai aur iss ka matlab hai shrut (gyan) ki prathna

Loggasa sutra ko naam stav kehte hai aur uss ka matlab hai prabhu k naam ki prathna

Namuthunam sutra ko shakra stav kehte hai.

Shakra matlab indra.

Lekin shakra stav ka matlab indra ki prathna ye nahi hota

Shakra stav ka matlab hota hai indra dwara ki gayi bhagwan ki prathna

Har sutra main jis ki prathna karni ho us ka naam rehta hai.

Eg. Veer stav ~ veer ki prathna

Naam stav~ bhagwan k naam ki prathna

Lekin indra ki uttam bhakti ko dekh k indra ne banaye hue iss sutra ko indra ka naam

diya gaya hai

Prabhu ko vandan karne k liye indra maharaj thode dur aage badh k bhav purvak

prabhu ki prathna karte hai

" hey prabhu bhale hi aap yaha se dur ho

Yaha toh mastak jamin pe hai aur mann k bhaav aakash se bhi upar"

Ek baat jarur hai k iss chhote se namuthunam sutra main arihant bhagwan ki adbhut

chemistry hai…

Namuthunam ka matlab hota hai NAMO

Aur namuthunam ka antim shabd hai vandami

Ye dono shabd k beech main arihant k liye 35 se jyada gun vaachak naam (name vch

indicate gun)

Jaise k dekh lo k arihant bhagwan ka pura bio-data

Aacharya haribhadra suri ne likhe hue granth lalit vistara main namuthunam ke har ek

shabd ko samjaya gaya hai.

Namuthunam bolna matlab prabhu ko pehchanna

Prabhu kya hai us ki samaj matlab namuthunam

Prem ya toh fir darr ye dono ka utpann hone ka sthal (place) hai parichay

Eg. Koi ek vyakti hai uss ko dekh k darr nahi lagta lekin agar patta chal jaye ke woh

vyakti khunkhar khuni hai (us ka parichay ho jaye) toh us ko dekh ke darr lagta hai

Theek issi tarah prem ki utppati bhi parichay se hi hoti hai

iss ka matlab parichay bahot jaruri hai

Jab hum chaitya vandan karte hai us ka kram (order) kitna sundar hai

Pehle jankichi sutra aata hai.

Page 2: NAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: …xa.yimg.com/kq/groups/274593/81112391/name/NAMUTHHUNAM.pdfNAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: SAURABH VORA Before I start: Namami sharda devi Vidhyarambhe

Baad main namuthunam sutra aur us k baad javanti sutra

Jankichi sutra ka bhaav hai k parmatma ki sabhi pratima ko vandan

Javanti sutra ka bhi matlab hota hai prabhu ki vandana

Eg: maan lo koi raaste pe mil gaya us ko chhoti sa smit (smile) diya. Baad main wo aadmi

ne apna parichay diya aur patta chala k iss ko toh hum achhe se jante hai. Baad main fir

se kabhi wo aadmi mil jaye toh ye samay pe diya gaya smit pehle wale se badda hoga

Theek issi tarah jankichi main prabhu ko vandan kiya hai.

Baad main namuthunam main prabhu ka parichay hai

Aur us k baad javanti sutra main prabhu ko fir se vandan.

Lekin ab javanti sutra main jo vandan hoga uss main uttam bhaav hona chahiye kyunki

namuthunam sutra main prabhu ka parichay ho gaya hai.

Toh aao hum sab mil k namuthunam sutra dwara prabhu ka parichay karne ki ek chhoti

si koshish karte hai..

Har ek shabd main shubh bhaav bhara hua hai. Jaise ki koi fulo se bhara hua baag. Aur

maan lo k fulo se bhare hue baag main se agar nikle aur us ki suwaas hi na le paye ye

kaise chalega??

Kisi ne sach kaha hai k

"Karta rahunga main har vruksha k saath pehchan

Aise hi jangal k bahar jana nahi muje"

NAMUTHUNNAM

Namuthunnam ka matlab hota hai NAMO.

vinay (let go of ego) ye shashan ka mul hai. Vinay hoga toh vijay hoga.

Namo matlab moh maya aur mamatva ka tyag.

Mantradhiraj (mantro k raja) shri navkar mahamantra k 68 akshar main 10 akshar ki

jagah "namo" ko di gayi hai (total 5 times namo)

Iss ka matlab hai pure navkar mantra ka 14.70% hissa namo ko diya gaya hai.

Jaise koi bhi surgery karwane se pehle sharir ka sugar level normal hona jaruri hai waise

hi parmatma ko milne se pehle apna ego level normal hona jaruri hai.

Prabhu k aur apne milan main AHANKAR beech main aa jata hai.

Ahankaar ka janam ek chhote se shabd se hota hai aur wo shabd hai "MAIN (me)"

Main ye kar sakta hu

Main wo karunga

Ye sab ahankaar utpann karta hai

Aur NAMO shabd ahankaar ka naash karta hai. "Main" ek aisa virus hai jo aatma ka

programming fail kar deta hai. Koi bhi website pe apna account open karna hai toh

password jaruri hota hai.

Theek ussi tarah agar prabhu milan ka password hai "NAMO".

Koi bhi cheej ko agar upar ki taraf feka jaaye toh wo wapis jamin pe aati hai.

Kabhi socha hai aisa kyu hota hai??

Kyunki pruthvi main gurutvakarshan bal (gravitational force) raha hai jo cheej ko wapis

apni aur khichta hai.

Theek ussi tarah jab tak apne aatma pe AHANKAAR naam ka gurutva karshan bal hai

tab tak ye AHANKAR aatma ko uppar ki aur nahi jane deta (aatma ki pragati nahi hoti)

Page 3: NAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: …xa.yimg.com/kq/groups/274593/81112391/name/NAMUTHHUNAM.pdfNAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: SAURABH VORA Before I start: Namami sharda devi Vidhyarambhe

Prabhu kaise milte hai ye janne k liye ek chhoti si kalpanik (imaginary) katha hai.

Ek aadmi tha. Us ko dhun lagi k prabhu ko milna hai. Sab ko wo puchta k prabhu kaise

milenge. Sab log usko pagal samajne lage. Ek din ek sant ko us ne pucha k "prabhu kaise

milenge?"

Sant bole kal aana aur saath main koi tuccha (very cheap) cheej le aana.

Wo aadmi ne toh dusre din gaay (cow) ko saath liya. Gaay boli "maa ka doodh toh 2 saal

piya hoga lekin puri duniya hamara doodh piti hai. Gaay kaise tuccha ho sakti hai?"

Gaay se maafi mang k wo aadmi ne ek tinkha uthaya. Tinkha bola "gaay muje kha kar

sab karti hai. Hum tuje tuccha kaise lage?"

Aadmi ne tinkhe se maafi mangi aur ek mutthi dhul uthayi. Dhul boli "ye vruksha aur

tinkhe (grass) meri wajah se jinda hai"

Aadmi ne dhul bhi wapis rakh di aur dhul se maafi mang li.

Ant (end) main wo aadmi sant k paas gaya aur bola k "main hi sab se badda tuccha (very

cheap) hu.

Sant bole "ab tuje jarur bhagwan milenge"

"Sab main kuch hai lekin mere main kuch nahi hai" ye bhav prabhu ki sachi pehchan

karata hai.

"FEELING OF EMPTINESS" prabhu ki pehchan karwati hai.

Prabhu ko milne k lye shunyata (zeroism) jaruri hai. NAMUTHUNAM shabd bolte waqt

shunyata ka bhav hona chahiye kyunki namuthunam shabd k baad har shabd main

prabhu ki pehchan hai aur nayi pehchan banane se pehle ek baar puri tarah se khali ho

jana jaruri hai. (Feeling of emptiness)

Har city ka STD code 0 se suru hota hai. Iss ka matlab agar dur kisi se baat karni hai toh

aage 0 lagao. Theek issi tarah prabhu se milan karna ho toh pehle shunyata (zeroism)

jaruri hai. Namuthunam matlab shunyata ka saakshatkaar...

Kitna sundar shabd hai "NAMUTHUNAM" (NAMOSTU).

Namostu ka matlab hai "namaskaar ho" (eg. Namostu vardhmanay~ vardhman ko

namaskaar ho)

Yaha pe "main namaskar karta hu" ki jagah "mera namaskar ho" ye shabd prayog kiya

hai. Kyunki "main namaskar karta hu" ye kahin na kahin pe ahankaar lata hai.

Sanskrit vyakran (grammer) ka bahot sundar niyam hai

Jis ko kuch dena ho us ko 4th vibhakti (visrag) lagti hai.

Eg: mahaviray nam: (: is visrag & v pronouce it as 'h')

That means Mahaviray namah

Ye namuthunam (namostu) shabd bolte hi pura sharir romanchit ho jana chahiye, aage

jaane se pehle apne aap jaban ruk jani chahiye aur aankho se aansu ki dhara behni

chahiye.

Namuthunam sutra dwara Prabhu ki pehchaan karne nikle hai toh ye sutra k pratham

akshar 'namuthunam' dwara hi apne ahankaar ka naash kar k aage badhte hai toh

prabhu jarur milenge.

Aur ant (end) main prabhu se bas ek chhoti si prathana....

"HEY PRABHU MUJE APNI PRASHANSHA BAHOT PASAND HAI, HAR JAGAH

PE MUJE HI AHEMIYAT MILE WO MERI ICHHA HAI, PURI DUNIYA SHESH AUR

MAIN VISHESH YE BHAV MERE MAIN CHUPA HUA HAI, MERE SE KOI AAGE

Page 4: NAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: …xa.yimg.com/kq/groups/274593/81112391/name/NAMUTHHUNAM.pdfNAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: SAURABH VORA Before I start: Namami sharda devi Vidhyarambhe

NIKAL JAYE WO MUJE PASAND NAHI, MERI CHHOTI SI KOI EK ACHHI BAAT

KA MUJE BAHOT ABHIMAN HAI, MERI CHHOTI SI SAFALTA KA MUJE

AHANKAAR HAI, HEY PRABHU MUJE SHUNYATA SE BHAR DO. JAB TAK MUJE

APNA KHUD KA PAGALPAN HAI MUJE AAP KA PAGALPAN KAHA SE

MILEGA??? HEY PRABHU MUJE AAP KA PAGALPAN CHAHIYE, AUR YE PRAPT

KARNE K LIYE MUJE SHAKTI DO.

ARIHANTANAM

aham (ego~ahankaar) aur arham ye dono shabd k beech main sirf ek 'r' ka farak hai.

Mantra Shashtro main 'r' ko agni mana gaya hai.aham ko jalane nikli huyi agni matlab

arham.

Kisi ne khub majjedaar kaha hai

Aham re aham kab hoga tera naash

Baad main jo baaki rahega wo sirf Avinaash (god).

Ek shilpi (one who create murti) se pucha gaya k tune itni sundar bhagwan ki pratima

kaise banayi?

Uss ne bahot sundar jawab diya "prabhu toh pehle se ye pathhar main the, wo toh jitna

nahi chahiye tha (unwanted) utna pathhar tod diya. Kaisi sundar baat "baaki reh gaya wo

avinaash"

Prabhuta kahin bahar se la k install nahi karni hai lekin wo andar hi hoti hai. Aatma k

kharab bhaav ko dur karo aur andar ki prabhuta pragat hoti hai. Hum sab krodh moh

maya jaise kharab bhav ko apne aatma par chadne dete hai aur issi liye apni saamne jo

prabhu hai wo apne aatma main kahin najar nahi aata.

Mann k ye bhavo pe kaabu (control) laaye bina prabhu milne asambhav hai. Aur hum

logo ki sab se baddi duvidha ye hai k hum apne dosh (kharab bhav) k siwa har kisi se

zagda karte hai.

Hum log ko zagda apne krodh moh maya wo sab k saamne karna hai.

THE SIZE OF A MAN CAN BE MEASURED BY THE SIZE OF THE THING THAT

MAKES HIM ANGRY.

Koi bhi jeet ki kimmat wo kis k saamne mili hai uss par rehti hai. Apne se weak shatru k

saamne jeet milne main uss ka itna mahatva nahi hota ya toh fir apne se weak k saamne

ladaai karna hi galat baat hoti hai.

it is very well said that IF YOU WANT TO WIN THE WAR, LOOSE THE BATTLE.

Chhote logo se jeet k samrat nahi ban sakte uss k liye badde logo se jeet haansil karni

padti hai aur krodh moh maya ye sab se badde dushman koi nahi hai.

Prabhu k jeevan ki yahi khas baat hai k unho ne apni shakti bahar k shatru k saamne

nahi lekin andar k shatru k saamne kaam pe lagayi thi.

Tirthankar bhagwan k liye bahot shabd hai lekin ARIHANT sab ka pyaara shabd hai.

Navkar mantra main bhi arihant shabd ka prayog hua hai.

Arihantanam shabd bolte hi "ek yodhha k swarup main prabhu ki kalpana karni hai jis

ne apne saare aantrik shatru ka naash kiya hai".

Arihantanam shabd bahu vachan (plural) hai. Aaj tak anant arihant ho gaye hai. Aur

aage anant arihant honge.

Page 5: NAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: …xa.yimg.com/kq/groups/274593/81112391/name/NAMUTHHUNAM.pdfNAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: SAURABH VORA Before I start: Namami sharda devi Vidhyarambhe

Arihantanam bolte hi mann main bhav hona chahiye " jeev main se shiv banne ka, raagi

se vitraagi banne ka, pathhar se parmatma banne ka, danav main se dev banne ka aur dev

main se devadhidev banne ka"

Toh chalo sab mil k arihant ka naam le k antar aatma k ashubh karmo ka naash karne

ka ek chhota sa prayash (try) karte hai. Prabhu ne jis tarah se apne aantrik shatru ka

naash kiya theek ussi tarah hum bhi apne shatru ka naash karne ka sankalp karte hai.

Jab raasta patta nahi ho toh koi aage gaye hue insaan k kadmo k nishan bhi mil jaye toh

mann ko shata milti hai. Kisi ne bahot sundar gaya hai " hum ko raasto ki jarurat nahi

hai, hum ko tere kadamo k nishaan mil gaye hai"

Toh chalo sab mil k arihant ka naam le k antar aatma k ashubh karmo ka naash karne

ka ek chhota sa prayas (try) karte hai. Prabhu ne jis tarah se apne aantrik shatru ka

naash kiya theek ussi tarah hum bhi apne shatru ka naash karne ka sankalp karte hai.

Jab raasta patta nahi ho toh koi aage gaye hue insaan k kadmo k nishan bhi mil jaye toh

mann ko shata milti hai. Kisi ne bahot sundar gaya hai " hum ko raasto ki jarurat nahi

hai, hum ko tere kadamo k nishaan mil gaye hai"

Aur ant (end) main prabhu se ek chhoti si prathana.

HEY ARIHANT !!!

AAJ TAK BAHAR BAHOT LADAI KI.

BAHAR WALO SE BAHOT LADAI KI.

KUCH PRAPT NAHI HUA.

BAS AB TOH ANTAR AATMA SE LADAI KARNI HAI, APNE DUSHIT MANN K

SAATH LADAI KARNI HAI.

HEY PRABHU YE LADAI KI SURUWAT KARNE SE PEHLE AAP K PUNIT NAAM

KA MANGAL SMARAN MERE ANTAR YUDHH KA VIJAY MANTRA BAN JAYE....

BHAGWANTANAM

Bhag matlab aishwary. Aur aishwary se yukt wo bhagwant. Ghati karmo k naash k saath

hi vitragta k pushp aatma ki bhumi main khilte hai. Aur ye saari srushti jaise k

prabhumay ho jati hai.

Koi diksha lene wale ko us k sansaar k antim dino main kaisa prem milta hai?

Kitna maan milta hai? Saalo se wohi ghar main rehne k bawjood jab wo ghar chhod k

jane wala ho tab pura ghar uss ki pasand ka sab kuch karta hai.

Theek issi tarah anant kaal (infinite time) se ye sansar main raha aatma jab keval gyan ko

prapt karta hai tab jaise ki saari srushti uss k swagat ki taiyari main lag jati hai..

Bhagwant chalte hai aur vruksh zuk jate hai. Raaste k kantak ulte ho jate hai. Aaju

baaju k rog ka naash hota hai. Bas har jagah sirf aur sirf shubh aur mangal ghatna banti

hai.

Tatvarth sutra k arth (meaning) main shri siddhsen aacharya ne likha hai k:

Yasminuditenya asatadika: prakrutay: udita api n swavipakam prakatam darshyintu

shakta: , khshirdravyapurit kumbhe pichu mand ras bindu vaditi...

Matlab:

Tirthankar naam karma ka uday hote hi dusre asata karma uday main bhi aate hai toh

pragat swarup se apna prabhav dikha nahi sakte. Doodh se bhare hue ek badde bartan

Page 6: NAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: …xa.yimg.com/kq/groups/274593/81112391/name/NAMUTHHUNAM.pdfNAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: SAURABH VORA Before I start: Namami sharda devi Vidhyarambhe

main agar ek bund kadwe neem ka ras bhi pade toh uss se doodh ki mithas (sweetness)

kam nahi hoti.

Ye duniya main aakarshit hone k liye bahot cheej hai. Koi apne roop se dusro ko

aakarshit karte hai toh koi apne gyan se toh koi apne swabhav se toh koi apne dhan

doulat se...

Lekin bhagwant ki baat hi anokhi hai.

Bhagwant matlab gyan main sarvottam

Bhagwant matlab aishwary main sarvottam

Bhagwant matlab puny main sarvottam

Bhagwant matlab shakti main sarvottam

Bhagwant matlab prabhav main sarvottam

Bhagwant matlab swabhav main sarvottam

Bhagwant matlab karuna main sarvottam

Bhagwant matlab gun main sarvottam

Ye sab ka matlab sirf itna hi hota hai k bhagwant matlab SARVOTTAM.

THE TOP OF ALL THE TOPPERS

ALL TIME NUMBER ONE, SECOND TO NONE.

Shri samvayang sutra main likha hai k abhi srushti main jitne bhi jeev hai wo sab k

punya se kahi jyada punya bhagwant ka hota hai. Bhagwant k liye bahot hi. Sundar

shabd prayog hua hai k ANUTAR (ONE WHO DNT HV ANY COMPARISION) PUNYA

K SWAMI.

Bhagwant aap ka kya adbhut punya !!!

Aap ka chyawan ho aur indra k aasan hilte hai. Aap k janam hote hi puri duniya sringaar

sajti hai. Aap chalte ho toh kadam k niche suwarna kamal aa jate hai. Dev lok k dev aur

raja maharaja aap k charan chumte hai. Sach main kya adbhut punya k swami ho aap

bhagwant !!!

Aishwary kaho ya rup, yash kaho ya lakshmi, dharma kaho ya purusharth, har shubh

cheej bhagwant main puri tarah se bhari huyi hai. Puri duniya ko aashcharya ho aisa

aishwary aur rup aur keval gyan aur moksh k purusharth ki ajay amar gaatha ye hai

bhagwant.

Aur ant (end) main ek chhoti si prathana:

HEY BHAGWANT !!!

AAP KO MILA ADBHUT RUP, ADBHUT YASH, ADBHUT PUNYA AUR AAP BAN

GAYE BHAGWANT.....!!!

HUM LOGO KO AAP MIL GAYE AUR HUM BAN GAYE SOUBHAGYAWANT !!!

BAS AB HUM KO BHI AAP KI TARAH MOKSH KA MARG JALDI BATA DENA

AUR HUM KO SOUBHAGYAWANT SE AKHAND SOUBHAGYAWANT BANA

DENA BHAGWANT !!!!!

AAIGARANAM

Jain dharma matlab tatv aur sidhhant ki manyata. Bhagwan ka swarup bhi vishesh hai.

Naastik log ishwar ko nahi mante. Lekin jain dharma ki drashti se dekha jaye toh

bhagwan ki seat k liye koi quota ya reservation nahi hai. Tirthankar naam karma har koi

apne purusharth k upar baandh sakta hai.

Page 7: NAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: …xa.yimg.com/kq/groups/274593/81112391/name/NAMUTHHUNAM.pdfNAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: SAURABH VORA Before I start: Namami sharda devi Vidhyarambhe

Koi shala (school) main jane wala hoshiyaar bachha achhe marks se pass hota hai lekin

pass hote hi school ka shikshak (teacher) ban jaye wo jaruri nahi hai. Lekin agar B.Ed.

(bachlor of education) college main padhne wale har student ko shikshak banne ka pura

mouka milta hai.

Jain dharma bhi theek issi B.Ed. college ki tarah hai jo har jeev ko tirthankar banne ka

mouka deta hai.

Bhakti 2 prakaar se hoti hai.

1. Jitne bhi tirthankar ho gaye wo sab ki bhakti

2. Tirthankar banne k liye ki bhakti

The great philosopher barnad show n kaha tha k "in jainism god is never a monopoly

game".

Aaigaranam ka matlab hai aadikar. (Aadikar~starter)

Bhagwan bhi ek din apne jaise hi the aur purusharth kar k prabhu bane. Hum sabhi

purusharth kar k prabhu ban sakte hai.

Dharma ka field koi private trust nahi hai k jaha pe koi ek aadmi hamesha k liye trustee

rahe, dharma ka field toh public trust hai jaha pe har kisi ko apne aatma k gun k upar

prabhu banne ki trustee ship milti hai.

Bhagwan ko aadikar bol k ye kaha gaya hai k wo bhi ek din apne jaise hi the.

Mumbai ya toh kisi baddi si city main rehne wale kisi mitra ko jaise gaav (villege) main

rehne wala purana dost puchta hai k "hum dono toh bahot purane mitra hai, tuje yaad

hai hum gaav main saath main rehte the?"

Hey prabhu nigod main hum dono ne anant samay saath main guzara hai. Kabhi

tiryanch gati main toh kabhi dev lok main saath the. Kabhi kisi prabhu k samvasran main

saath beth k deshna suni hai. Kabhi aisa bhi tha k main sheth tha aur aap nokar lekin hey

prabhu !! Hey taaran haar aaj aap toh pure jagat k swami ho. Mukti sukh k bhokta ho.

Kisi ne bahot khub gaya hai

"Koi janam ma aapne banne, ramya hasu kai nav nav range, aaj tu prabhuta e biraje,

razdi rahyo hu maya sange..."

Matlab: kisi janam main hum dono saath main khele the lekin aaj tu prabhuta k shikhar

pe biraajmaan hai aur main abhi bhi iss sansaar main hu...

Toh chalo sab mil k prabhu k ek chhoti si prathana karte hai.

HEY PRABHU BHUTKAAL (PAST) HUM DONO KA EK JAISA THA TOH AB HUM

PAR AISI KRIPA KARNA K JO AAP KA VARTMAAN (PRESENT) HAI WO BAHOT

JALDI HAMARA BHAVISHYA (FUTURE) BAN JAYE.

TITHAYARANAM

Bomb blast ek hinsak ghatna hai. Blast kabhi creative ho sakta hai kya?

Jawab hai HA. Kabhi aisa banta hai k parvat k beech main se raasta banana ho waha

blast kar k jagah banayi jaye, baad main toh raasta ban jata hai aur kitne log saamne

manzil pe pahoch jate hai...

Karma ka bhi theek yehi ganit (maths) hai. Jin naam karma jab uday main aata hai tab

maanav k deh (sharir) main maha manav pragat hota hai aur un k dwara ye sansaar ko

paar karne ka ek saadhan (material) prastut hota hai : JIN SHASHAN

Page 8: NAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: …xa.yimg.com/kq/groups/274593/81112391/name/NAMUTHHUNAM.pdfNAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: SAURABH VORA Before I start: Namami sharda devi Vidhyarambhe

Tithayaranam matlab prabhu dwara apno pe hue anek upkaar ki yaad dilane wala

shabd. Jo jeev vyakti gat (self) aaradhna karte hai woh kevli ban k moksh jate hai. Jo jeev

khud k parivaar ya toh aashrit (dependent) ko dharma marg dikhata hai wo gandhar ban

k moksh jata hai lekin jo jeev anant jeevo ko dharma marg dikhata hai wo tirthankar ban

k moksh jata hai.

Koi company k kaam se agar USA ja k aaya hua aadmi bolega k "main toh free main

USA ja k aaya" theek issi tarah prabhu ki mukti COST FREE thi. Sarv kalyaan ki

bhavna itni tivra (atishay) thi k swa kalyan toh jaise GIFT ITEM ban gaya. Sab ko khana

khilane main milne wala aanand bhi kabhi kabhi apni trupti karwa deta hai...

Prabhu ki karuna ka andaaz lagana ho toh keh sakte hai k WIDEST COVERAGE. Koi

koi tatv asar kaari hai toh koi koi tatv prabhav kari hai. Andhere main bulb ka ujala asar

kaari hai lekin surya ka prakash prabhav kaari hai. Prabhu ka punya maha prabhav kari

hai

Koi cheej ko sirf dekhna aur usko banana uss main bahot farak hai. Theek issi tarah

shashan paane ka punya alag hai aur shashan ki sthapna karne ka punya alag hai.

Shashan sthapna k baad bhi ye shashan chalta rahe wo jaruri hai. Duniya main har cheej

ka nash hota hai lekin prabhu ka shashan sthapna k hajaaro ya laakho saal k baad bhi

avirat (without breaking) chalta hai. Iss main shashan ki sthapna karnare arihant dev ka

punya mukhya (main) hai.

Yaha pe ek sawaal ye hota hai k prabhu k nirwaan hote hi saare karma ka nash hota hai

toh ye punya apna prabhav lakho saal tak kyu batata hai??

Baat aisi hai k prabhu k samay pe hua punya ka vishfot (blast) itna prachand tha k wo

abhi bhi apna prabhav bata raha hai...

Dec. 1984 main huyi bhopal gas durghatna ne bahot logo ka jeev liya tha lekin aaj bhi

waha janam lene wale logo main kuch na kuch taklif dekhne milti hai.

2nd vishwa yudhh (2nd world war) k samay pe hiroshima aur nagasaki pe hue atom

bomb blast ki asar abhi bhi najar aati hai. Theek issi tarah tirthankar naam karma k

prachand punya vishfot ki asar abhi bhi dekhne milti hai.

Punya karma anek prakaar k hai.

Manushya gati naam karma bhi punya karma hai lekin wo karma toh kasai ko bhi hota

hai. Panchendriya jaati karma bhi punya karma hai lekin wo janavar (animal) ko bhi ho

sakta hai. Su swar naam karma se achha awaj milta hai lekin wo awaj se bhakti k alwa

dusre geet bhi gaa sakte hai. Sirf jin naam karma aisa punya hai jo khud ka aur dusro ka

dono ka kalyaan karta hai.

Aur ant (end) main sirf itni si prathana:

HEY TIRTHANKAR !!

ATI NIRMAL AAP KA PUNYA !!

ATI PRABHAVAK AAP KA PUNYA !!

AAP K YE PUNYA K HUM AABHARI HAI !!

AAP NE HUM KO BHAV BHAAR KAM KARNE KA EK UPAAY DIYA : 'JIN

SHASHAN'.

AAP KA KARMODAY HUM SAB K LIYE DHARMODAY BAN GAYA.

AAP K JAISE JIN NAAM KARMA BANDHNE KI MERI HESIYAT NAHI HAI.

Page 9: NAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: …xa.yimg.com/kq/groups/274593/81112391/name/NAMUTHHUNAM.pdfNAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: SAURABH VORA Before I start: Namami sharda devi Vidhyarambhe

LEKIN AAP KA YE JIN SHASHAN MUJE MOKSHA MILNE TAK HAR JANAM

MAIN MILTA RAHE AISI KRIPA DRASHTI BANAYE RAKHNA...

SAYAM-SAMBUDHDHANAM

Matlab self aweakning.

Muni kis ko kaha jata hai???

Shri aacharang sutra main bahot sundar likha hai:

Asuta muni, suta amuni

Matlab jo so rahe hai wo muni nahi hai lekin jo jaag rahe hai wo muni hai.

Yaha sone ka jo shabd prayog hua hai uss ka matlab aankh se nahi lekin antar se hai.

Jo antar se so raha hai wo muni nahi hai lekin jo antar se jaag raha hai wo muni hai.

Koi koi log aise hai jo samanya nimit bhi mil jaaye toh antar se jaag jate hai.

Pavan ki wajah se baar baar apna aakar badlate baadal ko dekh kar kisi ne soch liya k

sansaar bhi asaar hai.

Shaam ko ghar main andhera dekh kar pita ne kaha "sham ho gayi ab tak diya nahi

jalaya" ye kisi ne sun liya aur soch liya k jivan ki sham ho gayi lekin abhi tak vairaagya

ka diya nahi jalaya aur wo chal pade...

Aise log k jin ko ek chhota sa nimit bhi mil jaye to sansaar chhod dete hai wo bhi hum ko

mahan lagte hai toh fir jo khud jaagrut hai wo log k liye mahan shabd bhi chhota padta

hai

Tirthankar bhagwan swayam sambudh hote hai matlab un ko pratibodh dene k liye koi

updesh ki jarur nahi hoti hai.

Subah hote hi jaise murgha kuk re kuk bol k sab ko jagata hai lekin kabhi ye socha hai k

murghe ko kon jagata hai??? Wo khud jaag jata hai..

Ek raja tha. Bahot gusse wala tha. Chhoti chhoti baato main badi saja deta tha. Haath

main hathkadi pehna k jangli jaanwar se bhare jangal main akela chhod deta tha. Ek din

ek saath 10 log pakde gaye. Raja ne un ko hathkadi pehna k jangal main bhej diya. Uss

main se ek lohar (one who work with iron) tha. Uss ne hathkadi ko ek sthan pe jor se

maar k khol di aur uss ne baki logo ko bhi sikha diya aur un ki hathkadi bhi khul gayi.

Lohar ki hathkadi kis ne kholi???

Uss ne khud ne.

Theek issi tarah tirthankar bhagwan ki swayam buddhta aisi hoti hai.

Aise prabhu bhagwant devadhidev arihant ki bhakti matlab apne soneri bhavishya ka

pakka mouka.

Toh chalo aaj hum sab apne ye dono haath prabhu k sanmukh fela k ek chhoti si

prathana karte hai:

HEY SWAYAM SAMBUDDH !!!

AAP KI YOGYATA KHUD VIKSIT HUYI.

AAP KA VAIRAAGYA KHUD PRAGAT HUA.

AAP KO PRATI BODHAK KI JARUR NAHI THI.

AISA SWAYAM SAMBODH HUM SAB K LIYE BAHOT DUR KI BAAT HAI.

LEKIN KABHI BHI PRATIBODHAK KI UPEKSHA (IGNORANCE) NA KARE AISI

HUM MAIN BUDDHI DENA...

Page 10: NAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: …xa.yimg.com/kq/groups/274593/81112391/name/NAMUTHHUNAM.pdfNAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: SAURABH VORA Before I start: Namami sharda devi Vidhyarambhe

PURISUTMANAM

Janam se hi atishay shrimant ho us ko garbh shrimant bola jata hai. Janam se bahot

budhhi wale ko born genius bola jata hai.

Apni najar janam tak hi jati hai. Issi liye hum koi bhi vyakti ki khas baat janam se relate

karte hai. (Eg. Born artist, born genius )

Prabhu ko janna hai toh aur gehraayi (depth) ki jarurat hai. Vruksha ki unchai (height)

ka raaz us ki jad (roots) jamin main kitni andar hai uss par hai. Issi tarah bhagwan ka

charitra padhna ho toh hum pehle k bhavo ka bhi varnan (explanation) karte hai.

Prabhu ki prabhuta ko janne k liye peeche jana sirf jaruri nahi lekin. Ati aavashyak hai.

2 alag alag kapde k tukde haath main lete hi agar dono ki kimmat main bahot farak ho

toh dukaan wala batayega

QUALITY DETERMINES THE DIFFERENCE

Baaki k sabhi jeev se prabhu alag hai ye baat PURISUTMANAM dwara batayi gayi hai.

Purisutmanam dwara prabhu k jivan ki 10 alag baate yaha prastut ki hai

1. Pararth vyasni: par matlab dusra. Prabhu pararth vyasni hai. Vyasan matlab jis k bina

chain na pade. Prabhu ko pararth (dusro ka bhala) kiye bina chain nahi padta.

Dusro ka bhala karna kisi k liye lakshy hota hai, kisi k liye sanskaar , kisi k liye kartvya

hota hai lekin prabhu k liye dusro ka bhala karna wo ek pehchaan hai.

2. Up-sarjani-krut swartha: jis k jivan se swarth nikal gaya hai wo prabhu. Khud ka

sochne k baad dusro ka bhala karne wale bahot hote hai lekin khud ka na soch k dusro ka

sochne wale bahot kam hote hai.

Mumbai ki local train main jane wala pehle khud ki seat dhundhta hai. News paper main

bhi hum sirf kaam k news padhte hai. Derasar main swastik banane k paat k liye bhi

khud k liye pehle dhundhte hai. Sansaar pura swarth se bhara hua hai.

Prabhu ko swarth nahi hota.

Raja meghrath k bhav main shanti nath bhagwan ne ek kabutar ko bachane k liye apna

balidan dene ki taiyari dikhayi thi.

Prabhu jab gochari ko jate tab jo ghar k bahar pashu (animal) ho waha nahi jate the

kyunki "muje milega toh pashu ko nahi milega " ye bhaav rehta tha

3. Uchitkriyavant

Prabhu k jivan main aamanya aur maryada hoti hai.

Ye gun hone ki wajah se dharma aur majbut banta hai.

Shri nem nath bhagwan ko jara vidya k niwaran k liye jab shri krishna ne pucha toh un

ho ne kaha k parshwnath prabhu ka pakshal ka upyog karo. Nem nath prabhu Khud

tirthankar the agar un k charan kamal ka jal bhi liya jata toh kaafi tha lekin unho ne

khud ki mahima nahi batayi ye un ki maryada thi

Prabhu mahavir ne bhi jab tak mata pita the tab tak diksha na le k un k liye apni

maryada batayi thi.

4. Adin bhaav:

Tirthankar ko kabhi bhi laachari ka anubhav nahi hota.

Aadinath bhagwan ne puri duniya ko aahar charya (khana banane ki kala) sikhayi wohi

bhagwan ko diksha baad 1 varsh s adhik din tak aahar nahi mila fir bhi wo laachar nahi

hue

5. Safla rambhita:

Page 11: NAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: …xa.yimg.com/kq/groups/274593/81112391/name/NAMUTHHUNAM.pdfNAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: SAURABH VORA Before I start: Namami sharda devi Vidhyarambhe

Tirthankar jo kaarya haath main lete hai wo purna hota hi hai.

Koi koi log aise hote hai k koi bhi kaam ho us ki suruwat kar dete hai .. aise logo ko

sakalarambhi (sakal + aarambh) kehte hai lekin prabhu safalarambhi hote hai (safal +

aarambhi) (successful starter)

6. Adradhnushay

Koi koi log aise hote hai k kisi k liye mann main koi baat nakki kar lete hai. Iss ko

dradhanushay kehte hai.

6 mahine tak jis ki wajah se upwas karne pade aise sangam dev k liye bhi prabhu k mann

main dradhanushay nahi tha.

Sirf tha toh dil main karuna ka strot.

Ye bhav ko adradhanushay kehte hai

7. Krutagyata patay:

Krutgyata matlab jis ne apne pe upkaar kia ho us ka badla chukana.

Prabhu khud paropkaar k sagar hai lekin wo apne par jo upkaar karta hai us ka badla

bhi chuka dete hai.

8. Anupahat chita

Anupahat chita matlab mann ko majbut rakhna.

Jivan main mukhya chij hai mann. Agar mann tut jaye toh kuch nahi bachta.

Prabhu ka mann achal hota hai.

9. Dev guru bahumanin:

Prabhu dev guru dharma k prati maan rakhte hai. Kabhi un ka apmaan nahi karte

10. Gambhirashaya:

Koi bhi cheej k liye bahot gambhir suzaav dena us ko gambhirashay kehte hai. Gehra aur

gambhir main bhi farak hai.

gehra suzaav dene main swarth ho sakta hai lekin gambhir suzaav dene main dusro ka

bhala hota hai. Gambhir swabhav prabhu k gun ko char chaand lagata hai

Iss tarah prabhu asamanya hai

Dusro se alag hai

To chalo sab mil k ek chhoti si prathana karte hai

HEY PURUSHOTAM

AAP UTAM GUNO KA STHAN NAHI LEKIN GUNO K LIYE AAP UTAM STHAN

HO.

AAP K GUNO KO JANNE KA MOUKA MILA YE HUM SAB KA SOUBHAGYA HAI.

AAP K YE GUN HUM SAB K JIVAN MAIN BHI AAYE AUR HUM SAB K JIVAN KI

SHOBHA BADHAYE AISI AAP KO ANTAR SE PRATHANA.....

PURIS SIHANAM

Koi vastu ho ya koi sidhhant us ko samajne k liye sirf us ki vyakhya (defintn) kaam nahi

lagti. Vastu ko samajne k liye kabhi kabhi koi katha (story) ya koi upma (comparision) ki

madad li jati hai. Aisa karne se vastu ko samajne main aasani rehti hai

Prabhu k rup ko samajne k koi jaisi tesi upma nahi chalti. Prabhu ko yaha sihn (lion) ki

upma di hai.

Upma dene se koi bhi vastu ka ek PICTURE aankho k saamne khada hota hai.

Page 12: NAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: …xa.yimg.com/kq/groups/274593/81112391/name/NAMUTHHUNAM.pdfNAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: SAURABH VORA Before I start: Namami sharda devi Vidhyarambhe

Aur agar prabhu ka aisa koi chitra apne mann main aa gaya toh wo anek shabdo k

barabar hai.

Puris sihanam pad se prabhu ko sihn ki upma di gayi hai

Sihn akela ho fir bhi kisi prani se darta nahi hai. Sihn ki ek garjana se sab darr jate hai.

Theek issi tarah prabhu apne punya rupi garjana se saare moh maya jaise shatru ko dara

dete hai aur naash karte hai

Sihn ko jungle ka raja maana jata hai. Sihn k sharir main jab tak jaan hoti hai tab tak

wo kisi aur ko raja banne nahi deta issi tarah prabhu bhi apne upar moh raja ka raaj

chalne nahi dete.

Sihn nirbhay hota hai. Us ko akele darr nahi lagta. Issi tarah prabhu tap akele karte hai,

upsarg akele sahan karte hai. Indra prabhu ko aa k vinanti karte hai k wo seva main

rahenge lekin prabhu kehte hai k wo kisi aur ki madad se karma ka naash nahi karte

No help line

No phone a friend

No 50-50

No quiting

Yaha koi help line kaam nahi aati.

Agar moksh naam ka chque prapt karna ho to khud ladna padta hai.

Khud ladna padta hai apne karmo k saamne. Khud ladna padta hai moh raja k saamne

Agar pathhar lagta hai toh us ki disha k saamne dekh k bhokne ka kaam kutte karte hai

lekin sihn toh wo disha main dekhega fir garjana aur fir sidhe karma saaf....

Aise prabhu ko ek prathana

Hey purush sihn

Ye jagat main moh raja se ladne ki hum sab ki taakat nahi hai.

Chhoti chhoti chhej dekh k bhi hamara mann vichalit ho jata hai. Aap to purush rupi sihn

ho. Aap aisi sihn drashti hum sab par daalo k moh rupi prani darr kar bhag jaye aur aap

ko dekh kar hum sab k antar ka sihn bhi jaag uthe...

PURISVAR PUNDARIYANAM

Pundrik ka matlab hai kamal (lotus)

Kamal paani aur kaadav (mud) main khilta hai fir bhi paani aur kaadav se upar hota hai.

Sirf kamal ki kamal dandika ka sparsh paani ko hota hai

Prabhu bhi karma k kaarya k anusaar sansaar main janam lete hai lekin ye sansaar se

upar uthte hai sirf un ka sharir hi sansaar main rehta hai.

Kamal matlab sukomal, sugandhi, aur soundarya se bharpur. Jal k beech main rehta hai

fir bhi kamal ko nirlep kaha jata hai. (Kamal k upar pani ki bund bhi girti hai to niche gir

jati hai). Prabhu bhi sansaar main rehte hai lekin nirlep bhaav se, sansaar se alipt

(sansaar k moh maya se dur)

Kamal ko lakshmi devi ka sthaan mana jata hai. Issi tarah prabhu bhi punya lakshmi ka

sthaan hai.

Prabhu ki seva main din raat dev hote hai lekin jaise kamal ko pani ki bund sparsh nahi

karti waise prabhu ko ahankaar sparsh nahi karta.

prabhu ko na toh kisi pe moh maya hoti hai na kisi pe krodh.

Page 13: NAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: …xa.yimg.com/kq/groups/274593/81112391/name/NAMUTHHUNAM.pdfNAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: SAURABH VORA Before I start: Namami sharda devi Vidhyarambhe

Cricket ki match main khel k samay hazaaro dekhne wale k utsaah aur aanand k samay

bhi maidan (ground) main ek UMPIRE aisa vyakti hota hai jo nirlep hota hai. Na toh wo

SIX k samay taali bajata hai na koi OUT hota hai tabhi. Ye toh sirf kaya se nirlepta huyi.

Lekin prabhu to mann se nirlep hote hai.

Jal kamal vat hote hai prabhu.

Toh aise jal kamal vat aur sab sukh dukh se nirlep (dur) prabhu ko sirf ek hi prathana:

HEY PURUSH VAR PUNDRIK !!!

AAP K KAMAL JAISE GUN TOH HUM SAB MAIN KAB AAYENGE WO NAHI

PATTA HAI LEKIN AAP K KAMAL RUPI GUN MAIN HUM SAB KA MANN

BHAWRA BAN K GUNJAN KARTA RAHE.

AAP KI VITRAG DASHA HUM SAB KI RAAG DASHA KA ANT KARNE WALI

BANE.

PURISVARGANDHHATHINAM:

Anary desh main jab prabhu veer ja rahe the tab un ko upsarg dene k liye un k peeche

jangli kutte chhode gaye the, fir b na toh prabhu ki gati badhi na toh un ko krodh aaya.

Kisi ne khub kaha hai "haathi chale bazaar, kutte bhoke hazaar"

Kasht (dukh) rupi kutte kitne bhi bhokte hai lekin prabhu avichar (na hilne wale) hote

hai.

Moh maya lobh krodh ye sab k liye kathin (strong) prabhu ka antar pushp se bhi jyada

komal tha.

Haathi k khane k daant alag aur dikhane k daant alag hote hai. Theek issi tarah prabhu

bahar se sadhana murti the lekin andar se karuna murti the.

Prabhu k samay main toh un ko saari srishti naman karti thi lekin aaj itne saalo k baad

bhi prabhu pujaniy hai

Sach main wo ek baat yaad aa jati hai "haathi jinda laakh ka lekin baad main sava laakh

ka (1.25 lakh)

Prabhu ko yaha pe gandh haathi ki upma di gayi hai.

Haathi k samuh (group) main gandh haathi se sab darte hai. Wo samuh ka raaja hota hai.

Prabhu k prabhaav se kitne bhi badde haathi jaise updrava shant ho jaate hai.

Aaj kitne aise rog hai jis ki koi dawai bhi nahi hai hum sab k paas lekin tirthankar

prabhu ka astitva ho waha pe koi rog nahi ho sakta.

Jaise k gandh haathi k prabhaav se saare haathi darte hai theek ussi tarah tirthankar

prabhu k prabhaav se haathi jaise badde badde paap darte hai.

Aise prabhaav shali tirthankar parmatma ko antar se ek prathana:

HEY PURUSH VAR GANDH HASTI !!!

AAP KA PRABHUTV PRABHAAV SHALI HAI, AAP KA VYAKTITV PRABHAAV

SHALI HAI, AAP KA ASTITV PRABHAAV SHALI HAI...

AAP K PRABHUTV, VYAKTITV AUR ASTITV KI CHHAYA HUM SAB PE BANI

RAHE....

Page 14: NAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: …xa.yimg.com/kq/groups/274593/81112391/name/NAMUTHHUNAM.pdfNAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: SAURABH VORA Before I start: Namami sharda devi Vidhyarambhe

LOGUTMANAM:

ye lok main utam.

Jeev k 6 prakaar hai.

1. Adhamadham purush: jo ye lok aur parlok main sab se viprit vartan karta ho.

Durachar karta ho wo jeev adhamadham hota hai.

10:36pm, Apr 30 - Svjw: 2. Adham purush: jo jeev ye lok main khud ki ijjat jane k bhay

se durachar na kare lekin mann main hamesha durachar ho waisa jeev adham jeev hota

hai.

3. Vi-madhya purush: jo khud ki shakti k hisab se daan punya kare aur parlok main aur

sukh mile aisi ichha kare wo vi-madhya jeev hai.

4. Madhyam purush: jo jeev ye lok main sab sukh ka tyag kare aur tap seva main jeevan

vyatit kare aur parlok k bhoutik sukho ki kalpana kare wo madhyam jeev hai.

5. Utam purush: sab bhoutik sukh se jis ka mann uth gaya hai aur sirf aur sirf moksh

dikhayi de aur us k liye samyak gyan, darshan aur charitra ki sadhana kare wo jeev utam

jeev hai.

Ye utam purush ko janne k baad dil main sawal hoga k iss se utam aur kuch ho bhi sakta

hai kya?? Toh prastut hai aap sab k saamne ek aisi jeev dasha jo top of the toppers hai.

Prastut hai vitraag bhagwant ki jeev dasha jo BETTER THAN BEST HAI.

6. Utamoutam (sarvotam) purush: keval gyani ban jane so sampurna huye hai. Khud k

dwara hote huye upkaar k badle main bhi jin ko kuch nahi chahiye. Jo har ek jeev ka hit

sochte hai, jo karuna murti hai aur vaatsalya ka zarna hai waise tirthankar parmatma

utamo-utam jeev hai.

Sirf aur sirf tirthankar dev hi utamo-utam hai.

Roj bhojan main hum paani pite hai. Sharir main bhi pani hota hai aur samudra main bhi

pani hota hai. Lekin ye dono main farak hai. Sharir main pani bhi hota hai aisa bola jata

hai lekin samudra main pani hi hota hai.

Theek issi tarah tirthankar main sirf aur sirf karuna bhari padi hai. Tirthankar prabhu

karuna ka sagar hai.

Prabhu pararth vyasani hai (dusro ka bhala sochne ka vyasan)

Prabhu matlab bina bulaye aayi huyi madad.

Prabhu matlab bina maange dene wale.

Prabhu matlab sneh aur prem ki ganga.

Prabhu matlab karuna k sagar.

Prabhu matlab ati bhavya jeev.

Prabhu matlab utamo-utam jeev.

Sarvotam jeev.....

Pita ko apne bete pe sneh hota hai kyunki wo putra hai.

Pati ko apni patni pe sneh hota hai kyunki wo patni hai.

Sheth ko nokar pe sneh hota hai kyunki wo nokar hai.

PRABHU KO SAB JEEV PE PREM HOTA HAI KYUNKI WO PRABHU HAI.....

Prabhu k naam se hi har kaam paar padta hai. Shri sidhhsen diwakar suri ma.sa. kehte

hai k prabhu aap ka stavan toh bahot dur ki baat hai lekin aap ka naam lene se tino lok k

dukh ka naash ho jata hai. Prabhu main itni karuna bhari huyi hai k koi bhi krodhi bhi

prabhu k baaju main aa jaye toh us ka krodh shant ho jata hai.

Page 15: NAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: …xa.yimg.com/kq/groups/274593/81112391/name/NAMUTHHUNAM.pdfNAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: SAURABH VORA Before I start: Namami sharda devi Vidhyarambhe

Prabhu k samovasran ka chitra dhyaan se dekhne k baad ek videshi ne kaha tha k "there

is a technical mistake in the picture" us ka ishara ye taraf tha k samovasran main sher

aur bakri dono baju main bethe the. Lekin wo videshi ko kya patta k wo TECHNICAL

MISTAKE nahi lekin prabhu ki KARUNA KI TECHNOLOGY hai aur jo pure vishwa

main sarvotam hai.

Prabhu matlab paropkar ka softwear. Prabhu matlab paropkar ki murti, jin k har ek rom

main ahinsa ka bhaav aur jin k saanidhya main aane se ver bhav ka naash.

To aise sabhi lok main utamo-utam (sarvotam) prabhu se ek prathana:

HEY PRABHU AAP MAIN JO PAROPKAR KI BHAVANA HAI WO HUM SAB MAIN

BHI AAYE. AAP KI TARAH SARVOTAM BAN JANE KA HUM SAB KA

SOUBHAGYA NAHI HAI AUR NA TOH HUM KISI KI LAAYKAAT, LEKIN HUM

SAB BHI DUSRO KA HIT SOCHE AISE HUM SAB KO BUDHHI DENA. PRABHU

HUM SAB TOH AAP K HI BALAK HAI. AAP NE TOH HAR JEEV PE SIRF AUR

SIRF KARUNA BARSAYI HAI AUR ISSI WAJAH SE AAP SARVOTAM HO. AGAR

AAP KARUNA K SWAMIO HO TOH HUM SAB MAIN KYU KARUNA NAHI HAI?

HUM SAB PE AAP KI KARUNA DRASHTI KARO. AAKHIR TOH HUM AAP K

BALAK HAI AUR CROREPATI K BETE KANGAAL NAHI HOTE........

LOGNAHANAM

Vartmaan vishwa main kisi bhi cheej ka koi bharosha nahi hai. Kab apni har cheej peeche

reh jaye wo keh nahi sakte (hum sirf apni mante hai, apna koi nahi hai, kuch nahi hai,

siwa k parmatma)

LOGNAHANAM pad main prabhu ko lok k naath ye rup main vandan kiya gaya hai.

Agar apne sar pe koi nath ho toh apne dil ko shata milti hai.

Prabhu agar naath ho, apne swami ho toh wo burai se toh bachate hi hai lekin apne punya

ko bhi apne karuna aur daya rupi jal ka poshan (nutrition) dete hai.

Naath ka matlab hai apna YOG KSHEM karne wale. Jo aasani se nahi mil sakta us ko

prapt karne main madad karna matlab YOG. Aur ek baar wo durlabh vastu mil jaye us

ka rakshan karna wo KSHEM. Prabhu ka matlab lok nath.

Prabhu ko naath banane se pehle un k charan main samarpit ho jana jaruri hai.

Jo prabhu k naath bana leta hai us ka YOG KSHEM hota hai. Prabhu ki karuna main koi

kami nahi hai lekin hum sab main grahak (customer) bhaav hona chahiye.

Surya main toh bahot tej hota hai lekin agar koi aankh bina ka aadmi wo tej na dekh paye

us main surya ki galti nahi hai.

Prabhu ko naath k rup main swikar karna matlab apni jindgi ka seecurity bond.

Kisi ko milte hi hum puchte hai "kaise ho" hum kehte hai maja main hai.

Hum maja main hai us k peeche kya wajah hai ye socha hai kabhi??

Roj subah ko hajaaro log ka heart fail hota hai, roj hajaaro logo ko cancer jaisa rog hota

hai, laakho logo ka antim sanskaar hota hai.

Ye sab main apna number nahi laga ye sab se baddi aascharya ki baat hai.

Bahot logo k paas pair hai par gati nahi hai, jubaan hai lekin bol nahi sakte, aankh hai

par drashti nahi, kisi k paas sharir hai lekin vastra nahi, pet hai lekin bhojan nahi, dard

hai par dawa nahi, pyaar ki jarur hai lekin apne log nahi hai, apne log hai lekin pyaar

nahi...

Page 16: NAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: …xa.yimg.com/kq/groups/274593/81112391/name/NAMUTHHUNAM.pdfNAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: SAURABH VORA Before I start: Namami sharda devi Vidhyarambhe

Ye sab k beech main hum sab kitne majja main hai.

Ye sirf aur sirf prabhu ki krupa hai

Bahot logo k paas pair hai par gati nahi hai, jubaan hai lekin bol nahi sakte, aankh hai

par drashti nahi, kisi k paas sharir hai lekin vastra nahi, pet hai lekin bhojan nahi, dard

hai par dawa nahi, pyaar ki jarur hai lekin apne log nahi hai, apne log hai lekin pyaar

nahi...

Ye sab k beech main hum sab kitne majja main hai.

Ye sirf aur sirf prabhu ki krupa hai

Kisi ko kuch yaad nahi rehta toh kisi ko koi yaad nahi karta, kisi k pass kuch bhi nahi hai

toh kisi k pass koi bhi nahi hai

Ye sab k beech main hum sab kitne majja main hai.

Ye sirf aur sirf prabhu ki krupa hai.

Sirf mehnat karne se agar sukhi reh sakte hote toh aaj majdur (labour) sab se jyada sukhi

hote. Hum sab sukhi hai iss k peeche koi INVISIBLE FORCE jarur kaam kar raha hai.

FORCE ARE ALWAYS INVISIBLE. YOU CAN JUST SEE FUNCTIONING

Ek baddi majje ki baat hai k jab bhi koi kaam main safalta milti hai toh hum sab ka

STATISTIC kuch iss tarah hota hai

Apni kaabeliyat 36%

Apni mehnat 34%

Apna pariwar 10%

Apni pehchan 20%

Lekin sache arth main STATISTIC kuch iss tarah hota hai

Apni kaabliyat 0.36%

Apni mehnat 0.34%

Apna pariwar 0.10%

Apni pehchan 0.20%

Sab mila k 1%

Aur prabhu ki krupa k 99%.

Ek baddi majje ki chhoti si satya katha hai

American navy ka ek sainik.

Naam: charls plumb

Vietnaam k saath yudhh. Apne jahaaj (ship) se charls plane le k gaya aur vietnaam ki

tabaahi macha k wapis aaya. Ek baar anti air craft weapon plane ko laga aur charls

perasuit le k niche kud gaya aur bach gaya. Lekin wo dushman desh main niche utra aur

pakda gaya. 6 saal ki kaid huyi.

America wapis aane k baad us ne apne yudhh k anubhav pe lecture dene ki suruwat ki.

Ek din wo apne pariwar k saath hotel main khana kha raha tha aur ek aadmi ne aa k uss

se pucha k aap charls ho na??

Charls ne kaha "ji haan kya aap mere lectures sunte ho?"

Aadmi bola "nahi maine toh aap ko pehli baar dekha hai lekin main aap k liye perasuit

banane ka kaam karta tha."

Ye sun k charls ki aankho main paani aa gaye aur sochne laga k aaj main issi aadmi ki

wajah se jinda hu.

Page 17: NAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: …xa.yimg.com/kq/groups/274593/81112391/name/NAMUTHHUNAM.pdfNAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: SAURABH VORA Before I start: Namami sharda devi Vidhyarambhe

Wo din k baad charls apne har lecture k ant main wo perasuit banane wale aadmi ka

aabhar manna nahi bhulta tha.

Hum sab k perasuit bhi agar theek se bane hai tab jaa k hum ne jain dharma ki dharti pe

landing kiya hai.

Agar sab kuch bhagwan k haath main na de fir bhi un k liye apni shradhha badh jaye toh

bhi baddi baat hai.

prabhu 3 lok k naath hai

Lognahanam hai.

Toh aise prabhu se ek hi prathana

HEY LOGNAHANAM

HEY TRILOK NAATH

HEY KRUPA GANGOTRI

HEY KARUNA SAGAR

HEY KRUPA NIDHAAN

HEY DIN DUKHI K BELI

HEY PAAPO KO KAATNE WALE JAGAT TAARAN HAAR

JAIN KUL MAIN JANAM HUA AUR AAP KA CHHATRA PRAPAT HUA, HUM SAB

ANATH AUR TU HI HAMARA NATH.

JAHA TAK MOKSH NA MILE TAB TAK HUM SAB K NAATH BANE REHNA. AAP

SE MILNE K BAAD MUJE APNE SAR PE AUR KOI NAATH NAHI CHAHIYE.

BHAV BHAV AAP KI KRUPA DRASHTI HUM SAB PE BANAYE RAKHNA

LOGHIYANAM

Loghiyanam matlab lok ka hit karne wale.

Raaste pe chalta hua ek baalak achanak se thoda mud k chalne laga, kyunki jamin pe leel

thi. Leel matlab ANANT KAAY CO.OP.HSG. SOC.

Jis k andar anant jeev hote hai. Uss pe pair kaise rakh sakte hai???? Ye soch k baalak

mud gaya.

Leel aur nigod main rehne wale anant jeev k baare main wo baalak ko us k maata pita ne

samjaya tha. Us baalak k mata pita ko shayad un k mata pita ne samjaya hoga. YE PURI

INFORMATION KA SOURCE ANT MAIN GANDHAR BHAGWAN K PAAS HO K

JATA HAI SEEDHE ARIHANT PARMATMA K CHARANO MAIN.

Vanaspati main jeev hai wo saabit karne k liye jagdish chandra bose ne prayog kiye the

lekin arihant prabhu ne koi prayog kiye bina keval gyan k bal se vanaspati main jeev hai

ye kaha tha.

Ye sab k siwa pruthvi, paani, agni, vaayu ye sab main bhi jeev hai ye baat sab se pehle

arihant prabhu ne batayi thi

Prabhu ka bataya hua vigyaan ekdum ajod (jis ki koi comparision nahi) hai. Anant jeev

prabhu k keval gyan ki flash light main dikhe aur fir chala DAYA DHARMA ka follow

up.

Anant jeev ko abhay daan mila aur saari srishti prabhu k upkaar k neeche aa gayi.

Prabhu k dwara di gayi deshna se shayad kuch jeev ka bhala hota hoga lekin prabhu k

dwara sab jeev ka hit hota hai. Prabhu samagra vishwa ka hit karnare hai.

Page 18: NAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: …xa.yimg.com/kq/groups/274593/81112391/name/NAMUTHHUNAM.pdfNAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: SAURABH VORA Before I start: Namami sharda devi Vidhyarambhe

Vastu main jeev hai sirf ye dekhne se kaam khatam nahi ho jata lekin jeev ko kis prakaar

se badha na pahoche iss ka dhyaan rakhna wo jeev ka hit hai.

Hit kis cheej main hai wo janne k liye samyak darshan chahiye.

Khud ki jaal main pankhi fasane k liye shikari (hunter) un ko daana dalta hai. Dekhne

main ye daya lagti hai lekin us k peeche hinsa hai.

Koi ek aadmi pankhi ko bachane k liye pathhar maar k uda deta hai. Dekhne main ye

hinsa lagti hai lekin uss k peeche pankhi ka hit chhupa hua hai.

Prabhu ne apni deshna main ek jeev ko baaki nahi rakha hai. Sab jeev ka sirf aur sirf hit

socha hai. Aise prabhu lok hit kaarak hai.

Toh aise lok hit karne wale param prabhu ko antar se ek prathana:

HEY LOGHIYANAM !!!

HEY JAGAT KA HIT KARNE WALE TRILOK NAATH !!

HEY DEVADHIDEV !!!

HEY KARUNA NIDHAN HUM SAB PE AISI KRUPA KARNA K HUM SAB JEEV KA

HIT KARE. HUM SAB KO AISI DRASHTI DENA K HUM APNE AATMA KA SACHA

HIT KIS MAIN HAI WO PEHCHAN K JALDI SE JALDI AAP K DIKHAYE HUE

MARG PE AAP SE MILNE K LIYE NIKAL PADE.

LOGPAIWANAM:

Ek saher (city) main ek charity thi. Wo ek dusre ko jeevan sathi dhundne main madad

karti thi. Ek bhai ek baar wo charity ki office main gaye aur puchne lage.

Thode samay k baad patta chala k bhai toh apni 5 saal ki beti k liye puch rahe the. Office

main betha hua aadmi khada ho gaya aur bola k "maaf karna, main koi madad nahi kar

paunga"

Yaha pe virodh ladki k liye nahi tha lekin ladki ki vartmaan condition k liye tha.

Iss main wo charity ki REPUTATION & EFFICIANCY k saamne koi sawal nahi hai.

Upkaar karne ki takat k saath upkaar lene wale main patrata (laaykaat) jaruri hai.

Logpaiwanam matlab lok pradeep

Prabhu ye lok k liye pradip saman hai. Prabhu hamesha gyan ka prakash dete hai. Yaha

lok ka arth sirf jis ki laaykaat hai un k liye hi hai. Surya toh prakaash deta hai lekin agar

andha aadmi dekh na paye uss main surya k saamne sawal nahi uthata.

Yaha 2 baat samajne jaisi hai.

1) prabhu vachan k prakash prapt karne k liye apne main yogyta (laaykaat) honi chahiye

2) jo bhi tatv ka ya gyan ka prakash mil raha hai wo sab prabhu ki krupa hai aur iss ki

waah waah sunne ka adhikaar apna nahi hai.

Apne paas jo gyan hai wo sab prabhu k keval gyan naam ki website main se download

kiya hua hai. Prabhu ka upkaar hai hum sab pe k hum ko jin aagam mile hai.

Shri Haribhadracharyji k shabd dil ko chhu jate hai.

" hahaa ! Anaaha kahm hunta jai n hunti jinagamo?"

Matlab "prabhu agar aap k aagam na milte toh hum kaisi anath dasha ka anubhav karte

hote?"

Agar duniya main POLICE na hoti toh???

Agar duniya main SURYA na hota toh???

Agar duniya main SHALA na hoti toh???

Page 19: NAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: …xa.yimg.com/kq/groups/274593/81112391/name/NAMUTHHUNAM.pdfNAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: SAURABH VORA Before I start: Namami sharda devi Vidhyarambhe

Ye sab se bhi bhayanak kalpana

AGAR DUNIYA MAIN JIN VACHAN YA JIN AAGAM NA HOTE TOH?????????

Kalpana kar k dekho....

Agar jin vachan na hote toh???

Toh duniya main kshama, maitri na hoti

Duniya main daan aur paropkaar na hota

Duniya main ahinsa na hoti

Paschataap ye shabd kisi ne suna na hota

Vinay aur vivek ko gun bola jata hai wo kisi ko patta na hota

ANUMODNA shabd kisi ko samaj na aata

AATMA, PARMATMA, PUNYA, PAAP, SWARG, NARAK, PARLOK AUR MOKSH ye

8 shabd pe koi vivechan na hota

Ye jo kuch hai sab parmatma k gyan k deepak main dekha hua hai.

Issi liye prabhu lok pradip hai

Bas aise prabhu k sirf ek hi prathana:

HEY LOGPAIWANAM !!!

HEY LOK PRADIP

AAP K GYAN RUPI PRADIP SE HUM SAB K AGYAN K ANDHKAAR KA NAASH

KARO.

LOGPAJJOGARANAM:

Bhayvam !! Kim tatam? = prabhu !! Tatav kya hai?

Uppanneyi wa = vastu utpann hoti hai.

Bhayvam !! Kim tatam? = prabhu !! Tatav kya hai?

Vigmeyi wa= vastu ka nash hota hai.

Bhayvam !! Kim tatam? = prabhu !! Tatav kya hai?

Dhuveyi wa= vastu sthir hoti hai.

Ye 3 sawal saare sansaar k liye sadhana ka saadhan ban gaye. Gandhar bhagwan ne ye 3

sawal puche aur prabhu ne us k jawab diye aur rachana huyi shabd shashan ki. Yaha ek

sawal jarur mann main aayega k aise saamanya dikhne wale 3 pad main se 12 ang ki

rachana kaise ho gayi ?? Prabhu k mukh k siwa aur gandhar bhagwan k siwa ye shakya

nahi tha. Gandhar bhagwan ki atishay bij budhhi aur prabhu k vachan ka prabhav, aur

ye dono ka JOINT VENTURE matlab dradasangi (12 ang)

Narendra modi ne bharat k bhavishya k liye ek statement diya hai IT + IT = IT

Information technology + indian talent = india tommorrow.

Technology ko proper talent na mile ya toh fir proper talent ko technology na mile toh kal

ka safal bharat nahi ban sakta.

Tirthankar bhagwan ka kevalgyan matlab information technology ka climex. Gandhar

bhagwan + tirthankar prabhu = bhavyatibhavy (bhavya + ati bhavya) jin shashan.

Prabhu k sirf 3 vachan sun k gandhar bhagwan ko purna bodh hua. Log pajjogaranam

matlab gyan ka prachand visfot (badda dhamaka) yaha lok shabd ka arth pura jagat nahi

lekin sirf gandhar bhagwan hi lena hai. Kyunki prabhu k 3 pad samjne ki laaykaat sirf

gandhar bhagwan main hoti hai. Waise toh ye 3 pad bahot saamanya lagte hai lekin ek

saamanya shabd kisi ek vyakti ka password bhi ho sakta hai.

Page 20: NAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: …xa.yimg.com/kq/groups/274593/81112391/name/NAMUTHHUNAM.pdfNAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: SAURABH VORA Before I start: Namami sharda devi Vidhyarambhe

IIM bahot kam students ko admission deti hai lekin ye students puri company handle

karte hai aur wo company ka product hum sab istemaal karte hai.

Yaha aisa bol sakte hai k IIM k top level management ki asar hum sab pe kahi na kahi pe

directly ya indirectly ho rahi hai.

Hum sab prabhu k IIM rupi vachan ko grahan karne k kaabil nahi lekin gandhar

bhagwan ye 3 pad ko grahan kar lete hai aur rachana hoti hai jin shashan ki.

Ye jagat main energy k bahot source hai lekin ye sab ka mukhya source hai SURYA.

Vishwa main kahin pe bhi gyan ka vaibhav dikhayi de toh us ka mul gandhar bhagwan se

ho kar prabhu k charan main jata hai.

Logpajjogaranam matlab gyan ka prachand visfot. Aur lok matab gandhar bhagwan.

Toh aise param upkaari prabhu ko ek prathana:

Hey logpajjogaranam !!!

Hey param punit !!!

Hey jag taran haar !!!

Dikhne wali baato main hum sab galti kar bethte hai toh na dikhne wali baato main galti

na karne ki budhhi aap hi de sakte ho !!

Chhoti se chhoti baato pe jo jin shashan main prakaash kiya gaya hai wo sirf aur sirf aap

k gyan k prachand vishfot ka parinaam hai.

Aise logpajjogaranam prabhu ko koti koti naman !!!!!

ABHAYDAYANAM:

Raate pe jab kutta bhokta hai tab darr lagta hai, der raat ko koi ghar k darwaje pe bell

bajaye toh darr lagta hai, kisi ko share market gir jane ka darr lagta hai,kisi ko apni beti

sasural main khush hai ya nahi uss ka darr rehta hai, kisi ko apna beta sahi kaam pe laga

hai ya nahi uss ka darr lagta hai. Aise sab ko kisi na kisi cheej se darr lagta hai.

Ye sab ka ek hi kaaran (reason) hai k apna chit (mann) swasth nahi hai. Agar kitni bhi

sukh ki baat ho lekin apna mann shant na ho toh wo sukh ki koi kimmat nahi hoti.

Abahydayanam pad dwara abhay dene wale prabhu (chit ki swasth awastha) ko naman

kiya hai

Ek raja tha. Uss ne nagar main ghoshna karwayi k jo apni bakri (goat) ko ek mahine

(month) tak roj ghhas (grass) khilayega aur fir bhi us ka vajan (weight) nahi badhega to

wo aadmi ko badda inaam diya jayega.

Ek aadmi ne ye challenge accept kar li aur sab k aascharya k beech 1 mahine k baad bhi

roj ghhas khilane k baad bhi bakri ka vajan nahi badha.

Kyunki jab bakri ghhas khati tab wo aadmi uss k saamne badda danda le k bethta. Bakri

ye dekh k darti aur issi liye khane k baad bhi uss ka vajan nahi badhta tha.

Bhay aisi cheej hai jo aadmi ko sukh ka anubhav karne nahi deta.

Bhay ek shunya hai. Shunya ka kisi bhi number se multiplication kar do lekin jawab

shunya hi aata hai. Issi tarah bhay sab sukh aur shanti ka naash karta hai. Lekin ye bhay

ki dusri aur dekha jaye to aati hai abahay dasha. Prabhu abhay k daatar hai. Hum ko

kabhi bhi koi taklif aati hai tab hum khud kehte hai k "upar wala hai na fir kya tension"

Prabhu k naam main itna punya hai k paap ka aur bhay ka naash ho jata hai. Bhay

matlab 7 muh wala saap (snake). Prabhu k naam se 7 prakaar k bhay ka naash ho jata

hai.

Page 21: NAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: …xa.yimg.com/kq/groups/274593/81112391/name/NAMUTHHUNAM.pdfNAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: SAURABH VORA Before I start: Namami sharda devi Vidhyarambhe

1. Ihlok bhay: ihlok bhay ka matlab hota hai samaan jaati k jeevo se bhay. E.g. pashu ko

pashu se bhay, aadmi ko aadmi se bhay.

2. Parlok bhay: anya jaati k jeevo se bhay. Aadmi ko pashu se bhay etc.

3. Aadaan bhay: khud ki sampati chori ho jane ka bhay.

4. Akasmaat bhay: kisi bhi nimit k bina darr ki laagni (feeling)

5. Aajivika bhay: dhandha chala jayega uss ka bhay.

6. Maran bhay: mrutyu ka bhay.

7. Ashlok bhay: khud k kutumb main ijjat jane ka bhay.

Prabhu ka naam lene se ye 7 bhay ka naash hota hai.

Bed pe chhota baalak so raha hai aur wo achanak rone lagta hai. Maa us ko apne haatho

main le leti hai aur wo chup ho jata hai. Bed main FACILITIES jyada hai lekin maa k

haatho main SECURITY KI FEELING hai.theek issi tarah prabhu abhay k daatar hai.

Jeev ko abhay dasha sirf prabhu hi de sakte hai kyunki

* prabhu k anant gun hai

* prabhu main anant shakti hai

* prabhu ko khud ko kisi ka bhay nahi hai.

* prabhu par hit (dusre ka bhala) karne ki bhavana rakhte hai.

Ek sachi baat:

Ek shravak. Haath main paralysis ka attack aaya. Haath ne kaam karna bandh kiya.

Baddi himmat se haath main pen li aur bahot mushkil se likhna chalu kiya "prabhu tu

mere saath hai. Main nirbhay hu"

Ye vaakya unho ne hazaaro baar likha aur jaise jaise ye vaakya likhte gaye haath normal

ho gaya.

Toh aise abhay k daatar prabhu ko ek chhoti si prathana:

KEHNA NAHI PRABHU KO K SAMASYA KITNI VIKAT HAI

KEH DENA SAMASYA KO K PRABHU MERI NIKAT HAI

HEY ABAHY DATA

HEY KARUNA K SAGAR

HUM SAB K SHARE MARKET K PORTFOLIO KO SAMBHALNE WALA KOI MIL

JAYEGA. HUM SAB K SANTAAN KO PADHANE WALA BHI SHAYAD KOI MIL

JAYEGA. HUM SAB K SHARIR AUR AAROGYA KI JIMMEDARI LENE WALA BHI

KOI MIL JAYEGA LEKIN MERE MANN KI SWASTHATA KI JIMMEDARI KON

LEGA????

YE KAAM KARNE K LIYE SIRF AUR SIRF AAP HI SAMARTH HO.

AISE ABAHY PRADAAN KARNE WALE PARAM PITA AAP K CHARNO MAIN

HUM SAB KA KOTI KOTI NAMAN.

CHHAKUDAYANAM:

Param pujya bhaav vijay maharaj ki aankh ki roshani chali gayi. Shri dev suri maharaja

ne parshwnath bhagwan ki aaradhana karne ko kaha. Jaap k prabhaav se padmavati devi

pragat hue aur unho ne antriksh parshwnath vihaar karne ko kaha.

Antriksh parshwanath ja k prabhu k sanmukh hraday k bhaav aansu ban k behne lage

aur aankho ki drashti wapis aa gayi..

Page 22: NAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: …xa.yimg.com/kq/groups/274593/81112391/name/NAMUTHHUNAM.pdfNAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: SAURABH VORA Before I start: Namami sharda devi Vidhyarambhe

Antar ki aankho se prabhu ki aur dekha aur bahar ki aankh ki drashti wapis aa gayi.

Yaha chakkudayanam ka arth antar ki aankh aisa lena hai.

Aaj k ye yug main bhi shradhha ki baddi kimmat hai. Shradhha wo antar chakshu

(aankh) hai. Bahar ki aankh se jo nahi dikhta wo antar ki aankh se dikhta hai.

Ek andhkaar se bhara hua room hai aur apne ko kuch kaam karna hai toh sab se pehle

diya jalana hoga baad main kuch bhi kaam ho sakta hai. Theek issi tarah paap rupi

andhkaar se bhare kaale mann main shradhha ka diya jalana jaruri hai.

Apne ko kuch bhi janna ho toh us k liye 2 shabd diye gaye hai. 1. Kutuhal (aascharya

vruti) 2. Jigyasa

Maan lo koi ek aadmi bahot samay tak internet pe beth k timepass kar raha hai toh us ko

kutuhal vruti kehte hai. Kutuhal vruti main fizul (bina matlab) baate janne ka mann hota

hai. Kutuhal vruti main mohaniya karma ka bandh hota hai. Lekin jigyasa vruti antar k

chakshu ko kholti hai.

Chakshu k daatar prabhu ki karuna apni kutuhal vruti ko shant kar k jigyasa vruti ko

utpann karti hai. Prabhu ki bhakti karne se apne antar chakshu khul jate hai. Prabhu ki

bhakti karne se sache arth main samyag darshan ki prapti hoti hai. Prabhu ki bhakti

karne se kutuhal se jigyasa aur jigyasa se tatv darshan aur tatv darshan se samyag

darshan prapt hota hai.

Aise apne antar k chakshu ko kholne wale prabhu ko ek hi prathana:

HEY CHAKSHU DAATA

AAP NE APNE KEVAL GYAN K PRAKASH SE YE JAGAT KI HAR VASTU KO

SACHHE ARTH MAIN SAB K SANMUKH RAKHA. AAP NE HUM SAB MKAIN

SHRADHHA KA EK DEEPAK PRAGAT KIYA LEKIN AB YE SHRADHHA RUPI

DEEPAK K PRAKASH MAIN HUM SACH AUR JOOTH KA FARAK PEHCHAN LE

AUR JALDI SE JALDI AATMA KA KALYAN KARE AISI SADBUDHHI DENA.

MAGGADAYANM

Vishwa ki saari jiv srushti par prabhu ki karuna baras rahi hai. Sadhak k jivan main

prabhu ki karuna hamesha bani rehti hai. Karuna se antar mann hamesha uchh vichar

main rehta hai

Mann ki swasth awashtha (abhay dayanam) aur antar ki aankhe kholne k baad

(chakkudayanam) aage jaruri cheej bhi yaha taiyaar hai. Prabhu ne aahe jane ka marg

diya hai. Prabhu sache arth main apne marg darshak (maggdayanam) hai.

Marg bhi kaisa hona chahiye??

Hetu shuddh aur swarup shuddh

Hetu matlab kaaran (reason)

Maan lo ghar main mehmaan aate hai aur pasand nahi hai iss liye hum yatra ko chale

gaye toh wo yatra hetu shudhh nahi hai

Subah ko suryoday se pehle navkarsi kar li toh wo dharma swarup shudhh nahi hai

Param prabhu parmatma ne ye sab se upar sidha moksh ka marg dikhaya hai, jo

sampurna shudhh hai.

hum sab ko sab se pehle saral banna hai. Mann saral hoga toh kriya main shudhhi apne

aap aane lagegi

Page 23: NAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: …xa.yimg.com/kq/groups/274593/81112391/name/NAMUTHHUNAM.pdfNAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: SAURABH VORA Before I start: Namami sharda devi Vidhyarambhe

Maan lo agar ghar main badda bhai doctor hai toh chhote bhai ko doctor banna ho toh

jaruri marg darshan badde bhai se milta hai.

Theek issi tarah prabhu toh moksh main gaye hai lekin hum sab k liye jaruri marg

darshan de k gaye hai.

Aise param pita k hum sab pe anant upkaar hai.

Toh aise margdarshak prabhu se ek hi prathana:

HEY MAARG DATA !!

HEY MAGGDAYANAM !!

HUM SAB KI DHARMA KRIYA K PEECHE ACHHA DIKHANE KA NAHI LEKIN

ACHHA BANNE KA LAKSHYA HO. HUM SAB MAIN AADAR BHAAV AAYE.

MOKSH K RAASTE PE AKELE JAANE KI TOH HUM MAIN SE KISI KI

LAAYKAAT NAHI HAI LEKIN AAP K DIKHAYE HUE MARG PE HUM JALDI SE

JALDI AAP KO MILE WAISI HUM PAR KRUPA KARNA..

SHARANDAYANAM:

Bhagwan naam k tatv ko manne ki jarur kya hai? Bahot majje ka sawal hai.

Why should we believe in god??

Because there are still many questions which google can't answer.

Bahot aise sawal hai jis ka koi jawab na mile tab ek raam baan ilaaz hai aur wo hai

ISHWAR NAAM KA TATV.

Prabhu naam ka tatv tute hue insaan main fir se ek naya aatma vishwas lata hai. Ishwar

matlab sharan dene wala tatv.

SURAJ KI GARMI SE JALTE HUE TAN KO MIL JAYE TARUVAR (VRUKSH) KI

CHHAYA,

AISA HI SUKH MERE MANN KO MILA JAB SE TERI SHARAN MAIN AAYA...

Sharan dene wale duniya main bahot hai lekin sab ki koi na koi conditions hoti hai.

Class teacher k lecture main ek baar masti karne wala bachha dusri baar bhi sab se pehle

nazar main aata hai.

Police k criminal list main jis ka naam hota hai us pe sab se pehle shak kiya jata hai.

Lekin prabhu bhakt ko sharan dete samay uss ka bhutkaal nahi dekhte. Prabhu pe

upsarg karne walo pe bhi wo karuna bahate hai.

Sansaar k saare sharan kahi na kahi pe apna saath chhod dete hai lekin prabhu ka sharan

apne ko mukti tak le jata hai.

Sant kavi kabir ne bhi prabhu k sharan ka mahima gaate hue likha hai k

CHAKKI FIRTI DEKH KAR DIYA KABIRA ROY,

DO PAATAN K BEECH MAIN SAABUT BACHA NA KOY,

AARE PAARE JO FIRE UNHE DABAYE SOY,

KHUNT PAKAD KAR JO RAHA DABA SAKA NA KOY.

Matlab: anaaj ko dalne ki chakki k 2 layer k beech main jo aata hai wo naash ho jata hai.

Lekin agar koi beech ka khila (iron nail) pakad le toh wo bach jata hai. Prabhu chakki k

beech main aaye hue khile (iron nail~khunt) ki tarah hai.

Aise sharan daata prabhu se ek hi prathana:

HEY SHARAN DAATA

BACHPAN MAIN MATA KA SHARAN

Page 24: NAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: …xa.yimg.com/kq/groups/274593/81112391/name/NAMUTHHUNAM.pdfNAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: SAURABH VORA Before I start: Namami sharda devi Vidhyarambhe

KABHI PITA KA

KABHI PATI KA TOH KABHI PATNI KA SHARAN

ROG MAIN DOCTOR KA SHARAN

COURT MAIN VAKIL KA SHARAN

LEKIN ANANT KAAL SE BHATAK RAH AATMA KO KIS KA SHARAN???

TVAMEV SHARANAM MAM

ANJAAN AISE BHAV SAAGAR MAIN KAISE APNI NAIYA PAAR LAGAU???

SACH MAIN PRAVIN BHAI DESHAI KI KAVITA YAAD AA RAHI HAI..

MAATA JAISE CHHOTE BACHHE KI UNGLI PAKAD KAR GIRNE SE BACHAYE...

BINA AAP KI SHARAN KON MERI BHAV NAIYA PAAR LAGAYE????????

BOHIDAYANAM:

Yanmyoparjitam punyam jin shashan sevaya

Jin shashan sevev ten mestu bhave bhave

Matlab: hey prabhu aap k shashan ki seva karte karte jo punya mila uss punya k badle

main bhav bhav aap ka shashan mile.

Jay vihraay sutra main bhi prabhu se vinanti ki hai "bhave bhave tum chalnanam"

Parmatma ko stuti main bhi kaha gaya hai k: bhavo bhavo tum charno ni seva

Hu toh mangu devadhideva

Loggas sutra main bhi kaha gaya hai k: aarugvar bohilabham

Bhohilabh ka matlab hai prabhu k dharma ki prapti.

18 desh k raja shri kumarpaal maharaja prabhu ko prathana karte hue kehte the k:

"Prabhu aap k dharma k bina mila hua chakra vati ka shashan bhi muje manjur nahi hai

aur agar aap ka dharma saath main ho toh garibi bhi main zinda dili se apna lunga,

kyunki aap ka dharma jis k paas ho wo toh ye samast vishwa ka sab se dhanwaan vyakti

hai."

Maharaj saheb bhi jab aashirwaad dete hai tab kehte hai " dharma labh"

Bohilabh matlab aatma ka mediclaim.

Prabhu bodhi k daata hai. Bodhi matlab samyag darshan aur samyag gyan se bhare hue

dharm ki prapti.

Ek ladki thi. Shadi ho gayi aur apne pati k saath wo chal padi apne mata pita ka ghar

chhod k. Kisi ne pucha "kaha ja rahi hai?" Ladki boli "pati k ghar. Ab wohi mere

swami."

Sirf thode din ki jaan pehchaan k baad bhi ladki apna sab kuch apne swami ko arpit kar

k chal padti hai.

Theek issi tarah hum sab ko apne swami (arihant) ko pasand kar lena hai.

Prabhu main puri shradhha rakhni hai.

Prabhu ka saath, prabhu ka sar pe haath aur prabhu hi mere nath ye bhav lana hai.

Apni katha ko thodi aur aage badhate hai.

Kisi ne ladki se pucha k " waha toh sab naya hai agar koi taklif huyi toh?"

Ladki ne jawab diya " main mere swami k ghar ja rahi hu ye balidaan lagega lekin jab

maine wafa ki kasam li toh jimmedari ki kasam un k sar pe apne aap aa gayi"

Prabhu k dharma ki prapti tab hoti hai jab hum sab prabhu ko samarpit ho jate hai.

Page 25: NAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: …xa.yimg.com/kq/groups/274593/81112391/name/NAMUTHHUNAM.pdfNAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: SAURABH VORA Before I start: Namami sharda devi Vidhyarambhe

Samarpan ka matlab hum karte hai k "kisi ka ho jana" lekin uss ki jagah hum samarpan

ka arth "kisi ko apna bana lena" karne lage tab maan lena k samyag darshan ki aur

sachhe arth main ek kadam badha liya hai.

Aise dharma ki prapti karwane wale bohidayanam bhagwan ko ek hi prathana:

HEY BOHIDAYANAM

YE SANSAAR MAIN BAHOT VASTU PE HUM SAB KO RAAG HAI ISS KA TOH

BAHOT DUKH HAI LEKIN SAB SE BADDA DUKH YE BAAT KA HAI K MERI

SAARI PASAND GALAT THI. AAJ SE SACHHE DIL SE AAP PE APNI RAAG

DASHA KO KENDRIT KARTE HAI AUR PRATHANA KARTE HAI K JALDI SE

JALDI YE RAAG DASHA KO VITRAAG DASHA MAIN PARIVARTIT KAR DENA.

DHAMMDAYANAM:

Ek aankh ka doctor tha. Uss ne apne clinic k bahar board lagaya k "sirf ek week main

bina chasma k padhna possible hai"

Ye padh k logo ne waha line lagayi. Ek bhai 1 week k baad bhi padh na paye. Baad main

patta chala k wo bhai ko padhna hi nahi aata tha.

Doctor aankh ka number nikaal sakte hai lekin padhne ka gyan toh apna hi hona chahiye.

Optician k waha chasma mil jata hai lekin vision apna khud ka hi chahiye.

Bhoutik jagat main agar kuch bhi chahiye toh us k liye us ki laaykaat honi jaruri hai.

Yaha baddi majje ki baat hai k prabhu dharma k daata toh hai lekin dharma prapti ki

laaykaat bhi nirmaan kar k dete hai.

Dharma ki prapti, dharma k maarg pe pragati aur ye dono k liye sab se jyada jaruri

dharma prapti ki laaykaat ye sab main prabhu ka yogdaan hai.

Hum dharma k laayak hai ye baat se kitna aanand hota hai????

Jawab hoga: bahot aanand hota hai.

Lekin agar ye patta chale k ye jo bhi laaykaat hai wo khud prabhu ne di hai tab hone wala

aanand anant hoga.

Aise dharma daayak prabhu se ek hraday purvak prathana:

Ye duniya main khet (farm) dene wale mil jayenge, paani bhi mil jayega aur khet main

kaam aane wali cheej bhi mil jayegi lekin jamin ki fal drupta khud ki hai. Wo koi nahi de

sakta. Hum sab ki aap se namra vinanti hai k hum sab ko kuch b mile us k pehle hum sab

main us ki laaykaat pragat karna aur har bhav main hum sab ko jin dharma mile aisi

krupa drashti banana kyunki aap swayam dharma k daata ho.

DHAMMDESHYANAM:

Baddi majje ki pankti hai

Hinsa pidit vishwa, raah mahavir de sakta hai.

Vartmaan ko vardhman ki jarurat hai.

Ye vishwa main ahinsa k prabhu k sidhhant ki wajah se aaj bhi daya aur karuna hai.

Prabhu ne jo vishwa shanti ka updesh diya hai wo amulya hai.

Kisi paapi insaan k liye duniya sochti hai "pakdo, mat jane do"

Lekin jin shashan kehta hai "pakdo mat, jane do"

Page 26: NAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: …xa.yimg.com/kq/groups/274593/81112391/name/NAMUTHHUNAM.pdfNAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: SAURABH VORA Before I start: Namami sharda devi Vidhyarambhe

Prabhu ne jo updesh diya hai wo mann ka aisa anti virus hai jo anek paap rupi virus ko

clean kar deta hai

Prabhu k aprigrah k updesh ki wajah se aaj insaan apni vruti ko niyantrit kar sakta hai.

Aprigrah matlab apni ichha se kiya hua tyag

Satya, niti aur sadachar k prabhu k sandesh ek civil code ban k pure samaaj ko crime se

bachate hai.

Prabhu k vachan k anusaar agar indriya sayam aur aahar sayam ka paalan kiya jaye toh

kabhi rog nahi aata. Iss tarah se prabhu k updesh ka aarogya main bhi mahatva hai.

Prabhu ne jo ahinsa ka updesh diya hai uss main sirf dusro ko bachane ki baat nahi hai

lekin khud ko jinda rehne k liye aaj ahinsak banna jaruri ho gaya hai.

Prabhu k liye bhakt kavi ki pankti sach main yaad aati hai

Prabhu jaise koi deshak nahi re

Jivan main koi pasand ho aisi vyakti se bhi badh kar prabhu k vachan mile us ka aanand

anant hai.

Kavi ne kaha hai k

"Kaisa hum sab ka aho bhagya hai k veer k charan mile"

Lekin yaha pe mann hota hai k charan ki jagah vachan kar k baar baar ye pankti bolte

rahe

" kaisa hum sab ka aho bhagya hai k veer k vachan mile"

Aise dharma deshak prabhu ko antar se ek bhaav bhari prathana:

HEY DHARMA DESHAK

BAHOT BAAR MANN MAIN KHAYAL AAYA K AAP KI JAB PUJA KARTE HAI

TAB AAP K CHHOTE SE KANTH PE KYU TILAK KARTE HAI ??

LEKIN AB PATTA CHAL RAHA HAI K DHARMA KI DESHNA DENE MAIN AAP K

ISS KANTH KA AMULYA YOG DAAN HAI. HEY NAATH AAP K KANTH PE HONE

WALE TILAK KA MAHIMA SHABDO SE KAHI UPAR HAI.

BAS AAP SE YE HI PRATHANA K HUM KO AISE DHARMA KI AUR MOD DENA K

JALDI SE JALDI MAHAVIDEH AA K AAP K KANTH SE NIKALTI MADHUR

VAANI KA AANAND GRAHAN KAR SAKE.

DHAMMNAYAGANAM:

"Able leader, stable government"

Prabhu dharma k nayak hai. Koi raja ne agar khud ki yogyata se rajya prapt kiya ho aur

praja k hit k liye hamesha dhyaan rakhta ho aur upar se praja k hit k liye kisi anya ki

sahay bhi na leta ho wo raja aadarsh raja kehlata hai.

Tirthankar prabhu apne jivan main pehle gun prapt karte hai aur baad main dharma ka

prachar karte hai. Dharma ka prachar karne k liye un ko kisi ki aagya nahi leni padti

kyunki wo swayam dharma nayak hai.

Dusro ki aagya le k ya toh fir dusre k sahkaar se hone wale kaam main shayad failure k

chance jyada hai lekin prabhu swayam hi dharma k nayak hai issi liye prabhu k dwara

bataya gaya dharma aaj kahin saalo baad bhi chal raha hai.

Agar dharma sata corporate ki koi company hai toh un k maalik aise tirthankar prabhu

main TOP LEVEL LEADERSHIP QUALITIES hai. Prabhu ka dharma PURE &

PERFECT hai.

Page 27: NAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: …xa.yimg.com/kq/groups/274593/81112391/name/NAMUTHHUNAM.pdfNAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: SAURABH VORA Before I start: Namami sharda devi Vidhyarambhe

Prabhu dharma k nayak hai kyunki

1. Prabhu ne dharma dikhaya hai

2. Prabhu ne khud dharma ko jivan main utara hai

3. Prabhu ka dharma hit kaarak hai

Apne jivan main agar koi bhi acchi baat hai ya toh fir hum koi punya karte hai toh wo sab

k maalik bhi prabhu hi hai kyunki hum prabhu k leadership wale jain dharma k anuyayi

hai. Shashtra main bhagwan k liye likha hai k "tesim aarahannaayganam"

Matlab: prabhu apni saari aaradhna k nayak hai.

Koi jwellery show-room main agar sachha moti ho toh wo show-room ki shobha badhata

hai lekin wo moti aakhir toh samandar main hi paida hua hai. Issi tarah agar hamare

jivan main koi achha gun ho toh wo hum sab ki shobha badhata hai lekin sachhe arth

main wo achhe gun k swami toh prabhu hai, kyunki ye sab achhe gun un k nayak hone ki

wajah se hum sab main aaye hai

Aise dharma k nayak prabhu ko anatar se ek prathana:

HEY DHAMMNAYAGANAM

HEY DHARMA NAYAK

AAP KI DHARMA NAYAKTA SIRF HUM SAB K VYAKTITVA MAIN NAHI LEKIN

HUM SAB K ASTITVA MAIN BHI ANUBHAV KAR SAKE AISI KRUPA DRASHTI

BANAYE RAKHNA......

DHAMMSARHINAM:

Prabhu mahavir dev

Shrenik raja k putra megh kumar

Prabhu ne megh kumar ko diksha di. Diksha ki pratham raat aur jamin pe sona theek

nahi laga. Dusre din prabhu ko charitra wapis dene nikle. Prabhu ne megh muni ko

samjaya aur wo fir se charitra aur dharma main sthir hue.

Ye hai prabhu ka dharma rath ka saarthi pan (saarthi~who handle rath)

Jaise saarthi rath chalata hai aur us ko niyantrit karta hai theek issi tarah prabhu

dharma rupi rath ko chalate hai

Khud k aur dusro k jeevan main dharma ka paalan karne wale aur paap rupi shatru ko

niyantrit karne wale parmatma sachhe arth main dharma rupi saarthi hai.

Saarthi rath main hamesha aage hota hai.

Shri nandi sutra main likha hai "jayai suyanam pabhavo" matlab: prabhu sutra k

udbhav sthaan hai (origin). Iss tarah prabhu dharma rupi rath main aagam aur sutra de

k sab se aage rehte hai.

Dharma ki suruwat 3 prakaar se hoti hai.

1. Parlok main durgati hogi ye bhay se dharma hota hai.(fear of gettin bad life in next

birth)

2. Kisi k vachan sun k dharma hota hai.

3. Swabhav main hi dharma hota hai.

Tirthankar ka jeev 3rd prakaar ka hota hai.

Jamin k andar se jab rough dimond bhi nikle toh wo dusre pathhar se alag hota hai.

Tirthankar naam karma bandhne k baad jeev jab devlok main jata hai tab waha charitra

nahi hota hai fir bhi bhaav se charitra ka paalan hota hai. Koi pravaasi (one who travel)

Page 28: NAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: …xa.yimg.com/kq/groups/274593/81112391/name/NAMUTHHUNAM.pdfNAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: SAURABH VORA Before I start: Namami sharda devi Vidhyarambhe

beech main thakaan utarne k liye ruk jaye toh pravaas khatam nahi ho jata. Theek issi

tarah dev bhav k vishram k baad bhi prabhu ka charitra pravaas chalu rehta hai.

Saarthi 2 mahatva k kaam karta hai.

1. Ashwa ko ankush main rakhna (to control d horse) (paap rupi ashwa)

2. Rath ko gati main rakhna (keep moving the rath)

Hum sab bahot bhav se moksh ki ichha karte hai lekin ab tak sansaar main hai kyunki

apne saarthi prabhu nahi hai.

SATYA K SAAMNE ASATYA

NITI K SAAMNE ANITI

MAITRI K SAAMNE VER

PREM K SAAMNE ZER

AUR SWARG K SAAMNE NARAK HAI..

WOHI HAI KURU KSHETRA PAR KALYUG TO DEKHO "SAARTHI PRABHU

NAHI WOHI FARAK HAI"

Aise dharma rupi saarthi ko ek prathana:

HEY DHAMMASARHINAM

HEY DHARMA SAARTHI

YE KURU KSHETRA RUPI SANSAAR MAIN KOURAV RUPI KARM SENA K

SAAMNE HUM AKELE KABHI JIT NAHI SAKENGE. HUM SAB AAP K SAARTHI

HONE KA SWIKAAR KARTE HAI. HUM SAB KO AAP ARJUN HONE KA EHSAAS

DILA DO SWAMI...

AISA ARJUN K JIS KA LAKSHYA SIRF EK HI HO.....

MOKSH...............

DHAMMAVAR CHAURANT CHHAKVATINAM

Ayodhya main sihansan pe bethe hue raja bharat ko ek baar dharma sankat aaya. Ek

saath 2 achhi khabar mili. Unki aayudh shala main chakrvati banne k liye jaruri aisa

chakra ratna utpann hua aur utne main hi pita rushabh dev k keval gyan ki khabar mili.

Dono main se sab se pehle kis k liye utsav kiya jaye iss soch main bharat raja pad gaye.

Thode hi samay main unho ne nirnay le liya. Khud k rajya shashan se jyada mahatva un

ko pita k dharma shashan ka laga.

Muh se shlok nikal gaya

"Kav vishwa bhay dastat: kav chakram prani ghatkam"

Matlab: kaha sampurna vishwa ko abhay daan dene wala dharma chakra aur kaha prani

ki hinsa karne wala chakravati ratn???

Dharma chakra ki mahima raja bharat ko samaj aa gayi

Koi bhi jeev ki hinsa kiye bina sab k ho k sab ko apna banane ka STRATAGIC

APPROACH matlab charitra

Jagat ko niyantran main rakhne ki wajah khud ko niyantran main rakhne ka LOGICAL

APPROACH matlab charitra

Anant samay se chal rahe 4 gati k paribhraman ko rokne ka MAGICAL APPROACH

matlab charitra

Aise 4 gati k sansar ka ant lane wale charitra dharma naam k chakra ko dhaaran karne

wale prabhu ko namaskaar

Page 29: NAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: …xa.yimg.com/kq/groups/274593/81112391/name/NAMUTHHUNAM.pdfNAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: SAURABH VORA Before I start: Namami sharda devi Vidhyarambhe

Charitra dharma anant jeev ko abhay daan deta hai

Charitra dharma bhav ko rokne wala hai

Charitra dharma vishw shanti ka updeshak hai.

Aise sarvotam, sarvotkrusht, sarv shrestha, sarvochh aur bhavo chhedak (one who stop

bhav) charitra dhaaran karne wale prabhu se ek hi prathana:

HEY DHARMA VAR CHAURANT CHAKRA VATI

AAP NE YE JO CHARITRA CHAKRA BATAYA HAI US K DWARA HUM SAB K

BHAV CHAKRA KA JALDI SE ANT HO AUR AAP KA SADHANA PATH HUM SAB

KA JIVAN PATH BAN JAYE AISI KRUPA KARNA... !!!!

APPADIHAYVARNANAM DANSANDHARANAM

Vishwaa main ek niyam hai.

WHERE THERE ARE VARIATIONS, THERE IS A CLIMAX.

Har vastu ka kahi na kahi pe ant hota hai. Matlab k har cheej main koi na koi cheej

supreme hoti hai.

Har jeev main raha hua bal (taakat) alag alag hota hai. Lekin ye sab se b jyada bal kahi

na kahi kisi main mil jata hai.

For eg. Agar 1 se 10 numbers main 10 sab se badda hai toh iss ka matlab ye nahi k 10 se

badda number hoga hi nahi. 10 se badde b kahi numbers hum ko milte hai.

Issi tarah har vyakti k gyan main b farak hota hai. Kisi ko kahi saalo pehle ki baat b yaad

hoti hai toh koi agle din kya khaya wo b bhul jata hai. Koi dur ka dekh sakta hai toh kisii

ko chasma ki jarur padti hai.

Lekin jis ko samay aur sthal ka koi bandhan nahi hota hai, jis ko kaal ki koi maryada

nahi hoti hai, jo avinashi hai aur sab se uttam hai waisi gyan shakti aur darshan shakti

matlab keval gyan aur keval darshan

Duniya ki har shakti ya labdhi khatam hoti hai lekin karma ka bandh tutne se utpann

hone wali ye dono shakti (keval gyan & keval darshan) ajar amar hai.

Aadmi padha hua bhul jata hai. Kitni bhi tej yaad shakti ho fir bhi dusre janam main fir

se sab sikhna padta hai. Lekin keval gyan aur keval darshan sampurna gyan hai.

Aise appdihayavarnanam (apratihat~ avinashi gyan matlab keval gyan) aur sarv darshin

(keval darshan dhaari) prabhu ko antar se ek prathana:

HEY AJAR AMAR GYAN KO DHAARAN KARNE WALE PRABHU !!!

HUM SAB APNE GYAN AUR DARSHAAN KI MARYADA JAAN SAKE. AAP KA

KEVAL GYAN HUM SAB K LIYE TATV GYAN BAN JAYE AUR AAP KA GYAN

HUM SAB KI SHRADHHA BAN JAYE.

VIYATCHAUMANAM:

Jivan main kabhi aap ko bukhar(fever) nahi aayega..

Jivan main kabhi aap budhe nahi honge...

Jivan main kabhi aap garib nahi honge...

Jivan main koi aap ka apmaan nahi karega...

Jivan main kabhi kuch bhul nahi jaoge....

Ye sab mann ki kalpana hai..

Page 30: NAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: …xa.yimg.com/kq/groups/274593/81112391/name/NAMUTHHUNAM.pdfNAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: SAURABH VORA Before I start: Namami sharda devi Vidhyarambhe

Agar aisi kalpana hi karni hai toh itni chhoti chhoti kyu???

Aao aur kuch badda sochte hai......

Jivan main aap ko kabhi bhukh pyaas nahi lagegi

Jivan main kabhi neend nahi aayegi

Jivan main kabhi kashta nahi hoga

Kabhi mann ka rog nahi hoga

Kabhi gussa nahi aayega

Kabhi laalach (greediness) nahi aayegi

Kabhi kisi cheej ka darr nahi lagega....

Aao aur aage sochte haii...kalpana karni hi hai toh itni chhoti kyu????

Aap ko param sukh ki anubhuti hogi

Aap ko duniya k bhut kaal (past), vartmaan kaal (present) aur bhavishya kaal (future) k

sabhi drashya ONLINE dikhne lagenge

Aap ko kabhi raag dwesh, harsh shok, pasand aur na pasand jaisi feelings nahi aayegi

Ye jo hai wo koi kalpana nahi hai...ye hai 100% satya

Tirthankar prabhu ki chhadmashtha avastha (diksha se le kar k keval gyan tak ka

samay) khatam hote hi (i.e. keval gyan hote hi) ye sab ALLOWANCES un ki sadhana ki

khushi main DHARMA maha sata ki aur se milte hai

Koi jail k muzrim ko high court agar nirdosh bata de toh us k sar pe laga hua saara

kalank mit jata hai theek issi tarah se karma sata ki court main jab aatma ko nirdosh

bataya jata hai tab us aatma ki chhdmashth avastha purna hoti hai aur anant gyan ki

utpatti hoti hai aur wo hai

KEVAL GYAN

Dakshin bharat k kolar gold field (kgf) se gold mil aaya uss b jyada.....

Gujarat main kahi kahi jagah se jamin se tel (oil) mil aaya uss se bhi jyada....

Anek rog ki dawai vigyaan ne dhund li uss se bhi jyada....

Organ transplant ki technology se bhi jyada....

Samudra k paani ko mitha bana diya uss se bhi jyada.....

Agar koi sarvottam ghatna hai toh wo hai aatma main chhupe hue anant gyan aur anant

darshan ka darshan....

Matlab chhadmashtha avashtha ka naash aur keval gyan ki prapti..

Aise chhadmashtha avastha ka nash karne wale viyatchhaumanam prabhu se ek hi

prathana:

HEY DEVADHIDEV

HEY HUM SAB K ANTAR KAMAL K SWAMI

HEY NATH

HEY JAGAT TAARAN HAAR

HEY KARUNA NIDHAN

HEY TRI LOK NATH

HEY DAYA SAGAR

HEY KRUPA GANGOTRI

HEY MANGAL KARTA

HEY PAAP NASHAK

HEY DHARMA STHAPAK

Page 31: NAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: …xa.yimg.com/kq/groups/274593/81112391/name/NAMUTHHUNAM.pdfNAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: SAURABH VORA Before I start: Namami sharda devi Vidhyarambhe

HEY VIYATCHHAUMANAM !!!!

AAP NE TOH AAP KI CHHADMASHTHA DASHA KA NAASH KIYA AUR KEVAL

GYAN KI PRAPTI KAR LI..HUM SAB MAIN ABHI TOH WO YOGYATA HAI NAHI

LEKIN HUM SAB AAP KI YE KEVAL GYAN DASHA KI UPASANA KAR K AGAR

SIRF AGYANI SE GYANI (SAMYAK GYANI) BHI BAN JAYE TOH YE JANAM

SAFAL HO JAYEGA....

JINANAM JAAVYANAM

TINANAM TAARYANAM

BUDHHANAM BOHYANAM

MUTANAM MOAGANAM

Fagan sud 13...6 gaau ki yatra...abhay ko koi dharm shala main jagah nahi mili..theek issi

tarah vaibhav bhi mandir k bahar betha tha aur uss ne abhay ko bola k kahi jagah na

mile toh yaha aa jana

Ajay raaste pe chal raha tha...aisa laga k raasta bhul gaya...vijay ko dekha...us ko raasta

pucha...vijay bola main khud 2 ghante se raasta dhund raha hu....

Jo khud raasta nahi janta wo kisi aur ka path darshak nahi ban sakta...

Jis ka khud ka koi thikana nahi wo kisi aur ko kaha se thikane pe lagayega???

Jis k Khud k paas buddhi nahi hai wo kisi aur ko kya buddhi dega???

Shri yasho vijay ma.sa. ne likha hai k:

Gyani kriya par: shanto bhavitatma jitendriya:

Swayam tirno bhavambodhe: paramstaryintu ksham:

Gyani purush jo hota hai wo shant aur bhavya aatma hota hai aur indriya pe jit prapt

karta hai aur khud k gun dwara anay k apradh ko b kshama karta hai..

Bhagwan ka udhhar ho gaya hai uss se b jyada bhagwan udhhar karne wale hai ye sab se

jyada mahatva purna hai.

Bhagwan bhavsagar ko tair (swim) gaye hai iss se jyada wo hum sab ko taarnare (taaran

haar) hai ye jyada aakarshak (attractive) hai

Crore pati vyakti k liye SHRIMANT shabd istemaal kar sakte hai lekin UDAAR shabd

istemaal ho sakta hai ya nahi wo nakki nahi hai...

Paani main patthar tair nahi sakta aur dub jata hai. Paan (leaf) paani main tairta hai

lekin kisi aur k tairne ka nimit nahi ban sakta. (Mostly koi cheej paan ka support le k tair

nahi sakti). Jab ki lakda (wood) khud toh tairta hai lekin dusro k tairna ka nimit b banta

hai

Naiya main jo sthaan naavik ka hai...bus main jo sthaan driver ka hai...

Plane main jo sthaan pilot ka hai...wo sab se bhi mahatva ka sthaan jivan main bhagwan

ka hai...

Toh aise sab ki bhav sagar ki naiya ko sansar sagar main se taira k moksh tak le jane

wale prabhu ko ek hi prathana:

HEY JAGAT TAARAN HAAR !

HEY HRADAY K SWAMI !

KHUD K PAAS JO HO USS MAIN SE THODA DENE WALE BAHOT MILTE HAI....

KHUD K PAAS JO HO USS MAIN SE BAHOT DENE WALE THODE MILTE HAI....

Page 32: NAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: …xa.yimg.com/kq/groups/274593/81112391/name/NAMUTHHUNAM.pdfNAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: SAURABH VORA Before I start: Namami sharda devi Vidhyarambhe

LEKIN KHUD K PAAS JO HO WO SAB KA SAB DENE WALE TOH SIRF AAP AUR

AAP MERE SWAMI...........

AAP KI VITRAAG DASHA HUM SAB KO MOKSH KI AUR LE JAYE AISI ANTAR

KI ABHILASHA…

SAVVNUNAM SAVVDAARISHINAM

Koi function main agar sab apni masti main mast ho aur achanak se camera man ya fir

video man k video ka focus apni aur aa jaye toh hamara vartan sabhyata se bhara hua ho

jata hai

Agar kisi ko chhupi najar se dekhte ho aur agar aap ko patta chal jaye k saamne wali

vyakti ye baat jaanti hai toh aap ki drashti main sayam aa jata hai

Chalu class main baate karte hue bachhe ko agar patta chal jaye k teacher us ko dekh

rahe hai toh bachha shant ho jata hai.

Office main lage hue close circuit camera hum sab ko kaam main vyast rakhte hai.

Ghar main khule dil se baat karte hue pati patni ko agar patta chale k koi badda baju

main hai toh un k vartan main maryadaa aa jati hai

Kisi k camera main capture ho jane ka ehsaas vyakti ko hamesha bhaan main rakhta hai.

Savvnunam aur savvdarishinam kitne majjedaar shabd hai.

Mere prabhu sarvgya hai aur mere prabhu sarv darshi hai.

Keval gyan k aur keval darshan k camera main apni saari harkat ka footage store ho raha

hai agar ye khyaal dil main ho toh shayad hum kabhi paap ki aur kadam na badhaye..

Mere prabhu sab jaante hai

Mere prabhu sab dekh rahe hai ye baat janne wala kabhi koi paap kar hi nahi sakta.

Khud ki sab anjaan baate bhi prabhu ko ONLINE hai ye bhaar agar dil pe ho toh jivan

ki gaadi kabhi OFF TRACK nahi hoti.

Aise sarvgya aur sarva darshi prabhu ko keval ek hi prathana:

HEY SARVGYA

HEY SARV DARSHI

HEY KEVAL GYAN K SWAMI

HEY MUKTI RAMNI K SWAMI

HEY BHAY BHANJAN

HEY SUKH DATA

HEY TRI LOK NATH

AAP KI DRASHTI K PRABHAV MATRA SE ROG UPDRAV SAB SHANT HO JATE

HAI..AAP K GYAN KA YE SAMAST 14 RAJ LOK MAIN KOI VIKALP NAHI

HAI...AAP HUM SAB KI JIVAN NAIYA KO SANSAR SAGAR SE PAAR LAGA DO

SWAMI...AAP TOH SAB JAANTE HO....

MERE MANN KI TUM SAB JANO...KYA MUKH MAIN KUCH KAHU????????

Page 33: NAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: …xa.yimg.com/kq/groups/274593/81112391/name/NAMUTHHUNAM.pdfNAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: SAURABH VORA Before I start: Namami sharda devi Vidhyarambhe

SHIV MAYAL MARUY MANANT MAKKHAY MAWWABAH

MAPUNRAVITI SIDDHIGAYI NAAMDHEYAM THANAM

SAMPATANAM

Last kuch mahino se sirf mumbai hi nahi lekin pure bharat aur bharat k bahar bhi...sirf

jain nahi non-jain main bhi hazaaro logo k mobile main ek gaana milega

TU MANE BHAGWAN EK VARDAAN AAPI DE

JYA VASE CHE TU MANE TYA STHAAN AAPI DE

Sansaar ek aisi kharab bhugol (geography) hai k kuch bhi mango nahi milega

Aur issi liye yaha manga gaya hai

MOKSH

Ye vishwa k har ek kone main log rehte hai. Kahin pe slum area hai kahin pe gandki,

machhar jyada hai..kahin pe kabhi b bhukamp aa sakta hai...kahi garibi jyada

hai....japan main bhukamp aur tsunami hai...pakistan main aatank...africa main

chori..somaliya main bhukh mara....

Aaj duniya main pani hai..kal pani main duniya hogi...

Ye sab ko dekh kar bhagwan se moksh manga gaya hai.

Sansaar bhade pe liya hua ghar hai...aafat jis ki pehchan hai wo hai sansaar...

Jaha pe sirf parivartan hi kayam (always) hai wo hai sansaar

Jaha pe anishchitata (temporary ness) nischit (permanent) hai wo hai sansaar..

Aur ye sansaar k upar hai moksh

Moksh ki 7 pehchaan hai

Waha pe karma ka koi updrav nahi hai (siv)

Waha pe koi chalit nahi karta. Waha sab sthir hai (achal)

Waha sharir nahi hai iss liye koi rog nahi hai (arujam)

Waha jiv ka mrutyu nahi hota (anant)

Sidhh shila shashwat hai (akshay)

Waha pe koi aafat nahi hai (avayabadh)

Waha se kabhi wapis nahi aana hota (apunravruti)

Toh aise prabhu se ek prathana:

HEY PRABHU

JYA VASE CHE TU MANE TYA STHAAN AAPI DE...

NAMO JINANAM JIYBHAYANAM:

Sayonga viyogaanta:

Har sanyog ka viyog hota hai.

Man pasand cheej kab dur ho jayegi us ka bhay hamesha hota hai.

Mousam kharab ho tabhi bimar hone ka darr..kabhi sambandh khatam ho jane ka

darr..kabhi ghar gir jane ka darr..kabhi beta sahi raaste pe hai ya nahi us ka darr...

Sanyog pe khadi sansaar naam ki buildng matlab BHAY KA ADDRESS.

Yaha koi bhay mukt nahi reh sakta..

Bhay mukt hone k liye bhav mukt hona jaruri hai.

Sansaar khatam ho jane se achal moksh ka sthaan mil jata hai aur iss liye jineshwar

bhagwan ko koi darr nahi hota.

Page 34: NAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: …xa.yimg.com/kq/groups/274593/81112391/name/NAMUTHHUNAM.pdfNAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: SAURABH VORA Before I start: Namami sharda devi Vidhyarambhe

Jiybhayanam matlab jis ne bhay ko jita hai un ko namam.

Ye sutra ki suruwat huyi NAMUTHUNAM (namo) shabd se..

Aur yaha pe ant samay pe fir se NAMO JINANAM JIYBHAYANAM aaya..

Jaise k namo shabd ki circuit ban gayi..

Namo arihantanam

Namo bhagwantanam

Namo aaigaranam

Namo tithayaranam

Namo sayamsubuddhanam............se le k namo jinanam jiybhayanam

Jabhi b koi sankat aata hai tabhi

NAMO JINANAM JIYBHAYANAM ka jaap karna chahiye.

Ye karne se mann shant ho jata hai.

Aise bhay nashak prabhu ko ek hi prathana:

NIRBHAY HUA TUJ DARSHAN SE, BHAY SAB DUR HUE...

BHAV SAGAR MAIN TAIR GAYA, TUJ DARSHAN SE SANKAT SAB CHUR CHUR

HUE...

JE A AYIYA SIDHHA

JE A BHAVISANTINA GAYKAALE

SAMPAYI Y VATMAANA

SAVVEE TIVIHENAM VANDAMI

Namaskar matlab corporate jagat ki sab se baddi company. Uss k share holders ko yaha

sab se baddi scheme di gayi hai.

Namaskar split ho k anant kaal k paar ho chuke aur hone wale sabhi tirthankar prabhu

ko sparsh karta hai.

Ye namskaar ka uchharan bhale hi LOCAL hai lekin vicharan GLOBAL hai.

Jo jin bhut kaal main hue jo vartmaan main hai aur jo bhavishy main honge wo sab ko

yaha vandan kiya gaya hai.

Anant tirthankar ho gaye aur anant honge...aakash k taare ginne hai toh gin sakte hai

lekin arihant ki sankhya nahi...ye sabhi arihant ko apne anant rup ki kalpana kar k, har

ek rup se har ek arihant ko vandan karna hai

Aise sarv kaalin

Anant tirthankaro ko koti koti vandan

PRABHU JIVI BANNE K BHAV MAIN VASTU JIVI BAN K HUM SAB REHTE HAI.

HAR CHEEJ YAAD HAI LEKIN PRABHU K 34 ATISHAY HUM KO PATTA NAHI

HAI.

PRABHU KO NAHI JANNA HUM SAB KA AGYAN NAHI LEKIN APRAADH HAI.

PRABHU GUN KA DARBAAR NAMUTHHUNAM SUTRA SE HUM SAB K SAAMNE

YAHA KHULA HAI...BAS AB SIRF YAHA PE JITNA LE SAKE UTNA LENA HAI. YE

SAMUDRA SE SIRF 2 BUND BHI LE LI JAYE TOH BHAV SAFAL HO JAYEGA.

NAMMUTHUNAM SUTRA K HAR EK PAD KO ANTAR SE NAMAN

SAB SE PEHLE MAA SHARDA KO NAMAN?

SHRI UDAY VALLABH VIJAY JI MA.SA. KO NAMAN?

Page 35: NAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: …xa.yimg.com/kq/groups/274593/81112391/name/NAMUTHHUNAM.pdfNAMUTHUNNAM WORD BY WORD AUTHOR: SAURABH VORA Before I start: Namami sharda devi Vidhyarambhe

UDAY VALLABH VIJAY JI MA.SA. K PUSTAK ARIHANT.COM K BINA SAYAD YE

NAMMUTHUNAM KA MEANING EXPLAIN KARNA NAMUMKIN THA.

SABHI GROUP MEMBERS KA KHUB KHUB AABHAR INFACT I WILL SAY

FAMILY MEMBERS KYUNKI AB YE SAB KI AADAT HO GAYI HAI.

AAP SAB K SAHKAAR K BINA SAYAD KABHI YE NAMUTHHUNAM KHATAM NA

KAR PATA..

LIKHTE LIKHTE BEECH MAIN KAHI BAAR LIKHNA BANDH KAR DIYA TAB

AAP SAB NE DI HUYI HIMMAT KAAM AAYI.

HAR KOI INSAAN JAB KUCH KHATAM KARTA HAI TAB US KO KISI MAHAN

PURUSH KO SAMRPIT KARTA HAI.

AAJ YE 5TH APRIL SE SURU KIYA GAYA NAMMUTHUNAM KA ARTH PARAM

PUJYA UDAY VALLABH VIJAY JI MA.SA. KO SAMRPIT KAR RAHA HU...

TVA DIYAM TUBHYAM SAMARPYAMI !!!

AAP KA DIYA HUA AAP KO SAMARPIT KARTA HU.

JIN AAGYA K VIRUDDH KUCH BHI BOLA HO YA TOH KISI KA MANN

DUBHAYA HO TOH MANN VACHAN KAYA SE MICHHAMI DUKKDAM

PLEASE DO VISIT: www.jainworld99.webs.com for more details.

Whatsapp: 09699445520

Saurabh Vora