23

Parosiyon kay Huqooq · 2017. 8. 9. · Parosiyon kay Huqooq Translated into Roman-Urdu by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami) 2 Bayan sunnay ki niyyaten Nigahayn neechi kiye khoob

  • Upload
    others

  • View
    15

  • Download
    0

Embed Size (px)

Citation preview

  • Parosiyon kay Huqooq Translated into Roman-Urdu by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

    1

    �� �ۡ� ���ۡ ��� ��� �� �ٰ���� ���� �� ��� �� ����ٰ�� ��� �� ��ۡ� ���

    � ���ٰ�ۡ �� � �!�ٰ��� ����ۡ� �"�ۡ� ��ۡ�����

    � �� �!�ٰ�� �#�ۡ��$ % �&'ۡ �( ��� �)*ٰ��ۡ�

    �+� �)� �, �!�ٰ�� -��$

    �.�ۡ� ���-��/ ����ۡ���$ -� �,�% �&'ۡ� �0 ��� �)�ٰ�0ۡ

    Parosiyon kay Huqooq

    ۡصٰحبَِك يَـا َحبِۡيـَب ا�� َلَِك َوا

    ٰ اٰ َ َو�

    ا�� َۡيَك يَا رَُسۡول

    َُم َعل

    َ� وةُ َوالس�

    ٰل لص�َ ا

    ــۡوَر ا�� ــا نُ ــٰحبَِك يَ ۡصَِــَك َوا ل

    ٰ اٰ َ َو�

    ۡيَك يَـا نَـِب� ا�� َُم َعل

    َ� وةُ َوالس�

    ٰل لص�َ ا

    Durood Shareef ki Fazeelat

    Umm-ul-Mu’mineen Hazrat Sayyidatuna ‘Ayesha Siddiqah �������  �����  ��  � ���� say riwayat hay kay Nabi-e-Rahmat, Shafi‘-e-Ummat, Tajdar-e-Risalat ٖ�� �� ���  ��� �� ���  ����� ��  ��� �� ���� ���� ka Farman-e-Shafa’at nishan hay: “Jo shakhs Jumu’ah kay din mujh par Durood Shareef perhay ga, baroz-e-Qiyamat us ki shafa’at mere zimm-e-

    karam per hogi” (Kan-ul-Ummal, vol. 1, pp. 255, Hadees 2234)

    Shafi o Naafi ho tum kaafi o waafi ho tum

    Dard ko ker do dawa tum pay karoron Durood

    (Hadaiq e bakhshish Safha269)

    َبِۡيب ۡ ال

    َ َۡوا �

    &د َصل َم�

    ُ مٰ َ�

    ُٰ َتَعا* ا��

    � َصل

    Meethi meethi Islami behno! Husool-e-Sawab ki khaatir bayan sunnay say

    pehlay achchi achchi niyyatayn ker lay. Farmaan e Mustafa ٖ�� �� � ��  ��� �� ���  ����� ��  ��� �� ���� ���� ”:

    ‘ ُُمۡؤِمِن َخۡيٌ ّمِۡن َعَملِه نِي�ة

    ٖۡال ’ Musalman ki niyyat us kay ‘amal say behtar hayn.

    (Mu’jam-ul-Kabeer, vol. 6, pp. 185, Hadees 5942)

    Do Madani Phool

    � Baghayr achhi niyyat kay kisi bhi amal khayr ka sawab nahi milta.

    � Jitni achchi niyyatayn Ziyada, utna sawab bhi Ziyada.

    www.dawateislami.net

  • Parosiyon kay Huqooq Translated into Roman-Urdu by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

    2

    Bayan sunnay ki niyyaten

    Nigahayn neechi kiye khoob kaan laga ker bayan suno gi. �Tayk laga ker

    bethnay kay bajay ‘ilm e Deen ki ta’zeem ki khaatir jahan tak ho saka do

    zaano betho gi. � Dhakka waghera laga to sabr karoon gi. � Jhiraknay

    ulajhnay say bachon gi. � Zaroratan simat Sarak kar doori Islami behno kay

    liye jaga kushada kroon gi. � َبِۡيبۡ ال

    َ َۡوا �

    &ُروا ا�� ,َصل

    ُكۡذُ ا�� ,ا

    َ waghera sun ,تُۡوبُۡوا اِ*

    ker sawab Kamanay aur sada laganay walay ki dil joy kay liye past awaaz say

    jawab don gi. � Ijtima’ kay bad khud aagay berh ker salam-o-musafahah aur

    Infiradi Koshish karon gi. Dauran-e- bayan mobile kay ghayr zaroori istimal

    say bachon gi, Na bayan Record karo gi aur Na hi kisi aur qism ki aawaz (kay

    iski ijazat nahi) � Jo kuch sunogi usay sun kay samajh kay us par ‘amal kernay

    kay ba’d Mein doosroo tak pohancha kay nayki ki da’wat ‘aam kernay ki

    Sa’adat haasil karoon gi

    َبِۡيب ۡ ال

    َ َۡوا �

    &د َصل َم�

    ُ مٰ َ�

    ُٰ َتَعا* ا��

    � َصل

    Dawat-e-Islami kay ish’aati idaray Maktaba-tul-Madinah ki matbu’a kitab

    ’Uyoon-ul-Hikayaat hissa Doom” safha number 240 par ayk nihayat sabaq

    Aamoz Hikayat mujood hayn. Chuna-chay

    Haatim Ta’i ki sakhawat

    Hazrat Sayyiduna Milhaan Ta’i ���� ���  �����  ��  ��� � �� say manqool hayn , Haatim Ta’i ki zaujah nay us ki sakhawat ka ayk waqi’ah bayan kertay huway bataya kay ayk

    martaba qahat saali nay puray mulk ko apnay lapait mayn lay liya zameen nay

    bilkul sabzah na ugaya . Aasman say poora saal baarish na huyi. Ount (camel)

    saara saara din Pani Ki talash Meinphirtay laykin unhayn aik qatrah pani na

    milta. Har zi rooh (Jan Daar) bhook o piyas say be taab tha. Aik raat sardi nay

    apna poora zoor dikha rakha tha aur hamaray ghar mayn khanay kay liye aik

    luqmah bhi na tha. Hamaray bachhe Abdullah,’Adi aur (aik Bayti) Saffanah

    bhook say bil bila rahay the bil Aakhir Raat kafi dair ba’d thak har ker dono

    bachhe so gaye. Hum nay unhayn aik chitayae par litaa diya phir teesray ko

    bahlanay lagay, bil aakhir wo bhi sogaya. Haatim Tay nay kaha: aaj na janay

    mujhay neend kyun nahi aa rahi? Phir wo idhar udhar tahalne laga. Achanak

    hamaray ghar kay bahaar kisi ki aahat sunaye di. Haatim tay nay buland

    www.dawateislami.net

  • Parosiyon kay Huqooq Translated into Roman-Urdu by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

    3

    aawaz say kaha kaun hay? Laykin kisi nay jawab na diya. Mein baahar gaye

    aur Halaat ka jayezah lay ker wapas aaye aur Haatim ko bataya: aap ki fulaa

    parausan hayn, is karay waqt mayn aap kay ‘ilawah koi aur usay nazar na aaya

    jis kay paas jaa kar panah layti. Apne bhookay bachho ko Aap kay paas laye

    hayn, woh bhook say is tarah bil bila rahay hayn jaysay kisi janwar kay bachhe

    chekhtay hayn. Yeh sun ker Haatim tay nay kaha: usay jaldi say mere paas

    laao Mein nay kaha: hamaray apnay bachhe bhook say maray ja rahay hayn,

    unhayn dene kay liye hamaray paas kuch nahi to phir bechari parausan aur us

    kay bachhon ki hum kiya madad karay gay? Haatim tay nay kaha khamosh

    raho Allah Ta’aala zaroor tumhara aur un sab ka pait bhare ga, jaao! Jaldi say

    us dukh yaari maa ko andar bulalo. Mein nay usay bula liya. Us ghareeb nay 2

    bachhay apni gaud mayn uthaye huway thay aur 4 bachhay us say liptay

    uskay peechay aarahay thay. Haatim tay nay unhayn kamray Mayn bithaya

    aur apna aik ‘umdah janwar zibah kar kay aag jalaye jab sho’lay buland honay

    lagay to chhuri lekar uski khaal utari phir us aurat ki taraf chhuri barhate hue

    kaha: khaao aur apne bachho ko bhi khilaao phir mujh say kaha: tum bhi

    khaao aur baccho ko bhi jaga do ta kay woh bhi apni bhook mita sakay.

    Hamari parausan thora thora gosht kha rahi thi. Us ki jihjhak mahsoos kertay

    huway Haatim Tay nay kaha kitni buri baat hayn kay tum hamari mehman

    (guest) ho ker thora thora kha rahi hon. Yeh keh ker woh hamaray qareeb hi

    tahalnay laga. Hum sab khanay mayn masroof thay aur Haatim tay hamari

    janib daykh raha tha. Hum nay khoob sayer ho ker khaya, laykin ba khuda

    Haatim tay nay aik booty bhi na khaaye, halan kay wo hum sab say Ziyada

    bhooka tha. Subh zameen par haddiyon aur khuroon kay siwa kuch na bacha

    tha. (‘Uyoon-ul-Hikayaat, jild2 safha240)

    Meethi meethi Islami behnon! Bayan kardah Hikayat naseehat kay kaye

    Madani phoolon ko apnay daman mayn samoye huway hayn , maslan phalay

    kay logon mayn parausiyon ki khayr Khuwahi aur unki takleefon ka ihsaas kis

    qadar koot koot kar bhara huwa tha, Haatim tay jo zamanah e jahilyat mayn

    sakhawat mayn kaafi mashhoor samjha jata tha, khusosan apnay paroosiyon

    (neighbours) par bahut ziyada maharban, un ka sachcha khayr Khuwah aur

    hajat mand parausiyon ka sahara tha, us kay paraus mayn koi takleef mayn

    mubtala hota to us ki raato ki neenday ur jaati aur us par bay sukooni ki

    kayfiyat taari hojati. Is Hikayat say ma’loom huwa kay parausiyon kay sath

    husn e sulook kay sath paysh aana zamana e qadeem say hi logon kay

    www.dawateislami.net

  • Parosiyon kay Huqooq Translated into Roman-Urdu by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

    4

    darmiyan raa`ij tha, phir jab Islam ka sooraj tulo’o huwa to is ‘Aalamgeer

    mazhab aur Bandon kay Huqooq kay sab say bare ‘Alam bardaar e Deen nay

    parausiyon kay Huqooq ki Ahamiyyat ko mazeed char chand laga diye,

    chunanchay Deen Islam ki khaatir mar mitnay walon, Khuda Ta’aala kay

    ahkamaat kay aagay sar tasleem Kham kernay walon aur Mustafa jan e

    rahmat ���� ����  �ٖ� �� ���  ��� �� ���  �����  ��  ��� �� kay shedaayion nay apnay Aqwaal o kirdar say parausiyon kay Huqooq ki aadayegi aur un kay sath husn e sulook baja laanay

    ki woh ‘Azeem misalayn qayem kar dikhaye kay jinki misaal tareekh e ‘Aalam

    mayn milni mushkil hayn. Aayye ba tor targheeb parausi kay sath husn e

    sulook par mushtamil aik Iman afroz Hikayat Suntay hayn aur Naseehat kay

    Madani phool chuntay hayn, chuna-chay.

    Aik parausi ki taubah

    Hazrat Sayyiduna Abdullah bin raja’ah ���� ���  �����  ��  ��� � �� bayan kertay hayn kay koofa mayn Imam A’zam Abu Hanifah ���� ���  �����  ��  ��� � �� kay paraus mayn aik mochhi (Cobbler) rehta tha jo tamam din to mehnat mazdoori kerta aur raat gaye

    ghar mayn Machli (ya kisi aur janwar) ka gosht le ker aata phir Usay bhoon

    ker khata. Is kay ba’d sharab Peeta, jab sharab kay nashay mayn dhut hojata

    to khoob shoor o gul kerta. Is tarah raat gaye tak Silsilah rehta yahan tak kay

    Usay neend ghayr leti. Karoron hanfiyoon kay ‘Azeem peshwaa Hazrat

    Sayyiduna Imam A’zam Abu Hanifah �� �� ���  �����  ��  ��� � �� ko is shoor o gul say be had takleef hoti laykin aap tamam raat namaaz mayn mashgool rehtay. Aik raat us

    humsaaye moochi ki awaaz na suni. Subh us kay bare mayn istifsar farmaya

    to aap ko bataya gaya kay kal raat us ko sipahiyon nay pakar liya hayn aur

    woh qayed mayn hayn. Imam A’zam ���� ���  �����  ��  ��� � �� nay Namaz e Fajr ada ki aur apni Suwari par Suwar ho ker Khalifah (caliph) kay paas pohanchay aur apnay

    aanay ki Khalifah ko Ittila’a bhej waye. Khalifah nay hokum diya, Aap   �����  ��  ��� � ���� �� ��� ki Suwari ki lagaam thaam kar nihayat hi ihtiraam kay sath farsh e shahi tak lay aao aur Aap ���� ���  �����  ��  ��� � �� ko Suwari say utar nay na diya jaye. Sipahiyon nay aysa hi kiya. Khalifah nay daryaaft kiya: kiya hukum hayn? Aap ���� ���  �����  ��  ��� � �� nay farmaya mera aik hamsaya mochi tha jisay kal raat sipahiyon nay pakar

    liya hayn uski aazadi ka hukum farmayiye. Khalifah nay farmaan nay jari

    kardiya kay us mochi ko furan riha kardo aur har us qaidi ko bhi rihaa kardo,jo

    aaj kay din pakra gaya hayn, chunanchay sabko aazad kardiya gaya. Phir

    www.dawateislami.net

  • Parosiyon kay Huqooq Translated into Roman-Urdu by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

    5

    Imam A’zam ���� ���  �����  ��  ��� � �� Suwari par suwar hokar chal diye. woh hamsaya unkay peechay peechay chalnay laga to imam A’zam ���  ��  ��� � ���� �� ���  �� nay pucha : aye Naujawan kiya humnay tumhayn koi takleef di? Usnay ‘arz ki :nahi balkay

    aapnay to meri madad farmaye aur meri sifarish farmaye , Allah ta’aala aap

    ko uski bahtar jazaa ‘Ataa farmaye kay aap nay hamsaaye ki Hurmat aur haq

    ki ri’ayat farmaye. Iskay bad us shakhs nay tauba karli aur gunahoo say baaz

    aa gaya. (Manaqib imam A’zam Safha224 to 225)

    Khayr khuwa hum bhi parausi kay banay

    Yeh karam ya Mustafa farmaiye

    Ne’mat Akhlaq kar di jiye Ata

    Yeh karam ya Mustafa farmaiye

    Meethi meethi Islami behno suna aap nay kay hamaray imam e A’zam abu

    haneefa apnay parosion kay sath kaysa husn e sulok ka bartao kia kartay thay,

    ba wajaod ye kay ap ka parosi nashay mayn bad mast ho kar rat gaye tak ap

    ko aziyyat deta or ap ki ibadat mayn khalal ka sabab banta,magar quban jaye

    kay waqt kay itnay bray imam ho kar bhi Aap ���� ���  �����  ��  ��� � �� nay apnay parosi ki us takleef deh harkat par usay eent ka jawab pathaer say denay ki bajaey ya

    kisi bhi tarah ki bad suloki kernay ki bajaey sabar ka muzaharah kia or

    musalsal dar guzar farmatay rahay hatta kay jab isi parausi ko kisi jurm mayn

    griftar kia gaya to ap kay pas moqa tha kay us kay khilaf muqaddama banwa

    detay ya khaleefa e waqt say us ki sifaarish kar kay usay saza dilwa detay

    magar ap nay aysa kuch nahi kia bal kay haqq e paros ki ria’yat kartay huay

    khaleefa e waqt kay pas ja kar is ki jaiz shikayat kar kay usay a’zad karwa diya.

    Aap kay is husn e akhlaq ka us kay dil par aysa asar huwa kay us nay apnay

    pichlay gunahon say sachi tobi ki or hamayshah kay liye gunahoo sa baz a

    gaya.

    Meethi meethi Islami behnon! Ma’loom huwa kay agar parosi ki janib say koi

    takleef pohanch jaye to jazbat mayn a kar us kay sath larai jaghra kernay ,us

    kay khilaf tadeebi karwai kernay ya usay kisi tarah ka nuqasan pohchanay kay

    bajaye sabar ka muzaharah kerna chahiye kyun kay parausi ki takleefoon per

    sabr karnay ki barakat say Insan Allah ��!�"�� ��#�� ka mahboob ban jata hay.

    www.dawateislami.net

  • Parosiyon kay Huqooq Translated into Roman-Urdu by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

    6

    Chuan-chay

    Mahboob-e-Rub-ul-Izzat, Muhsin-e-Insaniyyat ٖ�� �� ���  ��� �� ���  �����  ��  ��� �� ���� ���� ka farman aleeshan hay: Jin logon say Allah ��!�"�� ��#�� Mahabbat fermata hay un mayn wo shakhs bhi shamil hay jis ka bura parosi usay eeza day to wo us ki eeza

    rasaani par sabar karay yahan tak kay Allah ��!�"�� ��#�� us ki zindagi ya maut kay zrayae kifayat farmaye. (Mu’jam Kabeer jild2 Safha152 Hadees1437)

    Haq paraus kia hayn?

    Hujjat-ul-Islam Hazrat Imam Muhammad Ghazali ���� ���  �����  ��  ��� � �� farmatay hayn: yad rakhye! Haqq paraus sirf ye nahi kay parosi ko takleef pohchanay say

    ijtinab kia jaye, balkay parosi ki taraf say pohachnay wali takaaleef ko

    bardasht karna bhi haqq e paros mayn shamil hay. kyun kay ayasa bhi hota

    hay kay aik shakhs apnay paros ko takleef nahi pohnchata or is woh us kay

    badlay takleef nahi deta,halankay is tarah paros ka haqq adaa nahi hota,

    lihaza sirf takleefon par bardasht na karay balkay zarori hay kay us kay sath

    narmi or achchay tariqay kay sath paysh aye.(Ihya ul Uloom jild2 Safha247)

    Methi methi islami behno! Hamayn bhi chahye kay apnay parosi kay sath

    husn e sulook say paysh aye agar woh kisi aazmaaish mayn mubtala ho

    masalan us ka bachcha gum ho jay, us kay yahan fautgi ya dakayti ho jaye,

    makan ya chhat gir jaye aag lag jaye wo light, pani, bemari, ghraylo nachaki

    ya jhotay muqaddamay jaysay masaail say do char ho to hamayn foran apni

    taqat kay mutabiq us ki hajat rawai kartay huway usay masaail ki daldal say

    nikalnay ki koshish karni chahye, kion kay parosion kay sath achcha sulook

    karna aysa behtreen amal hay kay jis ki ta’leem khud hamara rabb e kareem

    hamayn irshaad farmata hay.chunachay para 5 sorat ul nisaa ki ayat number

    36 mayn irshaad baari Ta’ala hay:

    �� � �� �1�ۡ �� �2ٰ34 � � -56- ��0ۡ � �)ۡ7

    ��� ��ۡ-�$ � � - 58�ۡ �9 !ٖ�$ �ۡ

    �; � �� ? �� @ٰA�ۡ �Bۡ C �D�$ �� EFٰGٰ ��ۡ

    �� ��ۡ��H�ٰ ��ۡ �� @ٰA�ۡ�Bۡ C �. � -�I

    ۡJ �� �K �L�I

    ۡJ � -�I

    ۡJ �� �K ML�I

    ۡJ-�$ �K �0-

    �� �� N �O�ۡ �1�� �)ۡ$ -�,

    � Pۡ �Q���, )ۡ�, � K�R �S �� ? �2ٰ34 � T � % #ۡ

    �H�6- ��ۡ7 �T-�U �5 ?- �GVۡ �W ۙ Y � �ۡ�V

    �Z[\]

    www.dawateislami.net

  • Parosiyon kay Huqooq Translated into Roman-Urdu by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

    7

    Tarjama-e-Kanz ul imaan: Aur allah ki bandagei karo or is ka shareek kisi ko

    na thahrao or maan baap say bhalai karo or rishtay daron or yateemon or

    muhtajon or paas kay hamsaye or door kay hamsaye aur karwat kay sathi or

    rahgeer or apni baandi ghulaam say bayshak Allah ko khush nahi aata itranay

    wala barai marnay wala

    Is aaya muqaddasa kay tahat tafseerat e ahamadiya mayn hay qareeb kay

    hamsaye say murad wo hay jis ka ghar apnay ghar say mila huwa ho or dor

    kay hamsaye say muraad wo hay jis ka ghar muhallay dar to ho magar is ka

    ghar apnay ghar say mila huwa na ho ya jo parosi bhi ho or rishtay dar bhi wo

    qareeb ka hamsaya hay or wo jo sirf parosi ho rishtay dar na ho wo dor ka

    hamsaya ya jo parosi bhi ho or musalman bhi wo qareeb ka hamsaya or wo jo

    sirf parosi ho musalman na ho wo dor ka hamsaya hay. (Tafseerat e Ahmadiyyah

    surah nisa Ayat 36 Safha275 )

    Methi methi islami behnon! suna aap nay Kay islam kitna piyara mazhab kay

    jo na sirf hamayn apnay walidain or rishtay daron kay sath bhalai ka dars deta

    hay balkay hamayn ye bhi sikhata hay kay apnay qareebi or door kay

    hamsayon kay sath kaisa sulook karna chahye � �� �$ �% �&$�  �' �$ ( �$� ��! �" �� ��#�� quran e kareem kay ilaawa ahaadith mubarakah mayn bhi kasrat kay sath parosion ki ahmiyyat,

    un kay sath husn e sulook baja lanay or un kay huqooq ki baja aawari ka

    zehan dia gaya. aaye is zaman mayn aik bohat hi piyari hadith pak suntay hen

    or is say hasil honay walay madani phoolon ko dil kay guldastay mayn sajaane

    ki koshish kartay hayn ,chunachay

    Nabi e kareem, Rau’f ur Raheem ٖ�� �� � ��  ��� �� ���  �����  ��  ��� �� ���� ���� nay irshaad farmay: tumhe maloom hay kay parosi ka kia haqq (phir khud hi irshaad farmaya:) jab wo

    tum say madad mangay madad karo aur jab Qarz maangnay to qarz do

    muhtaj ho to usay do bemaar ho to ayaadat karo or jab usay khayr

    pohanchay to mubarak bad do or jab museebat ponhchay ta’ziyat karo or

    mar jaye to jnazay kay sath jaao or baghayr ijazat apni imaarat buland na karo

    kay us ki hawa rok do or apni handi say us ko ezaa na do, magar us mayn say

    kuch usay bhi do or meway kharido to us kay paas bhi hadyah karo or agar

    hadyah na karna ho to chhupa kar makan mayn lao or tumharay bachchay

    isay lay kar bahir na niklay kay parosi kay bachchon ko ranj hoga. tumhen

    maloom hay parosi ka haqq kia hay? qasam us ki jis kay qabza e qudrat mayn

    meri jan hay! mukammal tor par parosi ka haq adaa kernay walay thoray

    www.dawateislami.net

  • Parosiyon kay Huqooq Translated into Roman-Urdu by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

    8

    hen,wahi hen jin par Allah ki mahrbani hay. huzoor ٖ�� �� � ��  ��� �� ���  ����� ��  ��� �� ���� ���� parosi kay muta’alliq musalsal Wasiyyat farmatay rahay yahan tak logon nay guman kia

    kay parosi ko waris karden gay. phir Huzoor ٖ�� �� � ��  ��� �� ���  �����  ��  ��� �� ���� ���� nay farmaya: parausi 3 qism kay hayn baz kay 3 haqq hen baz kay 2 baz ka 1 haqq hay.jo

    parosi muslim ho or haqq e qrabat bhi rakhta ho, us kay 3 haq hen haq e

    jawar or haqq Islam or haqq e qaraabat. muslim parosi kay do haqq hen haqq

    e jawar or haqq e islam or Kafir parosi ka sirf aik haqq jawar hay.

    (Shu’ab ul iman Hadees 956 jild7 safha83)

    Methi methi islami behnon! Bayan kardah hadith say har aqal mand shakhs

    achchi tarah ye andazah laga sakta hay kay parosion kay Huqooq ki baja

    aawari,in ki khabar geeri o hajat rawai karnay,dil joi kernay, in kay sath

    achcha bartao kernay, inhayn khush kernay or takleef na pohchanay kay

    hawalay say Islami ta’leemat kitni shandar hen kay agar aaj Musalman Sahih

    ma’na mayn in Haseen ta’leemat ko apni zandagi ka hissa bana len or un kay

    mutabiq amal payra ho jaye to wo din door nahi kay hamaray ma’asharay

    mayn madani inqilab barpa ho jaye or mua’sharah aman ka gahwarah ban

    jaye magar afsos kay jaysay jaysay ham zamanay e Nabawi say door hotay

    jarahay hen degar mua’malaat kay sath sath ab parosion kay huqooq kay ki

    adaaigi kay muamlay mayn bhi pasti kay gahray garhay mayn girtay jarahay

    hayn, aik hi gali kay mahallay mayn salha saal guzar janay kay bawajod apnay

    parosi ki pahchan, is ki maujodgi or haqq paros say ghaflat ka ye aalam hota

    hay kay agar koi shakhs apnay azeez say milnay aye or ham say isi gali ya

    mahallay mayn rahnay walay apnay azeez ka pata maloom karay to ham

    baghlen jhanktay or sar khujatay hen. kyon kay hamayn bilkul khabar nahi

    hoti kay hamaray paros Mein kon rahta hay, is ka nam kia hay,kam kia karta

    hay,ham to bas apni masti Mein rahnay walay aysay bayhis hayn kay paros

    Mein maiyyat ho jaye,koi bemaar ho ya parayshani ka shikar hojaye to

    haymayn ta’ziyat o ‘Iyadat karnayn ya dilaasa daynay ki bhi tofeeq naseeb

    nahi hoti.

    Han! Maldaron, saython, afsaron, wazeeron, sahib e mansab logon, makhsos

    dosto, bradari walon ya aysay parosi jin say hamein apna kam nikalwana ho

    un kay yahan ham khushi ghami kay mawaqe’ par paysh paysh nazar aatay

    heyn ya inhayn apnay yahan ki taqreebat Mein bulatay he magar ghareeb

    parosion ki khayr Khuwahi karna ya in kay sath ta’lluqat qaim rakhna hum

    www.dawateislami.net

  • Parosiyon kay Huqooq Translated into Roman-Urdu by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

    9

    apni shan kay khilaf samjhtay he, baz naadan to aysay bayhis hotay he ghar

    kay andar mojood bhok o piyas, bemaari ya Aazmaish Mein mubtala bhaiyon,

    behnon hatta kay walidayn tak ko hi nahi pochtay to andaza lagaye kay wo

    ghar kay bahir walay parosion ka kia khayal rakheyn gay or kia un kay huqooq

    ada kareyn gay. Parosion kay huqooq ki ahmiyyat ka andaza is bat say lagaye

    kay kai buzurgon nay na sirf khud parosion kay huqooq ada famaye balkay

    dosray logon ko bhi is ki targheeb dilaye hay. Chuna-chay

    Parosion kay Aam Huqooq

    Hujjat-ul-Islam Hazrat Saiyyiduna Imam Muhammad Ghazali ���� ���  �����  ��  ��� � �� parosion kay huqooq bayan kartay huaye farmatay he: parosion kay sath

    salaam Mein pahal karay � Un kay sath taweel guftgu na karay �… in kay

    halaat kay baray Mein ziyadah suwaal na karay �…. Jab wo bemaar hon to

    un ki ayaadat karay �…. museebat kay waqt un ki gham khuari karay �….

    Mushkil waqt Mein un ka sath day �…. Khushi mayn un ko mubarak bad

    day… un ki khushi Mein shirkat karay �….Un ki laghzishon ko muaf karay

    �….. apni ghar ki chat say un kay ghar Mein mat jhankay �….un ki diwar par

    shahteer rakh kar, parnalay Mein pani gira kar or un kay sayhan Mein matti

    waghayrah daal kar unhayn takleef waygharah na pohnchaye �….un kay

    ghar kay rastay ko tang na karay �…… jo kuch wo apnay ghar lay jarahay hon

    us par nazren na garay �….. agar un kay uyoob is par zaahir hon to inhen

    chhupaye… agar inhen koi hadsah paysh aye to foran in ki madad karay �……

    parosion ki ghayr mojodgi Meinin kay ghar ki hifazat kernay Mein ghaflat ka

    muzaaharah na karay �…In kay khilaf koi bat na sunay un ki aworton kay

    samnay nazren neechi rakhay �…..in ki awlad kay sath narmi say guftugo

    karay �…..deen o dunya kay kisi muamlay Meininhen rahnumai ki zarurat ho

    to is Meinin ki rahnumai karay. (Ihya-ul-Uloom, jild 2 safha 772)

    Methi methi Islami behno! Hamaray aslaaf kiraam ko khudaye e rahmaan nay

    jahan degar bohat si umdah khobion say aarasta farmaya wahen Azeem ul

    shan wasaf bhi in ki mubarak tabeeaton Mein rasikh tha kay ye hazarat

    parosion kay muamlay Mein muhtat huwa kartay thay, parausion ko islam

    Mein kia marataba hasil hay, in kay kia huqooq hen,in ki janib say milanay

    wali takleefon kay jawab Mein in kay sath kis tarah ka sulook karna chaye ye

    hazarat in tamam cheezon ko dosron kay muqbalay mayn behtar tor par

    www.dawateislami.net

  • Parosiyon kay Huqooq Translated into Roman-Urdu by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

    10

    jantay thay, ham to parosion ka bura chahnay walay or eent ka jawab patthar

    say danay kay qail hen, jab kay ye allah walay puri zindagi huqooq Allah or

    huqooq ul ibaad ki ri’ayat karny bilkhusoos parosion kay huqooq ki baja

    awari, in ki khayr khuahi, in kay sath husn e sulook say paysh aanay ka amali

    muzaharh farmatay thay. Aaye! ba tor targheeb is baray Mein buzurgan e

    deen ki chand imaan afroz hikaayat sun ker un say hasil honay walay madni

    phoolon par amal ki niyyat kartay hen. Chuna-chay

    Ghayr muslim Musalman ho gaya Hazrat Malik Bin Dinar ���� ���  �����  ��  ��� � �� nay aik makan kiraye par lia.us makan kay bilkul muttasil ayk ghayr muslim ka makan tha.wo Bughz o inaad ki bina par

    nalay kay zaria ganda pani or ghalazat Aap ���� ���  �����  ��  ��� � �� kay kashan e azamat Mein dalta rehta, magar Aap ���� ���  �����  ��  ��� � �� khamosh hi rahtay, aakhir kar us nay ayk din aa kar khud hi arz ki, janab! Maray parnalay say guzarnay wali najasat

    ki waja say aap ko koi shikayat to nahi? aap nay nihayat hi narmi kay sath

    farmaya: parnalay sy jo gandagi girti hay us ko jharo day ker dhoo dalta

    hon.us nay kaha: ap ko itni takleef honay kay bawajod ghussa nahi ata?

    Farmaya ata to hay magar pi jata hon kion kay (para 4 sorah Aal-e-Imraan

    aayat number 134 mayn) Khuda-e-Rahman ka farman-e-Mahbbat nishan hay:

    �� �̂ _ � < � ̀ @� a �T�ۡ�B�bLۡ�7 �)ۡ7 �D

    � �̂ _ � <� c

    �� �� �d�ۡ�eۡ ��ۡ� �� �fQٰۡg �� % �h-�L �)

    �� ��ۡ��/- ��ۡ Y ��ۡ� �L ��"ۡ ��ۡ � K�R �S �2

    ٰ34i[j ۚ]

    Tarjuma-e-Kanz-ul-Imaan: Or ghussah penay walay or logon say dar guzar

    kernay walay or nayk log Allah kay mahboob hen

    Jawab sun ker wo ghayr muslim Musalman ho gaya. (Tazkirat-ul-Awliya safha51)

    Pura gharanah Musalman ho gaya

    Hazrat Ba-Yazeed Bustami ���� ���  �����  ��  ��� � �� ka aik ghayr muslim parosi safar Mein gaya us kay baal bachchay ghar rah gaye,rat ko us ka bachcha rota tha ap nay

    (is ki biwi say) pocha kion rota hay? Gahr Mein charagh nahi hay bachcha

    andharay say ghabrata hay.us din say Aap rozanah charagh khob tayl say bhar

    www.dawateislami.net

  • Parosiyon kay Huqooq Translated into Roman-Urdu by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

    11

    kar roshan kertay or is kay ghar bhaij dia kertay thay, jab wo ghayr muslim

    safar say wapis ayaa to is ki biwi nay ye waqia sunaya, wo ghayr muslim bola

    kay jis ghar Mein ba Yazeed ka charagh aa gaya, wahan andhayrah kion rahay

    wo sab kay sab Musalman ho gaye. (Mirat-ul-Manajeeh, Jild 6, safha 573)

    Sahal tustari ka parosi say husn-e-Sulook Hazrat Sayyiduna Sahal tustari ���� ���  �����  ��  ��� � �� kay aik ghayr muslim parosi kay bayt ul khala Mein hazrat sahal tustari ���� ���  �����  ��  ��� � �� kay gahr ki taraf ayk soorakh tha jis say najasat girti thi, Aap ���� ���  �����  ��  ��� � �� rat ko din bhar Mein girnay wali gandagi ko ayk konay Mein jama kardia kartay thay,jab ap bemaar

    huway to aap nay usay bula kar waqia bataya or mazrat khuwahanah andaz

    Mein kaha:mujhay dar hay(meri wafat kay bad) kay maray wurasa is bat ko

    bardasht na kar saken gay aur tum say jhagar paren gay. usay Aap ���� ���  �����  ��  ��� � �� kay itni bari eza par sabar kernay par bara ta’jjub huwa, us nay arz ki ap itnay

    taweel arsay say aysa kartay rahay or Mein hon kay ab tak kufr par qaim hon

    apna hath barhaye ta kay Mein Musalman ho jaon. Aap ���� ���  �����  ��  ��� � �� nay apna hath barhaya or ghayr muslim Musalman ho gaya, is kay bad Aap (���� ���  �����  ��  ��� � ��) ka bhi wisaal ho gaya. (Kitab ul kaba`ir safha241)

    Challis gharon par Kharch kia kartay Hazrat Sayyiduna Abdullah Bin Abu Bakr ���� ���  �����  ��  ��� � �� Apnay paros kay gharon Mein say daen baen agay peechay challis challis gharon kay logon par Kharch

    kia kertay thay, eid kay moqay par inhen qurbani ka gosht or kapray bhaijtay

    aur har eid par 100 ghulam azaad kia kartay thay. (Al Mustatraf, jild 1, safha 374)

    Khuwajah Ghareeb Nawaaz ���� ���  �����  �� ��� � �� aur parosion kay huqooq

    Hazrat Sayyiduna Khuwajah Ghareeb Nawaaz �����  ��  ��� � ���� �� ���  Apnay parosion ka bohat khayal rakha kartay, un ki khabar geeri farmatay, agar kisi parosi ka

    intiqal ho jata to is kay janazay kay sath zaroor tashreef lay jatay, is ki tadfeen

    kay bad jab log wapis ho jatay to ap is ki qabar kay pas tashreef farma ho kar

    is kay haqq Mein maghfirat o najat ki dua farmatay naiz is kay ahl khanah ko

    sabar ki talqeen kartay or inhayn tasalli dia kartay. (Mu’een-ul-Arwaah safha188)

    www.dawateislami.net

  • Parosiyon kay Huqooq Translated into Roman-Urdu by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

    12

    Methi methi Islami behno! Suna Aap nay kay parosion kay huqooq kay

    muamlay Mein hamaray buzurgan e deen ka andaz kis qadar shandar huwa

    karta tha kay jin kay husn-e-sulook ki barakatayn na sirf Musalman parosion

    ko muyassar, balkay ghayr muslim parosi bhi in kay husn e sulook say bayhad

    muta’assir thay, bawjod ye kay in ka parosi inhen aziyyat danay Mein koi

    kasar na chhorta magar ye hazarat sabar o riza kay paykar ban kar parosi ki

    janib ponhanchni wali aziyyaton ko bardasht kartay,inhen eid ki khushyon

    Mein apnay sath shareek kartay hatta kay parosi kay intiqaal kay bad is kay

    janazay Mein tashreef lay jatay, is kay haqq Mein dua e maghfirat farmatay or

    is kay ahl khana ko sabr ki Talqeen farmatay or yehi Islami ta’leemat ka taqaza

    hen. Afsoos sad afsoos! aj har shakhs apnay huqooq kay liye to aawaz buland

    karta hay magar apnay parosio kay huqooq ki bilkul prawah nahi karta, ham

    khud to kaseer ne’maton say fayzyab hotay or muragghan ghizaon par hath

    saaf kartay hen, lakin hamaray parosi kin halaat say guzar rahay hen hamayn

    is say koi saro kar nahen, agar hamara parosi kisi chez ka ham say suwal kar hi

    baythay to is ki hajat rawai par qudrat honay kay bawajod bhi kanjosi ka

    muzaharah kartay hen basa oqaat to intihai na rawan sulook say paysh atay

    hen, isi tarah baz nadano ka to ye haal hay kay wo apna kachra masalan

    phalon ya sabzion kay chilkay, qurbani kay janwar ka khon, is ki dum ya is kay

    chaychray waghayrah phaynknay,gandah pani chornay,bila ijazat is kay ghar

    Mein jhanknay,shadi ya degar taqreebat par ganay chalanay ,firing ya aatish

    bazi karnay, is key ghar ya dukan kay agay bila wajah rukawat laganay, is kay

    ghar ki ghanti bajanay, us kay bacho ko dhamkanay maarnay , is ki zat ya is

    say mut’alliq cheezon masalan qurbani kay janwar, makan, dukan ya gari

    waghayrah Mein ayb nikalnay, is ki diwar ko pan gutkay ki pichkarion say

    aalodah kernay waghayrah waghayrah muamlaat kay zareye apnay parosi ko

    sata kar or is ka chen o sukoon barbad kar kay apni qabar o aakhirat ko dao

    par laga detay hen. Ayson ko chahye kay wo parosion kay huqooq pamal

    kernay or inhen satanay say daren, kyun kay parosion ko satanay kay sabab

    Allah ��!�"�� ��#�� naraz ho gaya, is kay habib ٖ�� �� � ��  ��� �� ���  �����  ��  ��� �� ���� ���� roth gaye, to yad rakhye! Namaz rozon or sadaqah o khayrat ki kasrat bhi Jahannam kay azaab

    say nahi bacha sakay gi. Aaye! Parosion kay sath bad sulooki ki wae’edon par

    mushtamil 4 farameen e Mustafa sunye or ibrat hasil kayjiye, chunachay

    Nabi-e-Kareem ٖ�� �� � ��  ��� �� ���  �����  ��  ��� �� ���� ���� nay Irshad farmaya: Buhat say parosi qayamat kay din apnay parosion ka daman pakar len gay, mazloom parosi arz

    www.dawateislami.net

  • Parosiyon kay Huqooq Translated into Roman-Urdu by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

    13

    karay ga: Ya Rab ��!�"�� ��#��! Is say poch kay is nay mujh par apna darwazah band kar rakha tha or apni zarurat say zaid cheezen mujh say roki then. (Kanz ul

    Ummal jild5 safha23 juzz9 Hadees 24894)

    Ayk shakhs nay arz ki! Ya Rasoolallah ٖ�� �� � ��  ��� �� ���  ����� ��  ��� �� ���� ���� fulaan worat ka tazkirah is ki namaz sadqah aur rozon ki kasrat ki wajah say kia jata hay magar apnui

    zaban say parosion ko takleef deti hay. To Rasool e bay misaal bibi Aaminah

    kay laal ٖ�� �� � ��  ��� �� ���  �����  ��  ��� �� ���� ���� Nay irshaad farmaya: woh jahannami. Is nay phir arz ki: Ya Rasoolallah ٖ�� �� � ��  ��� �� ���  �����  ��  ��� �� ���� ���� ! fulaan aurat namaz o rozay ki kami aur panayr kay tukray sadqah karnay kay bais pahchani jati hay aur wo apnay

    parosion ko eza bhi nahi deti to Aap ٖ�� �� � ��  ��� �� ���  �����  ��  ��� �� ��� � ���� Nay irshaad farmaya: Woh Jannati hay. (Musnad Ahmed, vol. 3, pp. 441, Hadees 9681)

    Bargah-e-Risalat mayn ayk shakhs nay arz ki: Ya Rasoolallah ٖ�� �� � ��  ��� �� ���  �����  ��  ��� �� ���� ���� ! Mayn nay fulaan qabilay kay muhallay mayn rihaish ikhtiyar ki hay lekin un

    mayn say jo mujhay sab say ziyadah takleef dayta hay woh mayra sab say

    ziyadah qareebi parosi hay. To Sarkar-e-wala tabar, bay kason kay madadgar

    ٖ�� �� � ��  ��� �� ���  �����  ��  ��� �� ���� ���� nay Hazrat Abu Bakr ��  �����  ��  � ����$ ���� , Hazrat Sayyiduna Umer Farooq ��  �����  ��  � ����$ ���� , aur Hazrat Sayiiduna Ali-ul-Murtaza ��  �����  ��  � ����$ ���� Ko bhayja woh masjid kay darwazay per kharay ho ker zor zor say ye e’laan karnay lagay

    kay bayshak 40 ghar paros mayn dakhil hayn aur jis kay shar say is ka parosi

    khauf zadah ho woh Jannat mayn dakhil nahi hoga. (Mu’jam-ul-Kabeer, vol. 19, pp.

    73, Hadees 143)

    Ayk aur Hadees-e-Pak mayn hay: Jis nay apnay parosi ko iza di bayshak us nay

    mujhay iza di aur jis nay mujhay iza di us nay Allah ��!�"�� ��#�� ko di, Jis nay apnay parosi say jhagra kiya us nay mujh say Jhagra kiya aur jis nay mujh say lara’ie

    ki bayshak us nay Allah ��!�"�� ��#�� say lara’ie ki. (Kanz-ul-Ummal, vol. 5, pp. 25, Hadees 24922)

    Madani kaamon mayn say ayk Madani Kaam “Madrasa-tul-Madinah”

    Meethi meethi Islami behnon! Suna Aap nay kay parosiyon ko satana kis qadr

    tabah kun hay kay parosiyon ko takleef daynay kay sabab bandah Jannat say

    mahroom (Deprived) ho ker Jahannam ka haqdar qaraar pata hay, aysa

    shakhs Allah ��!�"�� ��#�� aur is kay Habeeb ٖ�� �� � ��  ��� �� ���  �����  ��  ��� �� ���� ���� ko iza dayta aur un say

    www.dawateislami.net

  • Parosiyon kay Huqooq Translated into Roman-Urdu by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

    14

    lara’ie mol layta hay. Lihaza parosiyon kay her mu’amilay ki khabar rakhiye,

    Inhayn takleef puhchanayn say bachiye aur ‘amali tor per parosiyon kay

    hamdard-o-khayr khuwah ban jaiey, parosiyon kay huqooq ki baja aawari aur

    un kay sath husn-e-sulook ka zehan bananay ka ayk bahtreen zari’ah Dawat-

    e-Islami kay Madani mahool say wabastah ho jana bhi hay kiyun kay is

    mahool mayn parosiyon kay huqooq ki baja aawari ka khoob khoob zehan

    diya jata hay, Lihaza parosiyon kay huqooq ki baja aawari aur un kay sath

    husn-e-sulook ka jazbah barhanay kay liye is madani mahool say wabastah ho

    ker zayli halqay kay madani kaamon mayn mashghool ho jaen. Zayli halqay

    kay madani kaamon mayn say ayk madani kaam “Madrasa-tul-Madinah”

    mayn parhna aur parhana bhi hay. Jis mayn Islami behnon ko durust makharij

    kay sath Quran-e-Kareem parhanay ka silslah hota ha. � �� �$ �% �&$�  �' �$ ( �$� ��! �" �� ��#�� Quran-e-Kareem ki ta’leem hasil karnay aur is ki tilawat karnay ki barkaton kay to kiya

    kahnay kay Sahib-e-Jod-e-Nawal, Mahboob-e-Rab-e-Zul-Jalaal ٖ�� �� � ��  ��� �� ���  ����� ��  ��� �� ���� ���� nay irshaad farmaya: Quran-e-Pak seekhna, is ki kasrat say tilawat karna aur

    is kay aja’ibaat mayn ghor-o-fikr karna apnay oper lazim ker lo, is kay zari’ey

    tum Jannat mayn (buland) darajaat ko hasil ker lo gay. (Kanz-ul-Ummal, vol. 1, pp.

    266, Hadees 2365)

    Meethi meethi Islami behnon! Tableegh-e-Quran-e-Sunnat ki ‘aalamgeer

    Ghayr siyasi tahreek, Dawat-e-Islami kay tahat dunya kay mukhtalif mumalik

    mayn bay-shumar Madaris ba-naam Madrasa-tul-Madinah baraey balighaat

    qa’im hayn, in tamam Madaris mayn � �� �$ �% �&$�  �' �$ ( �$� ��! �" �� ��#�� durust talaffuz kay sath Quran-e-Pak parhaya jata, mukhtalif du’ayn yad kerwa’ie jati aur sunnatayn

    bhi sikha’ie jati hayn. � �� �$ �% �&$�  �' �$ ( �$� ��! �" �� ��#�� Madrasa-tul-Madinah baraey balighaat ki barkat say ka’ie Islami behnon ki Islaah hui hay. Aaiye isi hawalay say ayk

    imaan afroz madani bahar suntay hayn.

    Mayn hayadar kaysay bani

    Ayk Islami behan ki tahreeri bayan ka lub-e-lubaab hay Dawat-e-Islami kay

    pakizah madani mahool say wabasta honay say pahlay mayn ayk fashanable

    larki thi. Nit naey faishon apnana, college mayn bay-pardah jana, nez

    couching center mayn larkon kay sath bay-takallufi say paysh aana mayray

    nazdeek ma’yoob na tha. Magar jab say Dawat-e-Islami ka pakizah madani

    mahool mila mayri zindagi mayn madani inqilaab barpa honay kay Ahwaal

    www.dawateislami.net

  • Parosiyon kay Huqooq Translated into Roman-Urdu by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

    15

    kuch yun hayn kay hamaray ‘ilaqay mayn Dawat-e-Islami kay tahat Madrasa-

    tul-Madinah balighaat ka aaghaz huwa to Dawat-e-Islami ki ayk zammah dar

    Islami behan nay bari mahabbat say Infiradi Koshish kartay huway mujhay

    tajweed kay sath Quran-e-Pak perhnay kay fazail aur bila-tajweed Quran-e-

    Pak perhnay ki wa’idaat sunatay huway saheeh talaffuz kay sath Quran-e-Pak

    perhnay ki dawat di. Islami behan ka andaz aysa mutasirkun tha kay mujh say

    inkaar na ho saka aur mayn nay Madrasa-ul-Madinah baraey balighaat mayn

    shirkat ki hami bharli pahlay roz jab mayn madrasay ga’ie to wahan ki

    ta’leem-o-tarbiyat ka nirala andaz daykh ker dil ko woh farhat-o-musarrat

    hasil hui jasay alfaz mayn dhalna bas mayn nahi.madarasay mayn ayk choti si

    library bhi qaim ki gai thi jis mayn shakh e Tareeqat ameer e ahl sunnat ………

    ki ta’leefat rassail aur bayanaat ki kasten mojod thi. mayn nay muallimah

    Islami behan say ki ijazat say chand rasaail liye aur ghar ja kar un ka

    muta’alah shuro kar dia sab say pahlay ayk risalah banaam ameer e ahl e

    sunnat ki jhalkian parha jis mayn oprashan kay waqt khof e khuda, ishq e

    Mustafa, imaan ki salamati ki fikr aur apnay mureeden,mutalliqeen aur

    Ummat e Mustafa ki maghfirat ki duaon ki maloomat nez aysi nazuk halat

    mayn bhi qawaneen e share’at ki muakmmal pasdari kay waqiyaat mari dil ki

    dunya ko tah o bala karnay kay liye kafi thay.mara imaan taza ho gaya mayn

    ameer e ahl e sunnart ki mutaqidah aur ap ki banai hui piyari piyari tahreek

    dawat e Islami say bay had mutassir hui is bad mayn nay Islami behnon kay

    ijtima mayn shirkat ko apna mamool bana liya ayk martaba ijtima’ mayn

    sunnaton bharay bayan kay bad e’laan huwa kay ab � �� �$ �% �&$�  �' �$ ( �$� ��! �" �� ��#�� Bay’at karwai jaye gi wakeel attar jo kisi dosray maqam pay thay nay laod speaker kay zarey

    ba’at say pahlay tobah karwai jis mayn ye alfaz bhi shamil thay” maan baap ki

    nafarmani, jhot, gheebat, chughli, hasad takabbur, wa’dah khilafi, gali galoch,

    filmen diramen, ganay bajay, bay pardagi, waghayrah waghayrah gunahon

    say bachti rahon gi” alfaz ada kartay waqt maray dil ki dunya zayer o zabar ho

    gai thi ghar wapis anay kay bad na janay dayr tak wo awaaz maray kanon

    mayn inhen alfaz ki gonj barqarar hi rahi mayn dil hi dil mayn sabiqah

    gunahon par malamat kar rahi thi. jab dil mayn mayn is ka ihsaas payda huwa

    to ankhon say barastay aansuon say is ka izhar bhi ho hi gaya hath bargah e

    khudawandi mayn utha kar apnay gunahon say muafi mangi aur walidayn say

    bhi apni kotahiyon par ma’zrat ki.dawat e Islami nay mujhay ayk pakeezah

    zindagi ata kar di. kal mayn baypardah aur fashan parast thi magar dawat e

    www.dawateislami.net

  • Parosiyon kay Huqooq Translated into Roman-Urdu by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

    16

    Islami nay haya ki chadar ata kar di aur mujhay sunnaton ka aadi bana dia.

    � �� �$ �% �&$�  �' �$ ( �$� ��! �" �� ��#�� ta dam e tahreer mayn aaqai mushawarat ki zimmah dar ki haysiyat say sunnaton ki khidmat kay liye koshan hon.

    Methi methi Islami! Suna apnay dawat e Islami ka madni mahool hamen na

    sirf apni balkay dosron kli Islah ki bhi targheeb dilata, balkay namzi aur

    sunnaton ka paykar bhi banata hay, mumkin hay kay ham par bhi kisi nay

    infiradi Koshish ki ho gi jis ki badolat aaj � �� �$ �% �&$�  �' �$ ( �$� ��! �" �� ��#�� ham bhi is madani mahool ki barkaten lot rahay hen, lihaza isi tarah hamen bhi chahye kay ham

    bhi infiradi Koshish kay zareye degar muasalmanon khasosan aprosion ko

    nayki ki dawat day kar inhen bhi namzon ki adaigi, sunnaton par amal karnay,

    Madani ina’amaat ka risaalah pur karnay, Makataba-tul-Madinah say shaai’

    kardah Kutub o rasaail ka muta’alah karnay aur sunnaton bharay ijtima’aat

    mayn shirkat karnay waghayrah jasay nayk kamon ka zehan daytay rahen.

    � �� �$ �% �&$�  �' �$ ( �$� ��! �" �� ��#�� inhen gunahon mayn mubtala dekhen to piyar o mahabbat o shafqat o narmi kay sath raknay ki Koshish karen.parosion ko nayki ki dawat

    dena aur inhen gunahon say mana karna kis qadr aham hay. aye! Ayk hadith

    mubarak say is ki ahmiyyat ko samajhnay ki Koshish kartay hen, chunachay

    Ayk din dafe’ e ranj o malal, Sahib e jod o nawal ٖ�� �� ���  ��� �� ���  �����  ��  ��� �� ���� ���� nay khutbah irshaad farmaya aur musalmanon kay kuch girohon ki ta’reef farmai, phir

    irshaad farmaya: unlogon ka kia haal hay jo apnay parosion ko na samjhatay

    na sikhatay aur na hi naseehat kartay, na nayki ki dawat daytay, na burai say

    mana kartay hen. aur un logon ka kia hal hay jo apnay parosion say nahi

    saykhta, na in say samajhtay aur na hi Naseehat talab karatay hen, allah ki

    qasam! Chahye kay ayk qom apnay parosion ko zaroor din sikhay, samajhay,

    Naseehat karay aur nayki ki dawat day, isi tarah dosri qom ko chahye kay

    apnay parosion say din saykhay, samjhay, aur naseehat hasil karay warna jald

    hi inhen is ka anjam bhagatna paray ga. phir ap ٖ�� �� � ��  ��� �� ���  �����  ��  ��� �� ���� ���� mimber Shareef say naychay tashreef lay aye, to sahaba e kiaram nay ayk dosray say

    istifsar farmaya ap kay khayal mayn Rasoolallah ٖ�� �� ���  ��� �� ���  �����  ��  ��� �� ���� ���� nay in logon say konsay say log muraad liye hen? To dosron nay inhen bataya: in say

    muraad ashari qabaylay walay hen kion kay wo fuqaha ki qom hen aur kay

    parosi jafa kar a’raabi hen.

    www.dawateislami.net

  • Parosiyon kay Huqooq Translated into Roman-Urdu by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

    17

    Jab ye bat asharyion tak ponchi to wo khaatam ul murasaleen, rahmat ul

    Aalameen ٖ�� �� � ��  ��� �� ���  �����  ��  ��� �� ���� ���� ki bragah mayn hazir huay aur arz ki:ya Rasool al allah!ap nay ayk qom ki bhalai aur ayk ka ki burai ka zikar farmaya, ham un

    mayn say kis mayn hen? Aap ٖ�� �� � ��  ��� �� ���  �����  ��  ��� �� ���� ���� nay irshaad farmaya: chahye kay ayk qom apnay apnay parosion ko zaroor din sikhaye, inhen samjhay,

    naseehat karay, nayki ki dawat day aur burai say mana karay, isi tarah dosri isi

    tarah dosri qom ko chahiye kay apnay parosion say din sakhay, samjhay aur

    naseehat talab karay warna jald duna mayn hi is ka azaab bhugatna paray ga.

    unhon nay dobarah arz ki: Ya Rasoolallah! kia ham dosray logon ki naeehat

    qabol karen to ap nay yahi bat dohrai unhon nay phir yahi arz ki, kia ham

    dosron ko naseehat karen.to Aap ٖ�� �� � ��  ��� �� ���  �����  ��  ��� �� ���� ���� nay farmaya han ayasa hi hay. Unhon nay phir arz ki hamen ayk saal ki mohlat dejiye. To ap nay inhen

    ayk saal ki muhlat ataa farmaa di. takay ye logon ko din sikhaen aur naseehat

    Karen. (Majma’-uz-Zawa’id, vol. 1, pp. 402, Hadees. 748)

    Methi methi Islami Behnon! Suna ap nay kay parosion ko nayki ki dawat

    dena, in say ilm e din sekhna sikhana, inhen naseehat karna aur in say

    naseehat talab karna kis qadr ahmiyyat rakhta hay hay khud hamaray aaqaa o

    mola do aalam kay data ٖ�� �� � ��  ��� �� ���  �����  ��  ��� �� ���� ���� nay zaban e haqq tarjuman say is ki targheeb dila kar usay khob waazih farmadia kay ta qaamat tak aanay walay

    musalman Aap ٖ�� �� ���  ��� �� ���  �����  ��  ��� �� ���� ���� Ki in Haseen ta’leemat ko khob samajh len. � �� �$ �% �&$�  �' �$ ( �$� ��! �" �� ��#�� hamray buzurgan e din ta’leemat e Nabawi par dil o jan say payra

    rahay, yahi wajah hay kay un logon ka shumar apnay zamanay kay un Azeem

    logon mayn hota hay kay jo apnay parosion kay huqooq say achchi tarah

    waqif, un par bohat ziyadah maharban aur un ki akhirat ki bahri kay liye inhen

    nayki ki dawat daynen kay aadi thay. Aaiye! Is zeman mayn ayk imaan afroz

    waiqah sunye aur jhomye. Chuna-chay

    Nayki ki da’wat say muta`asir ho ker parausi Musalman ho Gaya

    Sham’oon naami aik gayer muslim Hazrat Sayyiduna Hasan Basri ���� ���  �����  ��  ��� � �� ka parausi tha. Jab us kay Intiqal ka waqt Qareeb Aaya to aap ���� ���  �����  ��  ��� � �� us kay pas tashreef le gaye, kiya daykhtay hayn kay us ka sara jism aag kay

    dhuwayn ki wajah say siyaah par gaya hayn! Aap �� �� ���  �����  ��  ��� � �� nay infiradi Koshish kartay huway usay Islam Qabool kernay ki da’wat paysh ki aur

    www.dawateislami.net

  • Parosiyon kay Huqooq Translated into Roman-Urdu by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

    18

    rahmat Ilahi ki ummed y dilaaye. Us nay ‘Arz ki kay Mayn 3 Cheezon ki waja

    say Islam say door hoon

    1. Jab Islam kay nazdeek “Dunya” bohat buri shay hayn to phir tum log us

    kay husool ki justjoo kyun kertay hoon?

    2. Maut ko yaqeeni Tasawwur kernay kay ba wajood us kay liye tayyari

    kyun nahi kertay hoon?

    3. Tumharay kahnay kay mutabiq Deedar Ilahi bahot bari ne’mat hayn to

    phir dunya mein us ki marzi kay khilaf kaam kyun kertay hoon?

    Hazrat Sayyiduna Hasan Basri ���� ���  �����  ��  ��� � �� nay Irshad farmaya: in sab cheezon ka Ta’aluq to A’maal say hayn ‘Aqaid say nahi tum yeh to gaur karo kay gayer

    khuda ki ‘Ibadat mein waqt zaya’kar kay tumhayn kiya hasil huwa ? mu’min

    khuwah jaysa bhi hoon kam az kam Allah ��!�"�� ��#�� ki wahdaniyyat (Ya’ni aik honay) ko to tasleem kerta hayn. Daykho! Tum nay 70 saal tak gayer khuda ki

    ‘Ibadat ki is kay ba wajood hum dono agar Aag mein koodayn to yeh hum

    dono ko barabar jalaye gi, yaqeenan tumhara gayer e khuda ki ‘ibadat kerna

    tumhayn nahi bacha sakay ga, haan mere malik o maula ��!�"�� ��#�� mein zaroor yeh taaqat hayn kay agar who chhahayto yeh aag mujhay zarrah barabar

    nuqsan na pohancha sakay. Yeh farma ker Aap ���� ���  �����  ��  ��� � �� nay apnay haath mein aag utha li , laykin us nay aap ���� ���  �����  ��  ��� � �� ko koi nuqsan na pohanchaya. Yeh daykh ker Sham’oon bara mutasir huwa magar udaas hokar kahnay laga :

    Mayn 70 saal gayer e khuda ki ‘Ibadat mein mubtala raha ab aakhiri waqt

    mein kiya Musalman hoon ga ? Aap ���� ���  �����  ��  ��� � �� nay us par infiraadi koshish jari rakhi , Aakhir kaar us nay ‘Arz ki: Mayn is shart per Musalman ho sakta

    hoon kay aap �� �� ���  �����  ��  ��� � �� mujhay yeh ‘Ahad Naamah likh ker dayn kay mere Musalman ho janay kay ba’d Allah ��!�"�� ��#�� mere tamam Gunahoo ki bakhshish farma dayga. Aap ���� ���  �����  ��  ��� � �� nay usi Mazmoon ka ‘Ahad namah likh ker us kay hawalay kar diya laykin us nay kaha kay is par ’aadil logon ki gawahi bhi

    darj karwaye. Aap nay us ka ye matluba bhi pura ker dia. is kay bad wo

    musalman ho gaya aur ki kay maray marnay kay bad ap khud ghusal dekar ye

    ahad namah maray hath mayn thama dejye ga ta kay maydan e masher mayn

    maray momin hanay ka subot ban sakay. Ye wasiyyat karnay kay bad us nay

    kalma e shahadat parha aur us ki rooh qafas e unsuri say parwaz kar gai. ap

    nay ye wasiyyat pori farmai. Usi shab Aap ���� ���  �����  ��  ��� � �� nay khuwab mayn

    www.dawateislami.net

  • Parosiyon kay Huqooq Translated into Roman-Urdu by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

    19

    daykha kay wo bohat qemati libaas aur naqshu nigar say muzaiyyan taj

    pahanay jannat ki ssayr mayn masroof hay. Aap nay pocha tujh par kia guzri?

    us nay arz ki: Khuda ��!�"�� ��#�� nay mari maghfirat farma di aur mujhay aysay aysay in’aamat say nawaza kay mayn bata nahi sakta, lihaza! Ab Aap par koi bojh

    nahi aur ye ahad namah wapis lay lejye, kion kaya ab is ki koi hajat nahi. jab

    baydar huay to wo ahad namah ap kay pas mojod tha.ap nay is kamyabi par

    allah ka shukar ada kia.

    Meethi Meethi Islami Behnon! Allah ��!�"�� ��#�� kay nayk bandon ki bhi kiya shan

    hay kay woh nayki ki Dawat bhi daytay thay, Allah ��!�"�� ��#�� ki ‘inayat say karamat

    bhi dikhatay thay aur Iman ki na’mat dila ker jannat mayn dakhilay ki surat

    bhi bana daytay thay. Lihazah hamayn bhi apnay parosi ki fikr rakhni chahiye

    aur usay nayki ki Dawat say mahroom nahin karna chahiye. Han! Ghayr

    Muslim say dosti rakhnay ki ijazat nahin kay ayk aam aadmi ye zahin banaey

    kay mayn is say dosti ker kay is ko musalman ker longa. Al-Batta jo ‘aalam-e-

    Deen us Ghayr muslim kay mazhab aur batil ‘aqeedon kay rad per qudrat

    rakhta ho woh bayshak Shari’at kay da’iray mayn rah ker usay Islam mayn

    lanay kay liye apnay qareeb karay aur Us ko Islam ki taraf raghbat dilaey aur

    us kay a’tirazaat kay jawabaat day.

    Majlis Islaah-e-Bara-e-Khilariyan

    Meethi meethi Islami Behnon! � �� �$ �% �&$�  �' �$ ( �$� ��! �" �� ��#�� Dawat-e-Islami ka Madani Mahool mayn bhi hamayn yehi soch farahim karta hay kay hum apnay parosiyon

    balkay un say ta’lliq rakhnay wali kisi bhi chez ko nuqsaan puhnchanay, un

    kay janwaron aur parindon ko bhi takleef daynay say bach ker apnay liye rah-

    e-jannat ko aasaan banaeyn lihazah Aap bhi ye Madani soch panay kay liye is

    Madani mahool say her dam wabastah rahiye. � �� �$ �% �&$�  �' �$ ( �$� ��! �" �� ��#�� Dawat-e-Islami dunya kay 200 say zaid mumalik (Countries) mayn 103 say za’id shu’ba jaat

    mayn khidmat-e-deen ka kaam sar anjaam day rahi hay, unhi Shu’ba jaat

    mayn say ayk Shu’ba ba-naam “Majlis Islaah-e-Bara-e-Khilariyan” qa’im kiya

    gaya hay jis ka bunyadi maqsad khaylon say wabasta logon mayn Dawat-e-

    Islami kay Madani paygham ko ‘aam karna aur unhayn Dawat-e-Islami kay

    Madani Mahool say wabasta kartay huway is Madani Maqsad “Mujhay apni

    aur saari dunya kay logon ki Islaah ki koshish karni hay” kay mutabiq zindagi

    www.dawateislami.net

  • Parosiyon kay Huqooq Translated into Roman-Urdu by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

    20

    guzarnay ka Madani zahin dayna hay, � �� �$ �% �&$�  �' �$ ( �$� ��! �" �� ��#�� kaie khilariyon aur un kay ghar walon ko Madani maqsad “Mujhay apni aur saari dunya kay logon ki

    islaah ki koshish karni hay” ka zahin daynay ki koshish jari hay. Allah ��!�"�� ��#��

    Majlis Islaah-e-Bara-e-khilariyan ko mazeed tarqiyan naseeb farmaey.

    ٰ ِبَاهِ ال�ِبِّ ۡي مِ ا

    َ ۡBۡي مِ ا ُ ا��

    � َصل

    َ َعل

    ِٰل ۡيهَِتَعا*

    ٰم َٖوا

    � وََسل

    Allah karam aysa karay tujh peh jahan mayn

    Ay Dawat-e-Islami tayri dhoom machi ho

    َۡ ال

    َ َۡوا �

    &ُ بيۡ بِ َصل

    ا���د َصل َم�

    ُ مٰ َ�

    ٰ َتَعا*

    Bayan ka Khulasa

    Meethi meethi Islami Behnon! Aaj kay bayan mayn hum nay parosiyon kay

    huqooq kay muta’lliq sunnay ki sa’adat hasil ki, hum nay sunna kay

    � Parosiyon kay sath husun-e-sulook say paysh aana, zamana-e-qadeem

    say hi logon kay darmiyan ra’ij hay.

    � Parosiyon kay sath husun-e-sulook karnay ki ta’leem khud Allah ��!�"�� ��#�� nay Quran-e-Kareem mayn irshad farmaie

    � Parosiyon kay huqooq kay baray mayn kaie Ahadees-e-Mubarika mayn

    targheeb dilaie hay.

    � Parosiyon ki janib say agar koi takleef puhnch jaey to hamayn sabr ka

    muzahira karna chahiye.

    � Agar hamaray parosi kisi aazmaish mayn mubtila ho to hamayn furan us

    ki hajat rawaie karni chahiye.

    Allah ��!�"�� ��#�� hamayn parosiyon kay huqooq ada karnay ki tufeeq farmaey aur unhayn kisi qisim ka ranj aur takleef puhnchanay say mahfooz farmaey.

    ٰ ِبَاهِ ال�ِبِّ ۡي مِ ا

    َ ۡBۡي مِ ا ُ ا��

    � َصل

    َ َعل

    ِٰل ۡيهَِتَعا*

    ٰم َٖوا

    � وََسل

    َۡ ال

    َ َۡوا �

    &ُ بيۡ بِ َصل

    ا���د َصل َم�

    ُ مٰ َ�

    ٰ َتَعا*

    www.dawateislami.net

  • Parosiyon kay Huqooq Translated into Roman-Urdu by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

    21

    Meethi Meethi Islami Behnon! Bayan ko ikhtitaam ki taraf latay huway

    sunnat ki fazilat, chand sunnatayn aur Adaab bayan karnay ki sa’adat hasil

    karti hon. Tajdaar-e-Risalat, Shahinshah-e-Nabuwwat ٖ�� �� � ��  ��� �� ���  �����  ��  ��� �� ���� ���� ka farman-e-jannat nishan hay: Jis nay mayri sunnat say mahabbat ki us nay

    mujh say mahabbat ki aur jis nay mujh say mahabbat ki woh jannat mayn

    mayray sath hoga. (Mishkat-ul-Masabeeh, vol. 1, pp. 55, Hadees 175)

    Seena tayri sunnat ka Madinah banay Aaqa Jannat mayn parosi mujhay tum apna banana

    َۡ ال

    َ َۡوا �

    &ُ بيۡ بِ َصل

    ا���د َصل َم�

    ُ مٰ َ�

    ٰ َتَعا*

    Chhenkinay ki Sunnatayn aur Adaab

    Meethi meethi Islami Behnon! Aaiye! Bani-e-Dawat-e-Islami, Shaykh-e-Tareeqat,

    Ameer-e-Ahl-e-Sunnat �)��*$ �+  �, $ �- �.$ ���$ ��$ � ��  ��$ �$ � ��$ � �$ �� kay risalay “101 Madani Phool” say chhenkinay ki sunnatayn aur adaab suntay hayn.

    Do farameen-e-Mustafa ٖ�� �� � ��  ��� �� ���  �����  ��  ��� �� ���� ���� mulahizah hon: () Allah ��!�"�� ��#�� ko chhenk pasand hay aur jamahi na-pasand. (Bukhari, vol. 4, pp. 163, Hadees 6226) ()

    Jab kisi ko chhenk aaey woh � �� �$ �% �&$�  �' �$ ( �$� kahay to firishtay kahtay hayn:

    0ٰعلَِمْنيَ َرّبُ الْ / Aur agar woh / ْ0ٰعلَِمْنيَ َرّبُ ال Kahta hay to firishtay kahtay hayn: Allah ��!�"�� ��#�� tujh per raham farmaey. (Mu’jam-ul-Kabeer, vol. 11, pp. 358, Hadees 12284) () Chhenk kay waqt sar jhukaey, munh chhupaey aur aawaaz aahista nikalaey,

    chhenk ki aawaaz buland karna hamaqat hay. (Radd-ul-Muhtar, vol. 9, pp. 684) ()

    Chhenk aanay per / َْل 0ُد لِلّٰ�ِ َحمْ ا Kahna chahiye (Khaza’in-ul-Irfan, safha 3 per tahtawi kay hawalay say chhenk aanay per hamd-e-Ilahi ko sunnat-e-

    Mu’akadah likha hay) Behtar ye hay kay / َْل 0ٰعلَِمْنيَ ُد لِلِّٰ� َرّبُ الْ َحمْ ا َلْ / �َٰ� �ُّلِ ُد لِلِّٰ� َحمْ ا

    0َحاٍل kahay. () Sunay walay per Wajib hay kay furan / َ0اللّٰ� ْرَحُمَك ي (Ya’ni Allah ��!�"�� ��#�� tujh per raham farmaey) kahay aur itni aawaaz say kahay kay chhenknay wala khud sun lay. (Bahar-e-Shari’at, hissa 16, safha 119) () Jawaab sun ker

    chhenknay wala kahay: / ُ0 لَُحلْم وَ لََنا اللّٰ�ُ َيْغِفر (Ya’ni Allah ��!�"�� ��#�� hamari aur

    tumhari maghfirat farmaey) ya ye kahay: / َ0 ُکْم ـبَالَ لُِح َو ُيْص اللّٰ�ُ ُم كُ ِدْی %ْ ي (Ya’ni Allah ��!�"�� ��#�� Tumhayn hidayat day aur tumharay haal durust karay) (Fatawa-e-

    www.dawateislami.net

  • Parosiyon kay Huqooq Translated into Roman-Urdu by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

    22

    Hindiyyah, vol. 5, pp. 326) () Jo koi chhenk aanay per / َْل 0ُد لِلِّٰ� �َٰ� �ُّلِ َحاٍل َحمْ ا Kahay aur apni zaban saaray danton per phayr liya karay to �1  �2��3��45�$$( �� ��! �" �� ��#�� Daanton ki beemari say mahfooz rahay ga. (Miraat-ul-Manajeeh, vol. 4, pp. 396) Hazrat

    Sayyiduna Maula-e-Kai’naat, Ali-ul-Murtaza ��  �����  ��  � ����$ ���� farmatay hayn: Jo koi

    chhenk aanay per / َْل 0ُد لِلِّٰ� �َٰ� �ُّلِ َحاٍل َحمْ ا Kahay to woh darrh aur kaan kay dard mayn kabhi mubtila nahin hoga. (Mirqaat-ul-Mafateeh, vol. 8, pp. 499, Tahat-al-Hadees

    4739) () Chhenknay walay ko chahiye kay zor say hamd kahay takay koi sunay

    aur jawaab day. (Radd-ul-Muhtar, vol. 9, 684) () Chhenk ka jawaab ayk martaba

    Wajib hay, dosri bar chhenk aaey aur woh / َ0اللّٰ� ْرَحُمَك ي Kahay to dobarah jawab Wajib nahin balkay mustahib hay. (Fatawa-e-Hindiyyah, vol. 5, pp. 326) ()

    Jawaab is surat mayn Wajib hoga jab chhenknay wala / َْل 0ُد لِلّٰ�ِ َحمْ ا kahay aur hamd na karay to jawab nahin. (Bahar-e-Shari’at, hissa 16, pp. 120) () Khutbay kay

    waqt kisi ko chhenk aaie to sunnay wala is ko jawab na day. (Fatawa Qaziyan, vol.

    2, pp. 377) () Kaie Islami behnay mujood hon tu ba’az hazireen nay jawab day

    diya to sab ki taraf say jawab hoga magar behtar yehi hay kay saaray jawab

    dayn (Radd-ul-Muhtar, vol. 9, pp. 684) () Deewar kay peechhay kisi ko chhenk aaie

    aur is nay / َْل 0ُد لِلّٰ�ِ َحمْ ا kaha to sunnay wala is ka jawaab day. (Radd-ul-Muhtar, vol. 9, pp. 684) () Namaz mayn chhenk aaey to sukoot karay (Ya’ni khamosh rahay)

    aur kah liya to bhi namaz mayn haraj nahin aur agar is waqt hamd na ki to

    farigh ho ker kahay. (Fatawa-e-Hindiyyah, vol. 1, pp. 98) () Aap namaz parh rahay

    hayn aur kisi ko chhenk aaie aur Aap nay jawaab ki niyyat say / َْل 0ُد لِلّٰ�ِ َحمْ ا Kah liya to Aap ki namaz toot jaey gi. (Fatawa-e-Hindiyyah, vol. 1, pp. 98) () Kafir ko

    chhenk aaie aur is nay / َْل 0ُد لِلّٰ�ِ َحمْ ا kaha to jawab mayn / 0اللّٰ�ُ َيْ%ِدْيَك (Ya’ni Allah ��!�"�� ��#�� tujhay hidayat karay) kaha jaey. (Radd-ul-Muhtar, vol. 9, pp. 684)

    َۡ ال

    َ َۡوا �

    &ُ بيۡ بِ َصل

    ا���د َصل َم�

    ُ مٰ َ�

    ٰ َتَعا*

    Tarah Tarah ki hazaron sunnatayn seekhnay kay liye Maktaba-tul-Madinah ki

    matbu’a 2 kutub “Bahar-e-Shari’at” hissa 16 (312 safhaat) 120 safhaat per

    mushtamil kitab “Sunnatayn aur Adaab” risala “163 Madani Phool” aur “101

    Madani Phool” hadiyatan kijiye aur baghor is ka mutali’a farmaiye.

    [

    www.dawateislami.net