Sahil Till 13

Embed Size (px)

DESCRIPTION

Novel Sahil by Muhammad Hashir Fazal "Restless Thoughts"fb.com/Restlessthoughts.H

Citation preview

  • "SAHIL"

    Part A

    Na tum mera phone utha rahe ho na hi mere messages ka reply? Aur tum yaha is tarah bethe ho? (Ghar ki chat k kinare per bethe Sahil ko usne qareeb aa kar kaha)

    Tumhe kese pata chala main yaha hoon? (Usne dheemi se muskrahat k saath Shizreh ko jawab diya) Very funny! Ab mujhe batao ge phir kis baat per tumhe ye attack hua ha? Mujhe to koi heart attack nahi hua. Shut up Sahil! Fuzool batein mat kiya karo tum ye Mazak aur jhuti muskrahat se kam se kam mujhe nahi bhela sakte.

    Aray kia hogya ha? Mujhe kuch nahi hua motu. (Sahil ne uska hath pakar kar usay tasali dene ki koshish ki, ye jante hue k uski koshish kisi kaam ki nahi) Sahil aur Shizreh ki dosti 12 saal purani thi, itefaqan milne wale do ajnabi waqt k saath saath dost se best friends ban chuke thay aur shayad hi koi baat aisi thi jo inki apas main chupi hui ho. Sahil tum kab tak khud ko aise jalate raho ge? Khud ka haal dekho, tum kia thay aur kiya hogae ho? Kab tak tum ek hi baat ko drag karte raho ge (Enough Is Enough Sahil!), Tum puri dunya ko bewakuf bana sakte ho apne in jokes aur muskrahat se magar tum mujhse nahi chupa sakte ho. Motu jab tum sab janti ho to kyun baar baar ye sab kehti ho, tum khud kehti ho waqt sab theek kar deta ha to phir. (Shizreh ne Sahil ki baat adhe main hi kaat di.) Haan kaha tha mene lekin waqt ho ya koi aur marham who tab hi apna asar dikhata ha jab tak insan usko mauqa de aur khud koshish karna chahe magar tum ne khud ko aziat dene ko jese maqsad e hayat bana liya ha, Kisi ne nahi unka socho jo tumse pyar karte hain, Tumhe maloom ha tumhari ye halat mere lea kitni takleef deh ha?

    Haan janta hoon k tumhe takleef hoti ha lekin tum bhi mera haal samjhne ki koshish karo motu, tum sab se wakif ho tumhe sab pata ha phir tum kyun nahi samjhti? mene apne dil, is m chupi khuwaisho ko khatm kar dia ha, mujhe kisi se koi wasta nahi h, dil ko mene muthi m daboch liya h k ab ye chahe bhi to nahi jee skta, umeed, pyaar, saath, khushi, jeena ye sab mere lea ab be matlab hain, main bas us insan ki tarah hoon jo salon se bistar per h sans lerha ha per kuch karna uske bas main nahe, mera dil ab us parinde ki tarah h jo qaid hogya ha ek bina darwaze k pinjre main. chordo sochna.

  • Main tumhe aise nahi dekh sakti sahil tumhe mera khyal bhi nahi hai? Please mujhe mera sahil de do?

    (Shizreh ne bheegi palkon se usay kaha)

    Tumhara Sahil? Vaise tum aaj bauht khubsurat lag rahi ho, ye mere liye hai to I am so pleased

    (Sahil ne muskra kar usay shararat bhari ankho se dekha)

    Tum na Flirt karne se baaz aa jao verna tum jante ho Shizreh Ali kia kuch kar sakti ha, Tum meri baat

    ka jawab kyun nahi de dete akhir, har baat tum thore din baad khud ko is tarah takeef dete ho phir

    Shizreh yaar choro ye sab

    (Ek baar phir hamesha ki tarah usne baat badalne ki koshish ki thi)

    Ok Fine, Now please thora bauht ko bahar nikalo in sab se and chalo mere saath ab

    Mujhe kidnap karne ka irada ha to pehle hi bata doon is se haseen kidnapping aaj tak nahi hui hogi aur

    iske natije ki zimedar tum khud hogi, My Dear Friend. Kahi tum se pyaar hogaya to?

    Ohh God, Tumhara main kuch nahi kar sakti, now please get ready I am waiting for you downstairs.

    (Shizreh ne stairs se neeche jate hue usay kaha)

    ====================

    Part b Kahi apko hospital main kisi ward boy ya Dr se muhabbat to nahi hogai na? (Hospital k kamre main andar aate hue Sahil ne Shizreh se kaha) Agae aap, chalein aise hi sahi kam se kam jinaab ne apni vacation to khatam kardi, verna irade to mujhe kuch theek nahi lag rahe thay. (usne jawaban tanziya lehje k saath muskrate hue Sahil se kaha) Aunty, main to apke lea aaya hoon verna is churail k lea kon itni khubsurat jagah se wapis aata. (usne Shizreh ki ami ki taraf mukhatib hote hue kaha) Sahil aaj 15 din baad murree se wapis Karachi aya tha, Pichli raat shizreh k hospital main admit hone ki khabar usay mili thi aur woh foran Karachi agaya. Haan to aap se kaha bhi kisne k aap ajao apna qeemti tour chor kar, jaha apka dil nahi bhar raha tha na hi itne dino main koi theek se baat karne ki taufiq hui apko Uff!! Aunty lagta ha aaj mausam kafi khrab hain toofan aane ka khatra lag raha ha behtar hai hum saaya le lein (usne haste hue Shizreh ki baat ka jawab diya) Main aaya aur tum hospital se discharge hogai, How lucky I am for you darling.

  • Darling my foot you just go from here, main tumse koi baat nahi karna chahti. Aunty main saman le kar jarha hoon neeche main apka wait kar raha hoon, mene hospital kay mamlaat sab clear kar diye hain aap bas ajain I have her documents with me. Raasta khamoshi se guzra tha, dono jante thay k woh ek dusre se ami k samne koi baat theek se nahi kar pae ge islea dono chup thay. Beta tum hi kuch samjhao isay main bauht pareshan hogai hoon ab is umar main na jaane kitne din reh gae hain mere paas main isko aise dekh k mazid ghabra jati hoon, mere baad iska kia hoga kuch samjh nahi aata tumhe to pata haina.

    Ghar kay darwaze per puhanch kar shizreh foran apne kamre main chali gayi aur uski pareshani main ab sahil se baat kar rahi thin. Ma aka dil bhi ALLAH ne pata nahi kis mitti se banaya ha khud per chahe kitne hi musibatein aye pareshani ho per bachon ko is haal main dekh kar woh tarap si jati hain jese kisi ne machli ko pani se nikal dia ho Jee mama, mujhe sab pata ha dont you worry main dekhta hoon isay aap fikar na karein, aur abhi to apki jawani ha abhi kaha jaane ki batein kar rahi hain aap Sahil apni walida ko ami aur Shizreh ki walida ko mama kehta tha, unho ne kabhi usay apne bete se kam na samjha tha aur ghar ki ek fard ki tarah hi tha. Ye lo coffee Senorita, aur ab sukoon se mujhe batao kia hogaya ha kyun tum aisa karti ho har baar haan?

    Sahil jis waqt kamre main aya us waqt Shizreh khirki k paas bethe doobte hue suraj ko dekh rahi thi aur Sahil uske samne aakar kursi leke qareeb hi beth gaya.

    Sahil, please tum jao mujhe kisi se koi baat nahi karni main theek ho please go now ab aur kuch nahi suna chahti main na kuch kehna ha Tumne kaha aur mene sun liya haan? Please na yaar batao kia baat ha kyun itna tang karti ho tum? (Isne Shizreh ka haath ka pakar k usay dheemi awaz se kaha)

    Sahil tum mujhe batao kiya beti hona itna bura ha? Kiya larki hona itna bara gunah ha? Kiya ye ALLAH ka faisla nahi k main is dunya main aao? Oh to main theek tha phir us insan ne kuch kiya ha? Shizreh I swear I am going to kill him now enough is enough us insan ka masla kia ha akhir? Jo ansu woh kafi der se roke hue thi ab uski ankho se beh rahe thay aur woh sisakte hue Sahil se keh rahi thi, Dunya main agar kuch na-pasand chezein thi to Sahil k lea Shizreh k ansu un main se ek thy.

    Aray baba tum kyun aisa sochti ho? Agar tum na aati is dunya main to mera kia hota? Meri stupid si batein kon suntan mere songs kon sunta kon mujhe raat k 4 baje bore ho kar bulata? Aur tum na hoti to

  • tumhari ami ka kia hota? (usne shizreh ki bheegi palko ko saaf karte hue kaha)

    Tumhe pata ha Sahil, ye ghar jo dada ne hamare naam kara tha na is per Mr Ali Khan ne case kar diya ha aur humse property wapis dene ka kaha ha, aur ami ko bauht kuch kaha ha, phir se meri paidaish k taane phir se mere hone se unki barbadi ka qisa dohraya ha, Main q paida hui Sahil? Main na aati to Ami ki divorce bhi na hoti.

    [Shizreh ki ami Ms Samrah ki shadi unki phupho k bete Ali se hui thi, Shadi k foran baad Ms Samrah ko pata lag gaya tha k unke shohar ko drink karne ki aadat hai aur Is wajah se unka business bhi buri tarah mutasir hua ha, yahi un dono k bech hone wali doori ki pehli wajah thi, aur Shizreh ki paidaish per Mr Ali ne unhe divorce ye keh kar de di k unhe beti nahi chaiye thi aur woh ye bojh nahi uthana chahte, Divorce k foran baad Ali Khan k maa baap ne usay ghar se nikal diya aur woh dubai chala gaya, Shizreh k dada daadi ki ab death ho chuki thi aur ghar is waqt Shizreh k naam per tha. ]

    Shizreh yaar tum kyun aisa sochti ho? Tumhe kia lagta ha agar beta hota to un dono k beech rishta chal paata? Aunty namazi hain aur woh ek sharaab peene wala ayaash insan, 2 shadia unho ne baad main bhi ki lekin hua kia bete hone k bawajud unhe bhi divorce de hi di na? Ami batati hain k tumhare paida hone se pehle bhi un dono k beech main bauht jhagre hote thay islea tum aisa na socho, you know na you are the most precious gift Allah has ever given to me?

    [Shizreh aur Sahil neighbor bhi thay aur dono ki mothers dost thin, yahi wajah thi bachpan se hi woh ek dusre se wakif thay lekin unki dosti 10 saal ki umar main hui jab woh school main class mate bane tab se le kar aaj college tak dono saath parhte rahe hain, ek hi school aur college main rahe]

    Sahil ye betia kyun itna bojh hoti hain? College Khatam hone main abhi 1 saal ha verna main job kar k ami ko har qaid se azad kar deti main nahi chahti woh kisi k sahare pe rahein, Sahil betia itni buri hoti hain? Kyun itni haqarat se dekha jaata ha hamein? Hum kia sach main bojh hain? Shizreh dont be stupid us insan ki baton ko tum q leti ho dil per? Betia to ALLAH ki rehmat hoti hain aur is rehmat ka andaza wahi insan kar sakta ha jisay ALLAH se muhabbat ho, Hazrat Muhammad SAWW ki bhi to sirf betiyan thi na aur tumhe to pata ha k Bibi Fatima se unhe kitni muhabbat thi, aur Bibi Zainab bhi to ek beti thin na unka rutba bhi tumhe maloom hai, aur agar betia na hoti to dunya ma maa kese hoti aur maa nahi hoti to dunya main log muhabbat kese sekhte? Aur tum dekho zara bas ab main wakeel uncle k through is insaan ka haal kia karta hoon, isko ghar to kia main tmhara ek ansu na du ab, what he think of himself? Aur hamara F.SC khatm hojae phir hum dono papa k office main job kare ge meri salary bhi tum rakh lena main bas tumhara sar khata rahu ga theek ha? (Itni der main pehli baar Shizreh k chehre per muskrahat ayi thi)

    Excuse me, Job k lea uncle ne mujhse promise kiya ha unke office main tumhare jese duffer ki jagah nahi so please haan

    Haan kiya karu tum ne mera sar jo khaa lia ha pichle 8 saalon main, kese jaldi itna arsa guzar gaya na? Ye to acha hua tum aur main bachpan ma hi dost na ban gae verna ab tak to pagal hojata main. Kiya tumhe bhi shizreh bojh lagti ha? Nahi Shizreh mere lea sabse important ha meri jaan se bhi ziada qeemti, you idiot.

  • Ab chalo tum bas ready hojao, main abhi ghar se ho kar aata hon unhe nahi pata k main wapis agaya hoon, phir hum chalte hain dinner aur ice cream khane tumhari favorite jagah per, mujhe tumhe ek baat batani ha. ====================================================================

    Part 3

    Shaam k akhri kuch pal thay aur woh dono aksar in lamhaat main suraj ki uraan ko dhalte hue dekhne yaheen samandar ki kinare aate, aur ghanto yaha beth kar is manzar ko dekh kar ek dusre ko behlate, sardiyon ki shaam thi aur lehrein tez thi yun jese koi toofan aana ho. Shizreh tumhe pata ha ye waqt na suraj ki tarah hota hai, hamari zindagi main ye hamein oonchi uraan per le jaata ha itna oncha k hamein pata tak nahi chalta k kuch waqt main sab kuch dhal jae ga aur hum phir ek dum se mu k bal aaker zameen per gire ge, aur phir waqt aajata ha jab andhera hojata ha har taraf khamoshi hoti ha aur phir chaand hamein methi thandi si roshni deta ha tumhe pata ha meri zindagi main na woh chamakta chaand tum ho.

    Kiya baat hai mera dost aaj philosopher hogya hai? Aur meri zindagi main tum ho woh roshan chaand jisne hamesha meri zindagi k andhero ko munawar kiya ha. Hmmm haan lekin ye chaand hamesha nahi hota na motu ye hum se door bhi hojata ha hota ha per dikhta nahi ha iski roshni hum tak nahi aati. Sahil main shayad har waqt tumhare paas na rahu lekin mera saath hamesha hoga main kabhi tumhe akela nahi choru gi tum ye mat sochna k main.

    [Sahil ab uski ankho main dekh raha tha jin main halki si nami thi]

    Shizreh I know tum kabhi nahi choro gi mera saath dunya main ek tum ho jiske paas mere har ansu meri har khushi k lea waqt aur sahara hota ha, main to bas aise hi bas kuch nahi.

    Tum kab tak khud ko aise aziyat doge han? Yaar jo hua so hogya ab us baat ko tum beth kar kyun aise khud ko jala rahe ho? Sahil past tumhe kuch nahi dega bas tumhe torta rahe ga tum apni halat dekho siwae mere tum kisi se nahi milte, tum ne job chordi, parhna chor dia, kaam tak tum dihan se nahi kar rahe. Main hoon tumhare paas tumhare saath magar dunya main ek insan k sahare nahi jiya jaskta aaj ma hoon tumhare paas tumhe cheer up karne k lea kal meri life mujhe kaha le jae kisi ko kia pata?

    To tum bhi mujhse bezar agai ho jana chahti ho? Jao phir, main akela theek hoon jab 1 saal main nahi mara to ainda bhi kam se kam saans lena aata ha mujhe.

  • [Sahil ki ankhein bheegi hui bhi thi aur chehra surkh bhi tha kuch aise jese koi khoof aake guzra ho chehre se, Insan kitna be-bas ha khud ko bauht kuch samjh leta ha per haqiqat main woh shyad kuch bhi nahi, kabhi rone k lea tanhai ka sahara kabhi hasne k lea kisi roshni ka intezar, kabhi dil k hatho to kabhi waqt aur rishto k hatho majbur insan, muhabbat ho to lachargi na ho to intezar aur ho k guzar jae to uske chale jane ka ghum]

    Sahil tum stupid ho mene kab kaha main tumse bezaar hoon aur tum ab mujhse bhi yehi kahoge? Main khud se apni zindagi se bezaar hojao gi per tumse nahi, tumhe andaza hi nahi k tum mere lea tareekh raat ma chaand k ilawa aur kia kuch ho. Dekho main tmhari best friend tumhari hum-raaz hoon per main larki bhi hoon mujhe ek din jana hi ha, tab saath hoga mere per main tmhare paas shyad na hu. Sahil zindagi ruk nahi jati kuch khone k baad, kuch milta ha kuch nahi milta isi ko zindagi kehte hain, jab daddy ne mera saath chora to mujhe ALLAH ne tumhara saath diya, to kia main tumhare milne main khush rehti ya apne dad k na hone k ghum main tumhare jesa haal bana leti?

    To kia main ye sab deserve karta tha? Mujhe kyun woh sab mila jisne mujhe aisa bana diya?

    To kia main ye deserve karti thi haan? Phr mujhe kyun ye sab mila?

    I know tum ye sab deserve nahi karti per. [Shizreh ka chehra ab surkh ho chuka tha chehre per pareshani aur khafgi k tasur wazeh thay, ab usne uski baat adhe main kaat di thi, kuch lamhe khamoshi hui, Sahil doobte hue suraj ko dekh raha tha aur Shizreh ki ankhein Sahil ki ankho main nami ki maujoodgi ma khushi ki kisi kiran ko dundh rahi thin.]

    Sahil per, agar, magar ye tum bauht kar chuke, tumhe apna nahi ha na khayal unka karo jo tumhare lea pareshan hain, jab tumne mera saath diya tha tab tumne kaha tha k kisi ka saath itna haseen hota ha k insan har dukh bhul jata ha aur main apna har dukh bhul gai, ya phir mera saath hi is qabil nahi k tumhe khushi de sake? Tumhe agar kuch nahi mila to usko na dekho per usko dekho jo tumhe mila ha.

    [Sahil ko ehsas tha k Shizreh pareshan ha aur kuch khafa bhi horai hai, usne uska haath thama magar shizreh ki ankhein ab bhi samandar ki lehro ki oonch neech ko dekh rahi thin]

    Yaar tum to mujhe samjho na tumhara saath ha tabi main dunya k samne khush hoon kam se kam unse chupa hua hoon aur tumhare saath ki koi ghalti nahi ha bas mera dil jeena bhul gya ha, ab tum mujhe foran pakar leti ho is main meri kia ghalti ha, Please na I am sorry yaar baat to sun lo. Motu baat to suno tum bhi naraz hojao gi, aur tum bhi sab bhul nahi gai ho mene bhi tumhe kuch khone per ab bhi rote dekha ha islea mujh per mat ho gussa tum.

    Dil jeena bhul gya ha to jeena sikhana parta ha aisa nahi hota k khud ko devdas bana kar aise haal bana do apna insan kuch khayal kar le kam se kam apna nahi mera to khair tumhe koi nahi khayal per mama ka socho woh maa ha tmhari unhe pata ha tumhara haal, haan mere dil k kisi kone main ab bhi ha malal kuch khone ka, sochti hoon k kal meri shadi hogi aur mere sar per haath rkhne wala woh shafqat bhara haath na hoga lekin ye sab mene dil k kisi ek kone main chupa diya ha jo tab hi nikalta ha jab koi isay khurede verna mera dil jeeta ha aur ye baat tum ache se jante ho, Sahil jo hamare lea acha ha woh hamein milta ha thori si azmaish hoti ha kuch khona bhi parta ha per jo hamara ha woh kisi aur ka nahi ho pata kabhi bhi ye baat tum samjho ge to hi tum jeena sekho ge, Zindagi pehle hi asaan nahi tum isay

  • aur mushkil na banao apne lea, main tum se waada kar rahi hoon na jeena sekho dil khud kahe ga tumse mujhe roshni chaiye, aur tumhare hise ki har khushi tumhe khud mile gi.

    Koshish karu ga lekin I know main nakaam hojata hoon har baar lekin tum to naraz mat ho? Acha chalo to hum tumhare favorite restaurant chalte hain and waada, main koshish karu ga is baar sache dil se lekin tum hi to kehti ho waqt khud sab theek karta ha waqt se acha koi marham nahi...haan janta hoon uske lea bhi us marham ko mauka dena chaiye tab kuch hota ha sab samjha ab please pyari si dimple wali smile de do?

    Main koi moti nahi jo tum mujhe ab tak motu kehte ho us din tum ne us Sana k samne bhi yehi motu kaha tha tumhe pata bhi ha kay k meri us se kabhi nahi banti aur tumhe mere saath dekh kar woh jal jaati ha bachpan se hi jali hui to ha mujhse aur tum ne mujhe uske samne kaha? Main bachpan main thi moti ab I am much smarter than any of the girls you know is that clear?

    [Sahil ab khoob has raha tha aur Shizreh k is jhute gusse ne apna maqsad paa liya tha, Woh muskrahat jo usay chaiye thi ab mil gai thi, Sahil uska hath thaam kar usay parking tak la kar gaari (Car) ka darwara khol raha tha]

    I know you are smarter than any of the girl I know per main to pyaar se kehta hoon na tumhe motu konsa tum sach main moti ho, tumse haseen to shyad hi koi upar se utra ho is sadi main

    Uff! Tum aur tumhara flirt dono ka koi ilaaj nahi ha, la-ilaaj bemari ha, ab please kia hum chal sakte hain yaha se? Mujhe bhook lag rahi ha tumhari wajah se mene lunch tak nahi kiya, aunty is qadar pareshan thi kay main unhe intezar nahi karwa saki.

    Chal raha hoon boss wahi chal raha hoon, mama to bas pareshan aise ho hojati hain, mujhe kia hua ha.

    Part 4

    Hum kahan jarahe hain?

    Tumhe kidnap kar raha hoon motu

    Mujhe kidnap kar k tumhe sirf musibatein mile gi, ab batao ge hum kaha jarahe hain? Jabse tum Murree k tour pe gaye ho kuch badle badle se ho kia baat ha phone per bhi tumhara andaaz kuch alag tha, wajah kia ha akhir is muskrahat ki.

    Tum itna jo muskra rahe ho kia ghum ha jisko chupa rahe ho.

    Uff Sahil agar tum ne nahi na bataya mene handbrake kheench lena ha.

    Aray yaar kaha to tha ek baat batani ha to bas ek surprise haina bas.

    Chalo dekh hi lete hain surprise tumhara kia raaz ha akhir ye muskrane ki.

    [Woh dono is waqt Sahil-e-Samandar se guzar rahe thay, Kuch lamhe khamoshi hui, Khamoshi kahi to toofan le aati hai aur kahi bahar yun na-jane kia baat hogi aisi kia wajah hogai k Sahil achanak se itna

  • badla badla lag raha ha. Shizreh inhi uljhano ko suljhane ki nakaam koshish ya kamyab koshish ko nakam kar rahi thi, Insan kabhi kabhi sab kuch jan kar bhi anjan reh kar dil behlata ha.

    Kaha gum ho?

    Hunhh??

    Mene kaha kia hua kaha gum ho?

    Main main bas kuch nahi aise hi soch rahi thi kuch, Kuch khaas nahi bas aise hi, Bas choro.

    Aray kia baat hai? Batao na.

    Kuch nahi bas tumhe kuch batane ka soch rahi thi per tumhare surprise ka bas wait kar rahi hoon aur kitni der lagni ha?

    Bas agaye ye samne hi parking ha.

    [Woh dono ab Samandar k kinaare maujood ek restaurant main thay, Shaam ab ahista se dhal rahi thi aur raat andhera lekar bas kuch hi pal main aane wali thi, Woh andhera jiske aane se kahin to roshni hojati ha kahi andhera, kahi suraj nikalta ha kahi raat hojati ha Khuda k nizaam bhi kia khoob hain la-jawab aur be-misaal.]

    Oh there she is, Shizreh ao tumhe kisi se milwana ha.

    Hmmm to ye baat thi yahi wajah thi muskrahat ki haan. [Shizreh ne dil main maujood toofan aur be-chaini ko ek awaz lagai, dil k kone main maujood kisi weham ne ab yakeen ka darja hasil kar liya tha.]

    Asalam O Alaikum

    [Khubsurat chehra, lambe kaale reshmi se khule baal, dheemi muskaan, bari aur gehri kajal lagi ankhein, ooncha qad, halka sa make up, lambi kurti, jeans aur.Shizreh is waqt samne maujood larki ka dil hi dil main gehra tajzia kar rahi thi]

    Walikum As Salam, Shizreh ye hai woh surprise Miss Kinza meri friend, aur Kinza ye hain meri sab se achi yun kaho k meri hum-raaz meri best friend, jo mujhe khud se bhi ziada janti ha shyad dunya main sab se ziada qareeb koi ha mere to woh ye ha Shizreh.

    Asalam o Alaikum Kinza

    [Woh dono is waqt halki si muskrahat k saath ek dusre se gale lag kar mil rahi thin]

    Walaikum Salam Shizreh kesi hain aap? Apke bare main mene itna suna hai k aap ka mene chehra sa apne dimagh main bana liya tha shyad jab Sahil se baat hui apka zikar kese na kese hamari guftugu ma shamil tha.

    Umeed hai apne acha suna hoga aur main apki imagination jesi hi hoon, Mujhe to apke bare main la-ilm rakha gaya jiski khabar main baad ma le hi lugi, per badle badle se andaaz kuch bayan to kar hi rahe thay.

  • [Woh teeno ab has rahe thay aur restaurant k kone per rakhi table per beth chuke thay, Suraj ab mukamal dhal chuka tha aur raat ka andhera dastak de chuka tha]

    Vaise ye ap dono doston ki apas ka mamla ha aap jo saza dena chahe Sahil ko manzoor hi hogi, vaise ziada to kuch nahi tha batane k qabil phir bhi batana banta zaroor tha.

    Aap na bhi kaho Kinza, inho ne mujhse ab hisaab zaror lena ha, Shizreh main sirf tumhe surprise dena chah raha tha main tumhe batane hi wala tha bas k aunty ne mujhe phone per tumhari tabiyet ka bata diya main pareshan ho kar foran bhaag aya.

    Ohh I am so sorry main puchna bhul gayi, Aap ab kesi hain? Mujhe pata laga k aap hospital main admit hogai thi, Sahil bata rahe thay k aap ka BP low hogaya tha is everything Ok now?

    Jee I am perfectly alright kafi din araam kiya ha aur bas abhi hi hospital se discharge ho kar yahi aarahi hoon in sahib ka surprise dekhne jo behad khubsurat ha, aur Sahil Sahab aap se to khabar baad main hi li jae gi mere upar ilzam laga kar aap bhaag nahi sakte aise.

    [Ek baar phir teeno muskrat rahe thay, Samandar ki lehrein tezi se kinare se takra kar wapis horai thi, kam hi log aas paas maujood thay]

    Ohoo Sahil aisi bhi kia jaldi thi k aap direct unhe hospital se hi le aaye? Main 2 3 din baad hi wapis jarahi thi, aap ne khama kha zehmat di Shizreh ko, aur main kam se kam aap jitni khubsurat nahi, bauht kam logo ko natural beauty milti hai aap un khush naseebo main se ho.

    Aray nahi its Ok, Sahil Sahab aisi zehmatein roz hi dete hain zahir ha itne salon ki dosti ne itna haq to diya hi ha, I am glad to meet you dear.

    [Kinza, Sahil ki cousin k in-laws relative thi, dono ki mulaqat kuch mahine pehle ek family function main hui, Kinza kyun k dubai main rehti thi islea dono ki uske baad mulaqat to nahi hui albata social site per batein kia karte thay, Kinza in dino Pakistan main maujood thi aur Murree main apni khala k haan theri hui thi aur Sahil k Muree jaane ki wajah Kinza se mulaqat hi thi, dono ki dosti ab muhabbat main tabdeel ho chuki thi, aur Muree main saath guzara waqt dono ko mazeed qareeb le aya tha, Shizreh k achanak beemar hone ki wajah se Sahil ko wapis aana para aur Kinza usi k saath Karachi agayi thi jisay ab 3 dino main yahen se wapis Dubai jana tha, inhi baton ka zikar karte hue agle kuch lamhe guzar gaye thay]

    To ye raaz tha us muskrahat ka jo sara rasta maujood thi? Mujhe wajah bauht achi lagi, I am so happy for you Sahil. [Shizreh ab muskrate hue Sahil se mukhatib thi jo dheemi si muskan aur ankho main intezar liye usay dekh raha tha]

    Chalo thats good kam se kam choti madam ki to approval mil hi gai, bari madam yani mama ki approval bhi ab kuch asani se mil hi jae gi, mere lea zindagi ma mama aur shizreh ki har baat value karti ha Kinza, yahi wajah hai k main foran bhaag kar Karachi agaya.

    Sahil sahab ab kuch jagah balke kaafi jagah aap ek aur lady k lea bhi nikal lein inki value bhi kam se kam mujhse ziada hai. [Shizreh, Kinza ki taraf ankhein kiye keh rahi thi]

    Nahi Shizreh main kabhi ap ki jagah nahi le sakti meri value jitni bhi hojae I dont think and I am sure I cannot take place and I even dont want to take your place, har insan ki alag value hoti hai, mujhe Sahil ki life main aye kuch mahine hue hoge per aap hamesha se saath ho.

  • Haan ye to hai, Shizreh ki value to hamesha se alag hi ha aur koi bhi iski jagah mere dil main nahi le sakta, meri mama ko koi beti nahi per Shizreh unki ladli ha shyad unka apna beta unhe itna pyara nahi jitna ye hain, isi lea main kuch adhura sa feel kar raha tha itne dino se ab I am so much in relief, batein to chalti rahe gi kuch order karein? Shizreh ki to pasand ka mujhe maloom ha aap batain kia khae gi?

    Kuch bhi jo aap logo ko pasand ho wohi main khao gi yaha aaker to mujhe bhook hi nahi lag rahi ab, ek taraf samandar ka kinara ha aur ek taraf Shizreh maujood ha, I am loving this place itna sukoon hai yaha, main bauht kam Karachi aati hoon last time bhi aleena baji ki shadi main ayi thi.

    [Kinza apni cousin ki shadi ka zikar kar rahi thi jaha Sahil ki us se mulaqat hui thi]

    Ye meri favorite jagah ha hum aksar yaha aatein hain restaurant to kuch kam aate Ok so lets order something now

    Sahil mere lea club sandwich mangwana bas please

    Aray magar maine to hamari pasand ka mangwana tha kiya hogaya ab?

    Kuch nahi hua pasand badal nahi sakti kia? Mazak kar rahi hoon ab aise na dekho, abhi hospital se discharge ho kar ayi hoon I cant take heavy meal tum logo k sath taste kar lugi thora dont worry.

    Ohh han ye bhi ha, Ok waiter please ek club sandwich add kar dena and make it quick please.

    [Agle ek ghanta yunhi dinner karte hue guzar gaye, Sahil aur Kinza, Murre tour ki batein bata rahe thay, Sahil ne jitney din guzare har din dono ki mulaqat hui aur Sahil uski khala k haan bhi aata jaata raha tha]

    Sahil main toilet se ho kar aati hoon, ab thori to privacy doo na verna kaho ge private batein nahi kar paya.

    [Shizreh ne uth kar muskrate hue kaha, jis ko sun kar woh dono bhi muskra rahe thay. Aur ab Shizreh jaa chuki thi.]

    Sahil mujhe nahi lagta Shizreh mujhe dekh kar khush ha?

    Aray nahi bas kuch problems hain family issue bas isi lea thora disturb hai I know she is happy aisa kuch nahi hai, tum pareshan na ho, ye batao tumhe khana pasand aya?

    Hmmm acha shayad per mujhe laga aisa islea kaha, Han khana behad laziz tha aur ye jagah to bauht khubsurat ha, Dubai main to aisi jagah ha hi nahi.

    Bas ab to is jagah se bauht jald rishta bandh jae ga.

    [Kinza muskrate hue Sahil ko dekh rahi thi, Kuch lamhe yunhi batein karte guzar gae jab Shizreh wapis aayi to Sahil bill pay kar chuka tha aur dono chalne ki tyari main thay.]

    Sahil main ek kaam karti hoon taxi se ghar chali jati hoon tum Kinza ko company do, 2 3 din main wapis chali jae gi so time spend karo ek dusre k saath.

    Pagal mat bano hum bas ghar jarahe hain we are already very late, ab wapis chalna chaiye, Kinza ko Sana baji k ghar drop karna ha woh Karachi ayi hui hain aur Kinza wahi stay kare gi, phir ghar chale ge

  • Ohh chalo theek ha lekin Kinza apne jaane se pehle zaroor milna ha balke aap ghar aye ga mama apse mil kar bauht khush hogi.

    Jee zaroor, main puri koshish karo gi baaqi Sahil per ha who lejana chahe k nahi.

    Kyun nahi akhir woh mera bhi ghar hai, meri do maaein hain aur mama ka to main favorite hoon main zaroor milwao ga, and aap Shizreh k hath ki coffee peena sab bhul jaoge.

    Haan kyun nahi bas phir to aap se mulaqat zaroor hogi, ab humein chalna chaiye shayad.

    Haan chalo akhir do ladies ki zimedari hai mujh per.

    =====================================================================================

    Part 6

    KInza mujhe bas tumhara jawab chaiye? Kiya tum pyar karti ho Sahil se?

    Main apko jawab dena zarori nahi samjhti, na main aap se ya kisi se is bare main kuch discussion

    karna chahti hoon

    Lekin ye kisi ki nahi mere dost ki life ka sawal ha, How could you do this to him?

    Main apse keh chuki hoon insan se ghalti ho jati ha

    Oh really ghalti, to is ghalti ka ehsas apko tab hua jab 1 saal aap ne

    meri feelings ka Mazak uraya ha?

    [Woh dono Kinza ki dost k ghar maujood thay, Sahil sar jhukae betha sab sun rha tha, Pehli baar

    usne kuch bola tha]

    Sahil mene kaha tha na tum bech main mat bolna? Main baat kar rahi hoon na?

    [Shizreh ne uski taraf dekhte hue usay ankho se ishare kar k kaha]

    Shizreh zarori nahi ha sab ki feelings hamesha ek jesi rahein hoskta ha kal jo zarori tha aaj woh na

    ho

    Miss Kinza mera pyaar aap k ghar ka koi bartan nahi k aapne use kara purana hua to phenk diya

    and feelings sachi ho to hamesha ek rehti hain

    [Hasna kahe ge k rona kuch isi tarah k tasur numaya tha uske chehre per, woh kinza ki batein sun k

    chup nahi beth parha tha]

    Aap ko jo samjhna ha samjhein aap, mene bauht arsa compromise kiya, ab mazeed main nahi kar

    paogi, aur main vaise bhi jarai hoon Australia parhne is lea ab relation ka koi faida nahi ha

    Compromise? Aap ne compromise kiya? Great, Shizreh suna apne aap inhe samjhana chahti thin

    na? Kinza sahiba aap ka behavior mene bardasht kiya ha aap ka short temper nature aap ka chir

    chira pan mene bardasht kiya ha kyun k aap se pyar karta hoon lekin aap ne compromise kiye hain

    [Woh ab cheekh raha tha, uski ankho ne ansu zabt karliye thay, Parinda qaid ho chuka tha, teer ne

    uske sene per gehra waar kiya tha]

    Mujhe is per koi baat nahi karni ha, aap please mera tamasha na banain

  • Tamasha aap ne banaya ha mera mere pyar ka, jab sab jaan chuke hain hamara, har kisi ko

    hamare rishte ka pata ha apko mene apni family se milwa diya phir apko yaad aya ye sab?

    Mene aap se us waqt bhi kaha tha parents se na milwain kyun k abhi iska waqt nahi, lekin aap ne jo

    kiya apni wajah se kiya ha

    Mujhe nahi maloom tha Kinza sahiba k aap k lea ye sab Mazak hai main apke wado ko sach samjh

    chukka tha, mujhe nahi maloom tha logo k lea ehsas Mazak hote hain sapne torne ki chez hoti hain

    andaza nahi tha

    Kinza dekho relations main problems aati hain iska matlb ye nahi k hum rishta hi khatm kar dein,

    give some time jo problems hain woh sort our karein

    [Shizreh ne kafi der baad kuch kaha, Sahil ki kaifiyat se us se ziada koi wakif nahi tha, woh pichle 1

    mahine se shaded depression ki wajah se bemar sa lag raha tha, phone per hue mamule se jhagre

    per Kinza ne us se taluq khatam kar diya, 1 saal tak jo rishta usne apne dil main saja rakha tha ab

    woh murjha raha tha]

    Sort out woh cheezein hoti hain jinko rakhne ka koi maqsad ho is relation ka koi maqsad nahi ha

    jee aur relations ka maqsad tab hi nahi hota jab feelings khtam hojae aur feelings tab hi khatm hoti

    hain jab woh hi nahi, aur agar koi feeling nahi thi to aap ne mere saath Mazak kyun kiya mujhe is

    baat ka jawab chaiye

    Feelings thi ya jo bhi mujhe hamare relation main kuch bhi theek nahi laga, shyad feeling thi hi nahi

    attraction ho ya shayad ho feelings ab na ho

    Ye feelings ab kis k lea hain mujhe iska jawab chaiye

    It is none of your concern, pehle to aisa kuch nahi and second hai bhi to I am not answerable to

    you

    Yes it is Miss kinza, Yes it is, aap ne meri feelings k saath jo kiya iske baad you are answerable to

    me

    Shizreh aap ne jo baat karni thi shayd ab hogai mene sab bata diya, main kisi rishte ko bojh bana k

    apne saath nahi chalna chahti, I have my career ahead, mujhe fashion designer bana ha I had to

    move on so please

    Lekin Kinza aise aap sab khatm kese.

    [Usne Shizreh ki baat aadhe main kaat di]

    Jab tak main naam na lu uska main yaha se nahi jaoga and you know very well k aap mujhe yaha

    se nikal nahi sakti

    Suna chahte haina aap fine, Yes there is someone ab aap ko tasali hogai please leave get lost now,

    leave me alone

    Get lost??

    [Woh zor se has raha tha usay jhatka sa laga, ansu ka ek qatra ankho se baha hi tha k usne ankho

    ko band karliya shayad maazi k kuch sunhere dor uski palko per ansu le aye thay, pyar se be-nam

    rishta aur ab inteqal e taluq]

    Yes, main aap k messages aur calls se pareshan hogai hoon main kuch din k lea kaam se yaha

    aayi hoon please ab isay aap na khrab karein, from my side its all over

  • Shizreh please ab chalein? Aap ne samjha liya baat bhi Karli ab mujhe mazeed kuch nahi suna

    Tum yaha kiya kar rahe ho?

    [Woh gate ki taraf hi mura tha k kisi k aane per usay jhatka sa laga]

    Main Kinza se milne aya hoon usne mujhe bulaya ha, hum beth k baat kar sakte hain?

    Beth k main baat kar luga, pehle aap mujhe ye batain ge aap yaha kar kia rahe hain and Kinza se

    aur is sab se aap ka kia taluq?

    Sahil tum mere ache dost ho main nahi chahta k hamare bech kuch masla ho, beth k sab masle hal

    hoskta hain

    Mene tum se kuch pucha ha Hassan what the hell are you doing here?

    [Hassan, Sahil ka cousin tha, Sahil ki agar khandan main kisi se banti thi to who Hassan tha jo k

    Australia main parh raha tha, dono ek dusre ki baton se wakif thay]

    Dekho Sahil..

    [Hassan ne uske kandhe per haath rakhte hue usay bethne ka ishara kiya lekin Sahil ne uska haath

    jhatke se hata diya, Toofan ka andaisha hochuka tha ab sirf tabahi honi thi]

    Main ne jo pucha uska jawab do iske baad jitna chaho baat karlena

    Main aur Kinza relation

    [Ek zordar thapar ki awaz kamre main goonj gayi, Kinza ne foran aage barh kar Hassan ka hath

    thaama]

    Sahil, how dare you to slap him, Just go to hell, tumhe kabhi pyaar se baat samajh nahi aayi yahi

    karna chahte thy tum shayad to hogya ab jao yaha se

    [Sahil zor zor se has raha tha, uska makhsos andaz apne balon main dono haath ki ungliyan dale

    woh hase jarha tha]

    Main to bhul gaya k ye apke khandan ki khasiyat hain Hassan sahab apke haan to ye sab fashion

    ha, khel ha aap sab k lea ye, aur Kinza sahiba kahi Australia main living relationship ka to irada

    nahi?

    Ohh just shut up, dafa hojao tum, Shizreh please yaha se le jao

    Sahil tum chalo yaha se please bauht hua, meri ghalti thi main yaha tumhe le aayi

    Bauht acha sabak diya ha aap dono ne mujhe aaj, kabhi nahi bhulu ga waqt bhi nahi bhule ga

    [Woh uska haath thame usay bahar le jarai thi, Sahil ne peche mur k apne do rishto ka zawal dekha]

    ============================================================================

    Part 7

    Tumhe kia zarorat thi itna bolne ki? Kitni dafa mene samjhaya ha k apne is gusse ko qabu main

    rakho log is kamzori ka faida uthate hain

    Nahi to kiya karna chahiye tha mujhe? Beth k tamasha dekhta main?

    Uff ho Sahil maine ye nahi kaha lekin itna khud ko mat takleef diya karo unhe koi faida nahi hoga

    tum jante ho woh log ab ache ko acha aur bure ko bura nahi samjh paate

    Tum ache se janti ho main jinko apna samjhta hoon jo k ginti k 5 6 log hain unke lea main

    possessive hoon

  • Maine ye nahi kaha k tum possessive na ho lekin aise logo k samne tum jo karlo woh samjhne walo

    main se nahi hain Sahil, Allah ne aise logo k lea Quran main Surah Bakra main kaha ha

    (Allah Taalaa ney inn kay dilon per aur inn kay kanon per mohar laga di hai aur inn ki aankhon per

    parda hai aur inn kay liye bara azab hai.)

    [Woh usay Quran ki ayat ka tarjuma suna rahi thi]

    Ab tum phir shuru hogai wahi batein phir se? mene kaha na jo mere samne ghalat baat kare ga

    main unka yehi haal karu ga

    haan yehi haal karo ge chahe is haal main tum khud ko kisi din ICU main admit hua dekho and

    dimagh phat gaya ho

    [Usne gusse main hatho main pakri hui kitab quaat se bistar per phenki aur kamre ka darwaza zor

    se band karte hue bahar chali gayi]

    Yaar ek to ye larki pata nahi chahti kia ha [Woh dheeme se uske jate hi bola]

    Motu yaar sun to lo akhir masla kia ha bhyi hogaya na jo hona tha ab kia tum is baat ko kabse drag

    kar rahi ho stop it na

    Masla ye hai k roz tumhara har baar yehi tamasha hota ha aur har baar tumhe samjha samjha k

    main haar jati hoon, fuzool logo k lea khud ko takleef de kar tumhe maza aata hai lekin meri baat

    maante hue tumhe pata nahi kia hota ha

    Acha yaar nahi hoga ainda I promise ab please ye gussa to khatam karo? Khud karo to theek ha

    main gussa karu to tumhe masla ha?

    Tum mere saath fuzool behas na karo jo kaha ha woh kar sakte ho to fine verna Mr Sahil aap kisi

    mental hospital main apna name likhwa lein kyun k kisi din dimagh phat jana ha aur phir shyad koi

    hospital khali na ho, aaj kal har dusra banda pagal jo hai

    Haan jese tum Miss Shizreh

    [Usne haste hue usay dekha]

    Very funny, Hogaye tumhare saste aur bekar jokes?

    Bas karo ab Shizreh woh sorry kar raha haina? Aur usne jo kiya woh ghalat bhi nahi unho ne

    hamein kamzor samajh liya tha

    Mama aap bhi iski himayat kar rahe ho? Apne dekha nahi uski halat kiya hui thi?

    Acha fine usne keh diya na nahi hoga to stop it now, Sahil tum ghar jao tumhari ami ka phone aya

    tha tmhare lea

    Ohh Jee main jata hoon and aap isay kuch samjhaein ye chahe to bhi naraz nahi hosakti mujhse

    islea drama na kare ab

    [Woh gate se nikal kar bahar jarha tha k Shizreh ne usay apne paas rakha cushion peche se maara]

    Ab tum yaha mat aana samajh agai

    ***************

    [Sardi ka mausam tha aur sham k pehar main woh lawn main bethe

    chai pee rahe thay]

    What are you people serious? Mujhe yakeen nahi araha aap log ye baat keh rahe hain

    [Woh zor se hans raha tha aur woh teno herani se uska chehra dekh rahe thy]

  • What is so funny in this Sahil? Kiya tum dono ye nahi chahte?

    Papa kiya hogaya ha apko, aap ek business man ho is shehar k business tycoon aap ko is baat

    main kia serious dikh raha ha aur kam se kam aap ki soch aisi nahi k aap larka larki ki dosti ko ek hi

    sense main lete ho?

    Sahil is main burai kiya ha aur ye sochne pe majbur hamein tum dono k saath ne kiya ha, bachpan

    se ab tak tum dono saye ki tarah sath ho adhe se ziada din tum waha uske saath hote ho har baat

    har faisle main tum usksa saath chahte ho, tumhari pasand na pasand us se juri hai aur tumne usay

    aur apni behan k ilawa kisi se apne dil ka haal discuss nahi kara hadiqa k baad agar koi tmhe janta

    ha to woh ha aur kia chaiye hota ha ek humsafar main

    Ami kiya hogaya ha ap dono ko? Shizreh meri dost hai meri sab se achi dost maine kabhi usay aisi

    nazro se nahi dekha hamara rishta kabhi kisi sahare ka muhtaj na bana ha na bane ga aap log soch

    bhi kese sakte ho meri aur Shizreh ki shadi ka?

    Is main sochna kia ha Sahil next month tm dono ka result araha ha tum iske baad kaam main lag

    jaoge islea hum ne socha k tumhe settle kar k ek saath zimedariyan di jae, aur tum jante ho k Samra

    k upar kitna pressure hain Shizreh k abu ne unka jena mushkil kiya hua ha aise main tumhare sath

    uska naam jur jae ga to woh chup hojae ge, aur agar tumne nahi socha kabhi to ab sochlo kia burai

    ha Shizreh main?

    Ami burai us main nahi us main koi kami nahi woh heera ha aur aisi larki hai jisay paane wala koi

    bauht hi khush naseeb hoga aur main is qabil nahi k uska saath lu, main kabhi soch bhi nahi sakta

    Shizreh aur main us roop main, Hadiqa tum hi samjhao inhe kuch

    Bhaiya kia burai hai is main mujhe kabhi Shizreh se achi bhabhi nahi mil sakti aur mene unhe

    hamesha apka behtreen sathi dekha ha aur sochein aap aaj jis bebaki se jis be takulafi se aap milte

    hain kal aap mil sako ge? Kal unki kisi se shadi hogai meri shadi hogi aap akele reh jao ge jiski apko

    aadat nahi and you know that aap k aas paas hamesha do prettiest girls rahi hain jinke baghar aap

    koi faisla nahi kar sakte

    Hadiqa tum bhi? I mean tum sab log shamil ho is main? Aur mama ka kiya? Woh bhi in sab main

    shamil hain?

    Haan isi lea tumhe yaha bulaya k tumse baat ki jaye aur Samrah waha Shizreh se

    What? Shizreh se is bare main baat mujhse puche baghar aap logo ko kia hogaya ha aisa nahi

    hosakta aisa kabhi nahi hosakta

    lekin kyun? Kia kami ha us main?

    Ami us main koi kami nahi ha, kami mujh main hai, woh namaz parhne wali, deen ko follow karne

    wali ba-kirdaar aur behtreen larki hai lekin main? Maine kabhi Jume aur Eid k ilawa koi namaz nahi

    parhi deen se mera koi wasta nahi raha, affairs k naam per meri lambi list hai, kia aap kisi aise larke

    se apni beti ki shadi karwate?

    Sahil hum sab jante hain lekin tum dil se bure nahi ye bhi hum jante hain, ye sab batein khatam ho

    aur tum apni life k lea serious hojao hum yehi chahte hain, aur tumhe Shizreh se acha koi nahi

    sambhal sakta, Hadiqa ne sahi kaha ha tumhe aadat ha uski, is aadat k jis rung ko tum aaj nahi

    samjh rahe jab samjho ge tab dair hojae gi main tumhari maa hoon I know what is good for you

  • Ami please main ye sab abhi nahi kar sakta aur Shizreh ki dosti ko main kisi rishte se qaid nahi

    karna chahta hum jese thay hamesha rahe ge

    Sahil tum dono aur hum log samjhte hain is rishte ho per log nahi samjhte woh isay ghalat naam hi

    dege aur uski shadi k baad ye dosti kabhi vaisi nahi rahe gi, mene hamesha Shizreh ko apni bahu

    samjha ha aur hamesha se khuwaish ha meri ye

    Ami please mujhe ab kuch nahi suna aisa kuch nahi hoga, aur logo ko jo bolna ha woh bolte rahein,

    jo rishte mazbut ho unhe faasle bhi tor nahi sakte jese thay vaise rahe ge Shizreh deserves a lot

    better than me

    Lekin Sahil.

    [Woh cup rakh kar ab gate ki taraf jaraha tha]

    *****************

    Tumne suna century ka sabse bara joke?

    [Woh haste hue un dono k samne maujood tha, Samne khamosh bethi shizreh se woh mukhatib tha,

    uske lafz sun kar un dono ne ek dusre ko dekha]

    Kiya matlab?

    [Shizreh ne usay herangi se pucha]

    Aray baba wahi, ye hamare dear family members hum dono ki shadi ka soch rahe hain, can you

    imagine it?

    Hmmm, haan woh, wahi to dekho inhe kia hogaya ha hum dono ki dosti ko shadi jesi complication

    main involve kar rahe hain, ye parents bhi na, hum dono dost thay dost rahe ge inko dost samjh hi

    nahi aati haina Sahil

    Aur nahi to kiya, inko to kuch samjh hi nahi aata waha woh teno bhi yahi zid lagae hue hain aur I

    know wahi lame excuses tumhe bhi sunae hoge shadi karlo verna dosti nahi rahe gi, kia aap log bhi

    na mama result se ziada to aap logo ne pareshan kardiya

    Tum choro inhe Sahil tum bas tyari karo tumhe ab CSS ki tyari karni ha,You have promised me k

    tum civil service officer ban k dikhao ge, ab tum ghar jao and tyari karo

    Haan lekin tum kaha jarahi ho?

    Main bas thora thaki hui hoon I want to take some rest

    Lekin hamara to plan tha k hum aaj movie dekhne jae ge maine tickets le liye hain yaar

    Sahil aaj nahi please phir kabhi chale ge

    Lekin??

    Tum chale jao Sahil saath main phir kabhi chale ge

    Pata nahi aaj sab ko kiya hogaya ha, acha jaata hoon per I am not going for movie now mood hojae

    to let me know han

    Haan bata dugi

    [Woh apne kamre ki taraf jarai thi, aur Sahil uske achanak badle hue mood ko dekh kar kuch heran

    tha]

    Shayad ye baatein sun kar pareshan hogai [Woh dil main khud se keh raha tha]

    ==========================================================================

  • PART 8

    Mujhe maloom tha k shehar k naami girami actor yahi maujood hoge

    [Shizreh college se wapsi k baad abhi ghar main dakhil hui jab usne Sahil ko sofa per bethe dono

    tangein (legs) table per rakhe khana khate dekha]

    Agayi hitler, mama! Kyun aap ko kisi drama serial main cast karna tha mujhe?

    [Sahil ne shararat bhari muskaan k saath jawab diya]

    Nahi apko apki performance per award dena ha Sahil sahab aap to kamal k actor hain, Bauht

    khoob

    Kia baat ha beta kyun itna gussa horai ho?

    [Ms Samrah ne fikarmand lehje main Shizreh se pucha]

    Ye aap apne is bete se puchiye ga jo jhut bol kar yaha maze se movie dekh raha ha, aur aap isay

    khana khila rahi hain

    Mujhse kabse permission lene ki zarorat par gai yaha aane k lea? Mera ghar ha kabhi bhi aaskta

    hoon

    [Sahil sofa per beth kar har baat se befikar movie dekh raha tha, dono tangein(legs) table per rakh

    kar woh yun ajan ban raha tha jese usay kisi ki khabar nahi]

    Aap bhul rahe hain Sahil sahab apka ghar samne hai jaha shyad aap sone jaate hain sirf, baki time

    to apne bahar ghumna hota ha logo k saath Mazak karna ya phr yaha

    Shizreh kia hogya ha uska bhi ghar ha woh jab chahe aye yaha tum kyun us per itna khafa horai

    ho?

    Kuch nahi mama aap to bas iska side lein, kuch dino main papers hain aur ye bemari ka jhut bol kar

    yaha picnic mana rahe hain aur akhri din ye ajae ge k mujhe parha do please

    "haan to mujhe bukhar hai tabi nahi aya na verna main kyun nahi aao ga college?"

    [usne be-fikri k alam main bina dekhe jawab diya]

    "Acha apko bukhar ha? Bukhar main insan biryani nahi khata, aur aap college aake bhi konsa parh

    lete hain? Ya to college main dating ya college se bahar awara gardi aur Assignments k lea to apne

    mujhe rakha hua ha

    Excuse me! Biryani mama ne banai ha apko kia issue ha, aur tauba karein Shizreh sahiba main aur

    dating? Mere grades dekh kar kon apki baat pe yakeen kare ga? Ziada itrao mat nahi aaoga help

    lene apki.

    "Ye biryani mene banai thi raat main aur ye mene apne lea rakhi thi, yahi to nahi maloom k apko

    marks kese milte hain verna Sahil sahab k bunks aur affairs to mashoor hain har jagah, Aur haan

    assignment main banao gi bhi nahi ab"

    "Ohh tabi to main kahu k aaj biryani main woh taste nahi hai, Mama apki beti ka bp high hai kuch

    dein isko"

    [usne haste hue mama ki taraf dekh kar kaha]

    "Fine na khaein aap"

    [Shizreh ne plate cheen kar kitchen main rakhdi]

  • aur haan jab aap picnic se farigh hojae to mujhse aake mil lega

    agar apko koi problem na ho Mr Sahil

    Haan haan mil luga jake thanda pani peo Miss Shizreh, Mama aap chorein isay aap yaha aake

    bethein bauht achi movie ha

    [Kandhe uchkate hue woh ab apne kamre ki taraf jarai thi, Sahil phir se movie dekhne main masroof

    hogaya aur phir bekhabri ka dour chala]

    *************************************************************************************************************

    "Utar gaya gussa ya ab bhi kuch batein sunani hain?"

    [Shizreh apne room main rocking chair per akhein band kiye bethi thi jab usne aake us se sawal

    kiya]

    "Tum per gussa kar k naraz ho kar mujhe jaana bhi kaha hai"

    [Band ankho se usne bina dekhe usay jawab diya, jawab-e-la-hasil]

    "To kis baat per khafa thi aap ab?"

    [Uski band ankhein bhi sehar-angez thi, woh unhe dekh raha tha]

    Kuch nahi bas college main aaj mera Jibran se jhagra hogaya

    [Woh apne class mate se hue jhagre k bare main Sahil ko bata rahi thi]

    What? Jibran ne tumse jhagra kiya? Usay to main abhi batata hoon

    [Woh gusse main utha, aur Shizreh k hatho ne uske qadam rok liye]

    Ruko Sahil, Ghalti uski nahi ha meri ha, Main hi tumhare bare main kuch nahi sun sakti chahe woh

    kuch bhi ho

    Usne mujhe kia kah dia jis per itna gussa?

    Kuch nahi bas main class main assignment bana rahi thi aur woh apne dosto k sath aya and kehne

    laga k (aaj tumhara awara bodyguard nahi aaya, han hoga kisi larki k sath dating main masroof)

    [usne ab ankhein khol li thi aur ab khuli ankho main bhi wahi be-chaini thi]

    To sach hi to kaha ha konsa koi jhut ha? Main hoon bodyguard main hoon awara main hoon flirt,

    Why are you getting anger on this?

    Kyun k main janti hoon mera Sahil aisa nahi ha, Sahil tum jo kar rahe who tumhe thaka dega, tum

    bhul kyun nahi jaate jo hua so hua kab tak us ek bandi ki wajah se apni life ko spoil karo ge?

    Main kisi ki wajah se nahi kar raha motu

    Sahil please bauht hogya ab, tumhe acha lagta ha sabse apne bare main bura sunna khud ko

    takleef dena aise? Aur woh jiske lea tum ye sab kar rahe ho, woh last week engagement kar k bethi

    ha woh bhi Hassan se Sahil sahab, apni pasand ki..

    [Woh sar jhukae betha tha aur Shizreh ki ankhein bheeg chuki thi]

    Maloom hai uski mangni hogai ha woh Australia jarahi hai aur woh ab wahi studies continue kare gi,

    sab janta hoon

    Jante ho phir bhi us larki k lea apni life ko waste kar rhe ho? Woh ab tumhara naam tak nahi janti

    hogi aur tum us Kinza k lea ye sab

  • Main kia karu phir? Main jitna bhulna chahta hoon utna mujhe ye sab yaad aata ha kuch din theek

    hota hoon phir sab yaad ajata ha main khud ko aziyat na de kar bhi de deta hoon

    Sahil mene kitni dafa samjhaya ha k waqt se acha marham nahi hota us la-hasil relation ki wajah se

    tumne 1 saal se khud ko aziyat di hui ha bas kardo ab, dard ka ilaj hai per tum nahi karna chahte

    shayad theek khud ko

    Waqt? Aur kitna waqt du aur waqt hi kar dega sab to theek hojao ga main khud, kia ha ilaj?

    [woh ab uth kar khirki ki taraf ja chuka tha, Parinde azaad hawa main sab se be-fikar]

    Sahil tum ek baar ALLAH se maang kar dekho tumhe sukoon usi k dar per mile ga, ek baar mere

    kehne per kar k dekho

    Shizreh tum janti ho main nahi kar sakta aisa mujhe apne gunahgar hone ka ehsas shidat se hota

    ha mere dil main ab tak woh noor nahi k main uske dar per uska samna kar saku

    Sahil woh noor khud dega tum ek baar maang kar to dekho, woh dil ko sukoon dega tum ye khel

    band kar k ek baar to hazri do

    Main kisi se nahi khel raha

    Tumhara dil toota per uski saza tum dusri larkio ko kyun derhe ho? Ye khel nahi to aur kia ha k har

    dusre din tum kisi se muhabbat ka Mazak karte ho

    Oh please shizreh! Tum janti ho woh koi masoom larkiyan nahi hain, sab matlab ki wafadar hain,

    sab k past main affairs ki lambi list ha aur mere baad bhi list continue rehti hai main bas unhe

    sikhana chahta hoon k matlab k lea wafa kitni mehngi par sakti ha

    Agar koi mujhe ye sabak sikhae?

    [Woh uske qareeb aake ab uski ankho main dekh rahi thi, Lehrein ab bhi tez thi toofan aana tha

    shyad]

    Sabak sikhane wala phir zinda nahi rahe ga, Sun lia? Ab khud ko mat lana bech main

    [Sahil khafgi main usay dekh raha tha]

    Kyun zinda nahi rahe ga? Tum dusro k saath kar sakte ho koi mere sath koi Hadiqa k saath kyun

    kuch nahi kar sakta?

    [Shizreh ne Sahil ki choti behan ka zikar karte hue usay gusse se kaha]

    Kyun k Hadiqa, Sahil ki behan aur Shizreh meri dost hai

    Maryam bhi kisi ki dost kisi ki behan ha Sahil jiska dil tumne tordia aur aaj woh mujhe kisi murjhae

    hue phool k jese lag rahi thi, woh to aisi nahi ha Sahil uske sath tum jo kar rahe ho woh kia ha?

    [Maryam, un dono k college main saath parhti thi, bauht baar usne Sahil se apni feelings ka izhar

    kiya tha lekin Sahil har baar uski baton ko nazar andaz kar deta tha]

    Mene us se koi waada nahi kiya usne mujhse dosti karna chahi mene ki, usne mujhe kaha k woh

    mujhe pasand karti hai mene kaha theek ha, kiya mene usay kaha k I like her too? To ab kyun woh

    tamasha kar rahi ha

    Stop being so selfish Sahil, woh tamasha kar rahi ha aur tum kia kar rahe ho phir ek saal se? Us

    Kinza k lea ek masoom larki ki zindagi k sath khel rahe ho?

    No, I am not, main kisi k sath kuch nahi kiya, aur tum sab ki wakeel na bano please, hazar dafa

    kaha ha Kinza ka naam mere samne na lo I hate her usne jo kiya woh

  • Tum na kar k bhi bauht kuch kar rahe ho Sahil, usne jo kia usay chor do ab bhula do, Move on,

    apne lea nahi to apne parents k lea apne dreams k lea Sahil kuch log tumhe dekhna chahte hain

    barhte hua unka socho maazi sirf takleef deta hai, kanto ki rahein hain ye in per chal kar zakhmi tum

    hoge un kanto per ya un kanto ko bichane wale be-asar rahe ge, Aaj Maryam ka dil toota ha kal kisi

    aur ka aise tum khud ko kabhi khush nahi rakh pao ge

    Shizreh main theek hona chahta hoon per nahi bhul pata kuch ab to college bhi khatam hone wala

    ha ab nayi zindagi ka aghaz hai shayd main sab bhul jao, waqt ka marham mujhe shayad theek kar

    de, Main Maryam ko samjha luga woh meri aag main khud ko na jalae

    Lekin tum aise sab se khelna band karo Sahil kon kesa ha kon kia ha kon kia tha isko tum na socho

    saza aur jaza tumhara kaam nahi

    Koshish karu ga Shizreh main per main haar jata hoon

    Nahi haro ge main hamesha tumhare saath hoon, sab kuch nahi milta Sahil kuch khona parta ha

    kuch paane k lea mene bhi bauht kuch khoya ha per khud ko saza nahi di kabhi

    [Woh uska haath thaam kar usay hamesha ki tarah tasali derai thi]

    Haan shayad yahi sekhna pare ga, Ab main jaata hoon ghar bauht thak gaya hoon araam karna

    chahta hoon, Subah mile ge college main

    Subah kyun? Sham ko nahi aao ge parhne?

    Nahi motu aaj nahi, kal parh lege aaj khud ko parhane do

    [Dheemi muskaan k saath woh usay dekh kar kamre se bahar jarha tha aur shizreh ek baar phr haar

    chuki thi, woh janti thi aaj phir usne nakaam koshish ki ha]

    ============================================================================

    Part 9

    Sahil, Tum.. Tum insan ban jao hazar dafa samjhaya hai mene gaari(car) ahista chalao mujhe dar

    lagta ha

    Aur maine bhi tumhe kaha hai k main aaj bauht khush hoon, let me live this moment, Please!

    Present moment k chakar main tum aur main past ban jaege

    Aaj hum dono graduates hogae hain, University khatm ab new phase start hona ha life ka aur tum

    ye bore baatein kar rahi ho?

    Ok fine! Do what you want to do

    Acha yaar, naraz mat ho ,ab theek hai?

    (Usne gaari ki riftaar kam kardi)

    Haan very good, Thats like a good boy ab aise hi chalaya karo hamesha

    Han sirf tumhare samne

    (Sahil ne muskrate hue usay dekha)

    By the way hum jaa kaha rahe hain? Tum ne mama ko bhi ami abu k saath bhej diya whats the

    matter?

  • Kuch nahi, tum Caf Koel chalo

    (Shizreh ne usay unke pasandeda Caf chalne ka kaha)

    Caf is time kyun ? Hum to waha sham main chalte hain?

    Uff ek to tum sawal itne puchte ho

    (Usne khafgi k alam main usay dekha)

    Chal raha hoon, filhal to tum ye song suno mene kal hi suna ha tum batao kesa ha

    (Aap ko bhool jaein hum, itne to bewafa nahi, Woh usay maqami singer ka ek song suna raha tha)

    Idiot, ye koi new song nahi ha, Mehndi Hassan ka purana song ha ye

    Acha, Mene to isi singer ka suna hai, lo agae tumhare Caf

    Ye hadiqa is time kia kar rahi hai yaha? Aur iske saath ye Shiraaz haina

    (Woh Caf main dakhil hi hua tha k apni choti behan ko uske bachpan k saath dekh kar kuch heran

    hua)

    Haan ye Shiraaz hai, Hadiqa ka best friend, Kal hi Dubai se aya hai, Mene bulaya ha in dono ko

    Tumne bulaya hai lekin kyun?

    (Usay kuch samajh nahi araha tha, herani k alam main woh table ki janib barh gaya jaha Hadiqa

    bethi thi)

    Ouch, Bhai kia aap yaha to mujhe tang na karein

    (Sahil ne uske qareeb aaker hamesha ki tarah uske baal khenche)

    Kyun tum yaha kia meri behan nahi ho ya main tumhara bhai nahi?

    Acha ab tum dono na shuru hojao, Shayad Shiraaz bhi betha hai yaha?

    Janta hoon, Asalam O Alaikum, Kese hain jinaab aap ghayab hi hogae aap kafi saal baad mil rhe

    hain

    (Woh Shiraaz se gale lag kar mil raha tha, Shiraaz, Hadiqa k bachpan ka dost tha dono saath school

    main parhe thay aur in dono ki dosti kafi gehri thi, Sahil k lea hadiqa ki muhabbat ki wajah se

    Shiraaz ki bhi Sahil se kafi jan pehchan thi per woh kaafi arse se bahar tha)

    Jee Sahil bhai, bas kaam main lag gaya tha, Papa ne apna business Dubai shift kar lia aur mujhe

    bhi saath unke jana para parhai k saath unhe join kar lia to Pakistan nhe aana hua itna, Aap kese

    hain?

    Main vaisa hi jesa tha, Bas aaj life ka new phase start hua ha, I am joining Civil Service Academy

    very soon bas usi ki celebration horai ha and Shizreh sahiba yaha le ayi

    Jee mujhe btaya hadiqa ne aap dono ko bauht bauht Mubarak ho, Congratulations and Best of

    Luck, Bas apse milna tha to hum nee kaha k Shizreh aapi se kaha jae

    Jee jee inhi k paas mera Address hota ha, aap direct bulate to bhi ajata, Hadi jani aap ne kuch

    order kia ha ya ab tak aise hi bethe ho?

    (Woh apni behan ko pyar se Hadi Jani kehta tha, Sahil k lea do sabse zarori logo main se ek Hadiqa

    thi is lea laad bhi utna hi tha)

    Jee bhai mene order kar dia ha, Aap se treat to leni thi na, Q Shizreh aapi

    Haan bilkul, treat to banti ha Sahil sahab ab Civil Services join kar rahe hain bare log

  • Aap dono to koi baat na ho phir bhi treat le hi lete ho, Aaj treat Shiraaz k lea ha, Filhal aap dono

    betho main aur Shizreh bas 5 min main aye

    (Woh aur Shizreh ab caf k dusre floor per thay, Sahil usay mustakil dekh raha tha aur woh kuch

    samajh nahi paa rahi thi)

    Hadiqa aur Shiraaz ek dusre ko pasand karte hain? Am I right or right?

    Kia matlab? Tum ye kese keh sakte ho?

    Just tell me yehi baat ha?

    (Sahil ne uski baat un-suni kardi)

    Haan, Woh dono ek dusre ko pasand karte hain, isi lea hum yaha hain, per tumhe kese pata

    chala?

    Behan ha meri jaan ha us main, Zahir hai sab pata lag jae ga aur main ye baat ache se janta hoon

    kafi pehle se

    Woh bauht dari hui ha, tumhare gusse se sab darte hain, isi lea usne mujhse baat ki, Ab please us

    se araam se baat karna and support her, You know about Shiraaz very well

    Hmmm, haan chalo

    Jee to aap dono, ab aap btain mujhe kia karna ha mujhe

    Sahil bhai, Main hadiqa ko bachpan se janta hoon aur

    Aur tum usay pasand karte ho, aur ab meri behan ko mujhse door lejana ha?

    (Usne uski baat aadhe main kaat di)

    Jee lekin.

    Lekin chorein aap, Mujhe sirf ye btain k meri behan ko aap utna pyar de pae ge jitna mene aur ami

    papa ne diya ha? Nahi to aap ko mere gusse k bare main Hadiqa ne btaya hoga?

    Sahil, tumhe mene mana kara tha, Usay baat karne do pehle

    (Shizreh ne usay rokna chaha lekin usne un-suna kardia)

    Jee main janta hoon, aap k lea hadiqa bauht important hai aur aap inke ansu ya udasi nhe bardasht

    kar sakte, isi lea apse mene apke qeemti phool ko manga ha, aap jesa chahein mujhe manzoor ha

    To phir Khan Uncle se kehdo k woh papa se baat karlein, lekin yaad rakhna meri behan mere lea

    bauht qeemti ha, You better be careful

    Thank you so much bhaiya, I love you so so so much

    (Hadiqa us se gale lag kar uske galon ko chum rahi thi, Usay jab bhi kuch chaiye hota hamesha

    Sahil se manga karti)

    Love you too, aur aap ghar chalein main apko ache se batata hoon, Lekin haan apki parhai khatm

    hone se pehle kuch nahi, ek saal tak apne sirf parhna ha

    Jee I promise, and I know aap ghar chal k yehi bataein ge k Hadi jani tum bauht pyari ho

    Very funny, Ab aap log yaha betho main aur Shizreh chalte hain, thora kaam ha, aur haan Shiraaz

    in muhtarma ko jaldi ghar chore ga

    Jee bhai sure, Thank you so much

    (Woh dono gale lag kar mil rahe thay)

  • ***********************************************************************

    Sahil tum itne udas kyun ho kabse dekh rahi hoon chup ho aur hum yahan Samandar k kinare kia

    kar rhe hain

    Kuch nahi bas, Dil kar raha tha

    Tum udaas ho? Aaj itna khushi ka din hai, Hum graduates hain, Hadiqa itni khush hai, tumhare

    dream pure hone ko hai, Foreign Service??

    Main ek saal k lea chala jaoga aur wapis aaoga to Hadiqa ki shadi, Woh mujhse door chali jae gi

    Tum konsa bauht door ho, Lahore kuch ziada door to nahi aur tum aate jate raho ge, Sab ne jana

    ha Sahil ek din main bhi

    (Woh kehte kehte ruk gai, Ankhein nam thi)

    Khof hai mujhe tumse juda hone ka

    Tum bin jeene ka dil tasawur bhi kese kare

    Tum bhi chali jaogi? Mere khuwab mujhe mere apno se door kar dege ye mene nahi chaha tha

    motu

    Sahil jo apna hota ha woh dur nahi hota hum sab tumhare saath hai, Hadiqa ka socho kitna khush

    hai tumhe udaas dekh kar woh kia soche gi, Sab ko man chaha saathi mile ye zarori nahi hota, woh

    khush naseeb hai, tum uske lea dua karo and smile please

    Lekin main uske saath time spent karna chahta hoon

    Haan to tum weekends per ajana Karachi, Is main kia ha?

    Lekin Shizreh, woh abhi itni choti hai, Jaldi kyun karein

    Sahil woh choti nahi h ab tumse 2 saal to choti hai

    (woh chote bacho ki tarah us se sawal kar raha tha aur Shizreh har baar ki tarah usay sahara de

    rahi thi)

    Lekin..

    Lekin kuch nahi ab khush hojao itna kuch ek saath mila ha ab utho ghar chalein, tumhe uncle se

    baat karni ha aur wait kar rhe hoge sab ghar pe

    Haan chalte hain, Tum coffee to pee lo

    (Woh phir kuch sochne laga, Lekin Shizreh ne usay nahi roka woh janti thi usay jitni muhabbat

    Hadiqa se thi ye sab fitri amal hai)

    ============================================================================

    Part 10

    "Sahil tum mere jazbaat se wakif ho, aur tum mujh se bhi wakif ho, in jazbaat main sirf sachai hai.

    Haan main janta hoon k ye jazbe sache hain, lekin.(Usne baat bech main kaat di)

    Lekin kia Sahil?

    Lekin ye k ab mere dil main koi jazbaat nahi hain, main tumhare nahi kisi k bare main aisa nahi

    sochta

    To kia tumhe koi aur pasand hai?

    Nahi, aisa kuch nahi mene kaha na ab mere dil main aise koi jazbaat nahi hain

  • Sahil jazbaat kahi nahi jaate hum dar k unhe chupa dete hain, Insan k saath hone wale bure

    experiences dil ko kamzor kar dete hain, lekin jazbe kahi nahi jaate, hum itne be-bas hojate hain

    kabhi kabhi k hum apne ehsasasat aur jazbaat ko rok nahi paate

    Tmhare jazbaat ki main qadar karta hoon lekin ye sab la-hasil hain, main kam se kam tumhare

    saath woh khel nahi sakta jo sab k saath khelta raha hoon

    Mujhe ye khel bhi manzoor hai agar tum mere saath ho

    Ab main in sab cheezon se aage nikal jana chahta hoon, ye na-mumkin hai

    Per main? Mera kiya mene bauht koshish ki hai tumhe bhulane ki

    (Uski palkein ab bheeg chuki thi, chehre pe shikastgi k asaar thay)

    Tum sab bhul jao gi, ye waqt ka marham agar hum isay mauka de to sab sambhaal leta hai

    Aur agar mauka hi na diya jae to? Agar dil apne man-pasand per hi ruk jae? Dharakna bhul jae?

    Sambhalne ka sahara bas wahi uska man chaha ho to

    To shayad zindagi dard ban jati hai, Hum jisay man-pasand samjhte hain woh aksar hamara nahi

    hota hamare lea behtar nahi hota, Man pasand kuch nahi hota ye sab hamara weham hai

    Sahil maine bauht koshish ki hai aur ab to hum shayad milein bhi nahi, main papers k baad Lahore

    chali jaogi aur tum university life main busy, tab ye kami mujhe mazid kamzor bana degi

    Lekin main kisi rishte ki bunyad bina jazbaat aur ehsasat pe nahi kar sakta meri baat ko samjho

    Maryum

    Jazbaat kabhi na kabhi jaag hi jaate hain, Mere liye tumhara hona tumhara saath hi sab se

    khubsurat ehsas hoga

    Agar aisa hota k muhabbat naam k jazbe se main wakif hota to bhi main tumhara saath qubool kar

    leta kyun k hamein saath unka lena chaiye jo humse pyaar karte ho na k hum jinse karte ho

    Tum muhabbat se wakif nahi ho?

    Nahi hargiz nahi mujhe is jazbe se wakfiyat hi nahi na hi mujhe iski zarorat hui kabhi

    Ek baat puchoon? Bura to nahi mano ge?

    Haan pucho

    Kiya tum aur shizreh ek dursre se. (Sahil ne baat aadhe main kaat di, Khafgi k tasurat uske

    chehre per numaya thy)

    Oh for God sake aisa kuch nahi hai, tum logo ko dosti k rishte main aisi kia kami mehsoos hoti hai k

    is muhabbat naam k rishte se jor dete ho hamein?

    Mene socha shayad tum is wajah se mujhe thukra rahe ho

    Main tumhe thukra nahi sakta koi bhi insan tumhare aage apni muhabbat bicha sakta hai, lekin

    main tumhari qadar karta hoon janta hoon k tumhare jesa life partner main deserve nahi karta aur

    yakeen mano tumhe mujhse bauht acha mile ga tum ye sab bhul jao hum dost thy aur rahe ge, Is se

    ziada main kuch nahi desakta tumhe

    Class ka time hogaya hai Sahil baad main milti hoon, Main late hojao gi(Bheegi palkon ko

    chupane ka is se behtar mauka uske paas nahi tha)

  • I am sorry Mariyum..

    (Uski baat unsuni karte hue woh ab jaa chuki thi)

    **********************************************************************

    Please Shizreh ab tum mat shuru hojana, Dont you know me? I am not of that type

    Lekin Sahil, Mariyum koi buri larki to nahi, She loves you aur yehi sab se bari baat hai k there is

    someone to love you

    Shizreh aise bauht hain jinhe main acha lagta hoon ye pyaar wyar sab waqti emotions hain

    attraction ha usay sirf kuch din main khatam hojae gi aur she will be back to her normal routine

    Lekin ek saal se uske jazbaat wahi thy jaha ek saal pehle thay, Tumhare inkaar aur badtamezi k

    bawajud woh ab bhi tumhara hona chahti hai

    Lekin main kisi ka nahi hona chahta, Agar woh chahti hai main sab k jese us k saath bhi flirt karu

    aur kuch time baad chor du to theek hai kar leta hoon

    Oh please Sahil, Kam se kam woh Kinza se to bauht achi ha, She is sincere with you, Tum larko ka

    kuch pata nahi hai jinse wafa karni ho unse hi mu mor lete hain

    Shizreh mene dus dafa kaha hai uska naam mere saamne na liya karo, Woh jo thi jese thi maazi ka

    ek hisa hai

    (Sahil k chehre per khafgi k asraat numaya thay)

    Maazi ki wajah se tum apne present aur future ko kyun disturb kar rahe ho?

    Aisa kuch nahi hai

    Aisa hi hai agar aisa nahi hai to apna mu kyun mor liya hai? Meri ankho main dekh k kaho

    Dekho aaj main bauht ache mood main hoon dont spoil it, Mene keh diya k main mariyum ko vaise

    kabhi nahi soch sakta na hi main is waqt in relations main aana chahta hoon islea ab khatm karo

    baat

    Ok fine, I am sorry apka mood spoil kia lekin aap ko khud ehsas hoga ek din k aap ghalat thay

    Shizreh, har insan thokar kha k hi seekhta hai, Hum kuch kho kar hi paane ki chahat ko mehsos

    karte hain

    Lekin tum bauht khubsurat sa saath kho doge main janti hoon usay she is perfect for you

    Really motu? Tumhare hi lafz thay na k zindagi main kuch bhi perfect nahi hota?

    Han lekin rishte hosakte hain agar saath diya jae to, Masla kia hai akhir

    Shizreh abhi college khatam hua hai phir university aur tumhe pata hai mujhe kitni mehnat karna

    pare gi apna dream pura karne k lea?

    Dream k liye tum saath chor doge apno ka?

    Shizreh woh meri kuch nahi lagti meri life tum 5 logo k gird ghumti hai bas, Ab please itne ache

    mood ko spoil na karo

    Ok fine..(Shizreh ne mu banate hue usay kaha)

    Yaar itna romantic mausam hai, Itni khubsurat tum itna handsome main, Movie bhi hamari favorite

    please ab aise na karo

    (Usne koi jawab nahi diya, aur mobile main masroof hogai)

  • Zara chehra to dikhao,

    aur thora sa muskrao

    [Sahil ki awaz hamesha se hi achi thi aur Shizreh un chand logo main thi jin k samne woh gaya karta

    tha]

    (Woh uth kar jaane lagi)

    Shizreh yaar ab kaha jarai ho?

    Coffee nahi peeni tumne is khubsurat jin k hatho ki? (Usne muskrate hue peche mur k usay dekha)

    [Kuch lamhe shayad hamesha k lea wahi ruk jate hain, Jab bhi hum udaas ho woh lamhe sukoon sa

    de jaate hain]

    Ye kismet hamari, k aap k yun deedar ho

    Uff Mr Flirt! Shut up, Movie start karo main aayi

    Aur log kehte hain k woh jazbaat nahi rakhte

    Main ro thori raha hoon, Sardi haina us wajah se bas

    Mene apko to nahi kaha tha

    Ziada drama na karo acha, Main janta hoon tumhe ache se

    Janti main bhi hoon apko ache se bauht, Jo insan movie ka ek scene dekh kar ro pare, Jo kisi ko

    zakhmi dekh kar tarap uthe, Jo kisi per gussa kar k khud udaas hojae, Jo kisi majbur ko apni cheez

    bhi qurban kar de woh jazbaat se khaali nahi hota

    tum phir se shuru hogai?

    mene apko nahi kaha bhyi main to hero ki baat kar rahi hoon na dekho kitna acha ha uff I to bas

    love him, He is so cute

    Tum larkiyan na unhe yehi sab cute lagte hain, Pata nahi kia acha ha is main?

    Acha?? Aur apko jo har do din baad kisi new actress per crush aata ha?

    Tum movie dekhne dogi k nahi?

    dus dafa to dekh chuke ho, Phir bhi rone k lea dekhte ho dubara

    Aisa kuch nahi hai, tumhe bas tang karna hota hai mujhe

    Sahil Zindagi bauht mushkil hai akele thak jao ge itna mat bhago

    Main akela to nahi, Tum ho na mere saath, Ho na Shizreh

    (Usne kisi masoom bache jese apni khuawish batai)

    Main tumhare saath hamesha se thi aur raho gi, Lekin tum meri baat bhi maan jao na

    Shizreh main theek hoon na, Aur haan baat suno mene papa se baat kar li hai hamara admission

    ek hi university main hojae ga, hum saath parhein ge

    Matlab mujhe mazeed 4 saal tumhe bardasht karna pare ga?

    Tum mujhe bardasht karti ho?

    Uff agar koi Sahil sahib ko aise dekhe na to woh hase ga

  • Aur Sahil itna acha nahi k sab ko dikhae ye sab, Ab please chup kar k movie dekho and hum is

    weekend Murree jarhe hain

    Tumhara dimagh kharab hoga mera nahi jo itni sardi main Murree jao

    Tum bore insan ho, Shizreh madam yehi to maza ha sardi ka Murree aur waha thandi ice-cream

    Mama.

    Mama se puch liya hai ab drame band karo darpok, Movie dekho

    Part 11

    Tum yaha seepiyan jama karne aati ho ya samandar ki dhalti barhti lehro ko?

    Seepiyan aur larkiyan ek si hoti haina islea mujhe pasand hain.

    kiya matlab?

    matlab ye budhu k in k dil main bhi hamari moti hota hai per woh sab k hise ma nahi aata woh bs ek

    ka hota ha jo uski qadar kare, haan kabhi kabhi hum dhoka kha k ghalat hatho main isay sonp dete

    hain phir yunhi kinaro main khali dil liye basera kar lete hain.

    Tum aur tumhari ye batein najane kb samjhu ga.

    Samajh jaoge insan kuch kho k hi kuch pata hai kuch dur ho k hi apni ehmiat ka ehsas dilata ha

    verani main shor ka ehsas hota ha, sab samjhte hain tum bhi samajh jaoge bs jab dil pukare sum

    lena.

    Aur mujhe kese pata lage ga k woh baat sahi hai?

    Dil ki sunte hue koi nahi bhatkta Sahil, hum bas apne nafs ko dil ka ghulam bana lete hain, woh

    hamein bhatka deta hai, kuch lahasil chezo pe unhe peche chor dete hain jo zindagi ka maqsad hota

    hai.

    Aur agar dil khof main woh na karne de jo uski khuwaish ha?

    Dil ki khuwaishein lahasil hoti hain woh nafa nuksan nahi dekhti, be-lagam si har cheez se naashna

    khuwishein.

    Aur hum jee lete hain un khuwaisho k adhure pan k sath?

    Insan mitti ka bana hai ye har chez har shape ma dhalna janta hai, Har mausam main reh leta hai.

    Per kuch chezein bardasht nahi hoti na motu.

    Sahil hamein direct CEO ki job mil sakti hai?

    Nahi uske lea to mehnat karni hoti hai bauht sacrifices krne parte hain.

    To zindagi main bhi kuch acha kuch bauht khubsurat pane k lea hamein bauht kuch khona parta ha

    bauht kuch dena parta ha ansu tanhai k baad hi vasl k lamhe milte hain ye usool e zindagi hai yaha

    sehra se guzar k hi jheel milti hai.

    Shizreh tum na writer ban jao.

    (Usne muskrate hue uski ankho main dekhte hue kaha)

  • Sahil sahab kuch batein sirf apno ko sunate hain kuch personal bhi hona chaiye na.

    Hmmm (Khamoshi aur ankho main nami, usne jawaban khamoshi ikhtiyar ki)

    Tum pareshan ho? Jaane ki wajah se?

    (Usne usay rok kar ankho main chupi nami ki wajah bata di, Koi hamein hum se bhi acha janta hai

    kisi ka hona kisi lea zarori hai ye ehsas bhi khuda ki anmol naimaton main se hai)

    Mujhe akele rehne ki aadat nahi hai, Shayad ye mera shauk na hota to kabhi yun na jaata mujhe

    khauf aata ha k kahi mere peche mere apne mujhse choot na jaein

    Sahil jo apne hote hain jo hamare hote hain woh kabhi hamein chor k nahi jaate, waqti duriyan kabhi

    dil pe asar nhe karti jo jaha hota ha woh wahin rehta hai, ye tumhara khuwab hai aur kuch qurbani

    de k hi kuch milta ha

    haan lekin....

    (Usne khof ki tarekh raho main gum dil ko apne maujoodgi se roshan krne k lea uske hatho main

    apna hath thama diya, Sahil per ab thandi hawa'on k saath suraj akhri salami de rha tha)

    Yakeen rakhna chahe kuch bhi hojae waqt ki lehrein hum dono ko kahi bhi lejain Shizreh tmhare

    saath thi aur rahe gi, hamara rishta kisi waqt ka qaid nhe dunyawi duriyan kabhi haamein juda nahi

    kar sakti, aur aaj kal k daur main dooriyan ho kar bhi nahi ha hum skype pe baat krein ge na, aur

    tum konsa hamesha k lea jarhe ho har thore din baad ajana muree konsa dur hai ek flight ko doori

    per.

    Per main roz mil to nahi saku ga na tmhe tang to nhe kar sku ga na aur ami papa hadiqa uska kiya.

    Unse bhi mil lena, itni aadat hamein kamzor bana deti hain be brave Mr Flirt.

    Excuse me i am not Mr Flirt.

    Har dusre din kisi pe crush rkhne wale ko kia kehte hain phir?

    Ab zahir hai khubsurati ko praise karna chaiye na.

    Full stop bhi lagna chaiye verna kahani bore lagne lagti hai.

    Haan to lag jae ga na kisay jaldi hai, Ab chalein woh sab hamara wait kar rhe hoge, Apne favorite ki

    farewell party arrange ki hai unho ne i am impressed.

    Mene tumse ziada khud pasand shakhs nahi dekha.

    Haan to mujh sa dikhe ga bhi nahi my dear.

    Chaat kha k chalte hain?

    Oh please tumhare ye road side adventures kabhi khatam nahi hote mera mood nahi.

    Tumhara nahi to na sahi who cares bas mjhe le k do.

    Dekhta hoon tumhare nakhre mere baad kon uthata hai.

    Ye haq kisi ko diya bhi nahi ehsan mano k itna tumhe free kiya hua ha.

    Oh really?? Aisa haq dene k lea line lagi ha, you are lucky jisay mene allow kara.

    I hate you.

    (Usne naak sukarte hue chir kar kandhe uchkae)

  • Not possible, ab chaat khao aur chalo.

    Nahi khani khud khalo.

    Thats very good chalo.

    Bhaiya ek plate chaat dein, Paise de dena.

    (Chaat k thaile pe usne ruk kar order diya, Sahil ko hamesha se usay chirane main maza aata tha

    aur har baar uske reaction se mazid maza ajata)

    *****************************************************************************************************************

    Woh jis waqt ghar lauta raat k 12 baj rahe thay, jaane se pehle usne har qareebi dost se mulaqat

    karli thi, Shizreh ko drop kar k ab woh ghar aya tha, jis bechaini aur khof ne usay subah tak jinjhore

    hua tha woh ab bauht had tak sukoon main tha.

    Aap ab tak jaag rahi hain? main samjha aap sogai hogi?

    (Woh jab apne kamre main aya to apni maa ko waha paa kar kuch heran hua)

    Haan main tmhara intezar kar rahi thi kal tum chale jaoge to socha kuch waqt apne bete k saath

    guzar lu, tumhara saman mene pack kar liya apni zarorat ki chezein le lena.

    Ami main khud kar leta apko ye sab karne ki zarorat nahi thi, bas late hogaya Shizreh sahiba ki

    farmaishein khatm nahi hoti kabhi.

    Shizreh ko tumne abhi drop kiya ha?

    Jee bas abhi usay chor k araha hoon, Dinner saath main kia hai hum ne.

    Beta tum dono ab bare hogae ho itna late tak casual ho k na raha karo saath woh larki hai uski shadi

    bhi honi hai ye sab batein uske khilaf jaskti hain, You know how people are?

    Per ami main logo ki wajah se apni dosti to nahi chor sakta na?

    Logo ki wjah se nahi apni dost ki wajah se, uske future ki khatir, samrah aaj kal uske lea rishta

    dundh rahi hai, Kal ko halaat ye nahi rahe ge.

    (Ajab sa khof uski ankho se guzra tha, Chehre k tasuraat achanak se kuch badal gaye, aage kia

    bola gaya woh sun nahi saka ya sun k bhi na suna)

    Tum sun rahe ho na baat meri?

    Hunh? Jee main sun raha hoon.

    Tum phir se soch lo Sahil, Hum aksar ghaltia karte hain phir pachtawa reh jata hai.

    Kia soch lu ami?

    Tumhari aur Shizreh ki shadi k baare main?

    Ami aisa kuch nahi hai, Hum dost thy hain aur rahe ge, hamari dosti kisi rishte ki muhtaj nahi.

    Har insan muhtaj hota hai rishto ka, baad main kuch nahi ho sake ga.

    Ami mene soch liya hai, aur abhi mene life main bauht kuch achieve karna hai.

    Beta ek baat bas yaad rakhna, Insan bauht baar ghalat chezo ko preference deta hai jo k baad main

    ghalti sabit hoti hain.

    Aur insan apni ghaltio se hi sekhta hai ye bhi ek fact hai ami?

  • Han lekin kuch ghaltiya kabhi sudharne ka mauka nhe deti, Main ab chalti hoon tum jaldi sojana

    subah jaldi uthna hai tumhe.

    Jee ami.

    (Dunya main kuch naimaton main se ek maa hai aur beti ki rukhsati per maa ka gale lagna aur bete

    ki kamyabi per uska matha chumna ye maa aur bacho dono k lea behtreen lamhat hote hain, unhi

    main se ek lamhe se woh is waqt guzar raha tha)

    Love you ami.

    Love you too beta...

    ( Subah jis anjane khof aur bechaini ne usay ghaire hue tha woh ek baar phir uske aas paas thi,

    neend usay pehle hi bauht kam aati thi per is halat main sona uske lea na mumkin tha, maa k jane k

    baad woh diary liye chat(roof) per chala gaya)

    Part 12

    Pichle kai ghanto se tez barish horai thi, Thand k mausam main barish ho to mausam lafzo ma bayan karna na mumkin sa hota ha, Khirki usne khuli rakhi thi raat gheri thi aur woh wahin khirki k paas betha tha, kamre main roshni na hone k barabar thi madham awaz main sound system pe gaana chal raha tha

    "Tera hijr mera naseeb hai"

    Hawa ka tez jhonka aya aur barish ki bondein uske chehre pe tham gayi, Gaane ma misra sun k uski soch

    ka daira hamesha ki tarah ek hi jagah ruk gaya, cigarette jali hui uske hatho main thi ye aadat bhi usay

    kuch mahine pehle lagi thi..

    "Main aaj tumhare saath hoon lekin ek din sab ne jaana hai, main bhi chali jaogi"

    Jab zakhm aur pachtawa saath ho to rooh ghayal hoti hai ansu ankho se girte nhe dil main hi samaa jate

    hain kanto ki trah kahi beth k zakhmi krte rehte hain.

    "Mama chahti hain main Fahad se shaadi karlu, Unho ne bauht kuch bardasht kiya hai main unhe

    khushiyan dena chahti hoon, Fahad US main rehta hai tum mile bhi ho na, Khala meri jo US ma rehti hain

    unka beta. Mujhe tmhara saath chaiye tha per tum bauht door ho chah k bhi ye mumkin nahi islea mene

    faisla kia ha.....Tum sun rahe ho na??

    (Phone pe dusri taraf se musalsal khamoshi thi)

    "Hunhhh haan main sun raha hoon, Han main theek hoon"

    "Kiya hua hai? Sab theek hojae ga khud ko kamzor mat banao, tum ne jo kiya woh theek tha zaroori tha"

    "Han main theek hoon, Tumhe Fahad pasand hai?"

    "Bura nahi hai"

  • "Matlab pasand haina"

    "Zaroori to nahi jo bura na lage woh pasand ho"

    "To phir?"

    "Phir kuch nahi bataya na mama chahti hain, Agar ye na hua to mere so called daddy mujhe bhi daulat k

    lea qurban kar dege"

    "Lekin tm kyun compromise kar rahi ho?"

    "Jab apni chahat na mile to apno ki chahat ko pura krte hain, Naseeb se lara to nahi na jaskta"

    "Kia matlab?"

    "Tum abhi matlab nhe samjh sako ge, bauht der se samjhte ho yaad haina papers ma mera kia haal karte

    thy? bas wahi hoga ab bhi"

    "per tum khush to ho na?"

    "khush, haan mama khush hain aur kia chahiye"

    "Per main itna dur hoon aur daddy mujhe nahi aane derahe, Tum wait to karlo itni kia jaldi ha faisle ki"

    "Tumhare aane k baad bhi faisla to yehi karna haina to aaj hi ye khushi mama ko de du"

    "Tum sach main dur hojaogi, Tum larkiyo ko dur q jana hota ha shaadi k baad?"

    "Q k phool khilta baagh main hai lekin ek din usay kisi guldaan ki zeenat ban'na parta hai, Phir jesa uska

    naseeb"

    "Main ye baat bhi nahi samjha"

    "Kaha to tum der se samjhte ho, Tang kar k phr samjho ge"

    "Kiya shaadi bhi abhi karni hai?"

    "Haan do mahine main woh log Pakistan aye ge tab"

    "Per tb tak main nahi aa saka to?"

    "Na umeed mat ho tum ajao ge sab theek hojao ge"

    "Agar na aaya to?"

    "Jo hua nahi uska kyun sochein, Ye batao tum khana khaate ho theek se aur rehte kaha ho?"

    "Haan main theek hoon bas miss karta hu sab logo ko, Papa k dost hain yaha unke haan hi hoon"

    Aur tumhare result ka kiya hua, Exams to ache hue thay kia umeed hai?

  • Pata nahi yaar mujhe to bauht dar lag raha ha kahi ye sab halaat mere result pe na asar karein tum janti

    ho mujhe kitna intezar hai result ka

    ALLAH se behtar umeed rakho, Tumne kaha tha tum koshish karo ge ibadat karne ki?

    (Phir khamoshi chaa gayi, Uske paas ab is baat ka koi jawab nahi tha)

    Mene kuch pucha hai tumse

    Haan who yaar bas mujhse nahi hota main khud ko is qabil nahi samjhta k ALLAH k samne jaa saku main

    nahi kar paata

    Aur mene bhi tumhe kaha tha paper har haal main attempt karna hota hai zarori nahi sab sawalo k

    jawab aye ya hamein pata ho k hum pass hojae ge, attempt karna lazmi ha baki jis imtehan ka tumhe

    keh rhi hoon us imtehan main niyat dekhte hain pichle gunah ya insan ko nahi

    Acha main phir se try karu ga, Lekin..

    Kiya hua?

    Mujhe bas akelepan se khauf arha hai tum sab itna door ho aur main yaha bilkul tanha hoon mene aisa

    to kuch nahi kiya jiski aisi saza mil rahi hai, najane kab mujhe wapis aane ki ijazat milti hai, I am tired of

    all this mujhe sukoon nahi mil raha

    Fikar na karo main hoon na tumhare saath, Kaho to main ajao tumhare paas?

    Nahi aisa nahi karna, Mere circle k har shakhs pe woh log nazar rakhe hue hain, main nahi chahta

    tumhare lea koi masla paida ho

    Acha to bas dua karo aur sojao ab, bauht der hogai hai, hum kal baat kare ge

    Haan theek hai tum sojao main bhi koshish karta hoon, Mama ko mera salaam karna

    Walaikum as Salam, Apna khayal rakhna aur pareshan mat ho ALLAH HAFIZ

    ALLAH HAFIZ

    [Woh jis waqt ghar lauta raat k 2 baj rahe thay, Ye uske mamool ka waqt tha pichle do mahine isne apni

    zindagi se raat aur din ka farq khatam kar diya tha, Thandi chandni aur tez dhoop dono ek si hi thi, Insan

    jab maqsad e hayat teh kar le to usay khud ko bhula dena parta ha, Waqt kabhi na kabhi hum sab ko hi

    aise kisi morr per le hi aati hai jab hamein sab bhula dena parta ha, apni khushiyan apne sapne,

    hasratein sab be matlb si hojati hain aur yahi waqt hamein azmata hai, Kuch sekhne k lea hamein sabak

    lena parta hai kuch paane k lea khona bhi parta hai, Raat guzre gi to hi ujala aye ga, hum jinhe jeene ki

    wajah samajhte hain aksar wahi hamein apne baghar jeena sikha jate hain. Usne Shave barha li thi,

    Ankhein surkh thi aur woh arse se bhatkte hue musafir ki tarah dikh rha tha]

  • [Apne roz k mamool k mutabik usne kapre badle aur naha kar usne khana garam karne k lea microwave

    main rakha, is doran usne TV bhi on kar liya tha aur TV per kuch na mila to usne Pakistani news channel

    ka rasta ikhtiyar kiya jaha media ki tehzeeb aur riwayat k mutabik wahi talk show chal raha tha jaha har

    siasat daan khud ko farishta aur apne hareef ko iblees ka numainda sirf camera k on hone tak samjhta

    hai, Phir yehi siasat dan to camera ki aankh main watan ki muhabbat main sipahi ban kar lar rahe hote

    hain niji mehfilo main saath kha bhi rahe hote hain aur islami jamhuriya Pakistan main pee bhi rahe hote

    hain, Hamare maashre ka ye almiya hai hamein apna chahe woh maikhaane main hi kyun na mile naik

    momin lage ga jese abhi kisi bache k kaan main adhan di gai ho, aur apna mukhalif chahe naiki ka kaam

    bhi karta dikhe to pehla lafz hamare mu se nikalta hai Show off, Per watan se dur reh kar usay ye sab

    watan ki yaad dilata tha so khana khatam hone tak socha yehi dekha jae, Kuch hi pal guzre thay k bin

    bulaye mehmaan jese Breaking News agai]

    [Ba-asar khandan se taluk rakhne wale naujawan k hatho 24 saala naujawan ka qatal

    Ye sunte hi khane ka niwala uske mu main hi ruk gaya, Uski ankho ko dekh kar koi kam-nazar bhi keh

    sakta tha woh kis kafiyat se guzar raha hai

    Naujawan ki choti behan ghar wapsi per thi k parking area main do larko ne rasta rokne ki koshish ki

    Hatho main qaid shehshe k glass per uski giraft barhti jarahi thi

    Rasta rokne aur uski behan ko nazeba alfaz kehne per dono naujawan k bech talkh kalami tab shidat

    ikhtiyar kar gayi jab gusse main aa kar ba asar khandan k chashmo chiragh ne dhamki di aur kuch hi pal

    main do goliyan naujawan per chala di gayi, Dono mulzim is waqt farar hain aura ala satah pressure k

    bais Police insaf Farham karne main nakam

    Achanak se kaanch tootne ki awaz aayi aur uske hatho se khoon behne laga, usne uth kar ek jhatke main

    TV apne pairo se niche gira diya, Jazbati woh shuru se tha per pichle 2 mahino se woh beqabu hojata,

    Usi taish k alam main woh ab apne kamre main aagaya aur almari ki daraaz se apni goliyan nikal kar

    unhe nigal gaya, Uski ankhein surkh aur mathe per pasina tha ek baar phir usay wahi sab yaad araha tha,

    Usne sona behtar samjha islea lahasil koshish karne k lea bistar pe lait gaya.]

    Sahil usay chor do, Ye log aise hi hain tum in sab se nahi lar sakte

    Tum buzdilo wali baat na karo, In logo ne tamasha banaya hua, Is mulk ko apne baap ki jageer samjhte

    hain aiso ko beech sarak per maar kar latka dena chaiye, Inki himmat kese hui ye sab karne ki, aur tumhe

    rone ki zarorat nahi hai main hoon tumhare saath

    Sahil tum yaha parhne aae ho aur Papa ki death k baad yahi sab hota arha ha mere saath, jiske ghar

    main mard na ho us ghar ki auratein aur unki izatein aise hi khatre main hoti hai tum apne khuwab pure

    karne aye ho please usi pe dihan do main Police ma complain karu gi

  • What a joke yaar wah aur tumhe lagta hai Police in ka kuch kar sakti hai? Ulta tumse aise sawal karein

    ge k jo hua ha us se badtar hoga

    Lekin tumhe in sab main parne ki zarorat nahi samjhe tum?

    Aur tum bhi sun lo aiso ko main nahi bakshta, jo kia ha unki saza lazmi hai

    Lekin Sahil please meri baat suno

    Mujhe kuch nahi sunna

    Part 13

    Tumhare baap ki haram ki daulat tumhare sar par kuch ziada hi charhi hui hai, ya apne baap ki trah bhul gaye ho k tumhari aukat us seat tak ha jab tak woh hai tum logo ki chalti hai baad main tum jeso ka haal bhi firon ki tarah hota hai

    [Woh shaded gusse k alam main uska gireban pakre hue tha, Ankho main toofan liye woh uski ankho main ankhein milae us se keh raha tha]

    Tum jaante bhi ho tum baat kis se kar rahe ho? [Uske saath khare dusre shakhs ne uska haath pakar kar usay dhamki amaiz lafzo main kaha]

    Tumhe bhi janta hoon aur is ko bhi janta hoon aur tum dono ki kia aukat hai aur kaha se taluk rakhte ho is se bhi wakif hoon

    Phir tumhe is baat ka bhi andaza hona chaiye k main tumhari is harkat per tumhara kia haal kar sakta hoon [us shakhs ne apna gireban churwate hue usay dhaka dete hue bola]

    haan janta hoon tum wahi kar sakte ho jo tumhare baap aur us jese ghatiya logo ne pichle kai saalon se is mulk k saath kiya hai lekin yaad rakhna tumhare baap ko paalne wala bhi maujood hai jo chahe to tumhare jese do din bhi na chal sakein

    Bakwas band karo tumhari himmat kese hui mere baba jaan k bare main bakwas karne ki? [Itne main police ki ek gaari daste k saath puhanch gai thi usi k saath kaali land cruiser main kuch afraad aslah liye bhi agae thay, ek larki Sahil chilaate hue bhagte hue uske paas aayi]

    Mene tumhe kaha tha tum aisa kuch nahi karo ge tumhe samjh kyun nahi aati baat? Kaha tha tum nahi karo ge is pe baat mazid mera masla hai main dekh lugi

    Aur mene bhi tumhe kaha tha Sahar k main ghalat ko ghalat kehne ka aadi hoon in do korri k logo ne Mazak banaya hua hai ya shyad apni