Shairi

Embed Size (px)

DESCRIPTION

Poetry

Citation preview

ye bohat hai k dil usse dhoond laya hai ksi k saath sahi wo nazar to aya hai =========================== uthae phirta raha main bohat muhbaat ko phir ek din yunhi socha ye kya museebat hai =========================== Apni tasweer ko ankhon se lagata kya hai ik nazar meri taraf dekh, tera jata kya hai meri ruswai main wo bhi hain barabar k shareek mere qisse mere yaron ko sunata kya hai paas reh kar bhi pehchan na saka tu muj ko door se dekh k ab haath hilata kya hai umr bhar apne girebaan se ulajhnay wale tu mujhe mere hi saye se darata kya hai main tera nahi hoon magar itna to bata dekh kar mujh ko tere zehn mein ata kya hai ----------------------------ashk apna ke tumhara nahi dekha jata abr ki zad mein sitara nahi dekha jata terey chehrey ki kashish thi ke palat ker dekha warna soraj to dobara nahi dekha jata terey chehrey ki kashish thi ke palat ker dekha warna soraj to dobara nahi dekha jata ... mouj dar mouj ulajhney ki hawas be mani dobna ho to sahara nahi dekha jata apni sheh rag ka lahoo tan mein rawan hey jab tak zer e khanjar koi peyara nahi dekha jata zakhm ankhon ke bhi shetey they kabhi dil waley ab to abroo ka ishara nahi dekha jata kiya qayamat hai ke dil jis ka nagar hai mohsin dil pe us ka bhi ijara nahi dikha jata ----------------------------------Wo Aainay ko bhi hairat mein daal deta hota kisi kisi ko khuda ye kamaal deta hai ============================ "Urfi to mandesh e zaghogha e raqueeban, awaz e sagan kam na kunad rizq e gadara" "O Urfi don't loose heart of negative propaganda of opponents of you, as the bar king sound of dogs may not has any reducing effect on Fakirs" ===================================================== BerukheAye Davar-e-Mahshar muj se mere gunah ka hisab na maang Ke is main kuchh parda-Nasheenon ke naam bhi aate hain.------------------------------------Ke Teer Khana Be Mera Ik Shook Tha Dostoon Ko Azmana Be Mera Ik Shook Tha Dard Un Ka Apnay Senay Se Lagaya Is Leay K Choot Kha Kar Muskrana Be Mera Ik Shook Tha -------------------------------------Yun Ainon Say Kab Tak Dil Behlao Gay Jab Andhera Hoga Khud Ko Tanha Paogay Hum Jesa Koi Dost Rahey Agar Tumhare Sath Tu Qasam Say Umer Bhar Muskurao Gay.. ================================ Vo aaye hamare ghar , khuda ki kudrat hai...... kabhi hum unko kabhi apne ghar ko dekhte hain ========================================= Wafa k bhes mein is nay jafa to ki lekin ye haal hai k wo ab mera saamna na karay ======================== Mera naseeb hoyi talkhiyaan zamane ki. Kissi ne Khoob saza di hay muskurane ki. Mere khuda mujhe tariq ka hosla ho atta. Zaroorat Aan parrhi kishtiyaan jalaane ki. main dekta hon har ek simt panchio ke hajoom. Illaahi khair ho sayyaad k gharaaney ki. qadam qadam pe salibon ke jaal phela do. ke sarkashoon ko tu aadat hay sar uthane ki. shareek-e-jurm na hotey tu mukhbari karte. hamein khabar hay luteroon k har tikhane ki. hazaar haath gareebaan tak agaye Azhar. abhi tu baat chali bhi na thi zamaaney ki. ============================ Hum aah bhi karte hain to ho jate hain badnaam, Wo qatal bhi karte hain to charc ha nahin hota. Runj se khugar hua insaan to mit jaata hai runj Mushkilein mujh par padi itni ke aasaan ho gayi - 'Ghalib'Khanjar chale kisi pe tadapte hain hum 'Ameer' Saare jahan ka dard hamaare jigar mein hai - 'Ameer' Na kisi ki aankhon ka noor hoon, Nakisi ke dil ka qaraar hoon Jo kisi ke kaam na aasake main woh ek musht-e-ghubaar hoon - 'Zafar'Barbad gulistaan karne ko to ek hi ullu kaafi tha Yahan har shaakh pe ullu baitha hai, anjam-e-gulistan kya hogaIraday jin k pukhta hon Nazar jin ki Khuda par ho Talatum khez mojon se Wo ghabraya nahi kartetera chehra in aankhon mein puraana ho gaya hai kahiin phir mil,tujhe dekhe zamaana ho gaya haiyay aarzoo the faqat tere aarzo keraty yay hosla he na tha aur justuju kertay inhain jo dekha to aik chup se lag gae humko phir aise haal ma kia in say guftugo kertyyoun pukaare hain hume kucha-e-janaa waale... abe idhar aa bey, abey o chaak girebaan waaleJab Khamosh Aankho Se Baat Hoti Hai.. Aise Hi Mohabbat Ki Suruwat Hoti... Hai Tumhare Hi Khayalo Mein Khoye Rehte Hain... Pata Nahi Kab Din Kab Raat Hoti Hai...Kyun udaas phirtey ho sardiyon ki shamon main, is tarah to hota hai iss tarah k kaamon main... sara din akelay main, rat bhar khayalon main, is tarah to hota hai is tarah k kaamon main... chup se ho gaye ho tum baat kyun nahi karte, choti choti baton pe jeetay jee nahi marte, hath kaley karte hon nam likh kar hathon main, is tarah to hota hai iss tarah k kamon main... nazam jo sunani thi nazam wo suna di hai, bat samjhani thi baat samjha di hai, waqat ho gaya apna phir milen ge khawabon main, iss tarah to hota hai iss tarah k kaamon main.... Acha Khasa Bethe Bethe Ghum Ho Jata Hun Ab MainAksar Main Nahi Rehta Tum Ho Jata HunYahan kisi ko bhi kuch hasb e aarzoo na mila. Kisi ko hum na milay aur hum ko tu na milateri wafa pay shakh nahi, Teri wafaoon ko mante hon main. Magar tu kisi aur ki aarzo hai, Ye haqikat bhi janti hon mainunke dekhne se jo aajati hai muh par ronak wo smajhte hai ke bimar ka haal acha haiKitne Nazuk Mizaj Hain Wo Kuch Na Puchiye Neend Nahi Aati Unhaien Dharkan K Shor Say laam istehqaq for me laam tableeq mineHum aah bhi bharte hain to ho jaate hain badnaam wo qatl bhi karte hain to charcha nahi hotaYaraan e jahan kehte hain k kashmir hai jannat Jannat kisi kaafir ko mili hai na mile giRaaton ko uth kar, yaadon me kho kar Tumhen kya khabar hai main apne KHUDA se kya maangta hoon Virano mein ja kar,daaman pehla kar, aanson baha kar Tumhen kya khabar hai mai apne KHUDA se kya maangta hoon Tum to kaho gi sanam maangta hoon Kisi dil ruba ki, kisi dil nashin ki wafa mangta hoon Ye b ghalat hai, wo b ghalat hai Mai apne KHUDA se Adam k betay ki ankhon se jati haya maangta hoonHawwa ki beti k sar se utri rida maangta hoonTumhe wafa yaad nahi, humein zafa yaad nahin, zindagi aur maut ke do hi to taraane hain, ik tumhe yaad nahin, ik humein yaad nahin'Kuchh To Majbooriyan Rahi Hongi, Yoon Koi Bewafa Nahin HotaHum Ko Un Se Hai Wafa Ki Umeed, Jo Nahi Jante Wafa Kya Haikujh shauk si yaar fkiri da kujh ishk ne dar dar rol ditta kujh sajjna kasar na chhaddi si kujh jhir rkeeban ghol ditta kujh hijr firak da rang chadia kujh dard mahi anmol ditta kujh sad gai kismat meri kujh piar ch dhokha dhol ditta kujh unj vi rahvan aukhian sn kujh gal vich gam da taukh vi si kujh shahir de lok vi jalim san kujh sanoo mrn da shauk vi si?Ye Jo Aansuuoun Mein Gharoor Hai Ye Mohabbaton Ka Fatoor Hai Tera Aasmaan Qareeb Tha Mera Aasmaan Tou Door Hai Mujhe Keh Rahi Thi Wo Azam Se Mujhe Tum Ko Paana Zaroor Hai Ye Meri Shabeeh Nahi, Suno Ye Tou Meri Aankh Ka Noor Hai Tere Ishq Ka Teri Rooh Ka Meri Wehshaton Mein Zahoor HaiMeri Shayari Ki Ragon Mein Sab Teri Chaahaton Ka Saroor Hai Mujhe Apne Rutbay Ka iLm Hai Mujhe Apne Gham Ka Shaoor Hai Meri Rooh Gham Se Nidhaal Hai Meri Zaat Hijr Se Choor Hai Teri Naik Naami Mein Kaafi Kuch Meri Be-Kali Ka Kasoor HaMeray tan ke zakham na gin, meray ankh may abi noor hai Meray bazo on par nigah kar, jo gharoor tha wo gharoor hai