8
By Ammara Junaidi Han ji ye wohi Sherry Reh- man hain jo pehlay isi hu- koomat mei Information Minister reh chuki hain aur kafi mashoor politician aur journalist honay ke sath sath Pakistan Red Crescent Society ki Chairperson bhi hain. Wesay in ki maqbooliat ka graph chhat tor kar seedha asmaan ki taraf tou tab shoot kiya tha jab adliya bahaali ki muhim k silsilay mei Karachi mei aik rally hui thi 12 May 2007 ko. Khair… ab kia kahain ye qissa purana bo- hot huwa! Ab Sherry koi rock star tou hain nahi k apni album release kar k back with a bang ho jhayen. isliye majbooran unhain America mei Pakistan ki Ambassador hi banna para. Jesa ke everybody knows (we hope) ke wo involved raheen thi Pakistan's Blas- phemy Law ko reform karne mei, jiski waja se unhain religious groups ki mukhali- fat ka saamna karna par raha tha. uske baad wo probably scene se disappear hi hogyi then. Kyun ke, jaan to sbko pyari hoti hai! Us din ke baad se ye Sherry ka news headlines mei aanay ki pehli kaavish hay… aur wo bhi with a big BANG! Ajkal ki most popular po- litical talk 'Memogate' hay jis ki waja se Mr Husain Haqqani ko resignation dena para kyun ke accord- ing to that memo unho ne President Asif Ali Zardari ki ijazat se ye memo Am- reeka bheja or unse madad mangi ke ek military coup wapis bhejein after Osama Bin Ladin was killed on may 2. Husain Haqqani ka kehna hay unse jo records mangey gaye, unhon ne de diye hain. Aur scandal mei kis ne kya kiya, waqt hi bataye ga. Fifty-year-old Ms Sherry Rehman (inki age ka bara charcha horha hai ajkal, to humne socha hum bhi kar- lein zara sa zikar) Federal Information Minister rahi hain PPP government ki aur politics join karne se pehle unhon ne journalism ki field mei bhi kafi teer maray hain, isilye unhon ne government ke media ko pareshan karne ki waja se 2009 mei resign krdia tha, unse zyada media ki tak- leef kon samajh sakta tha. Wo hamesha women aur minority rights ki repre- sentation krti rhi hain. Un- hon ne foreign policy issues mei ek eham role play kiya. Aur khawateen ki reserved seats pe wo National As- sembly mei do dafa elect hochuki hain 2002 aur 2007 mei. Ab pata nahi yar, net pe tou yehi likha hay. Meri kon si chahi ki puttar hay ke muje direct pata ho ga. Prime Minister ke tarju- man ka kehna hay ke Prime Minister sahab Sherry Rehman ko Am- reeki ambassador appoint krne per khush hain. Aur President Zardari bhi boht happy happy hain, unke mutabiq Pak-US relations ko Sherry Rehman jesay independent-minded log hi behtar bana sktay hain. Sherry e kaha ke wo Pak- US relations ko strong ba- nanay aur International forums mei Pakistan ke interests ke liye kaam karengi.Chalain ji let‘s hope so. That is what we can do after all. Nahi? . Letters to Shashca! 3 Filmy Baatain 3 Yar Ye Check Kar 3 Rows 4 Upcoming Event 7 Issue ke andar Sherry Rehman back with a BANG! Issue # 2 16 pages Price: aik smile Qureshi joins PTI By Zunaira Sheikh Sometimes relationships are ended for you to wake up. Jee han, bilkul theek sam- jhay aap. Ye breakup huwa hay Shah Meh- mood Qureshi ka aur Zardari sahib ka. Kuch hi dair baad qureshi sahb hamein parliament house kay samny kuch bol- tay huway dhekai diye tou hum bhi chal paray yeh jan- nay ke liye ke aakhir huwa kia hay. Wo farma rahay thay ke aaj mujhe bohot afsos ho raha hay ke mai apnay rastay PPP se alag kar raha hun jin ke sath mai ne 20 saal guzaray. Aur unhon ne kaha ke President Zardari has diverted from the vision of Benazir Bhutto ye ke Zardari sahib Benazir ki policies ko un ke sath hi dafna chukay hain. He fur- ther said that all those peo- ple can be seen in cabinet who abandoned Benazir Bhutto in her life time. Ab yahan dhekiye ek bar phir Qureshi demand kar- tay nazar aa rahay hain. Unho ne chief justice se ye demand ki hay ke Manzoor Ijaz ke claim pay suo motto action lia jaye that he was handed a memo by President Zardari to be delivered to Admiral Mike Mullen. Nahi ji ye ―suo motto‖ action ka relation ―mota‖ honay se nahi hay. Is ka matlab hota hay ke koi aisa case shuru karna jo ke adaalat apni marzi se kar day, bagher kisi ban- day ki request ke. Shayd isi liye Qureshi sahib ne re- quest karna zaroori samjha is action ke liye. Khair Qureshi sahib khud tou darya mei jump kar hi chukay hain per ab unhain tasalli nahi ho rahi. Ab wo apnay baqi friends ko bhi bula rahay hain aur un say appeal ker rahay hain ke wo bhi resign kar dain aur logon ko decide karnay dain kaun right hay aur kaun wrong. Qureshi said ke mai sab ko recall karva dun ke I was the only district Nazim who rendered his resigna- tion during the tenure of Pervez Musharraf when Faryal Talpur, the sister of President Zardari, was district Nazim of Nawabshah. ―I was also the only district Nazim who did not welcome Pervez Musharraf during the referen- dum,‖ he said and hence proved ke un ki yaddasht bari taiz hay. 27 November ko unho ne aik aur gathering se khi- taab kia aur announce kar dia k wo Pakistan Tehreek e Insaf (PTI) join kar rahay hain. Kafi roz se Nawaz Sharif (jo aaj kal PML-N mei hotay hain) aur Imran Khan (jo PTI ke chairman hain) is taak mei thay ke ye oonth kis karvat bethta hay. Lo ji, aa gaya ye Im- ran bhai ki goad mei! Sharjeel Memon Resigns By Shazia Abid Tujhpe qurban meri jaan, mera dil mera emaan, yaari meri kehti hay yaar pe kardun seat qur- baan! Qurbani, qurbani, qur- bani… Allah ko pyari hy qurbani! You guys must have heard that but the Former Minister of Infor- mation of Sindh, Sharjeel Memon , has proved it right. Sharjeel Memon London tou bohat baar gaye hongay magar London jana unhain kabhi itna mehanga nahi para hoga ke min- istry se hi haath dhona par jaye. Actually, he went to London with the famous Dr Zulfikaar Mirza, which is the violation of PPParty's policy. Sharjeel Memon ka kehna tha ke going London with Dr Zulfikaar Mirza was his personal decision which has nothing to do with party magar Sharjeel sahib, your personal decision has cost you the ministry! President Zardari being the co-chairman of PPP assured the delegation of MQM that disciplinary action would be taken against Memon. Itefaq se Sadar sahab apni baat ke pakkey nikley aur shamat agai Sharjeel Memon sahab ki. London se wa- pas atey hi after meeting with President Zardari, Sharjeel Memon ne apna resignation de diya jo Sadar sahab ke hukum pe accept bhi hogaya. Bhei wah! Dosti ho to aisi! Wo hy na… Ye dosti hum nahi torenge .. chorenge ministry; tera saath na chorenge! Kuch khaas news Peshawar to host Voice of Nation Youth Confer- ence! (Page 3) Rescue Training by Payaam Trust (Page 7) MADbecome an An- droid Guru (Page 3) Comsats Dhuzz! (Page 6) TEDxNUST (Page 7) SMS per ban lagnay wala hay (Page 2) Men say ―I love you‖ more quickly than do women (Page 2) Shashca Dictionary (Page 3) www.dastatic.wordpress.com

Shashca- Second Issue- Nov 16- 1 Dec 2011

Embed Size (px)

DESCRIPTION

Shashca Second Issue Released Nov 16- 1 Dec 2011

Citation preview

By Ammara Junaidi

Han ji ye wohi Sherry Reh-

man hain jo pehlay isi hu-

koomat mei Information

Minister reh chuki hain aur

kafi mashoor politician aur

journalist honay ke sath

sath Pakistan Red Crescent

Society ki Chairperson bhi

hain. Wesay in k i

maqbooliat ka graph chhat

tor kar seedha asmaan ki

taraf tou tab shoot kiya tha

jab adliya bahaali ki muhim

k silsilay mei Karachi mei

aik rally hui thi 12 May

2007 ko. Khair… ab kia

kahain ye qissa purana bo-

hot huwa! Ab Sherry koi

rock star tou hain nahi k

apni album release kar k

back with a bang ho jhayen.

isliye majbooran unhain

America mei Pakistan ki

Ambassador hi banna para.

Jesa ke everybody knows

(we hope) ke wo involved

raheen thi Pakistan's Blas-

phemy Law ko reform karne

mei, jiski waja se unhain

religious groups ki mukhali-

fat ka saamna karna par

raha tha. uske baad wo

probably scene se disappear

hi hogyi then. Kyun ke, jaan

to sbko pyari hoti hai! Us

din ke baad se ye Sherry ka

news headlines mei aanay

ki pehli kaavish hay… aur

wo bhi with a big BANG!

Ajkal ki most popular po-

litical talk 'Memogate' hay

jis ki waja se Mr Husain

Haqqani ko resignation

dena para kyun ke accord-

ing to that memo unho ne

President Asif Ali Zardari

ki ijazat se ye memo Am-

reeka bheja or unse madad

mangi ke ek military coup

wapis bhejein after Osama

Bin Ladin was killed on

may 2. Husain Haqqani ka

kehna hay unse jo records

mangey gaye, unhon ne de

diye hain. Aur scandal mei

kis ne kya kiya, waqt hi

bataye ga.

Fifty-year-old Ms Sherry

Rehman (inki age ka bara

charcha horha hai ajkal, to

humne socha hum bhi kar-

lein zara sa zikar) Federal

Information Minister rahi

hain PPP government ki

aur politics join karne se

pehle unhon ne journalism

ki field mei bhi kafi teer

maray hain, isilye unhon

ne government ke media ko

pareshan karne ki waja se

2009 mei resign krdia tha,

unse zyada media ki tak-

leef kon samajh sakta tha.

Wo hamesha women aur

minority rights ki repre-

sentation krti rhi hain. Un-

hon ne foreign policy issues

mei ek eham role play kiya.

Aur khawateen ki reserved

seats pe wo National As-

sembly mei do dafa elect

hochuki hain 2002 aur

2007 mei. Ab pata nahi

yar, net pe tou yehi likha

hay. Meri kon si chahi ki

puttar hay ke muje direct

pata ho ga.

Prime Minister ke tarju-

man ka kehna hay ke

Prime Minister sahab

Sherry Rehman ko Am-

reeki ambassador appoint

krne per khush hain. Aur

President Zardari bhi boht

happy happy hain, unke

mutabiq Pak-US relations

ko Sherry Rehman jesay

independent-minded log hi

behtar bana sktay hain.

Sherry e kaha ke wo Pak-

US relations ko strong ba-

nanay aur International

forums mei Pakistan ke

interests ke liye kaam

karengi.Chalain ji let‘s

hope so. That is what we

can do after all. Nahi?

.

Letters to Shashca! 3

Filmy Baatain 3

Yar Ye Check Kar 3

Rows 4

Upcoming Event 7

Issue ke andar Sherry Rehman back with a BANG!

Issue # 2 16 pages Price: aik smile

Qureshi joins PTI By Zunaira Sheikh

Sometimes relationships

are ended for you to wake

up.

Jee han, bilkul theek sam-

jhay aap. Ye breakup huwa

hay Shah Meh-

mood Qureshi

ka aur Zardari

sahib ka.

Kuch hi dair

baad qureshi

sahb hamein

p a r l i a m e n t

h o u s e k a y

samny kuch bol-

t a y h u w a y

dhekai diye tou

hum bhi chal

paray yeh jan-

nay ke liye ke

aakhir huwa kia

hay. Wo farma

rahay thay ke

aaj mujhe bohot afsos ho

raha hay ke mai apnay

rastay PPP se alag kar raha

hun jin ke sath mai ne 20

saal guzaray. Aur unhon ne

kaha ke President Zardari

has diverted from the vision

of Benazir Bhutto ye ke

Zardari sahib Benazir ki

policies ko un ke sath hi

dafna chukay hain. He fur-

ther said that all those peo-

ple can be seen in cabinet

who abandoned Benazir

Bhutto in her life time.

Ab yahan dhekiye ek bar

phir Qureshi demand kar-

tay nazar aa rahay hain.

Unho ne chief justice se ye

demand ki hay ke Manzoor

Ijaz ke claim pay suo

motto action lia jaye that

he was handed a memo by

President Zardari to be

delivered to Admiral Mike

Mullen. Nahi ji ye ―suo

motto‖ action ka relation

―mota‖ honay se nahi hay.

Is ka matlab hota hay ke

koi aisa case shuru karna

jo ke adaalat apni marzi se

kar day, bagher kisi ban-

day ki request ke. Shayd isi

liye Qureshi sahib ne re-

quest karna zaroori samjha

is action ke liye.

Khair Qureshi sahib khud

tou darya mei jump kar hi

chukay hain per ab unhain

tasalli nahi ho rahi. Ab wo

apnay baqi friends ko bhi

bula rahay hain aur un say

appeal ker rahay hain ke

wo bhi resign kar dain aur

logon ko decide karnay

dain kaun right hay aur

kaun wrong.

Qureshi said ke mai

sab ko recall karva

dun ke I was the only

district Nazim who

rendered his resigna-

tion during the tenure

of Pervez Musharraf

when Faryal Talpur,

the sister of President

Zardari, was district

Nazim of Nawabshah.

―I was also the only

district Nazim who

did not welcome

Pervez Musharraf

during the referen-

dum,‖ he said and

hence proved ke un ki

yaddasht bari taiz

hay.

27 November ko unho ne

aik aur gathering se khi-

taab kia aur announce kar

dia k wo Pakistan Tehreek

e Insaf (PTI) join kar rahay

hain. Kafi roz se Nawaz

Sharif (jo aaj kal PML-N

mei hotay hain) aur Imran

Khan (jo PTI ke chairman

hain) is taak mei thay ke

ye oonth kis karvat bethta

hay. Lo ji, aa gaya ye Im-

ran bhai ki goad mei!

Sharjeel Memon

Resigns By Shazia Abid

Tujhpe qurban meri jaan, mera

dil mera emaan, yaari meri kehti

hay yaar pe kardun seat qur-

baan! Qurbani, qurbani, qur-

bani… Allah ko pyari hy qurbani!

You guys must have heard that

but the Former Minister of Infor-

mation of Sindh, Sharjeel

Memon , has proved it right.

Sharjeel Memon London tou

bohat baar gaye hongay magar

London jana unhain kabhi itna

mehanga nahi para hoga ke min-

istry se hi haath dhona par jaye.

Actually, he went to London with

the famous Dr Zulfikaar Mirza,

which is the violation of

PPParty's policy.

Sharjeel Memon ka kehna tha ke

going London with Dr Zulfikaar

Mirza was his personal decision

which has nothing to do with

party magar Sharjeel sahib, your

personal decision has cost you

the ministry! President Zardari

being the co-chairman of PPP

assured the delegation of MQM

that disciplinary action would be

taken against Memon. Itefaq se

Sadar sahab apni baat ke pakkey

nikley aur shamat agai Sharjeel

Memon sahab ki. London se wa-

pas atey hi after meeting with

President Zardari, Sharjeel

Memon ne apna resignation de

diya jo Sadar sahab ke hukum pe

accept bhi hogaya. Bhei wah!

Dosti ho to aisi! Wo hy na… Ye

dosti hum nahi torenge ..

chorenge ministry; tera saath na

chorenge!

Kuch khaas news

Peshawar to host Voice

of Nation Youth Confer-

ence!

(Page 3)

Rescue Training by

Payaam Trust

(Page 7)

MAD—become an An-

droid Guru

(Page 3)

Comsats Dhuzz!

(Page 6)

TEDxNUST

(Page 7)

SMS per ban lagnay

wala hay

(Page 2)

Men say ―I love you‖

more quickly than do

women

(Page 2)

Shashca Dictionary

(Page 3)

www.dastatic.wordpress.com

ing ―F word‖ (samjh to gaye hi hounge

aap), ―Jesus Christ‖ and so on. Even if

you have a friend named ―Butt‖, you

can't message his name. Bolay to Butt

By Shazia Abid

Aaj tak aap ne ye tou bohat

suna hoga ke mun sambhaal k

baat karo, magar thanks to our

government jis ne tabdeeli

lanay ka faisla kar lia hay. Ye

phrase ab change hokar jald hi

―haath sambhaal ke type karo‖

hojaye ga!

Government has decided to

implement a rule jis mein text

messages mei use honay walay

kafi saaray words pe ban laga

dia jaye ga. In words mei bohat

se aise words shaamil hain

jinhe hum bohat casually use

kartey hain.

These words include ―tongue‖,

―athlete‘s foot‖, all sentences contain-

sahab ko Butt sahab kehna bhi jurm

hay. Chalo acha hay, ab ―aik

dafa aik Butt tha‖ walay

messages se tou jaan chuttay

gi!

A Christian MPA protested

in Sindh Assembly over the

ban of the word ―Jesus

Christ‖ ke how will they

wish Christmas now? Is our

goverment trying to deprive

the christians from their reli-

gious rights? What about our

freedom of speech? Is this

democracy? Lo tou call kar

ke kar do bhai wish. Is mei

aisi kon si pareshani ki baat

hay. Aur jahan tak question hay De-

mocracy ke, tou wo tou revenge hay

na bhai. Revenge mei tou ab aisay hi

hota hay.

Oye haath sambhaal ke!

SMS per ban lagnay wala hay!

Khatray ki ghanti investor tapak hi paray.

Positive signs bhi nazar nahi aa rahay.

Aray, aray! Vital Signs nahi bola jo khush

ho rahay hain ap. Yahan baat ho rahi hay

IMF se loan ki. Fast out flow on debt ser-

vicing aur current account ne hi problem

create ker rakhay hain. Ab tou halaat yehi

ho gaye hain ke the economy is so bad,

people are standing behind George Bush

wherever he goes hoping for free shoes.

Ek aur ghanti bajti nazar aa rahi hay hu-

main yahan per. Kia? Apko awaz bhi aa

rahi hay? Ji wo hay decline in FDI. Nahi

nahi, ye ―Faaltu Da Ilmiya‖ nahi hay. FDI

hay Foreign Direct Investment.

Muhammad Sohail, CEO of Topline Secu-

rities, ko dheko. Dheko zara kia bol rahay

hain. Nahi, dheko nahi. Parho zara ab.

―The deficit is higher than our expecta-

tions. They may affect value of Pakistani

rupee once the central bank stops support-

ing the local currency.‖ He further said

that higher current account deficit will

also compel State Bank to carefully evalu-

ate the policy interest rate decision‖ oho

pappu yar tang na ker ab esay bol ker.

At last local currency apna relation U.S.

dollar ke sath banay mei kaamyab hoti

nazar aa rahi hay, last one and a half year

se. Aur is kamyabi ke peechay guess what

kis ka hath hay? Ji han, State Bank ka! Ap

kia smjhy? Iski reason ye bhi hay, current

account surplus in fiscal year 2011.

By Zunaira Sheikh

"Flying is learning how to throw yourself

at the ground and miss."

Kisi nay flying ko learnig bola hay per

yahan tou kuch aur hi nazar aa raha hay.

Zara ghaur se dhekiye. Ji bayshak glasses

laga lain, humein koi objection nahi. Paki-

stan ko is baar phelay say bhi 3 times

ziada deficit face karna para hay current

accounts mei jo ke hurdles ki taraf hi is-

hara kar raha hay. Bhai hurdles ki taraf

isharay ka bola hay, aap kahan dekh ra-

hay hain. Wapis aa jayen aur agay per-

hain zara aur janiye aur.

According to State Bank (yeh koi insan

nahi hay, Bank hi hay jo insano se chalta

hay, aur actually ye unhon ne hi yeh

btaya hay ke) this time current account

defict reached to 2 percent, jab ke last

year it was just 8 percent. Lagta hay ye

shayad isi liye bola gaya hay ―if you fail to

prepare, then prepare to fail‖.

Khair ab itni bhi horrible baat nahi hay

ye, kyun ke picture abhi baqi hay! Aur us

picture ka aik secne ye bhi hay ke 24 per-

cent remittances being send by overseas

Pakistanis are still higher. Chalo ab ba-

jaoo taalian iss baat per.

Ab ek nazar trade per. Suna hay ke yahan

bhi muasam kharab hi hay last four

months se. Aur tou aur foreign investment

bhi almost negligible ho chuki hay, 180

millions Pakistani economy ke liye. Chalo

sab gaana gao phir ―kaalay megha, kaalay

megha, paani tou barsaao‖. Shayed koi

Kitnay aadmi thay? hay. Who can forget Miandad‘s fa-

mous six out of the park in Sharjah

Cup Final! Halan-ke humari Genera-

tion may kisi nay wo match nahi

daikha ho ga, but koi aisa Cricket fan

nahi jis ne us match ke baray mei na

suna ho.

Khair kuch aisa hi Pakistan kay sath

By Muhammad Saad Amir

―Yar ye tou jeeta hua match hum haar

gaye‖, ye alfaz to hum sab ne kafi dafa

sunay hain aur is jumlay ke aik aik

lafz ke dard

ki shiddat

aik sacha

Cricket ka

s h a y d a y i

(oh matlab

fan yar!) hi

jaan sakta

hay. Par wo

kehtay hain

na ke acha

waqt aur

bura waqt

kabhi pooch

kar nahi

atay, aur

jahan tak

P a k i s t a n

C r i c k e t

Team ki

baat hay

tou bhai

yahan tou

kisi se kuch

p o o c h n a y

ka ravaaj hi

nahi hay,

yahan tou

bus kaam

kar dia jata

hay. Paki-

stan Team

duniya ki

wahid team

hay jo same

playing 11

ke sath aik

match bu-

ray tariqay

se haar

sakti hay, aur agla hi match us se bhi

zaida buray tariqay say harra sakti

hay. Bas samjo Shashca hi ha.

Sharjah hamesha say Pakistan ke liye

doodh jalebi se zaida mazaydaar raha

pichlay teen chaar matches say ho

raha hay. Jun hi banda hopeless ho

kar match daikhna band karta hay,

usi waqt chamatkaar

hota ha aur Pakistan ka

palla bhari hona shuru ho

jata hay. After winning

the series 4-1 against Sri

Lanka, agar banda Sri

Lankano se poochay ke

kitnay admi thay? Tou

admi tou kafi thay but

jawab mei shayd ―sirf aik

hi tha‖ sunaai day ga. ji

han, Shahid Khan Afridi!

Wo player jo as a spin

bowler aya tha aur jald hi

apni khoon khunwaar

batting ki badalot Boom

Boom ke naam se jana

janay laga, did it once

again. Shahid Afridi

emerged to the interna-

tional scene with a big

'boom' as he scored the

fastest ODI century (off

37 balls) in his first inter-

national innings (second

ODI match) against Sri

Lanka in 1996. And in

2011 Afridi ne phir se Sri

Lanka ke chakay

chura diye. Especially in

the 4th ODI jahan par he

scored 75 off 65 balls and

took 5 wickets while giv-

ing 35 runs to the opposi-

tion. Aur is tarha janab

Afridi phelay player ban

gay to score a fifty and

take 5 wickets twice.

Yaqeenan ye match Paki-

stani logon ke liye kisi

garma garam biryani se

kam nahi tha.

Akhir mei har Pakistani ki zaban par

bohot arsay baad ye words thay: ―yar

ye to hum haara hua match jeet

gaye!‖.

By Shazia Abid

―I love you‖… Ye sentence kitni hi

baar, kitnay hi larkon se apnay aagay

peechay, raah chaltay kehtay suna

hoga.

Previous research indicated that

women are more expressive about how

they feel - and tend to be ones who fall

in love first. Magar psychologist Ma-

rissa Harrison from Pennsylvania

State University ne rakh li aurat ki

izzat! Unki latest research ke mutabiq

khawateen are actually more circum-

spect than men when it comes to ro-

mance.

After a guy's proposal, girls usually

unhen aik do months tak tehlati hain,

time mangti hain because they want

full tasalli about the commitments.

Khair ye urti hawa ki khabar nahi,

research hui hay and it is proved that

men fall in love sooner and three times

as many as women said, "I love you"

first to their partners.

Younger people today are generally

more inclined to express their feelings

to loved ones magar not to their faimly

and parents. Ye kesa pyar hai jo

Amma Abba se nahi keh patey, ek

haftey pahlay mili larki ko munh

pharh ke keh daite hain "Tum se nahi

karun ga tou aur kis se karoon ga!‖

Ajeeb baat hay, pyaar hua iqrar hua

and larki set bhi hogai magar tab tak

jab tak ke dosri ki entry nahi hoti. Lou

bhai! pyaar bhi China ka maal hogaya,

chaley to chand tak warna shaam tak.

Men fall in love more quickly!

[email protected]

Filmy Baatain

Hmari pehli movie hay, ―The Twilight

Saga:Breaking Dawn part-1‖. Isko most

awaited movie of the year bhi kaha jaskta

hay, jis nay apni release k doosray week

bhi acha khaasa business kia. Main cheez

thi Bella (Kristen Stewart) aur Edward

(Robert Pattinson) ki shaadi jisko bohot hi

aalla a n -

d a z m e i

d i k - haya

gaya h a y ,

i n - f a c t

Bella

k a k e -

h n a h a y

k e m u -

j h e t o u

y e h a p n i

r e a l

shaadi lagi. Aur han, Bella ka wedding

dress ab market mei bhi aa chuka hay, kisi

ko chahye ho tou lay lay. Jacob (Taylor

Lautner) ko kafi naraz dikhaya gaya hay,

is shaadi ne becharay ka dil jo tor diya!

Part-1 ka end half-vampire, half-human

child k issue par hua. Novel ki tarhan

movie ko bhi mix reviews milay or isay is

ke mature theme par criticize kia gaya.

Breaking Dawn

By Ammara Junaidi

Steven Speilberg ne apni zabardast hits

like Jurassic Park, Indiana Jones aur Pi-

r a t e s of the

Carib- b e a n

s e r i e s k a y

b a a d ― T h e

Adven- tures of

Tintin: T h e

s ec re t of the

U n i - corn‖ ko

kamaal

a n d a z mei di-

r e c t kia hay.

Is 3D m o v i e

m e i popular

charac- ter of

comics, T i n t i n

(Jamie B e l l )

aik intelligent reporter hay, jo aik Unicorn

naami ship ka model khareedta hay aur

tab usay mystery of hidden treasure ka

pata chalta hay.

Captain Haddock (Andy Serkis) sab mei

uski madad kartay hain, ye aik funny

character dikhaya gaya hay because he

drank almost all the time jiski waja sy ak-

sar batein bhol jata hay. Ivan Sakharine

(Daniel Craig) us ship ko har trhan se lena

chahta hay, in dono ko harata hua kis

tarha is thrilling end tak pohanchta hay.

Movie is kind of a funny one or iski anima-

tion or story ko bohot pasand kia ja raha

hay jiski wajah se acha business kar rahi

hay Box Office par.

The Adventures of Tintin

Rockstar parti hain. aur Heer (Nargis Fakhri) se

attachment uske lye kitni painful hojati

hay. First half was intersting but 2nd half

mei disappointing end ki waja se movie

kum business kar rahi hay. Movie ka first

day ka business Ranbir ki fees se bhi kam

raha. Is movie se jitni expectations thin vo

poori nahi ho sakin. Lekin mazey ki baat

tou ye hay ke film ke unsuccessful honay

par bhi Ranbir ny apni fees 8crore se

barha kar 15crore krdi hay! Wah ray Ran-

bir! Abhi daur hay tumhara, note chaapay

jao! Flop ho gaye aik din tou kisi ko yaad

bhi nahi rehna ke koi Ranbir bhi hua

karta tha kisi zamanay mei! Aqalmandi isi

mei hay ke mauqay se faida utha lo!

Rockstar ka start tou kafi rocking raha

but till 2nd week its

records are d e c l i n -

ing. Re- s p o n s e

mei kuch logon ko

bohot achi lagi aur

kuch ko no t - s o -

g o o d . Movie is

about the life of a

R o c k s t a r J o r d a n

( R a n b i r Kapoor),

jo apnay m u s i c

ke shoq ko ley kar

jab agay b a r h t a

hay tou usay kitni problems face karni

Interview ka Shashca! By Zunaira Afzal

3. Your star (zodiac sign)?

My star is Helicon.

4. Your favourite movie?

Titanic. English doubing ke saath.

5. Your favourite track?

Mall

Road, Lahore.

6. Your favourite singer?

Salon Day-on. (Celine Dion) and Ay

Kon? (Akon)

7. You have a phobea of?

Attique-ur-Rehman.

8. Female multi-talented artist you

admire?

Saahir Lodhi.

7. Your upcoming flick?

Bachpan hi se mujhay parhny likhnay

ka buhat craze hay. Her time mai koi

newspaper, magazine, book parhtay

milti hoon. Mujhay nahi lagta ke that

is strange but meri Ammi smajhti

hain ke mujhay parhnay ki beemari

hay. Ab mujhay nahi pata ke is bee-

mari ko scientific language mei kia

bolaty hain. Mujhay interviews hame-

sha se attract karty hain, chahay wo

Jay Sean ka ho ya Jawaad Ahmad ka,

I can‘t stop reading them. Ik din, I

was reading an

interview lying in

my bed, aur mu-

jhay neend aa

gayi… Aisay ^_^

Mujhay apni uni-

versity ke ik func-

tion mei aik

mashoor Pakistani

movie actoress

nazar aye and oh,

us nay mujhay

pehchaan liya. She

said, "tum wohi ho

naaa, Shashca ki

reporter". I said,

"G, per Aaap kon

O.o" She said,

"Mera interview lo

na aap ke akhbaar

ko 4 moon lag jain gay" and I agreed.

1. Apnay baary mai kuch btain?

Aaaa, Mai Allah ka shukar ada krti

hun ke us ne mujhay itniii good-soorat

se bless-a, as I'm the Lux beauty. I

love Lux and daily face wash Lux aur

kabhi kabgi my hair too. Thanks Lux.

Ad tou dekhaa hoga!

2. Your date of birth?

Date tou mujhay ab yaad nahi but I

remember that I am sixteen for six-

teen years. aur mujhay ye batatay

huay bhi sola saal ho gaye par tm logo

ko samajh nahi aya. Huh!

G mai ik buhat he exciting project per

kaam kar rahi hoon. It is a new item

number called "Meera ki Jawaani"

8. Who designs your costumes?

Mera swimming suit? I think you are

talking about? Oh acha, my dresses!

Wo tailor master Billu kartay hain.

9. What are your qualifications?

Yes, I do quality fashion. It is the base

in film industry, you know.

10. Your first date?

Mai is tarah ki girl lagti hoon tum-

hain?

11. Your favourite book?

I am really bookish. Mujhay buhat

sari books pasand hain per Facebook

mei jo baat hay wo kisi aur may ka-

haaan!

12. You couldn't stand?

Hawww...Kis ne kaha I could not

stand? Yeh daikhain I can stand bhi

and sit bhi. Dekhain, Yeh mairy

khilaaf saazish hay. Mai sab ko bta-

oon gi, mai press conference karoon

gi. Deikh lainaa.

13. One last question and then I am

out. Describe yourself in one word?

Oh, *wide smile* there are a lot of

words jo mujhay suit karty hain

*winks* What about "Beautiful" or

"Bold"?

Aur usi moment Ammi ki chapair se

meri aankh khul gayi. Thank God, it

was just a dream. Pheww… "Thank-

you Ammi-Ji", I said and Ammi got

stuck like my PC's window! :D

Yar ye check kar!

By Sadiya Akhtar

“Rastey kay kutton ki parwah nahi kartey, warna

manzil nahi milti. Kuttay bhonkny kay lye hoty

hain, rokney kay lye nahi.”

(Ashfaq Ahmad kay drama Man-Chaly ka soda sy aik

dialogue)

Achi baat kahin sy bhi sun’ny ko mily, suno or amal

krny ki koshish bhi karo, mgr apny opponents k fa-

zool comments or baton ko aik kaan sy sun k dosrey

sy nikaal dena chahye, Dil py nahi lgaty bhai,

aur yeh har aik sy tou tou main main start krna sirf

hmko hmary maqsad sy door karta hai. Kuttay

bhonkny kay lye hoty hain, rokney kay lye nahi isko

yaad rakho or agey barhty jao ;)

[email protected]

Letters to Shashca [email protected]

Well lets talk in the same lingo in which

this newspaper is published ..... Hum col-

leagues shashca word bohat use kartay thay

, mujay adat pr gi is word ko use karnay ki .

Ghar mein istimal karna shuru kia tu ghar

walon nay internet pr search ki kay akhir

ye word hay kia. Tab ap logon kay facebook

kay page ka pata chala . Tu bus kia tha

hum nay join kr liay

- Siddrah Irfan

It's a really good idea to make our youth

read a news paper...really well done...Hope

you achieve success in future....Ameen

- Asra Ansari

hiii i found out this concept of creating a

newspaper purely dedicated to youth as a

very fresh idea i think youth of pakistan just

needed this initial spark....gudluck

this is the step infact an initial spark that

youth of pakistan needed to express wat

they feel about things happening around us

issues that are not solved a platform u get

answers to all questions and to solve all

problems of the country and specially the

youth thats y i would like to join as a re-

porter .

- Axa Gul

mjhe naam bht fit laga he SHASHCA.. too

good.. me chahta hun zara isme apni contribu-

tion bhi dun.. agr koi services chaye hon for

the motivation of youth.. me hazir-e-khidmat

hun! ;) - Ch. Abdur Rehman

alaa chezz ha ye waki me ek shashkaa he

ha................

- Kushaf Javed

Peshawar to host Voice of

Nation Youth Conference Kuch Peshawar based youth activists pehli dafa

youth conference karvanay ja rahay hain in Pesha-

war. Voice of Nation Youth Conference mei pooray

mulk se participants shirkat karain gay. Confer-

ence ka aim ―making attitude in youth‖ hay. Aray

wo wala attitude nahi… positive attitude towards

life and aspects of life.

Voice of Youth ki team mei shamil hain Siraj, Mid-

hat, Fahad Barkat, Haseeb Rehmat, Maria Anwar,

Varda Qazi, Maha Salman, Maaz Khattak, Haidar

Jan, Haidar Miraj, Nadir Abbas aur Rabail.

Voice of Nation Youth Conference ko CECOS, Uni-

versity of Peshawar ne organize kiya hay, aur SoL

facilitate kar raha hay.

Mohsin, jo CEO hain Voice of Nation Youth Confer-

ence ke, ne Shashca ko bataya ke ye pehli dafa hay

ke students is level per koi initiative lay rahay

hain.

Conference 18th December ko hay in Peshawar, aur

further information ke liye, you may contact the

organizers at [email protected].

MAD - Become Android

Guru

MAD-Become Andro Guru comes to you as a joint

venture between Xsparc Inc and Smarnovative

Labs. Bringing insight to the ever growing field of

Android development MAD is your guide towards

becoming android guru.

Inki pehli workshop organize hui thi FAST

(NUCES) Islamabad mei, jo ke bohot bari success

thi. Ye workshop hui thi 26 aur 27 November, 2011

ko. In ka mazeed irada hay workshops arrange kar-

nay ka mulk ke doosray institutions mei bhi. Jald

hi, inshaAllah, ―MAD—Become Android Guru‖ ap k

institute mei bhi aa raha hay, aur aap ko bhi

mauqa day raha hay ke aap android ke guru ban

sakain.

Chuss (chus)

noun

Chuss matlab chuss. Yani ke chuss. Bus ye jo mai ne

abhi maari hay na, is ko boltay hain chuss. Means ke

chuss. Jo bilkul hi ehmaqaana aur bekaar joke ho na,

usko boltay hain chuss. For example, “yar tu ne chuss

maarnay ki aadat nahi chori.” Ab tou samajh aa gai

na? Kia? Ab bhi nahi aai? Bus phir ye word aap ke

level k nahi hay. Aap is ko na hi seekhnay ki try

karain tou behtar hay.

Shashca Dictionary

Sawal Gonglo jawab Aalo

By Habib Ahmed Noor

Jab Ek Semester mein counseler laga dia gia, tu students k nit naye roop daikhnay ko milay, haftay ki training kerni pari psychotherapy mein, phir jaa kar class counselor banay,… pehlay chand din tu student

ki khichai kertay rahay keh yeh course uthao yeh nah uthao,… phir achanak hi ajeeb ajeeb case anay lagay,… aik shahzada ghamzada chahra liay aya aur

bola "sir maamla bara serious hai, aap ki help shelp chahyay",… Hum nay kaha baitho beta, batao attendance short ho gai,.. wo bolay,… ―nahi sir‖, phir,…

―sir woh‖ ,.. phir kahmosh ho gaya,.. Bacha Tension mein tha, Hum nay aik Waldana nazar maari, aur Hamari hiss e sherlock holmes (spider sense) pharki,

hath mein majood mobile k key- pad mitay hoay thay (Excessive Chatting, or behan ka hai), uss k pass Teen Moti Kitabain thi (Parhako, yah wait

lifter), garden k pichlay hissay peh mail (mama k ghar mein nahi rahta, hostel), balloon mein Gell, Nakhun Kattay hoay, aur one man show ki halki smell

(weird Clean Hostel Kid), hath mein teen pen , one with Gulabi color (zanana pen), purani jeans naya belt, naya sweater purani shirt (Outlook Matters).

Chatting, Parhako bacha, Hos- telized laiken saaf, Gulabi Pen, Naya belt, aur one man show, tabiat se bhi dheela dheela sa tha, face bhi peela sa tha, coclu-

sion: maamla SHEELA ka tha, …

bachay ka dil toota tha, third semester tha,… ussi waqt hamara naib qasid meray liay samosay liay hazir hoa,… hum nay aik samosa shahzaday ko dia,…

aur woh baichara itna mash- koor hoa, keh kahani uss nay uni k pehlay din se shuru ker di,… (Shukar hai Paidaish se nahi start kia),… sir hamari dosti

pehli baar library mein hoi (Best Hunting point for Newtons), phir ham dono group k saath study kertay (matlab, bachi ki assignmentain), aur baat agay

barhi (mazeed Asignmentain), Group mein aur bhi larkiyan thi laiken uss nay sab se pehlay number dia (Andah [assignment] dainay walay murghay per

qabza strategy), rozana mes- saging, miss calls (Murghay ko dana dala ja raha tha), Imtihan mein seat allocation plan kertay thay (backup plan), Phir

doosray semester se laraiyan honay lagi ( raqeeb ki entry), abh tu who message ka reply bhi dair se kerti hai, aur zayada tar abdul Qadoos (Raqeeb ) k

saath hoti hai, I am very tensed, sir kia karoon.

Maamla nazuk tha, iss liay iss ko bari nazakat se handle kernay ki zaroorat thi,… hum nay poocha keh mosoofa kon hain tu hazrat nay kaha, sir woh jo

thori dair pehlay BBA ki madam k saath khari thi,…

foran hi hum nay apni photo- graphic memory ko thora khangala tu madam k saath aik gandami color ki Kurri ki shabahat samnay aye (Abh engineering

mein Katrina tu aanay se rahi), madam bhi nai nai aaye hoi thi,… aur maamlay mein dono taraf k halaat jannana zaroori thay,… Chunache hum nay bachay

ko tasali di aur kaha keh doosri taraf ki story ka patah kertay hain, and he should put all his efforts on parhai, ussay dilasa day ker kalti kia,…

Seat per baitha iss mamlay per ghoor kernay laga, shahzaday ki batain devdas ki film ki tarah chal rahi thi, keh madam k zikar per film stop hoi, aur aik aur

film chal pari,… (papa papaan - papa papaan- pa papa paa papapaan)

Halkay se uth kar shirt mein kaffal dalay, nichli daraz se nayi khushbo nikal ker lagai aur madam k pass puhanchay,… unn se guzarish ki keh aap k stu-

dent k baray mein kuch impor- tant discussion kerni hai,… unhoon nay muskara ker tajassus ka izhar kia (student k baray mein yah,… ), ….. hum nay arz

ki mamlay ko raaz mein rakhna zaroori hai,… tu kissi munasib jagah ka mashwara dejyay,… muhtarma nay bahar baat kernay ka mashwara dia,… hum nay

hami bhar di laiken, Parda daari bhi zaroori thi, is liay bahana banaya keh abhi thori dair pehlay chai pee hai tu café tu nahi,… Unhoon nay poocha phir kahan,… zehan abhi tak bachay ki baton mein uljha hoa

tha,… unhi mein se aik baat meray kanoon mein goonji, ―Sir Ham pehli baar Library mein milay thay‖, Idea ka Philip bulb chamka aur hum nay mashwara dia keh library se kuch kitabain laini hain, kia kha-

yal hai… madam nay aik minute k liay soocha aur kaha, theek hai,…theek hai aap library ko kooch keejyay, hum bhi thori dait baad Kharama Kharama chalay aien gay,… meray jawab peh woh muskarai, yehi

behtar rahay gah, aur sunyay jaldi ayay gah office mein kuch kaam hai (matlab keh hamain intezaar ki aadat nahi), hum nay arz ki keh masroof tu ham bhi hai laiken abh maamla kuch serious nazar aa raha

hai,.... yeh keh ker hum office aaye, computer per FB update ki, "Jo Doosron ki Madad Kerta hai, Allah Uss ki Madad kerta hai..." aur kuch dair baad zehan mein naye azam liay library ki simt ho liay,… :)

Ustaadiyan

Shashca Rows (not columns)

Ghayab Dimaghi

By Anas Shafqat

Waise tou meri Urdu itni laaiq nae hai, lekin khair, main aap ki khidmat main Neem-Hakeem Kahaniyan paish karta hoon. Aap zarur soch rahein honge kay maine apne

kaalam ka bara hee ajeeb naam rakha hai. Iss se pehle ke aap, apna qeemti waqt ye baat sochne main guzar dein ke aakhir maine ye naam kyun rakha hai, main khudi iss

ki wajah hazir kardeta hun.

Iss naam ki takhleeq main eik buhat hee maqbool kahawat ne hisa liya hai - jo kay hai "Neem hakeem, moozoon elaaj." Aur, choonkay main khud abhi MBBS ka shagird

hun, tou agar mujhe neem-hakeem ke naam se pukara jaaye tou galat nae hoga. Main hua neem hakeem, aur iss kaalam main mere fazool qism ke qisay; chunachay, in

dono ki ishtaraq se banta hai iss kaalam ka ajeeb naam "Neem Hakeem Kahaniyan."

Amoman, hum neem hakeem, yaani key daakter bannay ki chaah rakhne waale, kisi had tak gayab dimagh hote hain (shukar hai, daakter bannay ke baad ye saari gayab

dimaghi khatam hojati hai). Moti, moti kitabein parh kar humare waise hi tootay urr jaatay hain, tou jab koi mushkil aakar humse takraati hai ... hum, afsos, gayab di-

maghi ka izhaar karte hain.

Apni baat saabit karnay keliye main apna hee eik qisa sunata hun:

Soorat-e-haal: Eik boorhi aurat ko unki gaadi tak lay jaana hay. Ghar ke bahir barsaat ki wajah se paani jama hua hai.Un aurat ki gaadi sehan main kharhi hai, aur meri

gaadi paani ki grift se bahir hai aur kahin aagay kharhi hai.

Hal # 1 - Un boorhi aurat ko unki gaadi main bitha kay, pani main se eik pathar se doosray pathar tak uchal uchal kar, bheeg bheeg kar, bari mushkil dekh kar apni gaadi

tak pohnchun.

Hal # 2 - Apni gaadi bhi sehan main laga dun.

Aap zarur samjh hee gaye hongay iss gayab-dimagh neem-hakeem ne konsa hal tajweez kiya hoga.

Neem-hakeem kahaniyan

By Aadil Aijaz

Janaab, ye jo insaan hai na, ye kisi computer se kamm nahin. Ye wohi karta hai jo isay bola jaata hai. Bas, ye zara alag tarah se istemaal kiya jata hai. Aisa hamaray saath kayi baar hota hai ke kuch so-called

friends hamaara fayeda uthaatay hen aur humain pata bhi nahin chalta. Bas, insaan mein yehi ek kharaabi hai. Hum apne aap ko tou bohat achi tarah se jaantay hain, lekin

kamzoriyon par qaabu paana nahin seekhtay. Computers mein tou anti-virus hotay hen, jo bataatay hain ke bhai ye file khatarnaak hai, iski vaat lagaani paregi. Lekin real

life mein koi aisi cheez nahin hoti jis se pata chalay ke kis admi ki dosti achi hai aur kis admi ki fake.

Bachpan mein hamaari hazaaron khwaahishen hoti hen, ke janaab bara ho kar ye karuun ga, woh karuun ga. Lekin society hamaaray dimaagh ko iss tarah brainwash karti

hai ke humain apne ilaawa kuch bhi dikhaayi nahin deta. Society na sirf hamaari khwaahishaat ko radd karti hai, balkay humaari soch ko bhi tabdeel kar deti hai. Hum

drive kartay waqt seatbelt nahin baandhtay kyunke log hanstay hain. Hum red light par nahin ruktay kyunke humaari soch ke mutaabiq traffic rules tou shareef aur

mummy-daddy type ke log hi follow kartay hain. Hum road par gundd phainktay hain. Deewaaron par fazool se 'gangsters' ke naam spray-paint kartay hain. Press clubs ke

baahir ki dee- waaron par 'home tuition' ke ishtehaar lagaatay hen. Aur phir apnay politicians ko bhi gaaliyan detay hain. Kya aaj tak ye sab karnay se mulk mein koi tab-

deeli ayi? Na- heen. Agar aap khud qanoon ka ehtiraam nahin kartay aur phir hukoomat ko blame kartay hain, tou I'm sorry to say, yeh munaafiqat hai.

Tou sawaal yeh hai ke soch kaisay tabdeel ki jaye? Mayoosi kisi problem ka solution nahin hai. Agar humain logon ki soch ko tabdeel karna hai tou pehlay apni soch ko

badalna hoga. Agar koi larka university ka entry test denay ja raha hai, tou usay ye bolnay ke bajaye ke "Yaar yahaan tou bara mushkil test aata hai," aap ye bolain ke

"Inshallah tum- hara admission ho jayega." Iss se na sirf us ki soch mein positivity paida hogi, balkay woh test detay waqt nervous bhi nahin hoga. Lekin agar aap usko dis-

courage aur de- moralize karo gay, tou uss ke nataaij na-gavaar ho saktay hen. You get the idea. Humain apni society mein positive soch ko revive karna hai, aur negativity

ko qatal karna hai.

Y e m u l k hamaara hai aur isay hum hi tabdeel kar saktay hain. Koi baahar se farishta nahin aye ga. Hum youth hain. Hum 'jawaan khoon' hain. Hamaari raggon

mein Pakistani jazba daurta hai. Tou kyun na hum chotay chotay achay kaamon se shuruaat karain, aur ek silent revolution le ayen!

Soch ki tabdeeli

[email protected]

Ta’rufee Column

by Anum Z.Syed

Yeh meri zindagi ka pehla column hai. Iski wajah sahlaiyat na honay ki nahi hai balkay kisi baray duniya waseelay ki pusht pe honay ki kami hai. Umeed hai aab yeh safar , engraizi wala suffer nahi banay ga

aur mera aur shashca ka saath lambay arsay pe muheet hoga.

yeh naam ―11th hour‖ ka inteekhab maine is liyeh kiya kyun kay English ka aik bara mashoor phrase hai ―at the 11th hour‖ jis ka urdu mai mafhoom ―akhri lamhay pe‖ banta hai. bahaisiyat-e-qaum hum aj

tak waqt ki sarghoshi ko samajh nahi payee aur abhi tak zindagi kay bunyadii masloon mai hi atkay huwe hain.. aur hum is hudh tak sust hain kay har kaam kay liyeh akhri lamhay ka intezaar kertay hain

jab tak kay who hamare sar pen a par jayeh hum usay saranjaam dyne ki bilkul bhi koshish nahi kertay. hamara tou abhi tak ―roti, kapra aur makan‖ ka naara hi sirf lafzoon tak mehdood hai jab kay asli

tasweer biklul iskay baraks hai. duniya chand pe pohanch gai hai aur jo nahi pohanchi who zameen kay ird gird hi koi dursa roshan sayara dhoondhnay ki justuju mai hai par khair hum tou sab pe bazi lag gaye

hain kyn har tehwaar pe hamare haan aik nahi dou chand hotay hain. Aur aawaam parishan kay kiski manay aur kiski na manay. Hum tou woh hain kay jab jhaamoriyaat hoti hai tou hamain aamriyaat ki

yaad satati hai aur jab aamriyat hiti hai tou jhamooriyat kaay liyeh bechain huwe hotay hain. Baat taleem ki hoti hai tou hum GDP, taleem kay elawa sab pe kharch karte hain aur is tarah zaheen or sarghoshi-

e-waqt ko samajhnay ka dawa kartay hain. Hamari qaom pe waqfay waqfay se aik junoon sawaar hota hai aur phir tou hamara koi muqabla nahi ker sakta us mai. Kabhi mobile ka tou kabhi kisi khail ka,

kabhi kaprun ka aur kabhi kisi aur cheez ka. Is sab mai bazi cricket ka khel hi lay jata hai. Laikin afsoos is dafah hamari team kay 3 naujawanun nay pori qaum ka jazbaat ko chand paisun ki khatir dao pe

laga diya aur hamare sar sharam se jhuka diye. England ki jail mai saathi qaidiun kay sawal pe kay aapko kis jurm mai andar kiya hai jo jawab mila hoga us nay unhain bhi hairan ker diya hoga.. faqat ―no

ball‖ karanay pe!! Aur yahan muqami jail kay qaidi soch mai hoon gay kay mujrim tou who bhi hain aur hum bhi per unkay naseeb mai England ka jail aur hamare mai Kot lakhpatt!! Isay kehtay hain Naseeb

apna apna!! Inhee naujawanu mai Ali moen nawazish jese log bhi hain aur Asif, Salman, aur Aamir jese. Kehnay ko who becharay kimat kay baray hain laikin khair kismet kay maray hum sab hi hain . Paki-

stan mai kismet kay maray sab hotay hain siwayeh unkay jo hukumat main hoon!! Khair is waqt mulk ki fizza mai sirf siyasat hi siyasat hai aur yeh pehlay drawing room tak mehdood thi ab hamare kitchens

aur bedrooms ko bht ghair chuki hai. Hal tou kisi cheez ka niklata hi nahi hai. 64 baras se hum isi la-hasil ki jang mai uljhay huwe hain aur baar baar azmaye huwun ko aazmanay mai lagay hain.. khair

umeed pay duniya qayam hai! Aur kuch logun ki tou duniya hi umeed hoti hai

11th Hour (Gyarwan Waqt)

[email protected]

By Ali Hassan

Lo ji, Aj mai ne ‗Shashca‘ k duusre edition main ‗As a columnist‘ apna debut kar hi lia. Chuunke pehli baar ‗shashca‘ main kuch likhne ja raha huun, tou short sa taaruf tou mera

banta hi hai… Naam hai mera ‗ALI‘, Halaat-e-hazra pay nazar hai ‗changi BHALLI‘, Puhanch gaya hoon University k final year main ‗FINALLY‘, Aur jab Shashcay ki news facebook

par ‗CHALLI‘, jiska target hai youth ‗SPECIFICALLY‘, tou contribute karna hi para is main ‗AUTOMATICALLY‘.

Tou ji readers, qaafion ki is zabardasti ki matching k baad ab tazkara kuch ‗Cool Dudes‘ ka…. Arre nai, main khud ko hargiz cool nahi kehraha balke main tou ‗Coolness‘ ki

us bemari ki baat kar raha hoon jo k aaj kal school se le kar university tak k maximum youngsters main phel chuki hai, balke yuun kehlen tou baja hoga k, ab bacha bolna baad

main seekhta hai aur us main cool (kewl) ban‘ne ka shauq pehle peda hojata hai… Jesa k aapko pata hai k har bemari k kuch ‗symptoms‘ hote hain, yekaeenan is bemari k bhi

hain… Tou jab kabhi apko koi aisa youngster mille k jis ne ‗Murghi ki Kalghi‘ ki tarah apne baal uthae hon (Jinhe coolness ki language main ‗spikes‘ kehte hain), ya koi aisa k jis ki

ghissi pitti jeans ki pant ne bamushkil uski kamar ko pakra ho aur utri hi chahti ho, tou jaan len k us youngster ko yehi aarza lahiq hai…

Larkio, tum log hargiz bore na ho. Yakeenan tumhara tazkara bhi hai mere column main. Tou jese koi bhi bemaari ‗gender‘ dekh kar tou hamla karti nai, yehi haal hai is

coolness ka bhi. Ji haan, sahi pehchane, larkian bhi utna hi affected hain is se, jitna k larke. Tou jab kabhi aapko koi larki, kaanon main ‗Headphones‘ thonse, aur apne muun se

bari glasses pehne nazar aae tou jaan len k coolness k jaraseem yahan bhi pae jaate hain.

Yehi nahi, is marz k asrat ab social networking sites par bhi phel chuke hain. Larke jo aik saal pehle tak football ki alif,bay se waqif na the, coolness ki is daur main ab

‗Champions League‘ k har match result ko apne status main update karna farz-e-ain samajhte hain. Sath hi sath apni favorite team k rivals ki ‗slang words‘ main hosla afzai karna

bhi ab maamool hai.

80ssi 90way kesay Sau(100)?

By Rabia Islam

Aap bhi meri tarah is baat se achi tarah waqif hongey k yeh dunya bari be-qadar hai..Yahan tou kisi k talent kee qadar hee nahi hoti.. humari misaal hee le lo! Abb hum hai hee itne talented k bs na hee poocho

tou achaa hai lekin phir bhi jaankari k liye baata detein hai k hum intehai intelligent, punctual, hardworking, skilled aur smart hai.. Waisay yeh hum nahi kehte yeh tou saari

dunyaa kehti hai aur yeh column parhne k baat aap bhi kahengey... Haan tou baat ho rahee thee talent kee, humare talent kee qadar kisi aur ne nahi kee tou na sahee, hum

jaisey lagon k liye abb Shashca agaya hai naa!

Chalo ab kaam kee baat kar- tay hai. Likhne ka shouq tou humein junoon kee had tak hai lekin jab likhne kaa waqt ataa hi tou humara dimagh aisay blank hojata hai jesay

math ka paper.Rukiye janab kahee aap yeh tou nahi soch rahey k hum likh nahi saktein! Hum likhtein bhi hai aur wo bhi boht alaa.

Ab jab baat aayee Shashca k liye likhne kee phir tou jesay dunyaa mein koi subject baaqi hee na rahaa jis pe kuch likha jaayein. Dimagh ko boht durayaa lekin kambakht kuch

na soojhaa! Humare aur saathiyon kee surat-e-haal bhi kuch mukhtalif na hogee. Wo bhi yahee sochtein hongay k kuch aisa likha jaayein k bss humara hee rang Shashca

par chaa jaayein lekin bhai yeh itnaa asaan tori hai. Aab tou aur bhi zyada mehnat karni pareygee kyunki youth kee shaan ka sawaal hai janab.. Is se pehle k aap humare col-

umn ko aik boring piece of writing tasawur karein tou hum aapko bata de k yeh boring woring nahi balkay aapkee faide hee kee baat hai.. Ab aap khud sochiye meri baatein

parh kar aapko kitna faida huwa aur apne talent se shanasa huwe aur shayed ab aap hee mein se koi agey bar kar Shashca ka hisa baney tou hai na maze kee baat! Rahee

baat moojada columnist kee tou unhein yeh bata thi chalun k lambe lambe column likhne kee koi zarurat nahi, likhna hai tou kuch aisa likho k parh kar maza aajaaye. Mujhe

tou bara achaa lag raha hai k mein apni dimaghi surat e haal apse share kar rahee hun aur agli baar agar zindagi rahee tou aisa dilchasp aur shandar column likhungee k bs

app wah wah kartay reh jayeingey, jeisay k ab! Dusre columnist zra hoshyaar raheeyegaa!

Kuch Shashca ke columnist ke naam

Banni Chowk By Muhammad Rashid Yasin

Acha to yaar banni chowk k nam se pareshan nhe hna , Pindi-Isbd me rehne wale yaqinan ye soch rhe hnge k me yahan koi khane peenay ki recipes btane wala hun,,,haha ,naheen yara esa hargiz nhe

hai,,,,abi kuh din pehle ki he bat hai mere dost ne mjhe kaha k yaar Shashca start ho rha hai us k lie kuch likhna hai tumne,,upar se ye k usne format bta k dil me thand he dal di k minglish and slang. Mein

ne kaha ajao badshao. Phir mene socha k topic kuch spicy, cultural and bht sare topics ka mixture hna chaye,,,ye sochte he mere zehan me banni chowk ka nam agya, wase ye banni chowk ki khasiat b hai k is

k ass pass bht se cheezon ka mixture milega jase,,,khane peenay ki shops,,,masala jaat ki shops,,karyana ki shop (manzoor pansari to sbse he zyada

mashoor hai) aur mazeed ye k chingcheee ki bhar mar aur mukhtalif mash- roobat ki dukaanein hain…..acha anyways aik aur wajah ye b hai k me khud b udhar

kafi arsa rehta rha hun ,,haha,,ye to tha kuch sort of introduction type cheez….

Acha janab jub me qadre chota tha to meri Ammi aksar bazar ka sauda mjh se he mangwaya kartie thein sath he ye taakeed karti thein k beta K SABZI WALI

dukan pe rate list parh k sabzi lena,,par hamesha yahe hta k jo b me sauda lata tha wo rate list 1.5 guna zayada he hta tha,,mere pochne pe dukan wala kehta tha

k lena hai to lelo,, bachpan me to ye tasali mere dil ko behla deti the k jub me bara hunga to me us dukan wale k chungal me nhe aonga aur jo rate huga uspe he

sauda launga,,,acha ub sunye zara ub jub me dukan se ub sauda lene jata hun aur agar kbi rate list dekhna meri tabyat pe garan guzre to us rate k difference ko

maloze khatir nhe lata k yaar chalo na to 10 rupay se ye ameer hojaega na me ghareeb hojaega,,,agr ap sirf itni se example pe he intensely focus karein to apko

society ki bari bari corruption ki wajah samajh ajaege,,,,ap heraan hnge k kese,me apko smjhata hun,,,jub me ne sirf is sabzi wali example pe ghor kia to me ne

socha k agar aik sabzi wala he har kharidar se 5-10 rupe extra leta hai ,,aur din me agar usk pass 100 kharidar ate hain to wo aik din me kam az kam 1000 rupay

ki corruption karjata hai,isi tarah CNG STATIONS par 1-2 rupay ki gas kam bharna ya khule nah ne k bhane 5-10 rupay wapis na karna,aur isi tarah CNG sta-

tions wale b roz sham ko kitne he paisay najaiz tor par ghar le k jate hain,,aur hamara ye sochna k yar kuch nhe hta ye ameer nhe hojaega na me ghareeb

hojaega bht he afsoos nak cheez hai,,,isi tarah jub corporate level pe kisi pro- jet ya kisi import bill pe corruption hti hai to wo b har individual Pakistani ko kuch na

kuch affect karti hai,, corruption karne ka subse behtar tareka he yahe hai k subse thora thora nikal wao ta k kisi k notice me bat na aye bajae iske k kisi aik se

sub kuch nikal wao,,to mera is tarf bat krne ka maksad he yahe tha k asal corruption hamari society k andar chupi hui hai aur uspar hum na smjhi yak am akli

ki bunyad par dhool dalte rehte hain k ye to koi bara masla nhe,,,acha subse maze ki bat ye hai k agar kbi hamein koi shakhs isi social corruption jese CNG ya

sabzi issue pe dukandar se larta hua nazar aye to hamari he izzat dar society ki aik class us larne wale shaks ko bewakoof aur jhagralo smjhti hai,,,to bat karne ka

maksad sirf yahe tha k us corruption ko roka jae jo katra katra ban kar aik samandar bnjati hai aur affected logo ko koi fark he nhe parta,,aur jub tak hum apni

society me he corruption se aware nhe hnge to bare bare namzad magarmach ka shikar kese kareinge.,,,,milte hain phir phir kabhi kisi aur topic k sath……

Shashca Reports

[email protected]

Anie nay btaya k wo BBA department

say taluq rakti hain, khair yay kahani

phir sahi . Khair hum mayus nae

huye aur hum gaye lab ki safai krnay

waly chachy k pass. Hum nay jub un

say sawal kiya to wo kahny lagy mery

aaj sir may dard tha jis ki waja say

may aaj safai karny nahi gaya. Unki

yay statement HOD nay sun li aur

unhon nay achi khasi class lay lee

bechary ki jis k bad wo dinga chiba

munn bana k hmein galiyan deta wa-

han say rawana ho gaya. Is hadsy

may hum wo dating point aur wo cou-

ples nae bhul sakty jin par sheeshay

giry taham wo mehfooz rahy. Unky

chehry pay tab bhi aik umeed numaya

thi, aagy aap khud samajhdar hain.

Is puray hadsay may ALLAH ka Shu-

kar say koi jaani nuksan to nae hua

haan albata maali nuksaan boht hua

par wo funds hain, so tension not.

Students ka kehna tha aakhir kab tak

hum in wahiyaat si namon wali labs

may jaltay martay rahain gay. Unka

kehna tha k ya to teachers ko hmary

saath labs may chora jaye ya aisi wa-

hiyaat labs pay drone attacks krwaye

j a i n .

COMSATS khappy!

By Adnan Ijaz

Aaj morkha 28 November, 2011 ko

comsats Islamabad ki khubsurat o

abar aalood fizaon may aik ajeeb o

ghareeb aawaz gunji. Yay waqiya hai

11:15 say 11:30 ki darmiyani subh ka,

jb boht say students apni classes say

aankhain maltay huay bahir nikal

rahy thy jb k boht say khubsurat che-

hray dhup may apni skin ko tar-o-taza

kr rahy thy k achaaaanak physics

department ki nano census catalyst

lab say aik dhamakay ki awaaz ayi

aur lab ki khirkiyon kay sheeshay

neechay giry. COMSATS ki bahadar

awam nay hosla thamy rakha aur

rawaiti andaaz may hooting start kar

d i .

Shashca k zaraaye k mutabiq yay

khatarnak say nam wali lab Dr. Mu-

jeeb ki thi jo us waqt wahan mojood

nae thay aur is lab may PhD k stu-

dents aksar pangay bazi k liye jaya

karty thy. Zaraye say yay bhi pata

chala k yay dhamaka tha carbon mon-

oxide k cylinder ka jo us waqt aapy

say bahir ho gaya jb aik PhD ka stu-

dent ―Ameen‖ cylinder ko gud-gudi

kar raha tha. Nateejatan, Ameen shb

m a m u l i z a k h m i h u a y .

Hamari jb Anie Shahid say bat hui to

COMSATS Dhuzz!

ing ka jo maqsad tha wo pura ho. Ameen.

Ager mulk main kabi zrorat parti hai during

any kind of disasters to jo is training me

sikhaya gia us ko istmal me laon aur logon

ke khidmat kar sakon. Is training main hu-

main ye b btaya gia k Raasi k istmal say kis

trha stature bnaian aur jo mareez ho us ko

rescue kar sakain. Bridge crossing aur rock

climbing me achi performance de sub ny.

Aur thanks to Shashca – Youth ka newspa-

per, jinhon ne muj par itmad kia k me

Shashca ko represent kar sakon. :) Friends,

in the end main ap logoon ko aik bat zaror

suggest karoon ga k ap studies k sath sath

is taraha ki activities main b participate

karo. In activities k both sy advatanges tou

apko pata hain he magar aik new advantage

jo main ny is activity main mehsoos kya wo

yay k seekhnay k sath sath ap ko aik Fak-

har sa mehsoos hoga k ap log Aik Zinda

Qaum k basi ho! Jo har waqt apny watan k

lya, apnay mulk k rehnay waloon k lya kuch

b karny k lya tayar hain. God bless you all!

By Deemas Iqbal

Recently Pyam Trust ny Extremen Adven-

tures k sath collaboration ki or aik zabar-

dast kisam ki 1st level Rescue Training

arrange ki. Is training main 22 logoon nay

participate kya. Margalla Hills Islamabad

p a y

h o n y

w a l i

y a y

t r a i n -

ing aik

n e v e r

forget-

t a b l e

experi-

e n c e

tha! And yes, this contained the 1st ever

bridge crossing [130 feet] by any FEMALE

in Pakistan. Congrats to Ramsha Rao,

Nosheen Bukhari, Annie Aziz and Riz-

wana for the unique distinction! Pictures

by Atif Subhani.

Friends, yay ek naya experience tha. Is

training ko karty waqt boht maza aya! Sub

seniors k sath boht kuch sikhny ko mila.

Adventure tha to dar tha halka sa bus le-

kin jub rock climbing khud ke to dar b

khatm huwa aur phr 130 feet high bridge

cross kia. Aur ye sub mumkin huwa

Payaam Trust ke bdolat. Main aur Sar-

mad Shashca – Youth ka Newspaper k

representative thy aur humari perform-

ance boht behtar thi. Umeed hai k is train-

Payaam rescue training Pappu Fail

Ho Gaya!

By Taimur Ahmed

Student ki life main sab say acha din

aur sab say bura din aik he hota hai,

aur woh hai result wala din. Is din

student ka aagay he tension say bura

haal hota hai, ooper say us k rishtay

daar aur dost bhi baar baar result

pooch k chaskay laitay rehtay hain.

Abhi pichlay dinon Punjab main jo

Intermediate part 1 k bachon k sath jo

zalalat hoi thee, who sab nay media

main daikh lee ho gee. Board waalon

nay bachon ko exam main itnay gan-

day number diyay k kai bachon ko

ghar say muft main maar par gai.

Kuch bachon nay to dukh k maaray

khudkushi bhi kar lee. Aur ab aa k

pata chala hai k ghalti board waalon

kee thee jin k computer nay sai tarah

marking nai kee. Yeh case court main

bhi pohonch gaya aur sab logon ki dua

hai k zimadaron ko sakht say sakht

saza milay.

Laikin kuch bachay aisay bhi hotay

hain jin k sath har 6 months k baad is

kisam ka hand hota hai. Balkay is say

bhi bura. Agar aap 100 mian say 80

marks expect kar rahay hon aur 70 aa

jaen, to aap kahain gay k marking bo-

hot gandi hoi hai. Laikin agar aap 100

main say 80 marks expect kar rahay

hon aur aap fail ho jaen to kia ho ga?

Agar is ka answer chahyeh to apnay

aas paas koi bacha dhoondhain jo CA

(Chartered Accountant) ban raha ho,

us ki shakal pay chaai udasi daikh k

sab samajh lag jaey gee.

CA apnay ganday result ki wajah say

hamesha say he khofnaak field rahi

hai. Hamesha ki tarah is dafa bhi 15th

November ko CA ka result aaya to

hazaron aankhon main say aansu ni-

kal aaey. Jo bachay pass hoay, woh bhi

itnay boorhay ho chukay thay k un ko

khushi naam ka lafz bhi bhool gaya

hoa tha.

ICAP (Institution of Chartered Ac-

countants of Pakistan), jo k CA k pa-

per laita hai, nay apni report main

bataya k is dafa 574 bachon nay CA

inter pass kiya hai, jab k last time yeh

figure 401 thee. Sunanain main to bari

achi khabar lagti hai, laikin ICAP

waalon nay yeh nai bataya k last time

kitnay bachay fail hoay thay aur is

dafa kitnay bachay hoay hain.

CA main itna zayada failure ratio ki

wajah kisi ko sai tarah samajh nai aai.

Bachay kehtay hain k hum nay tiyari

bhi kee, paper bhi achay hoay, duaen

bhi maangin, but phir bhi fail ho gaey.

Aur ab jaadu mantar karain kiya?

ICAP walay kehtay hain k hamain

bachon ko fail karnay ka koi shoq nai.

Jo 574 bachay pass kiyay hain, who

hamaray koi phuppi k puttar nai lag-

tay. Bachon ka apni studies ki taraf

attitude he theek nai hota.

Asal wajah jo bhi ho, yeh baat sach hai

k bachay CA k papers k marking sys-

tem say bilkul bhi satisfy nai. In ko

kon banday check kartay hain? Mark-

ing criteria kia hota hai? Weghaira

weghaira… in sab sawalon k jawab aaj

tak nahi pata chalay.

Tamaam readers say guzarish hai k

Punjab k intermediate k students k

sath sath CA walay bachon ko bhi un

k dukh baray time main hosla dain

aur duaon main yaad rakhain. Kal ko

inhi logon nay aap k fraud pakarnay

hain. :P

Time pe strike

ke time pe nataij

Shumaila Niaz Warsi,F.sc.,First year,

jinhoun ne muzaahiry ka ineqaad kia

tha, ka kehna tha, " Students pehlay

hee sakht timings kee waja se apni

parhai par puri tarha tuwajjo naheen

de paaty,jiska suboot apko iss saal ke

first year ke result me saaf nazar aata

hai,is tarha hamary timings mazeed

sakht ho gaye tou is se taleem pe

mazeed bury asraat paryn gy" Unka

kehna tha ke wo is ghair munsifana

qadam ke khilaaf naara e haq buland

karti hayn.

Ye muzahira subah 10:45 pe shuru

hua aur takreeban aik ghanta jaari

rehny ke baad, 12 bajy, us waqt

By Tania Umar

24 November 2011 ke aelaan ke mu-

tabiq tammam colleges may aik hee

work timings ka nifaaz ho gaya hayy.

Is aelaan ke mutaabiq college subah

9:00 bajy shuru houn gay aur 3:30

bajy hogi students ko chutti. Is ke

khilaaf Government Degree College

For Women (Wapda Town) Lahore kee

taalibat ne ahtejaji muzahira

munaqqid kia. Tamaam taalibaat ne

college ground me jama ho kar college

administration aur hakoomat ke

khilaaf shadeed naary baazi kee. Neez

taalibaat ne classes ka boycott kia aur

alaamti walkout bhee.

Awami Cheez

Inter Ka Shosha

maheeny intezaar karwa ke!) tou iss me kya

dekhty hayn ke hamary tou unho ne puurey

teen number barha diye lekin baaki jo fail

tulba thy un me se bhee 11 feesad ko paas

kardia. Iskey baad ab hamaary bechary

tulba paas tou ho gaye lekin yaar kis keemat

par?

Un becharon ka kya jinhon ne result ka an-

jaam dekh kar khudkushi kar lee? Wo loag jo

second year ke baad achi jaghon pe daakhla

naheen le saky? Wo students jinke abhi bhee

wo numbers naheen hayn jo honay chahi-

yen?

Aur sub se bara sawaal tou yeh ke ab

hamara kya hoga? Agly saal tak bhee ye

massla hal ho paye ga ya hum abhi apny

jooty dabbon me wapas naa hee dalen tou

acha hayy? Ye sab aisy sawaalaat hayn jinka

shayad hamen jawab naa hee mily. Ye sa-

walat bhee beshak taarekh ke safhaat me

gum ho jayen gay. Baaki reh jayen ge hum

aur aap? Tou bhaya hum tou ab ganny kee

rerhi hee lagayen ge. Mera kaam tha bolna.

Bol dia. Aapka parhny ka shukria. Ab aagy

aapka aur mera tou Rab raakha!

By Tania Umar

Recently, Punjab ke kuch boards ka result

dobara announce hua hay. Dobara iss liye

kyun ke pichli dafa inhoun ne aadhy se

zyada bachoun ko fail kardia tha aur jo pass

the , buss mian unka tou haal hee na pucho.

Aapki apni nacheez see columnist ka wo

haal kia ke buss kisi ko muu dikhany ke

qabil nae chora. Acha khair, ab hua youn ke

pahly tou sahibaan ne saara ka saara sys-

tem computerize kardia. Wo tou jo kia so

kia, bhai ye tou socho naa ke apna clerical

staff tou wohi 1975 ka hayy. Jub is staff ke

hathy apna ye naya nizaam charha tou

unho ne baja dee students kee band. Phir ye

kia ke jub papers check karny kee baari aai

tou objective khila diye mohtaram computer

sahib ko. Jinhon ne aadhy bachoun ko tou

kardia fail aur adhon ke parchy hee bahir

thookney se inkaar kardia, jis se ho gaye

bachon ke number kum!

Phir wohi puraana gorakh dhanda! Kesay

hukmaran hain, tab tak kam nhi karty jab

tak protest na karo! Tulba sarkon pe aaye

ahtejaaj waghaira kia. Mutaalibaat tasleem

karwaye aur wapas chaly gaye. Ab jo ye

n a y a

result

a a y a

h a y y

( w o

b h e e

d o u

Takhreebkaari! International Children Peace Prize

(awarded by the Dutch organization

KidsRight), k lya short-list kya gya

hai. Is award k lya total 98 candidates

thy jin main sy 5 ko select kya gya

hai. Or Malala un main sy aik hai! :)

Malala ka kehna hai k ―Education har

bachay ka bunyadi haq hai. Mery lya,

meray dostoon k lya, mery teachers or

parents k lya yay aik intakhaee fak-

har or khushi ki bat hai k main is

award k lya namzad hoe hoon‖. We

are also proud of you, Malala! :)

Tou daikho dosto Malala ny kar dik-

haya na Shashca! Tum b kuch seekho

is choti c bachi sy. Ghabraoo mat!

Yaqeen mano just pehla step he thora

tough hota hai…phir agay rastay

banty chalay jaty hain. So buddy,

Darnay ka nhi, Karnay ka! Kya sam-

jhay!

By FD. Sheikh

Jo dar gya, wo mar gya! Or jo nahi

dara, wo charh gya! Ya hoti hai deter-

mination. Passion. Devotion. Willing-

ness to do something! Kamal kar dya

na Sawat ki Malala ny! 11 sal ki thee,

Malala jab is nay Taliban ki na-insafi

k khilaf awaz uthae.

You know what, Taliban ny apny dor-

e-hakumat (2003-2009) main Girls‘

schools ko band karwa dya tha. Ma-

gar, Sawat ki is intelligent or coura-

geous larki ny, jo us waqt just 11

years old the, himat nhi hari. Wo BBC

Urdu ki website py aik anonymous

diary k through apni awaz buland

karti rahi. Bad main is ki 2 documen-

taries New York Times main b enter-

tain ki gaeen. Or ab recently jab wo

13 saal ki hai, iski courageous activi-

ties ko acknowledge karnay k lya isy

[email protected]

By Awais Akhtar

Waise tu main ne personally TED x Event kabhi

physically attend nahin kiya, liken online stream-

ing / Broadcast zarur dekhein hain specially Paki-

stan main honay walay TED x Events ki, so Peh-

lay atay hain TED x k introduction ki taraf.

TED aik Abbreviation hai jo Technology Entertain-

ment and Design se bana hai . In logon ka slogan

(Ideas Worth Spreading ) hai . Yeh organization

non for profit hai and 1984 main bani thi aur

NewYork main headquartered hai.

TED Events 2 parts main divided hain . . Aik TED

conference and dosri TED x . TED conferences

directly TED Management organize karti hai ,

and TED x Events independently, on a commu-

nity-by-community basis par plan and organize

kiyay jatay hain. TED x Events k liye TED

Creative Commons license issue karti hai, Agar

aap k paas koi idea hai and speakers jinhun ne

kuch achieve kia ho live main ya koi bhi impact

dala hai society main aap TED x Event plan kar

saktay hain by obtaining that license. TED x

Events main har speaker ko maximum 18 minutes

allocate kiyay jatay hain to present their ideas in

the most innovative and engaging ways they can.

Pakistan main pehla TEDx Events Karachi

main huwa tha, 4th June 2010 ko. Event main no-

table speakers ne interact kiya tha , Jin k names

Chris Anderson, Curator, TED

Jacqueline Novogratz, Founder/CEO, Acumen

Fund

Roshaneh Zafar, Founder/CEO, Kashf Founda-

tion

Asad Umar, CEO, Engro

Monis Rahman, Founder/CEO, Naseeb Net-

works

Asad Rezzvi, CEO, e-Cube Global

Joshinder Chaggar, Theater Artist

Is event ko Inaugural event keh saktay hain .

Ted X Kinnaird 23rd October 2010 ko Organize

kiya gya , location thi PERIN BOGA Amphithea-

tre. Theme thi ―Believe in Tomorrow‖

Ted X Kinnard k baad Karachi ki turn thi show-

case karnay ki , kuch log o hain aap sab k janay

pehchanay, jin ka acha khasa fan base

TED x Karachi 2011 27th May ko organize kiya

gya Event ki Theme thi ―Making the Impossible

Possible‖. Speakers included:

Imran Khan

Dr. Quartulain Bakhteari

Fasi Zaka

Raja Sabri Khan

Mukhtaran Mai

Sarmad Tariq

Noori

Is k baad bari ai Islamabad ki, Ted x Event organ-

ize karnay ki ,venue and date 24th November, set-

ting in SEECS FOUNTAIN AREA , NUST H-12.

Wi-Tribe ne facilitate kiya un logon ko jo physi-

cally attend nahin kar sakay thay by providing

online streaming. Speakers jinhun ne Spell bound

rakha Attendees (online/Present) who thay YBQ,

Shah Sharabell, Danial Shah, Badar Khushnood

and Adnan Shahid .

YBQ – Yousuf Bashir Qureshi ( A well known De-

signer ) Jo appear huway munfarid appearance

main . . . . Ji haan Lungi Main ! Bht saray logon ki

tarah ma ny bhe socha shayad yeh apnay aap ko

diff show karnay k liye aisa outfit pehan kar aye

hain , but yeh inhon ne apni statement ko prove

karnay k liye pehna tha : Wo karein, wo pehnein

jis main u feel comfortable .

jo core baat un ki speech ki thi who yeh thi k ja-

han bhi aap jaein, aap apni soul apnay saath carry

kartay hain, yeh soul aap se alag nahin ho/reh

sakti, and apnay aap ko accept karein.

Shah Sharbeel - Jin ki batain sun kar Meray mind

main Aik Cheez struck huwi . . Man of Principles ,

Jo Serious hai , Jo actions par yaqeen rakhta hai ,

Punctuality in ka weak point and strong point

donon hain , Inhun ne bataya k he has faced some

hard hitting moments because of this thing , par is

ka faida yeh hwua kay ab un k har event par 100

% attendance hoti hai and who bhi Sharp time par.

Mansoora Ali . . In ki Battein bhi Active Citizen-

ship se related thein , Unity For a Common Cause

!

Danial Shah (An acclaimed Photographer) Jihun

ne Slideshow par Pakistan ki who snaps dikhaein

which showcased the essence of diversity in Paki-

stan.

Badar Khushnood (Google Representative in Paki-

stan) Inhoon ne bataya k kaise Pakistani Citizens

can help Pakistan portray a positive image of Paki-

stan.

Adnan Shah (Electrical Engineer by profession

from NUST with masters in Innovation and Global

Leadership from Sloan School of Management)

Jinhoon ne Baat ki E-Waste Ki , Kaisay the West-

ern world is making third World a junk yard of E-

Waste , and hamaray log is waste se effected and

polluted ho rahay hain . . and kaunse steps liyay

ja saktay hain is cheez ko control karnay k liye !

Puruesh Chaudhary Jin Ka Interest hai Media

Revolution, Inhoon ne Bataya AAGAHI k baray

main k kaise this organization is working for the

betterment of MEDIA in Pakistan!

Farhana Azim Jin ka interest tha Organic materi-

als, Flowers sy related information which was very

new for everyone.

Rakae Jamil Jo part hain Coke Studio ka , Bauhat

aala performance k saath audience ko spell bound

rakha , Boulevard of Broken Dreams by Green Day

jaisa Song he played on Sitar, Un ka control over

all his instruments was so good that every one

there really enjoyed and was mesmerized.

Yeh event organize kiya gya tha IRNUSTIAN and

NUST Entrepreneurial Society ki taraf se , I en-

joyed it. Is 5-6 hour event k peechay bht sari

mehnat and dedication hoti hai, criticism should

be there but in a positive manner , appreciation is

a must thing , one should encourage them because

hamari society , Specially Youth needs it more

than any one ! :)

TED x NUST Upcoming Event

www.facebook.com/shashca

Team Shashca

Ali Suleman Editor in Chief

[email protected]

Payaam e Iqbal Debate Contest at CIIT Isb.

Salman Latif Sub Editor

[email protected]

Waleed Hasan Head Promotions

[email protected]

Hassan Raza Web Developer

[email protected]

FD. Sheikh Bureau Chief

[email protected]

Hunza Tauseef Business & Social Editor

[email protected]

Sadiya Akhtar Entertainment Editor

[email protected]

Sarmad Munir Sports Editor

[email protected]

Zeeshan Ahmed Head Columns

[email protected]

www.shashca.com