4
SHREE VALRAM CHALISA DOHA Vighna vinashak vandau vardayak ganadaya I Prasanna ho he sharada I guruvar lagu paay II1II Valram var dijiye darshan dijo aap I Odhavram antar vaso jo gunala nit gaay II2II :CHOPAI: Valram vandau vardai , Tumhari krupa manuj tan payi II1II Safal janam karu gunn gai , Aisa var do he vardai II2II Valram jai vijay tumhari , Naam tumhara hai mangalkaari II3II Jo jan let hai sharan tumhari , Dukh mit hi sukh pawat bhari II4II Maat gomati ke tum jaya , Peeta gangji sab mann bhaya II5II Dharama sthapane ko tum aya , Adharama nasavan he gururaya II6II Bhaktajano ke dukh ko harta , Sab jeeva ke tum ho bharta II7II Tum kaaran ho jag ke karta , Satya kahahu prabhu aap akarta II8II Valram var do he daata , Janam safal karu vardaata II9II Tumhare dwaar pe jo jan aata ,

SHREE VALRAM CHALISA - Kutchi Ashram VALRAM CHALISA english.pdf · SHREE VALRAM CHALISA DOHA ... Mitat janma patra grah pida II25II Jaha pad padyo dhanya bhai dharani ... Kalyug ke

Embed Size (px)

Citation preview

SHREE VALRAM CHALISA

DOHA Vighna vinashak vandau vardayak ganadaya I

Prasanna ho he sharada I guruvar lagu paay II1II Valram var dijiye darshan dijo aap I

Odhavram antar vaso jo gunala nit gaay II2II

:CHOPAI: Valram vandau vardai ,

Tumhari krupa manuj tan payi II1II Safal janam karu gunn gai ,

Aisa var do he vardai II2II Valram jai vijay tumhari ,

Naam tumhara hai mangalkaari II3II Jo jan let hai sharan tumhari ,

Dukh mit hi sukh pawat bhari II4II Maat gomati ke tum jaya ,

Peeta gangji sab mann bhaya II5II Dharama sthapane ko tum aya ,

Adharama nasavan he gururaya II6II Bhaktajano ke dukh ko harta ,

Sab jeeva ke tum ho bharta II7II Tum kaaran ho jag ke karta ,

Satya kahahu prabhu aap akarta II8II Valram var do he daata ,

Janam safal karu vardaata II9II Tumhare dwaar pe jo jan aata ,

Sukh paakar mann hi harshaata II10II Shwet vastra urr kafani dhaari ,

Manahar murat mangalkaari II11II Bhuj pralamab nijajan bhayhaari ,

Mukh mandal jani madan murarri II12II

Karkamal laxmi vardaayak , Tum sam nahi kahu aur sahayak II13II

Na hi mein bhakt na hi mein laayak , Tada pi varan karo vardaayak II14II

Valram jay jay ho tumhari , Yogeshwar tum saarang dhaari II15II

Chakra sudarshan panchjan dhaari , Mitra murari ko gaandiv dhaari II16II

Surmuni danuj manuj yash gaate , Ashta siddhi nav nidhi ko paate II17II

Aatho prahar tumhare gunn gaate , Bhakti mukti sab sampati paate II18II

Vandhay tirath dham suhaye , Kutch ki kirat koti badhaye II19II

Bharat ke gunn syranjan gaye , Valram tum yaha pagu dhaye II20II

Haridwaar haruhar kar vaasa , Kutchi aashram aap niwaasa II21II

Valramji ghat manohar , Gangadhar aroo sapt sarovar II22II

Murachban bhoomi mann bhavan , Patitam ko karti ai paawan II23II

Murat manohar madan lubhawan , Darshan karte log lugain II24II

Paache kshetrapal ati veera , Mitat janma patra grah pida II25II

Jaha pad padyo dhanya bhai dharani , Padraj kankan kautik tarani II26II

Narayansar tirth manohar , Valramji divya sarovar II27II

Jivhan hit bhaye manuj swarupa ,

Tadapi chinmay brahma swarupa II28II Tum bramha ho vishnu mahesha ,

Tum sacharachar ho jagdisha II29II Kalyug ke dukh dosh nasawan ,

Karan aaye patitan ko paawan II30II Valram madhumangal nama ,

Leela te pragate sukh dhama II31II Dhamdhara poot aap pradaata ,

Sankat mochan mukti ko daata II32II Daihik daivik bhautik taapa ,

Mital mul tav cahran patapa II33II Odhavram ke shishya kahaye ,

Sab shishyan ke mann ku bhaye II34II Gau bramhan santanha mann bhaye ,

Sadhak sidh suranah gunn gaaye II35II Pret pisach bhoot bhagaye ,

Ragrog dambh dosh nasaye II36II Sadguru charan sharan jeenha leenha ,

Sahaj sulbh mukti kar leena II37II Yah chalisa rachyo rachayo ,

Mai urr antar jaakar paayo II38II Shradha sahit jo sune sunaye ,

Anayas bhav jal tar jaye II39II Valram prabhu aap gusai ,

Hari ! das urr raho sadai II40II

DOHA Valram gomati sut he I

Mati gati more aap , Vaani anya na uchare

Jape tumhara jaap

GURUVAR VALRAM KI JAY……… GURUVAR ODHAVRAM KI JAI………

BOLO BHAI SAB SANTAN KI JAI , KASHTA BHANJAN DEVKI JAI ,

GAU MATA KI JAI.

JAI ODHAVARAM