7
HRELATE.COM Hair Loss Treatment for Men in Hindi – Baalo Ka Jhadna Roke

Hair Loss Treatment for Men in Hindi: Baalo ko Jhadne se Bachaye

Embed Size (px)

Citation preview

Page 1: Hair Loss Treatment for Men in Hindi: Baalo ko Jhadne se Bachaye

HRELATE.COM

Hair Loss Treatment for Men in Hindi – Baalo Ka Jhadna Roke

Page 2: Hair Loss Treatment for Men in Hindi: Baalo ko Jhadne se Bachaye

hrelate.com

• Har vyakti apne baalo ko swasth aur ghane banaye rakhna chahta hai. Kyoki baal aapki khubsrati mai char chand laga dete hai. Lekin baalo ko jhadna aajkal bahut aam baat ho gai hai, rojana 50 se 100 baalo ka girna to jaise samanya hai.

• Kintu jab yeh samasya bad jati hai to chinta ka karan ban jati hai. Aajkal mahila se tulna kare to purusho mai bhi yeh samasya kaafi badti ja rahi hai.

• Purusho mai samanya baalo se jyada baalo ka girna ya ek hi jagah se jayda baal jhadne se ganjapan aa jata hai. Baalo ke jhadne ke kai karan ho sakta hai jaise khan pan ki kami, minerals ki kami, jyada davaiyo ka sevan, tanav, pradushan, baalo ki thik se dekhbal na karna aur purshuo mai helmet lagana bhi baal girne ka ek karan ho sakta hai.

• Kai purush mai to vashanugat bhi ganjapan ho sakte hai. Lekin aap pareshan na ho aaj hum aapkoHair Loss Treatment for Men in Hindi ke dwara baalo ko swasth aur majboot banaye rakhne ke liye kuch tips de rahe hai. Jiski sahayata se aap baalo jhadane se rok payenge.

Page 3: Hair Loss Treatment for Men in Hindi: Baalo ko Jhadne se Bachaye

hrelate.com

Hair Loss Treatment for Men in Hindi: Girte Baalo Ke Upay

Page 4: Hair Loss Treatment for Men in Hindi: Baalo ko Jhadne se Bachaye

hrelate.com

• Mild Shampoo Ka Kare Istemal Baalo ko rojana mild shampoo se dhoye taaki sari gandgi saaf ho jaye kyuki

shampoo se baal dhone par sankraman aur dandruff dono nahi hota. Baalo mai shampoo karne se na sirf baal swasth rehte hai balki jhadte bhi nahi hai.

• Faydemand Hai Nariyal Ka Dudh Nariyal parakrati ki di hui den hai, jo baalo ke liye bahut accha hota hai. Iske

alawa ise baalo par lagana bahut kargar sabit hota hai kyuki yeh baalo ki koshikao ko poshan pradan karta hai. Isliye jab bhi nariyal ko baalo mai lagaye nariyal ko kees kar uska dudh nikal le aur isko baalo ki jado mai lagaye. Kuch dino tak iska upyog karne se aapke bal swasth aur majboot ban jayenge. 

• Vitamin Ki Kare Purti  Vitamin na keval sharir ke liye balki baalo ke liye bhi utna hi faydemand hota

hai. Yadi aapke sharir mai vitamin ki kami hoti hai to aapke baal bhi kamjoor hokar girne lag jate hai. Kyuki Vitamin A sar ki jado mai sibum ki matra badata hai vahi Vitamin E sar mai rakt sanchar ko badata hai. Jisse baal majboot hote hai aur Vitamin B baalo ka rang banaye rakhne mai madad karta hai.

Page 5: Hair Loss Treatment for Men in Hindi: Baalo ko Jhadne se Bachaye

hrelate.com

• Pyaaj Ka Ras Yadi aapke baalo ka girna kam nahi ho raha hai to pyaaj sabse sasta aur accha

illaj hai. Yeh har ghar mai aasani se mil jata hai. Pyaaj ke ras ko baalo mai lagane ke liye pyaaj ko katkar mixer mai pees le, tatha baalo mai pyaaj ka ras lagane se pehle toliye ko garam pani mai nikal kar nichod le aur baalo ko aadhe ghante ke liye dhak de. Iske bad baalo mai pyaaj ka ras lagaye aur kuch der bad baalo ko mild shampoo se dho le taaki pyaaj ki badbu nikal jaye. Aesa karib 1 mahine tak karenge to aapke baal fir se ghane ho jayenge. 

• Tel Ki Malish Yadi aap baalo ki samasya se kafi dino se pareshan ho rahe hai to aap rojana tel

ki malish kare. Yeh sabse behtarin Hair Fall Solution hai. Aap chahe to iss tel mai sugandhit tel ko bhi mila sakte hai, tel se massage karne par sar mai hair follicle sakriya hote hai aur baal jhadna kam hote hai. 

• Gile Baalo mai Kanghi Naa Kare Jab baal gile hote hai unki jade uss avstha mai kamjoor hota hai. Aese mai jab

aap gile baalo mai kanghi karte hai to baal jhadne lagte hai. Isliye yadi kanghi karna jaruri na ho to iska istemal na kare. Iske alawa jyada bar kanghi karne se bhi baal kamjoor hote hai aur jhadte hai. Aap chahe to halki halki ungliyo se baalo ko suljha sakte hai. 

Page 6: Hair Loss Treatment for Men in Hindi: Baalo ko Jhadne se Bachaye

hrelate.com

• Har Thodi Der mai Pani Piye Baalo ko majboot banane ke liye baalo ki jado ko pani ki bahut jarurat hoti hai.

Yadi aap baalo ko swasth aur khil khilata banana chahte hai to dinbhar mai kam se kam 6 se 8 glass pani jarur piye. Isse aapke baal swasth bane rahenge.

• Green Tea Baalo Ke Liye Labhkari Green tea sharir ke liye to faydemand hai hi sath hi baalo ke liye bhi labhkari

hai. Ek research ke dwara pata chala hai ki green tea baalo mai lagane se baalo ko jhadane se roka ja sakta hai. Ise baalo mai lagane ke liye ek cup pani mai green tea ko dale aur ise ubal le. Jab yeh thandi ho jaye to ise baalo mai laga le. Tatha 1 ghante bad baalo ko shampoo se dho le. Aesa kam se 7 se 10 din tak karenge to aapko iska fayda dekhne ko milega. Green Tea for Hair Growth aap khud mehsus karenge.

Page 7: Hair Loss Treatment for Men in Hindi: Baalo ko Jhadne se Bachaye

hrelate.com

• Sar Se Pasine Ko Dur Kare Jinke bhi baal teliya hote hai unke baalo mai dhul mitti jaldi chipak jati hai aur

wo jaldi gande ho jate hai. Baalo mai jami gandagi ke karan baal jhadne ki sambhavna bad jati hai. Isliye aloe vera aur neem yukt shampoo ka istemal kare isse baal ki gandahi bhi dur ho jayegi aur dandruff bhi nahi hoga.

Jo bhi purush helmet pehante ya vyayam karte hai unke sar mai pasina jaldi aata hai aur pasina baalo mai jama ho jata hai. Jaisa ki hamne jana gile baalo ki jade kamjoor hoti hai aur pasine ke karan baal jhadne lagte hai. Isliye baalo ki saaf safai acche se aur baalo ko kapde se bandhe taaki pradushan baalo mai na pahuche. 

Upar aapne jana Hair Loss Treatment for Men in Hindi. Yadi aap bhi baal jhadne ki samasya se pareshan hai to uprokt salah ko jarur apnaye