79
Al-Arbaeen MARAJAL BAHRAIN FEE MANAQIBIL HASANAIN (ALAIHI-MUSSALAM) (Imam Hasan wa Imam Hussain Alaihi-mussalam ki Shaan, Manaqib aur Fazail me Hadees ki Kitaab) IN ROMAN URDU/ROMAN HINDI Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri www.facebook.com/DrQadriBooks

Marajal Bahrain Fee Manaqibil Hasanain Alaihimussalam

Embed Size (px)

DESCRIPTION

Islamiyaat

Citation preview

Al-Arbaeen

MARAJAL BAHRAIN FEE

MANAQIBIL HASANAIN (ALAIHI-MUSSALAM)

(Imam Hasan wa Imam Hussain Alaihi-mussalam ki Shaan, Manaqib

aur Fazail me Hadees ki Kitaab)

IN ROMAN URDU/ROMAN HINDI

Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri

www.facebook.com/DrQadriBooks

Note:

Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ki

tamaam Tasnifaat (Books) aur Khitabat (Lectures)

ke audio/video ke cassettes, CD's aur DVD's se

haasil hone waali jumla aamdani unki taraf se

hamesha ke liye Tehreek-e-Minhaj-ul-Quran ke liye

waqf hai.

-Director Minhaj Publications

INDEX

FASL/CHAPTERS KE NAAM

1. HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM KA APNE

SHEHZADON KA NAAM HASAN AUR HUSSAIN (ALAIHI-MUSSALAM) RAKHNA

2. HASAN AUR HUSSAIN JANNAT KE NAAMON ME SE 2 NAAM HAIN JINKO

ALLAH TA'ALA NE HIJAB ME RAKHA

3. HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM NE FARMAYA:

HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM MERE BETE HAIN

4. HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM AHLE BAYT HAIN

5. HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM HE

HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM KA NASAB, WALI AUR BAAP

HAIN

6. HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM LOGON ME SE SABSE BEHTAR

NASAB WAALE HAIN

7. HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM HE MERE GULSHAN-E-DUNIYA

KE PHOOL HAIN

8. HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM KA HASANAIN

KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM KE KAANO ME AZAAN KEHNA

9. HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM KA HASANAIN

KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM KI TARAF SE AQEEQA KARNA

10. HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM.....SARAPA SHABEEH-E-

MUSTAFA SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM

11. HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM.....WAARISAAN-E-AOUSAAF-

E-MUSTAFA SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM

12. HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM TAMAM JANNATI JAWANON

KE SARDAR HAIN

13. ALLAH TA'ALA NE HASANAIN KAREEMAIN ALAIHMIUSSALAM KO

KAMAAL-E-TATHEER KI SHAAN-E-AZEEM SE NAWAAZ DIYA

14. HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM NE FARMAYA: JO

MUJHSE MUHABBAT KARTA HAI US PAR IN DONO SE MUHABBAT KARNA

WAAJIB HAI

15. JISNE HASANAIN ALAIHI-MUSSALAM SE MUHABBAT KI USNE MUJHSE

MUHABBAT KI

16. JISNE HASANAIN ALAIHI-MUSSALAM SE MUHABBAT KI US SE ALLAH NE

MUHABBAT KI

17. HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM NE FARMAYA:

JISNE IN DONO SE MUHABBAT KI WO QAYAMAT KE DIN MERE SAATH HOGA

18. HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM NE FARMAYA: AY

ALLAH MAI IN DONO SE MUHABBAT KARTA HUN TU BHI INSE MUHABBAT

KAR

19. JISNE HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM SE BUGZ RAKHA USNE

MUJHSE BUGZ RAKHA

20. JISNE HASANAIN ALAIHI-MUSSALAM SE BUGZ RAKHA WO ALLAH KE

HAAN MABGOOZ HOGAYA

21. HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM NE FARMAYA: AY

ALLAH! JO INSE ADAWAT RAKHE TU US SE ADAWAT RAKH AUR JO INKO

DOST RAKHE TU USEY DOST RAKH

22. JISNE HASAN WA HUSSAIN ALAIHI-MUSSALAM SE JANG KI US SE

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM NE AYLAN-E-JANG

FARMA DIYA

23. HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM NE FARMAYA:

MERE MAA BAAP AAP PAR QURBAN

24. HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM KE RONE SE HUZOOR

SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM PARESHAN HOGAYE

25. HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM HASANAIN

KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM KI KHATIR APNE MIMBAR SHAREEF SE

NICHE UTAR AAYE

26. HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM HUZOOR-E-AKRAM

SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM KI ZUBAAN MUBARAK

CHOOSTE THEY

27. HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM HUZOOR SALLALLAHU

ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM KE SHIKAM-E-MUBARAK PAR KHELTE THEY

28. HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM DAURAN-E-NAMAZ HUZOOR

SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM KI PUSHT MUBARAK PAR

SAWAAR HOGAYE

29. HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM KA HASANAIN

KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM SE FARMANA: YE DONO KAISE ACHE

SAWAAR HAIN

30. HUZOOR-E-AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM

HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM KI KHAATIR SAJDON KO LAMBA

KARLETE

31. HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM DONO

SHAHZADON KO CHAADAR KE ANDAR APNE JISME AT-HAR SE CHIMTA LETE

THEY

32. HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM KE SAATH JO

JANNAT ME SABSE PEHLE DAAKHIL HONGE WO HASANAIN KAREEMAIN

ALAIHI-MUSSALAM HAIN

33. ALLAH TA'ALA KA HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM KI

MAUJUDGI KE ZARIYE JANNAT KO AARASTA KARNA

34. HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM QAYAMAT KE DIN ARSH-E-

ILAHI KE GUMBAD KE NICHE HONGE

35. HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM QAYAMAT KE DIN HUZOOR

SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM KE SAATH RAHENGE

36. HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM KA HASANAIN

KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM KE LIYE KHUSUSI DAM KARNA

37. AASAMAANI BIJLI KA HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM KE LIYE

RAASTA ROSHAN KARNA

38. HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM KA HASANAIN

KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM KO DAAD DENA

39. HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM HASANAIN

KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM KA BOSA LETE THEY

40. HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM MUBAAHLEY KE

WAQT HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM KO APNE SAATH LEGAYE

FASL: 1

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA

SALLAM KA APNE SHEHZADON KA NAAM

HASAN AUR HUSSAIN (ALAIHI-MUSSALAM)

RAKHNA

1. “Hazrat Ali RadiAllahu Anhu bayan farmate hain ke jab Hasan paida hua to

uska naam Hamza rakha aur jab Hussain paida hua to uska naam uske chacha

ke naam par Jafar rakha. (Hazrat Ali RadiAllahu Anhu farmate hain) Mujhe

Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne bulakar farmaya:

Mujhe ye naam tabdeel karne ka hukm diya gaya hai. (Hazrat Ali RadiAllahu

Anhu farmate hain) maine arz kiya: Allah aur Uska Rasool behtar jaante hain.

Pas Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne unke naam Hasan wa Hussain

rakhe.”

2. "Hazrat Salman Farsi RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabi-e-

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne irshad farmaya: Maine in Dono

yaani Hasan aur Hussain ke Naam Haarun Alaihissalam ke Beton Shabbar aur

Shabbir ke Naam par rakhe hain."

3. "Hazrat Saalim RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabi-e-Akram

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne irshad farmaya: Maine Apne in Dono

Beton yaani Hasan aur Hussain ke Naam Harun Alaihissalam ke Beton Shabbar

aur Shabbir ke Naam par rakhe hain."

4. "Hazrat Akramah RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Sayyeda Fatima

Salamullahi Alaiha ke haan Hasan Ibne Ali Alaihi-mussalam ki Wiladat hui to

Wo Unhe Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki khidmat me

laayin, lihaza Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Unka Naam Hasan

rakha aur jab Hussain Alaihissalam ki Wiladat hui to Unhe Huzoor Nabi-e-

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Bargah me laakar arz kiya! Ya

RasoolAllah SallAllahu Alaik wa Sallam! Ye (Hussain) is (Hasan) se zyada

Khoobsurat hai, lihaza Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Iske Naam

se akhaz karke Uska Naam Hussain rakha."

5. "Hazrat Jafar Ibne Muhammad RadiAllahu Anhuma Apne Waalid se riwayat

karte hain ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne

Hussain ka Naam Hasan se akhaz kiya aur Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam ne Dono ke Naam Hasan aur Hussain Alaihi-mussalam Unki Paidaish ke

saatwe (7) din rakhe."

6. "Hazrat Ali RadiAllahu Anhu riwayat karte hain ke jab Fatima (Salamullahi

Alaiha) ke haan Hasan ki wiladat hui to Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi

wa Aalihi wa Sallam tashreef laaye aur farmaya: Mujhe Mera Beta dikhao,

Uska naam kya rakha hai? Maine arz kiya: Maine iska naam Harab rakha hai.

Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Nahi

balke wo Hasan hai. Fir jab Hussain ki Wiladat hui to Huzoor Nabi-e-Akram

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam tashreef laaye aur farmaya: Mujhe Mera

Beta dikhao, Tumne uska Naam kya rakha hai? Maine arz kiya: Maine iska

naam Harab rakha hai. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:

Nahi balke wo Hussain hai. Fir jab teesra Beta paida hua to Huzoor Nabi-e-

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam tashreef laaye aur farmaya:

Mujhe Mera Beta dikhao, Tumne uska naam kya rakha hai? Maine arz kiya:

Maine iska naam Harab rakha hai. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam

ne irshad farmaya: Nahi balke iska naam Muhsin hai. Fir irshad farmaya:

Maine inke naam Harun Alaihissalam ke Beton Shabbar, Shabbir aur

Mushabbar ke naam par rakhe hain."

FASL: 2

HASAN AUR HUSSAIN JANNAT KE NAAMON

ME SE 2 NAAM HAIN JINKO ALLAH TA'ALA

NE HIJAB ME RAKHA

7. "Mafzal se riwayat hai ke Allah Tabarak wa Ta’ala ne Hasan aur Hussain ke

Naamon ko hijab me rakha yahan tak ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu

Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Apne Beton ka naam Hasan aur Hussain rakha."

8. "Imran bin Sulaiman se riwayat hai ke Hasan aur Hussain Ahle Jannat ke

Naamon me se 2 Naam hain jo ke daur-e-jahiliyat me pehle kabhi nahi rakhe

gaye they."

FASL: 3

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA

SALLAM NE FARMAYA:

HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM

MERE BETE HAIN

9. "Hazrat Abdullah Ibne Mas'ud RadiAllahu Anhuma riwayat karte hue

farmate hain: Maine Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam ko dekha ke Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hasan aur

Hussain Alaihi-mussalam ka Haath pakadkar farmaya: Ye Mere Bete Hain."

10. "Sayyeda Fatima Salamullahi Alaiha farmati hain ke ek roz Huzoor Nabi-e-

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Mere yahan tashreef laaye aur

farmaya: Mere Bete kahan hain? Maine arz kiya: Ali (Alaihissalam) unko saath

legaye hain. Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam unki talaash

me mutawajjah hue to unhe paani peene ki jagah par khelte hue paaya aur

unke saamne kuch khajooren bichhi hui thin. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi

wa Sallam ne farmaya: Ay Ali! Khayal rakhna Mere Beton ko garmi shuru hone

se pehle waapis le aana."

11. "Musayyab bin Najabah Hazrat Ali RadiAllahu Anhu se riwayat karte hain

ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Har

Nabi ko 7 Najeeb ya Naqeeb ata kiye gaye jabke Mujhe 14 ata kiye gaye. Raawi

kehte hain ke humne Hazrat Ali RadiAllahu Anhu se pucha ke wo kaun hain to

Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ne bataya: Mai, Mere Dono Bete, Jafar, Hamza,

Abu Bakr, Umar, Mas'ab Ibne Umair, Bilal, Salman, Miqdaar, Huzaifa, Ammar

aur Abdullah Ibne Mas'ud RadiAllahu Anhum."

12. "Hazrat Ali RadiAllahu Anhu riwayat karte hu farmate hain: Allah Ta'ala ne

har Nabi ke 7 Nujaba banaye jabke Hamare Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa

Aalihi wa Sallam ko 14 Najeeb ata kiye. Inme Abu Bakr, Umar, Ali, Hasan,

Hussain, Hamza, Jafar, Abu Zar, Abdullah Ibne Mas'ud, Miqdaar, Ammar,

Salman, Huzaifa aur Bilal RadiAllahu Anhum shaamil hain."

FASL: 4

HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM

AHLE BAYT HAIN

13. " Ummul Momineen Hazrat Umme Salama RadiAllahu Anha se marvi hai

ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Fatima

Salamullahi Alaiha aur Hasan wa Hussain Alaihi-mussalam ko jama farmakar

Unko Apni chadar me leliya aur farmaya: Ay Allah! Ye Mere Ahle Bayt hain."

14. "Hazrat Saad bin Abi Waqqas RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke jab

Aayat-e-Mubahla “Aap farma den: Aao hum apne Beton ko bulate hain aur

tum apne Beton ko bulao” naazil hui to Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu

Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Ali, Fatima, Hasan aur Hussain Alaihi-mussalam

ko bulaya, fir farmaya: Ya Allah! Ye Mere Ahle (Bayt) hain."

15. "Hazrat Abu Saeed Khudri RadiAllahu Anhu Allah Ta’ala ke is farmaan:

“Ay Nabi ke ghar waalon! Allah chahta hai ke tumse (har tarah ki aaludgi) door

karde aur tumko khoob paak wa saaf karde.”

ke bare me farmate hain: Ye Aayat-e-Mubarak in Paanch (5) hastiyon ke bare

me naazil hui: Huzoor Nabi-e-Akram, Ali, Fatima, Hasan aur Hussain Alaihim-

Aswalatu was-Salaam.”

Faida: Inhi Paanch (5) Hastiyon ke mutazkirah takhsees ke baais Aammatul

Muslimeen me “Panjatan” ki istelaah mashhoor hai. Jo Shar’an durust hai

isme ko mubalga ya aytekaadi guluw hargiz nahi.

FASL: 5

HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU

ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM HE

HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM

KA NASAB, WALI AUR BAAP HAIN

16. "Hazrat Umar Ibne Khattab RadiAllahu Anhu farmate hain: Maine Huzoor

Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko farmate hue suna: Har

aurat ke Beton ki nisbat unke baap ki taraf hoti hai ma-siwaye Fatima ki

Aulad ke, keh Mai he Unka Nasab hun aur Mai he Unka Baap hun."

17. "Hazrat Umar Ibne Khattab RadiAllahu Anhu farmate hain: Maine Huzoor

Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko farmate hue suna:

Qayamat ke din Mere Hasab wa Nasab ke siwa har silsila-e-nasab munkata

hojaega. Har bete ki baap ki taraf nisbat hoti hai ma siwaye Fatima ke, ke

Unka Baap bhi Mai he hun aur Unka Nasab bhi Mai he hun."

18. "Hazrat Jabir Ibne Abdullah RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke Huzoor

Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Har maa ke

Beton ka aabaayi khandaan hota hai jiski taraf wo mansub hote hain siwaye

Fatima ke Beton ke, pas Mai he Unka Wali hun aur Mai he Unka Nasab hun."

19. "Sayyeda Fatima tuz-Zahra Salamullahi Alaiha se marvi hai ke Huzoor

Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Har aurat ke

Beton ka khandaan hota hai jiski taraf wo mansoob hote hain ma siawaye

Fatima ki aulad ke, pas Mai he Unka Wali hun aur Mai he Unka Nasab hun."

FASL: 6

HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM

LOGON ME SE SABSE BEHTAR NASAB WAALE

HAIN

20. "Hazrat Abdullah Ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke Huzoor

Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne irshad farmaya: Ay

logon! Kya Mai tumhe unke bare me khabar na dun jo (Apne) Nana Nani ke

aitbaar se sab logon se behtar hain? Kya Mai tumhe unke bare me na bataau

jo (apne) Chacha aur Phuphi ke lihaaz se sab logon se behtar hain? Kya Mai

tumhe unke bare me na bataau jo (apne) Maamu aur Khala ke aitbaar se sab

logon se behtar hain? Kya Mai tumhe unke bare me khabar na dun jo (apne)

Maa Baap ke lihaaz se sab logon se behtar hain? Wo Hasan aur Hussain hain,

Unke Nana Allah ke Rasool, Unki Nani Khadija binte Khuwailid, Unki Waalidah

Fatima binte RasoolAllah, Unke Waalid Ali Ibne Abi Talib, Unke Chacha Jafar

Ibne Abi Talib, Unki Phuphu Umme Haani binte Abi Talib, Unke Maamu Qasim

Ibne RasoolAllah, Unki Khala RasoolAllah ki Betiyan Zainab, Ruqaiyya aur

Umme Qulsoom hain. Unke Nana, Nani, Waalid, Waalidah, Chacha, Phuphi,

Maamu aur Khala (sab) Jannat me honge aur wo dono (Hasanain Kareemain)

bhi Jannat me honge."

FASL: 7

HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM

HE MERE GULSHAN-E-DUNIYA KE PHOOL

HAIN

21. "Ibne Abu Nuaim farmate hain ke kisine Hazrat Abdullah Ibne Umar

RadiAllahu Anhuma haalat-e-ehram ke mutalliq daryaft kiya. Shuaba farmate

hain ke mere khayal me (Muhram ke) makhi maarne ke baareme pucha tha.

Hazrat Abdullah Ibne Umar RadiAllahu Anhuma ne farmaya: ahle Iraq makhi

marne ka hukm puchte hain haalanke unhone Huzoor Nabi-e-Akram

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke Nawase (Hussain Alaihissalam) ko

Shaheed kardiya tha aur Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam

ne farmaya hai: Wo Dono (Hasan wa Hussain Alaihi-mussalam) he to Mere

Gulshan-e-Duniya ke 2 phool hain."

22. "Hazrat Abdur Rehman Ibne Abi Nuaim se riwayat hai ke ek iraqi ne Hazrat

Abdullah Ibne Umar RadiAllahu Anhuma se pucha ke kapde par machhar ka

khoon lage jaaye to kya hukm hai? Hazrat Abdullah Ibne Umar RadiAllahu

Anhuma ne farmaya: iski taraf dekho, machhar ke khoon ka masla puchta hai

haalanhe inhone Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke Bete

(Hussain Alaihissalam) ko Shaheed kiya hai aur Maine Huzoor Nabi-e-Akram

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko farmate hue suna: Hasan aur Hussain

he to Mere Gulshan-e-Duniya ke 2 Phool hain.

23. "Hazrat Abu Ayyub Ansari RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke mai

Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Bargah-e-Aqdas

me haazir hua to (dekha ke) Hasan wa Hussain Alaihi-mussalam Aap SallAllahu

Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke saamne ya godh me khel rahe they. Maine arz

kiya: Ya RasoolAllah SallAllahu Alaik wa Sallam! Kya Aap SallAllahu Alaihi wa

Aalihi wa Sallam inse muhabbat karte hain? Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa

Aalihi wa Sallam ne farmaya: Mai inse muhabbat kyu na karun haalanke Mere

Gulshan-e-Duniya ke yehi to 2 Phool hain jinki mehak ko sunghta rehta hun

(Inhi Phoolon ki khusbu se kaif wa suroor pata hun)”.

FASL: 8

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA

SALLAM KA HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-

MUSSALAM KE KAANO ME AZAAN KEHNA

24. "Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur

Hussain paida hue to Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam ne Khud Unke kaano me Azaan di."

25. "Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Maine Nabi-e-Akram

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko dekha ke Aap SallAllahu Alaihi wa

Aalihi wa Sallam ne Sayyeda Fatima ke haan Hasan Ibne Ali ki Wiladat hone

par Unke Kaano me Namaz waali Azaan di."

26. "Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Maine Nabi-e-Akram

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko dekha ke Aap SallAllahu Alaihi wa

Aalihi wa Sallam ne Sayyeda Fatima ke haan Hussain ki Wiladat par Unke

Kaano me Azaan di."

FASL: 9

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA

SALLAM KA HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-

MUSSALAM KI TARAF SE AQEEQA KARNA

27. "Hazrat Abdullah Ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se marvi hai ke Huzoor

Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hasanain Kareemain ki

taraf se Ek-Ek dumba zibah kiya."

28. "Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabi-

e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Hasanain Kareemain ki taraf se

2 dumbe Aqeeqa ke liye Zibah kiye."

29. "Hazrat Abdullah Ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se marvi hai ke Huzoor

Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hasanain Kareemain ki

taraf se Aqeeqe me 2-2 Dumbe Zibah kiye."

30. "Hazrat Umro Ibne Shuaib RadiAllahu Anhu apne waalid se, wo apne dada

se, riwayat karte hain ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam ne Hasan aur Hussain me se har Ek ki taraf se ek he jaise 2-2 dumbe

aqeeqe me zibah kiye."

31. "Ummul Momineen Hazrat Aaisha Siddiqa RadiAllahu Anha bayan kartin

hain ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hasan

aur Hussain ki paidaaish ke saatwe din unki taraf se do do bakriyan aqeeqe

me zibah ki."

FASL: 10

HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-

MUSSALAM.....SARAPA SHABEEH-E-

MUSTAFA SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI

WA SALLAM

33. "Hazrat Ali Alaihissalam riwayat karte hain ke Hasan Seene se Sar tak

RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki kaamil Shabeeh they aur

Hussain Seene se niche tak Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki

kaamil Shabeeh they."

34. "Hazrat Ali RadiAllahu Anhu riwayat karte hain: Jis shakhs ki ye khwahish

ho ke wo logon me aisi Hasti ko dekhe jo Gardan se Seene tak Huzoor Nabi-e-

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki sabse kaamil shabeeh ho to wo

Hasan Ibne Ali ko dekhle aur jis shakhs ki ye khwahish ho ke wo logon me aisi

Hasti ko dekhe jo Gardan se Takne tak Rangat aur Surat dono me Huzoor Nabi-

e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki sabse kaamil shabeeh ho to

wo Hussain Ibne Ali ko dekhle."

35. "Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Hasan wa

Hussain Alaihi-mussalam Dono Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa

Aalihi wa Sallam ke saath sabse zyada Mushabahat rakhte they."

36. "Muhammad bin Dahaak Hazaami riwayat karte hain ke Hasan Ibne Ali

Alaihi-mussalam ka Chehra Mubarak Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi

wa Aalihi wa Sallam ke Chehra-e-Aqdas ki Shabeeh they aur Hussain

Alaihissalam ka Jism-e-Mubarak Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa

Aalihi wa Sallam ke Jism-e-Aqdas ki Shabeeh tha."

FASL: 11

HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-

MUSSALAM.....WAARISAAN-E-AOUSAAF-E-

MUSTAFA SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI

WA SALLAM

37. "Sayyeda Fatima Salawatullahi Alaiha se riwayat hai ke wo Apne Baba

Huzoor Rasool-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke Marz-e-

Wisaal ke dauran Hasan aur Hussain ko Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam ke paas laayin aur arz kiya: Ya RasoolAllah! Inhe Apni wirasat me se

kuch ata farmaen. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne irshad

farmaya: Hasan Meri Haibat wa Sardari ka Waaris hai aur Hussain Meri Jurrat

wa Sakhawat ka.”

38. "Hazrat Umme Ayman RadiAllahu Anha farmati hain ke SayyedaFatima

Salamullahi Alaiha Hasanain Kareemain Alahimussalam ko Satth lekar Nabi-e-

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki khidmat me haazir Huin aur arz

kiya: Ya RasoolAllah SallAllahu Alaika wa Sallam! In Dono Beton Hasan wa

Hussain ko kuch ata farmayen. Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa

Aalihi wa Sallam ne farmaya: Maine is bade bete (Hasan) ko Haibat wa

Burdbaari ata ki aur chote bete (Hussain) ko Muhabbat aur Raza ata ki."

39. "Hazrat Zainab binte Abi Raafe se riwayat hai ke Sayyeda Fatima

Salamullahi Alaiha Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke Marz-e-

Wisaal ke dauran Apne dono Beton ko Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam ki Khidmat-e-Aqdas me Laayin aur arz kiya: Ye Aapke Bete hain, Inhe

Apni Wirasat me se kuch ata farmayen. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam ne farmaya: Hasan ke liye Meri Haibat wa Sardari ki Wirasat hai aur

Hussain ke liye Meri Jurra'at wa Sakhawat ki Wirasat."

40. "Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu bayan karte hain: Sayyeda Fatima

Salamullahi Alaiha Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam

ke Marz-e-Wisaal me Apne Dono Beton ko Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam ki Khidmat-e-Aqdas me Laayin aur Arz Pardaaz Huin: Ye Aapke Bete

hain Inhe kuch Wirasat me ata farmayen. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam ne farmaya: Hasan ke liye Meri Saabit Qadami aur Sardari ki Wirasat

hai aur Hussain ke liye Meri Taaqat wa Sakhawat ki Wirasat."

FASL: 12

HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM

TAMAM JANNATI JAWANON KE SARDAR

HAIN

41. "Hazrat Abu Saeed Khudri RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabi-

e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne irshad farmaya: Hasan aur

Hussain Jannati Jawanon ke Sardar hain."

42. "Hazrat Huzaifa RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Meri waalida ne

mujhse pucha ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam

ki Khidmat me meri haazri ka ma'amul kya hai. Maine kaha ke itne dino se mai

Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Khidmat me

Haazri nahi hosaka. Wo mujhse naraz hui. Maine kahake mujhe ijazat dijiye

ke mai abhi Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki

Khidmat me Haazir houn, Unke saath magrib ki Namaz padhunga aur Unse arz

karunga ke mere aur aapke liye magfirat ki dua farmayen. Pas mai Huzoor

Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Khidmat-e-Aqdas me

haazir hua aur Unke saath Magrib ki Namaz padhi. Fir Huzoor Nabi-e-Akram

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Nawafil ada farmate rahe yahan tak ke

Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Isha ki Namaz ada farmayi fir

Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Ghar ki taraf

rawana hue to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke piche chalne laga.

Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne meri aawaz suni to farmaya ye

kaun hai? Huzaifa! Maine arz kiya: Ji haan. Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu

Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne pucha tumhari kya haajat hai? Allah Ta'ala

tumhe aur tumhari waalida ko baksh de fir farmaya: Ye ek farishta hai jo isse

pehle duniya me kabhi nahi utra. Isne Apne Rab se ijazat chaahi ke Mujhpar

Salaam arz kare aur Mujhe Basharat dey ke Fatima Jannati Auraton ki Sardar

Hai aur Hasan aur Hussain Jannat ke Jawanon ke Sardar hain."

43. "Hazrat Ali Alaihissalam bayan karte hain ke Huzoor Nabi-e-Akram

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Hasan aur Hussain tamam

Jawanaan-e-Jannat ke Sardar hain."

44. "Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Maine Huzoor

Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko farmate hue suna ke

Hum Abdul Muttalib ki Aoulad Ahle Jannat ke Sardar hain jinme Mai, Hamza,

Ali, Jafar, Hasan, Hussain aur Mahdi Shaamil hain."

45. "Hazrat Umar Ibne Khattab RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor

Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Hasan aur

Hussain tamam Jawanan-e-Jannat ke Sardar hain."

46. "Hazrat Abdullah Ibne Umar RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke Huzoor

Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Hasan aur

Hussain tamam Jannati Jawanon ke Sardar hain."

47. "Hazrat Hussain Ibne Ali Alaihim-ussalam se riwayat hai ke Maine Apne

Nana Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko farmate

hue suna: Hasan aur Hussain ko gaali mat dena kyunke Wo pehli aur pichli

tamam ummaton ke Jannati Jawanon ke Sardar hain."

48. "Hazrat Abdullah Ibne Mas'ud RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke

Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Hasan

aur Hussain tamam Jawanan-e-Jannat ke Sardar hain."

49. "Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabi-e-

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Aasmaan ke ek

farishte ne (isse pehle) Meri Ziyarat kabhi nahi ki thi, usne Meri Ziyarat ke liye

Allah Ta'ala se ijazat talab ki aur Mujhe ye Khushkhabari sunayi ke Hasan aur

Hussain tamam Jannati Jawanon ke Sardar Hain."

50. "Hazrat Abdullah Ibne Mas'ud RadiAllahu Anhuma se marvi hai ke Huzoor

Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne irshad farmaya:

Tumhare jawanon me se sabse behtar (Jawaan) Hasan aur Hussain hain."

FASL :13

ALLAH TA'ALA NE HASANAIN KAREEMAIN

ALAIHMIUSSALAM KO KAMAAL-E-TATHEER

KI SHAAN-E-AZEEM SE NAWAAZ DIYA

51. "Hazrat Safiya binte Shaiba se riwayat hai ke Ummul Momineen Hazrat

Aaisha Siddiqa RadiAllahu Anha bayan farmati hain ke Huzoor Nabi-e-Akram

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam subah ke waqt bahar tashreef laaye

darhalaanke Aap SallAlahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne ek chadar oodhi hui

thi jispar siyah oon ke kajawon ke naksh bane hue the. Hasan Ibne Ali Alaihi-

mussalam aaye to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Unhe us chadar

me daakhil karliya fir Hussain Alaihissalam aaye Aapke humraah chadar me

daakhil hogaye, fir Fatima Salamullahi Alaiha aayin, Aap SallAllahu Alaihi wa

Aalihi wa Sallam ne Unhe us chadar me daakhil karliya, fir Ali Alaihissalam

aayen to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Unhe bhi chadar me le

liya. Fir Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne ye Aayat-e-Mubaraka

padhi “Ay Ahle Bayt! Allah to yehi chahta hai ke Tumse (Har tarah ki) aaludgi

door karde aur Tumko kamaal darja Taharat se nawaz de.”

52. "Hazrat Umme Salma RadiAllahu Anha se riwayat hai ke Huzoor Nabi-e-

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Khabardar! Ye Masjid

kisi janabi aur haiza (aurat) keliye halal nahi, siwaye RasoolAllah, Ali, Fatima,

Hasan aur Hussain Alaihimus-Swalatu was-Salaam ke. In Barguzidah Hastiyon

ke alawa kisike liye Masjid-e-Nabawi me aana jaayez nahi, aagah hojao!

Maine tumhe Naam bata diye hain taake tum gumrah na hojao."

53. "Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke parwardah

Umar Ibne Abi Salma farmate hain ke jab Umme Salma ke Ghar Huzoor Nabi-

e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam par ye Aayat:

"Ay Ahle Bayt! Allah to yahi Chahta hai ke Tumse (har tarah) ki aaludgi dur

karde aur Tumko Khoob Pak wa Saaf karde." (Surah Ahzaab Aayat: 33)

Naazil hui to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Sayyeda Fatima aur

Hasanain Kareemain Salamullahi Alaihim ko bulaya aur Unhe ek kamli me

dhaanp liya. Ali RadiAllahu Anhu Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke

piche they, Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Unhe bhi kamli me

dhaanp liya, fir farmaya: Ay Allah! Ye Mere Ahle Bayt hain, pas Unse har qism

ki aaludgi dur farma aur Unhe Khoob Pak wa Saaf karde."

54. "Hazrat Umme Salma RadiAllahu Anha farmati hain Huzoor Nabi-e-Akram

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hasan, Hussain, Ali aur Fatima

Salamullah Alaihim par chadar failayi aur farmaya: Ay Allah! Ye Mere Ahle

Bayt aur Muqarrab hain, Inse har qism ki aaludgi dur farmade aur Inhe Achi

tarah Pakizgi aur Taharat se Nawaz de."

FASL: 14

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA

SALLAM NE FARMAYA: JO MUJHSE

MUHABBAT KARTA HAI US PAR IN DONO SE

MUHABBAT KARNA WAAJIB HAI

55. "Hazrat Abdullah Ibne Mas'ud RadiAllahu Anhuma riwayat karte hain ke

Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Jisne

Mujhse muhabbat ki, us par laazim hai ke wo In Dono se bhi Muhabbat kare."

56. "Hazrat Abdullah Ibne Abbas RadiAllahu Anhuma farmate hain ke jab

Aayat-e-Mubaraka:

“Farma den Mai tumse is (Tableegh-e-Haq aur Khair khwaahi) ka kuch sila nahi

chahta bajuz Ahle Qarabat se Muhabbat ke.” (Surah Ash-Shoorah Aayat: 23)

Naazil hui to Sahaba Ikram RadiAllahu Anhum ne arz kiya: Ya RasoolAllah

SallAllahu Alaika wa Sallam! Aapke wo kaunse Qarabatdar hain jinki

Muhabbat humpar Waajib hai? Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne

farmaya: Ali, Fatima aur Unke dono Bete (Hasan wa Hussain).”

57. "Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke maine Huzoor

Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko Hasan wa Hussain

Alaihi-mussalam ke mutalliq farmate hue suna: Jo Mujhse Muhabbat karta hai

us par In Dono se Muhabbat karna Waajib hai."

58. "Hazrat Zir Ibne Jaish RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabi-e-

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Jo Mujhse Muhabbat

rakhta hai us par In Dono se Muhabbat rakhna Waajib hai."

FASL: 15

JISNE HASANAIN ALAIHI-MUSSALAM SE

MUHABBAT KI USNE MUJHSE MUHABBAT KI

59. "Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu se marvi hai ke Huzoor Nabi-e-

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Jisne Hasan aur

Hussain Alaihi-mussalam se Muhabbat ki, usne darhaqeeqat Mujh he se

Muhabbat ki.”

60. "Hazrat Abdullah Ibne Mas'ud RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke

Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hasan wa

Hussain Alaihi-mussalam ke liye farmaya: Jisne Inse Muhabbat ki usne Mujh

he se Muhabbat ki."

61. "Abu Haazim bayan karte hain: Mai Hasan Alaihissalam ki Shahadat ke

waqt Hussain Alaihissalam ke paas haazir tha wo Saeed bin al-Aas RadiAllahu

Anhu ko Gardan se pakadkar aage karte hue keh rahe they: (Namaz-e-Janaza

padhaane ke liye) aage badho, Agar Sunnat-e-Mustafa SallAllahu Alaihi wa

Aalihi wa Sallam na hoti to Mai Aapko aage na karta, aur Saeed un dino

Madine ke Ameer they. Jab sabne Namaz-e-Janaza ada karli to Hazrat Abu

Hurairah RadiAllahu Anhu khade hue, unhone farmaya: Tum kis dilse Apne

Nabi ke Sahibzaade ko zameen me Dafnakar Unpar Mitti daaloge aur saath

Unhone (gum me doobkar) ye bhi kaha ke Maine Huzoor Nabi-e-Akram

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko farmate hue hai: Jisne Inse Muhabbat

ki usne darhaqeeqat Mujh he se Muhabbat ki."

FASL: 16

JISNE HASANAIN ALAIHI-MUSSALAM SE

MUHABBAT KI US SE ALLAH NE MUHABBAT KI

62. "Hazrat Salman Farsi RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Maine Huzoor

Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko farmate hue suna: Jisne

Hasan aur Hussain Alaihi-mussalam se Muhabbat ki, usne Mujhse Muhabbat

ki, aur jisne Mujhse Muhabbat ki us se Allah ne Muhabbat ki, aur jis se Allah

ne Muhabbat ki Usne usey Jannat me daakhil kardiya."

63. "Hazrat Salman Farsi RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Huzoor Nabi-e-

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hasan wa Hussain Alaihi-

mussalam ke liye farmaya: Jisne Inse Muhabbat ki usse Maine Muhabbat ki,

aur jisse Mai Muhabbat karun usse Allah Muhabbat karta hai, aur jisko Allah

mehboob rakhta hai usey Neymaton waali Jannat me daakhil karta hai.”

FASL: 17

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA

SALLAM NE FARMAYA: JISNE IN DONO SE

MUHABBAT KI WO QAYAMAT KE DIN MERE

SAATH HOGA

64. "Hazrat Ali Ibne Abi Talib RadiAllahu Anhuma bayan karte hain ke Huzoor

Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hasan aur Hussain

Alaihi-mussalam ka Haath pakda aur farmaya: Jisne Mujhse aur In Dono se

Muhabbat ki aur Inke Waalid aur Inki Waalida se Muhabbat ki wo qayamat ki

din Mere saath Mere he Thikaane par hoga."

65. "Hazrat Ali Alaihissalam se marvi hai ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu

Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Mai, Fatima, Hasan, Hussain aur jo

Humse Muhabbat karte hain, Qayamat ke din ek he Maqaam par jama honge,

Hamara khana peena bhi ikattha hoga, taa-aanke log (hisab wa kitab ke baad)

juda juda kardiye jaenge.”

66. "Hazrat Abdullah Ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se marfuan Hadees

marvi hai ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne

farmaya: Mai darakht hun, Fatima Uski Tehni hai, Ali Uska Shagofa aur Hasan

wa Hussain Uska Phal hain aur Ahle Bayt se Muhabbat karne waale Uske Patte

hain, Ye Sab Jannat me honge, Ye Haq hai, Haq hai."

FASL: 18

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA

SALLAM NE FARMAYA: AY ALLAH MAI IN

DONO SE MUHABBAT KARTA HUN TU BHI

INSE MUHABBAT KAR

67. "Hazrat Bara bin Aazib RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabi-e-

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hasanain Kareemain Alaihi-

mussalam ki Taraf Dekhkar farmaya: Ay Allah! Mai Inse Muhabbat karta hun

Tu bhi Inse Muhabbat Kar."

68. "Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabi-e-

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ay Allah! Mai Inse

Muhabbat karta hun Tu bhi Inse Muhabbat kar."

69. "Hazrat Abdullab Ibne Mas'ud RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke

Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hasanain

Kareemain Alaihi-mussalam ke baareme farmaya: Ay Allah! Mai In Dono se

Muhabbat karta hun Tu bhi Inse Muhabbat kar."

70. "Hazrat Usama bin Zaid RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke Huzoor Nabi-

e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne dua farmayi: Ay Allah! Mai

Inse Muhabbat karta hun, Tu bhi Inse Muhabbat kar aur Inse Muhabbat karne

waale se bhi Muhabbat kar.”

71. "Abdullah Ibne Usman Ibne Khaseem Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu

Alaihi wa Aalihi wa Sallam se riwayat karte hain ke Aap SallAllahu Alaihi wa

Aalihi wa Sallam ne ek din Hasanain Kareemain Alaihi-mussalam ko pakadkar

Apne Raano par bithaya fir Hasan Alaihissalam ki taraf mutawwajah hue aur

Unhe Bosa diya fir Hussain Alaihissalam ki taraf mutawwajah hue aur Unhe

Bosa diya, fir farmaya: Ay Allah! Mai Inse Muhabbat karta hun Tu bhi Inse

Muhabbat kar."

72. "Ya'ala Ibne Marrah RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Hasanain

Kareemain Alaihi-mussalam Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi

wa Sallam ki taraf chalkar Aaye, Pas jab Unme se Ek Pahuncha to Aap

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Apna Baazu Uske Galey me daala, fir

Dusra Pahuncha to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Apna Dusra

Baazu Uske Galey me daala, baadazaa Ek ko Chuma aur fir Dusre ko Chuma

aur farmaya: Ay Allah! Mai Inse Muhabbat karta hun Tu bhi Inse Muhabbat

kar."

73. "Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu farmate hain ke Huzoor Nabi-e-

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam se arz kiya: Aapko Ahle Bayt me

se sabse zyada Kaun Mehboob hai? Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam

ne farmaya: Hasan aur Hussain."

FASL: 19

JISNE HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-

MUSSALAM SE BUGZ RAKHA USNE MUJHSE

BUGZ RAKHA

74. "Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu se marvi hai ke Huzoor Nabi-e-

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: jisne Hasan aur

Hussain se bugz rakha usne Mujh he se bugz rakha."

75. "Hazrat Abdullah Ibne Mas'ud RadiAllahu Anhuma se marvi hai ke Huzoor

Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: jisne Hasan

aur Hussain se bugz rakha usne Mujh he se bugz rakha."

76. "Hazrat Abdullah Ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke Huzoor

Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne irshad farmaya: jisne

Hasan wa Hussain se bugz rakha usne Mujh he se bugz rakha."

FASL: 20

JISNE HASANAIN ALAIHI-MUSSALAM SE

BUGZ RAKHA WO ALLAH KE HAAN

MABGOOZ HOGAYA

77. "Salman Farsi RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Maine Huzoor Nabi-e-

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko farmate hue suna: jisne Hasan

wa Hussain Alaihi-musslam se bugz rakha usne Mujhse bugz rakha, aur jisne

Mujhse bugz rakha wo Allah ke haan mabgooz hogaya aur jo Allah ke Haan

mabgooz hua, usey Allah ne aag me daakhil kardiya."

78. "Hazrat Salman Farsi RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Huzoor-e-Nabi-

e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hasan wa Hussain Alaihi-

mussalam ke bareme farmaya: Jisne Inse bugz rakha ya Inse bagawat ki wo

Mere yahan mabgooz hogaya aur jo Mere yaha mabgooz hogaya wo Allah ke

gazab ka shikaar hogaya aur jo Allah ke yahan gazab yafta hogaya to Allah

Ta’aala usey Jahannam ke azaab me daakhil karega (jahan) uske liye hamesha

ka thikana hoga."

FASL: 21

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA

SALLAM NE FARMAYA: AY ALLAH! JO INSE

ADAWAT RAKHE TU US SE ADAWAT RAKH

AUR JO INKO DOST RAKHE TU USEY DOST

RAKH

79. "Ummul Momineen Hazrat Umme Salma RadiAllahu Anha bayan karti hain

ke Sayyeda Fatima Salamullahi Alaiha Binte RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa

Aalihi wa Sallam Hasanain Kareemain Alaihi-mussalam ko Pehlu me uthaye

hue Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke paas Aayin

aur Aapke Haath me pathar ki haandi thi jisme Hasan ke liye garam saalan tha.

Sayyeda Fatima Salamullahi Alaiha ne jab Usey Huzoor SallAllahu Alaihi wa

Aalihi wa Sallam ke saamne laakar rakha to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam ne pucha: Abul Hasan (Ali) kahan hai, to Sayyeda Fatima Salamullahi

Alaiha ne jawab diya: Gharme hain. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam

ne Unhe bulaya. Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam, Hazrat

Ali, Hazrat Fatima aur Hasanain Kareemain Salamullah Alaihim baithkar khana

tanawul farmane lage. Umme Salma RadiAllahu Anha Kehtin Hain: Nabi-e-

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Mujhe na bulaya. Isse pehle

kabhi aisa na hua tha ke Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Meri

Mujudgi me khana khaya ho aur Mujhe na bulaya ho. Fir jab Aap SallAllahu

Alaihi wa Aalihi wa Sallam khaane se faarig hue to Un Sabko Apne Kapde me

leliya aur farmaya: Ay Allah! Jo Inse adawat rakhe Tu us se adawat rakh aur jo

Inko Dost rakhe Tu usey Dost rakh."

FASL: 22

JISNE HASAN WA HUSSAIN ALAIHI-

MUSSALAM SE JANG KI US SE HUZOOR

SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM

NE AYLAN-E-JANG FARMA DIYA

80. "Hazrat Zaid bin Arkam RadiAllahu Anhu se marvi hai ke Huzoor Nabi-e-

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Ali, Sayyeda Fatima,

Hazrat Hasan aur Hazrat Hussain Salamullah Alaihim se farmaya: Jis se Tum

ladoge Meri bhi us se ladayi hogi, aur jis se Tum Sulah karoge Meri bhi us se

Sulah hogi."

81. "Hazrat Zaid bin Arkam RadiAllahu Anhu se ye bhi riwayat hai ke Huzoor

Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Sayyeda Fatima, Hazrat

Hasan aur Hazrat Hussain Salamullah Alaihim (Teeno) se farmaya: jo Tumse

ladega Mai us se ladunga aur jo Tum se Sulah karega Mai us se Sulah karunga."

82. "Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu se marvi hai ke Huzoor Nabi-e-

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Ali, Sayyeda Fatima,

Hazrat Hasan aur Hazrat Hussain Salamullah Alaihim ki taraf dekha aur irshad

farmaya: jo Tumse ladega Mai us se ladunga, jo Tum se Sulah karega Mai us

se Sulah karunga (yaani jo Tumhara dushman hai wo Mera dushman hai aur

jo Tumhara Dost hai wo Mera bhi Dost hai."

83. "Hazrat Abu Bakr Siddiq RadiAllahu Anhu farmate hain ke maine dekha ke

Rasool-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne ek Khaima me qayam

farmaya aur Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ek Arabi kamaan par

tek lagaye hue they aur khaima me Ali, Fatima, Hasan aur Hussain Salamullah

Alaihim bhi maujood they. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne

farmaya: ‘Ay Musalmano ki Jama'at! Jo Ahle Khaima (Ahle Bait) se Sulah

karega Meri bhi us se Sulah hogayi, jo Inse ladega Meri bhi us se ladayi hogi.

Jo Inko dost rakhega Meri bhi us se dosti hogi. Inse sirf khushnasseb aur barkat

waala he dosti rakhta hai aur Inse sirf badnaseeb aur badbakht he bugz rakhta

hai."

FASL: 23

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA

SALLAM NE FARMAYA: MERE MAA BAAP

AAP PAR QURBAN

84. "Hazrat Salman Farsi (RadiAllahu Anhu) farmate hain: Hum Huzoor Nabi-

e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke paas they. Umme Ayman Aap

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke paas aayin aur arz kiya: Hasan wa

Hussain Alaihi-mussalam goom hogaye hain. Raawi kehte hain din khoob nikla

hua tha. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Chalo Mere

Beton ko talash karo, raawi kehta hai har ek ne apna apna rasta liya aur mai

Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke sath chal pada, Aap SallAllahu

Alaihi wa Aalihi wa Sallam musalsal chalte rahe hatta ke pahaad ke daman tak

pahunch gaye (dekha ke) Hasan wa Hussain Alaihi-mussalam ek dusre ke sath

chimte hue hain aur ek azdaha apni dum par khada hai aur uske muh se aag

ke shole nikal rahe hain. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam uski taraf

tezi se badhe to wo azdaha Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi

wa Sallam ki taraf mutawwajah hokar sikud gaya phir khisakkar pathar me

chup gaya phir Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Hasanain Kareemain

Alaihi-mussalam ke paas tashrif laaye aur Dono ko alag alag kiya aur Unke

Chehron ko pochha aur farmaya: Mere Maa Baap Tumpar Qurban ho, Tum

Allah ke haan kitni Izzat waale ho."

85. "Hazart Abdullah Ibne Mas'ud RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke

Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Namaz ada kar

rahe they to Hasan wa Hussain Alaihi-mussalam Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi

wa Sallam ki Pusht-e-Mubarak par sawaar hogaye. Logon ne Unko mana kiya

to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Inko chod do, Inpar

Mere Maa Baap Qurban Hon."

FASL: 24

HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM

KE RONE SE HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI

WA AALIHI WA SALLAM PARESHAN HOGAYE

85. "Yahya bin Abi Kaseer riwayat karte hain ke Huzoor Nabi-e-Akram

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Hasan wa Hussain Alaihi-

mussalam ke rone ki aawaz suni to pareshan hokar khade hogaye aur

farmaya: Beshaq Aulad aazmaaish hai, Mai Inke liye bagair gaur kiye Khada

hogaya hun."

86. "Yazid bin Abi Ziyad se riwayat hai ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu

Alaihi wa Aalihi wa Sallam Hazrat Aaisha RadiAllahu Anha ke Gharse baahar

tashreef laaye aur Sayyeda Fatima Salamullahi Alaiha ke Gharke Paas se Guzre

to Hussain Alaihissalam ko Rote hue suna, Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam ne farmaya: Kya Tujhe Maalum nahi ke Iska Rona Mujhe takleef deta

hai."

FASL: 25

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA

SALLAM HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-

MUSSALAM KI KHATIR APNE MIMBAR

SHAREEF SE NICHE UTAR AAYE

88. "Hazrat Abu Buraida RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabi-e-

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam hame khutba irshad farma rahe

they, itne me Hasanain Kareemain Alaihi-mussalam Tashreef laaye, Unhone

surkh rang ki Qamees pehni hui thi aur Woh (Sagarsani ki wajah se)

Ladkhadakar chal rahe they. Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi

wa Sallam (Unhe dekhkar) Mimbar se niche Tashreef le aaye, Dono

(Shehzadon) ko Uthaya aur Apne Saamne Bitha liya, fir farmaya: Allah Ta'ala

ka Irshad Sach hai:

"Beshaq tumhare amwal aur tumhari aoulad aazmaaish he hain."

Maine In Bachhon ko ladkhadakar chalte dekha to Mujhse raha na gaya hatta

ke Maine Apni Baat kaat kar Inhe Utha liya."

FASL: 26

HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM

HUZOOR-E-AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA

AALIHI WA SALLAM KI ZUBAAN MUBARAK

CHOOSTE THEY

89. "Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu farmate hain ke mai Gawaahi deta

hun ke hum Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke

sath (safar me) nikle, abhi hum raaste me he they ke Aap SallAllahu Alaihi wa

Aalihi wa Sallam ne Hasan wa Hussain Alaihi-mussalam ki aawaz suni Dono ro

rahe they aur Dono Apni Walida Majida (Sayyeda Fatima Salamullahi Alaiha)

ke paas he they. Pas Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Unke paas teezi

se pahunche. (Abu Hurairah RadiAllahu Anhu kehte hain ke) maine Aap

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko Sayyeda Fatima Salamullahi Alaiha se

ye farmate hue suna: Mere Beton ko kya hua? Sayyeda Fatima Salamullahi

Alaiha ne bataya: Inhe sakht pyaas lagi hai. Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu

Alaihi wa Aalihi wa Sallam paani lene ke liye mashkize ki taraf badhe. Un dino

paani ki sakht qillat thi aur logon ko paani ki shadeed zarurat thi. Aap

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne logon ko aawaz di: Kya kisike paas

paani hai? Har ek ne kajawon se latke mashkizon me paani dekha magar unko

qatra tak na mila. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Sayyeda Fatima

Salamullahi Alaiha se farmaya: Ek Bachha Mujhe den. Unhone Ek ko parde ke

niche se dediya. Pas Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Usko

pakadkar Apne Seene se laga liya magar wo sakht pyaas ki wajah se musalsal

ro raha tha aur khamosh nahi horaha tha. Pas Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi

wa Sallam ne Uske Muh me Apni Zubaan Mubarak daaldi Wo Usey Chusne

laga hatta ke sairabi ki wajah se sukoon me aagaya maine dobara Uske rone

ki aawaz na suni, jabke Dusra bhi usi tarah (musalsal roraha tha) pas Huzoor

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Dusra bhi Mujhe Deden, to

Sayyeda Fatima Salamullahi Alaiha ne dusre ko bhi Huzoor SallAllahu Alaihi

wa Aalihi wa Sallam ke hawale kardiya, Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam ne Us se bhi wahi muamla kiya (yaani Zubaan Mubarak Uske Muh me

daaldi). So wo Dono aise khamosh hogaye ke maine dobara Unke rone ki

aawaz na suni.”

FASL: 27

HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA

SALLAM KE SHIKAM-E-MUBARAK PAR

KHELTE THEY

90. "Hazrat Saad bin Abi Waqqas RadiAllahu Anhu farmate they ke Mai

Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Bargah me

haazir hua to (dekha ke) Hasan aur Hussain Alaihi-mussalam Aap SallAllahu

Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke Shikam-e-Mubarak par Khel rahe they, to

Maine arz kiya: Ya RasoolAllah! Kya Aap Inse Muhabbat karte hain? To Nabi-

e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Mai Inse

Muhabbat kyu na karun haalanke wo Dono Mere Phool Hain."

91. "Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu farmate hain ke mai Huzoor

Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Bargah-e-Aqdas me

haazir hota ya (farmaya) aksar aukaat haazir hota (aur dekhta ke) Hasan wa

Hussain Alaihi-mussalam Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke Shikam-

e-Mubarak par lot pot horahe hote aur Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi

wa Aalihi wa Sallam farma rahe hote: Ye Dono he to Meri Ummat ke Phool

hain."

FASL: 28

HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM

DAURAN-E-NAMAZ HUZOOR SALLALLAHU

ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM KI PUSHT

MUBARAK PAR SAWAAR HOGAYE

92. "Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke hum Huzoor

Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke hamrah Namaz-e-Isha

ada karrahe they, jab Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Sajde me gaye

to Hasan aur Hussain Alaihi-mussalam Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam ki Pusht Mubarak par sawaar hogaye, jab Aap SallAllahu Alaihi wa

Aalihi wa Sallam ne Sajde se Sar uthaya to un dono ko apne piche se narmi ke

saath pakadkar zameen par bithadiya. Jab Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam dobara Sajde me gaye to Shehzaadgaan ne dobara aisa he kiya (ye

silsila chalta raha) yahan tak ke Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne

Namaz Mukammal karli uske baad Dono ko Apni Mubarak Raano par bithaya."

93. "Zir Ibne Jaish RadiAllahu Anhu farmate hain ek din Huzoor Nabi-e-Akram

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam logon ko Namaz padha rahe they ke

Hasanain Kareemain Alaihi-mussalam jo us waqt bachhe they aaye. Jab Aap

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Sajde me gaye to wo Aap SallAllahu Alaihi

wa Aalihi wa Sallam ki pusht Mubarak par sawaar hone lage, log unhe rokne

ke liye aage badhe to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:

Mere Maa Baap inpar Qurbaan ho! Inhe chod do…..yaani Sawaar hone do."

94. "Hazrat Abdullah Ibne Mas'ud RadiAllahu Anhuma bayan karte hain ke

Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Namaz ada farma

rahe they, jab Sajde me gaye to Hasanain Kareemain Alaihi-mussalam Aapki

Pusht Mubarak par Sawaar hogaye, jab logon ne Unhe rokna chaha to Aap

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne logon ko ishara farmaya ke Inhe chod

do. Yaani sawaar hone do, fir jab Namaz ada farma chuke to Aap SallAllahu

Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Dono ko Apni Godh me leliya."

95. "Hazrat Bara bin Aazib RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabi-e-

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Namaz padhate to Hasan wa

Hussain Alaihi-mussalam Dono me koi Ek aakar Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi

wa Sallam ki Pusht Mubarak par Sawaar hojata jab Aap SallAllahu Alaihi wa

Aalihi wa Sallam Sajde me hote, Sajde se Sar Uthate hue agar Ek hota to Usko

agar Dono hote to bhi Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Unko Thaam

lete, fir Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam farmate: Tum Do Sawaaron

ke liye kitni achi Sawari hai."

96. "Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu riwayat karte hai ke Huzoor

Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne kisi shakhs ko ahad

nama likhkar diya to us shakhs ne haazir hokar Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi

wa Sallam ko Haalat-e-Namaz me Salaam arz kiya, fir usne dekha ke Hasan wa

Hussain Alaihi-mussalam kabhi Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki

Gardan Mubarak aur kabhi Pusht Mubarak par sawaar hote hain aur Haalat-

e-Namaz me Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke aage piche se guzar

rahe hain. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Namaz se faarig hone

ke baad us shakhs ne kaha: Kya Wo Dono Aapki Namaz nahi todte? Huzoor

Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Jalaal me aakar

farmaya: Mujhe apna ahad nama do. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam

ne usey lekar phaad diya aur farmaya: Jo Hamare Choton par reham aur

Badon ka adab nahi karta wo Ham me se nahi aur na he Mai us se hun."

97. "Hazrat Abdullah Ibne Abbas RadiAllahu Anhuma farmate hain ke Huzoor

Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Namaz-e-Asar ada ki

jab Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam chawthi (4) rakat me they to

Hasan wa Hussain Alaihi-mussalam Aapki Pusht Mubarak par Sawaar hogaye.

Jab Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Salaam phera to Un Dono ko

Apne Saamne bitha liya, Hasan Alaihissalam ke aage aane par Aap SallAllahu

Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Usey Apne Daayen Kandhe par aur Hussain

Alaihissalam ko Baayen Kandhe par utha liya."

FASL: 29

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA

SALLAM KA HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-

MUSSALAM SE FARMANA: YE DONO KAISE

ACHE SAWAAR HAIN

98. "Hazart Abu Hurairah RadiAllahu Anhu bayan karte hain: Huzoor Nabi-e-

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam hamare paas tashreef laaye to

Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke ek Kandhe par Hasan Alaihissalam

aur dusre Kandhe par Hussain Alaihissalam sawaar they."

99. "Hazrat Umar Ibne Khattab RadiAllahu Anhu farmate hain ke Maine Hasan

wa Hussain Alaihi-mussalam ko Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa

Aalihi wa Sallam ke Kandhon par (Sawaar) dekha to hasrat bharey lehje me

kaha ke Aapke Niche kitni achi Sawari hai! Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam ne jawaban irshad farmaya: Zara ye bhi to dekho ke Sawaar kitne ache

hain."

100. " Hazrat Salman Farsi (RadiAllahu Anhu) farmate hain: Hum Huzoor-e-

Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke paas they. Umme

Ayman Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke paas aayin aur arz kiya:

Hasan wa Hussain Alaihi-mussalam goom hogaye hain. Raawi kehte hain din

khoob nikla hua tha. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:

Chalo Mere Beton ko talash karo, raawi kehta hai har ek ne apna apna rasta

liya aur mai Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke sath chal pada,

Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam musalsal chalte rahe hatta ke pahaad

ke daman tak pahunch gaye (dekha ke) Hasan wa Hussain Alaihi-mussalam ek

dusre ke sath chimte hue hain aur ek azdaha apni dum par khada hai aur uske

muh se aag ke shole nikal rahe hain. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam

uski taraf tezi se badhe to wo azdaha Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi

wa Aalihi wa Sallam ki taraf mutawwajah hokar sikud gaya phir khisakkar

pathar me chup gaya phir Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Hasanain

Kareemain Alaihi-mussalam ke paas tashrif laaye aur Dono ko alag alag kiya

aur Unke Chehron ko pocha aur farmaya: Mere Maa Baap Tumpar Qurban ho,

Tum Allah ke haan kitni Izzat waale ho. Fir Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam ne Unme se ek ko Apne daayen Kandhe par aur dusre ko baaye Kandhe

par utha liya. Maine arz kiya: Tumhari Sawari kitni khoob hai? Huzoor Nabi-e-

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ye bhi dekho ke Dono

Sawaar kitne Khoob hain.”

101. "Hazrat Abu Jafar RadiAllahu Anhu riwayat karte hain ke ek martaba

Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Hasanain

Kareemain ko uthaye hue Ansar ki ek majlis se guzre to unhone kaha: Ya

RasooAllah SallAllahu Alaika wa Sallam! Kya Khoob Sawari hai! Aap SallAllahu

Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Sawaar bhi kya khoob hain."

102. "Hazrat Jabir Ibne Abdullah RadiAllahu Anhuma bayan karte hain ke Mai

Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke paas haazir hua

to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Chaar (2 Taangon aur dono

Haathon ke bal) par Chal rahe they aur Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam ki Pusht Mubarak par Hasanain Kareemain Alaihi-mussalam Sawaar

they aur Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam farma rahe they: Tumhara

Unt kya Khoob hai aur Tum Dono kya Khoob Sawaar ho."

103. " Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Wo farmate

hain Ek dafa Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam

Sayyeda Fatima Salamullahi Alaiha ke Ghar ke saamne ruke to Aap SallAllahu

Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Sayyeda Fatima tuz-Zahra Salamullahi Alaiha ko

Salam kiya. Itne me Hasanain Kareemain Alaihi-mussalam me se Ek Shahzada

Gharse Baahar Aagaya Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam ne Unse farmaya: Apne Baap ke Kandhe pe Sawaar hoja, Tu (Meri)

Aankhon ka Taara hai, Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam ne Unhe Haathse pakda pas wo Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam ke Dosh Mubarak par Sawaar hogaye. Fir Dusra Shahzada Huzoor

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki taraf takta hua baahar Aagaya to Usey

farmaya: Khush Aamdeed, Apne Baap ke Kandhon par Sawaar hoja Tu (Meri)

Aankhon ka Taara hai aur Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Usey

Apni Ungliyon ke saath pakda pas Wo Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam ke dusre Dosh Mubarak par Sawaar hogaye."

FASL: 30

HUZOOR-E-AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA

AALIHI WA SALLAM HASANAIN KAREEMAIN

ALAIHI-MUSSALAM KI KHAATIR SAJDON KO

LAMBA KARLETE

104."Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabi-

e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Sajde me hote to Hasan ya

Hussain Alaihi-mussalam Alaihi-mussalam aate aur Aap SallAllahu Alaihi wa

Aalihi wa Sallam ki Kamar Mubarak par sawaar hojate jiske baais Aap

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Sajde ko lamba kar lete. Ek mauqe par

Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam se arz kiya gaya: Ay Allah ke Nabi

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam! Kya Aapne Sajdon ko lamba kardiya hai

to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Mujhpar Mera Beta

Sawaar tha isliye (Sajde se uthne me) Jaldi karna acha na laga."

105. "Abdullah Ibne Shaddaad apne waalid Hazrat Shaddaad bin Haad

RadiAllahu Anhu se riwayat karte hain ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu

Alaihi wa Aalihi wa Sallam Isha ki Namaz ada karneke liye hamare paas

tashreef laaye aur Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Hasan ya Hussain

Alaihi-mussalam (me se kisi ek Shehzaade) ko uthaaye hue they. Huzoor

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne tashreef laakar Unhe zameen par

bitha diya fir Namaz ke liye takbeer farmaya aur Namaz padhna shuru kardi,

Namaz ke doran Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam

ne taweel Sajda kiya. Hazrat Shaddaad RadiAllahu Anhu ne kaha: Maine sar

uthakar dekha ke Shehzaade Sajde ki haalat me Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi

wa Sallam ki Pusht Mubarak par sawaar hai. Mai fir sajde me chala gaya. Jab

Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Namaz ada farma chuke to logon

ne arz kiya ke: Ya RasoolAllah SallAllahu Alaik wa Sallam! Aapne Namaz me

itna sajda taweel karliya, yahan tak ke humne gumaan karliya ke koi Amr-e-

Ilahi waake hogaya ya Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam par Wahi

naazil hone lagi hai. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne irshad

farmaya: Aisi koi baat na thi magar ye ke Mujhpar Mera Beta Sawaar tha isliye

(Sajde se uthne me) jaldi karna acha na laga jabtak ke Uski Khwahish puri na

ho.”

FASL: 31

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA

SALLAM DONO SHAHZADON KO CHAADAR

KE ANDAR APNE JISME AT-HAR SE CHIMTA

LETE THEY

102. "Hazrat Usama bin Zaid RadiAllahu Anhuma se marvi hai, Unhine

farmaya: Mai ek raat kisi kaam keliye Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi

wa Aalihi wa Sallam ki Khidmat me haazir hua, Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi

wa Sallam baahar tashreef laaye aur Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam

kisi shaye ko Apne Jism se Chimtaaye hue they jisey mai na jaan saka, jab mai

aone kaam se faarig hua to arz kiya Ya RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi

wa Sallam Aapne kya cheez Apne Jism se Chimta rakhi hai? Aap SallAllahu

Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne kapda hataya to dekha ke Hasan wa Hussain

Alaihi-mussalam Dono Raano tak Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam se

Chimte hue they. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ye

Mere Dono Bete hain."

107. "Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu farmate hain ke Huzoor Nabi-

e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Sayyeda Fatima Salamullahi

Alaiha se farmaya karte: Mere Dono Beton ko bulao, fir Aap SallAllahu Alaihi

wa Aalihi wa Sallam Un Dono (Phoolon) ko Sunghte aur Apne Sina-e-Aqdas ke

Saath Chipka lete."

FASL: 32

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA

SALLAM KE SAATH JO JANNAT ME SABSE

PEHLE DAAKHIL HONGE WO HASANAIN

KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM HAIN

108. "Hazrat Ali Alaihissalam bayan karte hain ke RasoolAllah SallAllahu Alaihi

wa Aalihi wa Sallam ne Mujhe bataya ke sabse pehle Jannat me daakhil hone

waalon me, Mai (Yaani Hazrat Ali Alaihissalam khud), Fatima, Hasan aur

Hussain (Salamullah Alaihim) hain. Maine arz kiya: Ya RasoolAllah SallAllahu

Alaika wa Sallam! Humse Muhabbat karnewale kahan honge? Aap SallAllahu

Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Tumhare Piche.”

109. "Hazrat Ali Alaihissalam farmate hain ke Maine Huzoor Nabi-e-Akram

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam se shikayat ki ke logo Mujhse hasad karte

hain, to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Kya Tum is baat

par raazi nahi ho ke Jannat me sabse pehle daakhil hone waale 4 Mardon me

Chowthe Tum ho. (Wo 4 hain) Mai, Tum, Hasan aur Hussain hain."

FASL: 33

ALLAH TA'ALA KA HASANAIN KAREEMAIN

ALAIHI-MUSSALAM KI MAUJUDGI KE ZARIYE

JANNAT KO AARASTA KARNA

110. "Uqbah bin Aamir RadiAllahu Anhu se mrvi hai ke Huzoor Nabi-e-Akram

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Hasan aur Hussain Arsh ke

2 Sutoon hain lekin Wo latke hue nahi aur Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam ne irshad farmaya: Jab Ahle Jannat, Jannat me muqeem hojaenge to

Jannat arz karegi: Ay Parwardigar! Tu ne mujhe Apne Sutuno me se 2 Sutunon

se Muzayyan karneka waada farmaya tha. Allah Ta'aala farmayega: Kya Maine

tujhe Hasan aur Hussain ki maujudgi ke zariye muzayyan nahi kardiya? (Yehi

to Mere 2 Sutoon hain)."

111. " Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Huzoor

Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ek martaba

Jannat ne Dozakh par fakhr kiya aur kaha mai tumse behtar hun. Dozakh ne

kaha: Mai tumse behtar hun. Jannat ne dozakh se pucha: Kis wajah se?

Dozakh ne kaha: Isliye ke mujhme bade bade jaabir hukmaraan firaoun aur

namrood hain. Is par Jannat khamosh hogayi. Allah Ta’ala ne Jannat ki taraf

Wahi ki aur Farmaya: Tu aajiz wa lajawab na ho, mai tere do Sutuno ko Hasan

aur Hussain ke zariye mujayyan kardunga. Pas Jannat khushi aur suroor se aise

sharma gayi jaise dulhan sharmati hai."

112. "Hazrat Abbas Ibne Jari'a Azdi apne waalid se marfu'an riwayat karte hain

ke Jannat ne (Allah Ta'ala ki Bargah me) arz kiya: Ay Parwardigar! Tu ne mujhe

haseen wa jameel banaya Tu mere sutuno ko bhi haseen bana. Allah Ta'ala ne

farmaya: Maine tere Sutuno ko Hasan aur Hussain Alaihi-mussalam ke zariye

Haseen wa Jameel bana diya hai."

FASL: 34

HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM

QAYAMAT KE DIN ARSH-E-ILAHI KE GUMBAD

KE NICHE HONGE

113. "Hazart Abu Musa Ash'ari RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor

Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Mai, Ali,

Fatima, Hasan aur Hussain Qayamat ke Din Arsh ke Gumbad ke niche honge."

114. "Hazrat Umar Ibne Khattab RadiAllahu Anhu farmate hain ke Huzoor

Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Beshaq

Fatima, Ali, Hasan aur Hussain Jannatul Firdous me safed Gumbad me

muqeem honge jiski chhat Arsh-e-Khudawandi hogi."

115. "Hazrat Ali RadiAllahu Anhu riwayat karte hain ke Huzoor Nabi-e-Akram

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Jannat me ek Maqaam hai

jisey Wasila kehte hain, pas tum Allah se sawaal karo to Mere liye Wasile ka

sawaal kiya karo. Sahaba-e-Kiraam RadiAllahu Anhum ne arz kiya: Ya

RasoolAllah SallAllahu Alaika wa Aalika wa Sallam! (wahan) Aapke saath kaun

rahega? Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ali, Fatima aur

Hasan wa Hussain (wahan Mere Saath rahenge)."

FASL: 35

HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM

QAYAMAT KE DIN HUZOOR SALLALLAHU

ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM KE SAATH

RAHENGE

116. "Hazrat Ali RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Mai Apne Bistar par soya

hua tha ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Hamare

Ghar Tashreef laaye, Hasan ya Hussain Alaihi-mussalam (me se kisi Ek) ne

paani manga. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Hamari bakri ke paas

aaye jo bahot kum doodh waali thi. Pas Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam ne uska doodh nikala to usne bahot zyada doodh diya, pas Hasan

Alaihissalam Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke paas Aaye to Aap

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Uski taraf mutawajjah hue. Sayyeda

Fatima Salamullahi Alaiha ne farmaya: Ya RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa

Aalihi wa Sallam lagta hai Ye Aapko in Dono me se zyada Pyara hai. Aap

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Nahi bake Usne pehle paani

manga tha, fir farmaya: Mai, Aap, Ye Dono aur Ye Sone wala (Hazrat Ali

RadiAllahu Anhu, kyunki Wo abhi sokar uthe he they) Qayamat ke din ek he

jagah par honge."

117. "Hazrat Abu Saeed Khudari RadiAllahu Anhu se marvi hai ke Huzoor Nabi-

e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Sayyeda Fatima Salamullahi

Alaiha ke Ghar tashreef laaye aur farmaya: Mai, Tum aur Ye Sone wala (Yaani

Hazrat Ali wo abhi sokar uthe he they) aur Ye Dono yaani Hasan aur Hussain

Alaihi-mussalam Qayamat ke Din Ek he Jagah honge."

118. "Hazrat Abu Faakhta (Saeed Ibne Alaqa) RadiAllahu Anhu se riwayat hai

ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam, Ali, Fatima, aur

Hasan aur Hussain Salamullah Alaihim ghar par they ke Hasan ne paani

manga. Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne aadhi

raat ko uthkar Usey paani pilaya. (Isi douran jabke Huzoor Nabi-e-Akram

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Hazrat Hasan Alaihissalam ko paani

pilane he waale they) ke Hazrat Hussain Alaihissalam ne wahi paani talab kiya,

jise Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne pehle dene se inkar

farmaya (kyunki Hasan Alaihissalam Unse qabl paani maang chuke they aur

Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam usi tarteeb se dena chahte they,

ye bagarze tallem wa tarbiyat tha). Arz kiya gaya: Ya RasoolAllah SallAllahu

Alaik wa Sallam! Lagta hai ke Aapko Hussain se zyada Hasan Mehboob hai? To

Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ye

wajah nahi balke Hasan ne Hussain se pehle paani manga tha. Fir Aap

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ay Fatima! Mai, Tum, Ye

Dono (Hasan wa Hussain) aur Ye Sonewala (yaani Hazrat Ali) Qayamat ke din

ek he jagah par honge.”

FASL: 36

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA

SALLAM KA HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-

MUSSALAM KE LIYE KHUSUSI DAM KARNA

119. "Hazrat Abdullah Ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke

Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Hasan wa Hussain

Alaihi-mussalam ke liye (khususi taur par) Kalimaat-e-Taauz ke sath Dam

farmate they aur irshad farmate ke Tumhare Jadde Amjad (Ibrahim

Alaihissalam bhi) Apne Dono Sahabzadon Ismaeel wa Ishaaq (Alaihi-

mussalam) ke liye in kalimaat ke sath taauz karte they “Mai Allah Ta’ala ke

Kaamil Kalmaat ke zariye har (waswasa andazi karnewale) shaitan aur bala se

aur har nazre bad se panah mangta hun.”

120. "Hazrat Ali Alaihissalam se riwayat hai ke Huzoor Nabi-e-Akram

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Hasan wa Hussain Alaihi-mussalam ko

Dam karte hue farmate they: Mai Tumhare liye Allah ke Kalimaat-e-Tamma

ke zariye har waswasa andaz shaitan wa bala aur har nazre bad se panah

mangta hun. Aur Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne (ummat ke liye

bhi) farmaya: Tum Apne Beton ko inhi alfaaz ke saath Dam kiya karo kyunke

Ibrahim (Alaihissalam) Apne Beton Ismail aur Ishaaq (Alaihi-mussalam) ko Un

Kalimaat se Dam kiya karte they."

121. "Hazrat Abdullah Ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke

Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Hasan wa Hussain

Alaihi-mussalam ko (In Kalimaat ke saath) Dam kiya karte they: Mai Tumhe

Allah ke Kalimaat-e-Tamma ke zariye har waswasa andaz shaitan wa bala se

aur har nazre bad se Allah ki panah mangta hun. Fir irshad farmate: Tumhare

Jadde Amjad (Ibrahim Alaihissalam bhi) Inhi Kalimaat ke saath Apne Beton

Ismail wa Ishaaq (Alaihim-ussalam) ko Dam kiya karte they."

122. "Hazrat Abdullah Ibne Mas'ud RadiAllahu Anhuma bayan karte hain ke

hum Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Khidmat

me baithe hue they ke Hasan wa Hussain Alaihi-mussalam jo ke abhi Bachhe

they, Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke paas se guzre Aap SallAllahu

Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Mere Dono Beton ko laao, Mai Unhe

Dam kardun jis tarh Ibrahim (Alaihissalam) Apne Dono Beton Ismail wa Ishaaq

(Alaihi-mussalam) ko Dam kiya karte they. Fir Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi

wa Sallam ne farmaya: Mai Tumhe Allah Ta'aala ke Kalimaat-e-Tamma ke

zariye har nazre bad se, har waswasa andaz shaitan wa bala se Allah ki Panah

me Deta hun."

123. "Hazrat Zaid Ibne Arqam RadiAllahu Anhu se marvi hai ke Huzoor Nabi-

e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ay Allah! Mai in

Dono Hasan wa Hussain ko Nek Momineen ko Teri Hifazat-e-Khaas me Deta

Hun."

FASL: 37

AASAMAANI BIJLI KA HASANAIN

KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM KE LIYE

RAASTA ROSHAN KARNA

124. "Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke hum Huzoor

Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke humraah Isha ada kar

rahe they, jab Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Sajde me gaye to

Hazrat Hasan aur Hussain Alaihi-mussalam Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam ki Pusht Mubarak par sawar hogaye. Jab Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi

wa Sallam ne Sajde se Sar uthaya to un Donoko Apne piche se Narmi se pakad

kar zameen par bitha diya. Jab Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam

dobara Sajde me gaye to Hasan wa Hussain Alaihi-mussalam ne dobara aisa

he kiya hatta ke Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Namaz

mukammal karne ke baad Dono ko Apni Mubarak Raano par bithaliya. Maine

khade hokar arz kiya: Ya RasoolAllah SallAllahu Alaika wa Aalika Sallam! Mai

Inhe waapas chod aata hun. Pas achanak aasmaani bijli chamki aur Aap

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne (Hasanain Kareemain Alaihi-

mussalam) ko farmaya ke Apni Waalida ke paas chale jao. Hazrat Abu

Hurairah RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Unke ghar me daakhil hone tak

wo roshni barkarar rahi.”

FASL: 38

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA

SALLAM KA HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-

MUSSALAM KO DAAD DENA

125. "Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu

Alaihi wa Aalihi wa Sallam se riwayat karte hain ke Aap SallAllahu Alaihi wa

Aalihi wa Sallam ke saamne Hasanain Kareemain Alaihi-mussalam kushti lad

rahe they aur Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam farma rahe they:

Hasan jaldi karo. Sayyeda Fatima Salamullahi Alaiha ne kaha: Ya RasoolAllah

SallAllahu Alaik wa Sallam! Aap sirf Hasan ko he aisa kyun farma rahe hain?

Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne jawab diya: Kyunki Jibrael-e-

Ameen Hussain ko jaldi karneka kehkar daad de rahe they.”

126. "Muhammad Bin Ali RadiAllahu Anhuma farmate hain ke Huzoor Nabi-e-

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke saamne Hasanain Kareemain

Alaihi-mussalam Kushti lad rahe they aur Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam farma rahe they: Hasan jaldi karo. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam se Sayyeda Fatima Salamullahi Alaiha ne arz kiya: Ya RasoolAllah

SallAllahu Alaika wa Sallam! Aap Hasan ki Madat farma rahe hain lagta hai Wo

Aapko Hussain se Zyada Pyara hai? Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam

ne farmaya: (Nahi) Jibrael Hussain ki Madat kar rahe they isliye Maine chaha

ke Hasan ki madat karu."

127. "Hazrat Abdullah Ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke

Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Maujudgi me

Hasan wa Hussain Alaihi-mussalam Ek Dusre ko pakadne me koshan they ke

Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam farmane lage Hasan jaldi karo! Hasan

Pakadlo, to Ummul Momineen Aaisha Siddiqa RadiAllahu Anha ne arz kiya: Ya

RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Aap Chote ke muqabley me

Bade ki Madat farma rahe hain. Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam ne farmaya: (Isliye ke) Jibrael-e-Ameen (pehle se he) Hussain ko Hausla

dilaatey hue Pakad lo, Pakad lo keh rahe they."

FASL: 39

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA

SALLAM HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-

MUSSALAM KA BOSA LETE THEY

128. "Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu riwayat karte hain ke Huzoor

Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Hamare paas tashreef

laaye aur Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke saath Hasanain

Kareemain Alaihi-mussalam they, Ek (Shehzada) Ek Kandhe par sawaar tha aur

Dusra Dusre Kandhe par Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Dono ko

baari baari Choom rahe they."

129. "Abu Ma'adal Atiya Tawafi apne waalid se riwayat karte hain unhe

Ummul Momineen Hazrat Umme Salma RadiAllahu Anha ne bayan kiya ke ek

din jab Huzoor Nbai-e-Akam SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Mere Ghar

tashreef farma they khaadim ne arz kiya: Darwaaze par Ali aur Fatima Alaihi-

mussalam Aaye hain. Umme Salma RadiAllahu Anha bayan karti hain: Aap

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hukm farmaya: Ek taraf hojao aur

Mujhe Apne Ahle Bayt se Milne do. Umme Salma RadiAllahu Anha Farmati

hain: Mai paas he Gharme ek taraf hat kar khadi hogayi, Pas Ali, Fatima aur

Hasanain Kareemain Alaihi-mussalam daakhil hue us waqt Wo kamseen they

to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Dono Bachhon ko pakadkar

Godh me bitha liya aur Dono ko Choomne lagey."

130. "Hazrat Ya'ala bin Marrah RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Hasan

wa Hussain Alaihi-mussalam Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki

taraf chalte hue aaye, jab unme se Ek Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam

ke paas pahunch gaya to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Apne ek

baazu se Usey Galey laga liya, fir ja Dusra pahuncha to Dusre baazu se Usey

Galey laga liya, fir Dono ko baari baari Choomne lagey."

131. "Atiya bin Gazwaan RadiAllahu Anhu bayan karte hain Aap SallAllahu

Alaihi wa Aalihi wa Sallam tashreef farma they ke Hasan wa Hussain Alaihi-

mussalam aaye aur Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Pusht Mubarak

par sawaar hogaye, Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam un Dono ko Apni

Godh me bitha liya aur baari baari Choomne lagey."

FASL: 40

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA

SALLAM MUBAAHLEY KE WAQT HASANAIN

KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM KO APNE

SAATH LEGAYE

132. "Hazrat Sha'abi RadiAllahu Anhu farmate hain kejab Huzoor Nabi-e-

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallamne Ahle Najraan ke saath

Mubaahley ka iraada farmaya to Hasanain Kareemain Alaihi-mussalam ka

Haath pakadkar Apne Saath leliya aur Sayyeda Fatima Salamullahi Alaiha Aap

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke Piche Piche Chal Rahin Thin."

133. "Ibne Zaid se riwayat hai ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa

Aalihi wa Sallam se pucha gaya ke agar Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam ka Isaayi qaum ke saath Mubahla hojata to Aap SallAllahu Alaihi wa

Aalihi wa Sallam Apne Qaul "Hamare Bete aur tumhare bete" ke misdaaq

kinko Apne Saath laate. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:

Hasan aur Hussain ko."

134. "Alma bin Ahmar Yashkari se riwayat hai ke jab ye Aayat.....Ay Habib

Farma Dijiye! Aao bulate hain Apne Beton ko aur tum apne Beton ko aur Hum

Apni Auraton ko aur tum apni auraton ko.....Naazil hui to Aap SallAllahu Alaihi

wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Ali, Sayyeda Fatima aur Unke Beton Hasan wa

Hussain Alaihi-mussalam ko Bula Bheja."

135. "Hazart Jabir Ibne Abdullah RadiAllahu Anhuma se marvi hai ke Najran

ka ek wafad Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke

paas aaya aur pucha ke Aapki Isa Ibne Maryam ke baareme kya raaye hai? To

Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Wo Roohullah,

Kalimatullah, Allah ke Bande aur Uske Rasool hain. Us wafad ne Aap SallAllahu

Alaihi wa Aalihi wa Sallam se kaha: Kya Aap hamare saath mubahla karte hain

ke Isa aise na they? To Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:

tum yehi chahte ho? Unhone kaha: Haan. To Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi

wa Sallam ne farmaya: Jaisi tumhari marzi. Fir Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi

wa Sallam Ghar tashreef laaye aur Apne Beton Hasan wa Hussain Alaihi-

mussalam ko saath le jaane ke liye jama kiya."

**************************************************************

Books of Dr. Tahir-ul-Qadri in Hindi

www.facebook.com/DrQadriBooks