7
HRELATE.COM One Sided Love in Hindi: Jane Pyar Pane ke Tarike

One Sided Love in Hindi : Jaane Jab Ek-Tarafa Pyar Ho Jaaye To Kya Kare

Embed Size (px)

Citation preview

Page 1: One Sided Love in Hindi : Jaane Jab Ek-Tarafa Pyar Ho Jaaye To Kya Kare

HRELATE.COM

One Sided Love in Hindi: Jane Pyar Pane ke Tarike

Page 2: One Sided Love in Hindi : Jaane Jab Ek-Tarafa Pyar Ho Jaaye To Kya Kare

hrelate.com

• Har kisi ko apne jeevan mai kisi khas vyakti se pyar avshya hota hai, bhale hi use khud us baat ki jankari ho ya na ho. Shuruwat mai hum us vyakti se apne pyar aur bhawnao ko vyakt nahi kar pate hai, magar samay ke sath sath hamari ummeed badhne lagti hai.

• Jab vyakti ek-tarfa pyar mai hota hai aur use samne wale se koi response nahi milta tab uske andar nakaratmak urja ka vikas hone lagta hai aur use hasil karne ke liye wah charam seema tak pahuch jata hai, jisse uske vyaktitv aur mansik sthiti par dushprabhav padhne lagta hai.

• Pyar na hasil hone par aksar log galat kadam bhi utha lete hai, jiski wajah se unhe kabhi kabhi zindagi bhar ke liye nuksan jhelna padhta hai. Yahi nahi, aamtour par yuva ladke aur ladkiya jab ek-tarafa pyar mai hote hai, tab pyar na hasil hone ke gam mai aatm-hatya jaise bada kadam bhi utha lete hai.

• Agar aapko kisi se ek-tarafa pyar ho jaye, to samnewale ki ruchi janne ki koshish kare aur use pane ke liye har sambhav aur sahi kadam uthaye. Parantu, aap samne wale se bina uski rajamandi ke jabardasti nahi kar sakte hai. Isliye, ant me hone wale parinam ke liye taiyar rahe. Aaiye vistar se jante hain One Sided Love in Hindi.

Page 3: One Sided Love in Hindi : Jaane Jab Ek-Tarafa Pyar Ho Jaaye To Kya Kare

hrelate.com

One Sided Love in Hindi: Jane Pyar Pane ke Tarike

Agar aap one sided love mai pad gaye hai aur asamnjas mai hai ki aage kya Kare, to jane ise deal karne ke liye tips:-

Page 4: One Sided Love in Hindi : Jaane Jab Ek-Tarafa Pyar Ho Jaaye To Kya Kare

hrelate.com

• Impress Kare Agar aap ek tarfa pyar mai hai to use pane ke liye shuruwati taur par

usse milne ke bahane dhunde aur jitna ho sake use lagatar milte rahe aur yadi aap dur rahte hai to phone, chat aur social networking sites ki madad se uske contact mai bane rahe. Dosti ko badhaye, unki chhoti se chhoti baato ka dhyan rakhe. Kehne ka matlab yeh hai ki use impress karne ke liye har sambhav prayas kare.

• Dikhave se Bache (Don’t be Fake) Aap jaise bhi hai aur jaise bhi aapki personality ho, aap waise hi rahe.

Banawati banne ya dikhawa karne ki koshish na kare. Aksar kuch log apne aap ko achha dikhane aur dusro se alag dikhane ke liye jhutha dikhava karte hai, jo ki bilkul galat hai. Sochiye, jisse aap pyar karte hai, use jab aapki sachhayi ka pata chalega to kya hoga? Isliye, apne pyar ke prati sachhe aur imandar rahe.

 

Page 5: One Sided Love in Hindi : Jaane Jab Ek-Tarafa Pyar Ho Jaaye To Kya Kare

hrelate.com

• Pasand-Napasand ko Jane One Sided Relationships Advice ke anusar aap jise ek tarfa pyar karte hai,

uski pasand-napasand ko janne ki koshish kare. Jayaz si bat hai ki aap jitna unki pasand ke topics pa baat karenge, wo aapki bate sunne mai utna hi interest lega ya legi. Iss tarah unki chhoti chhoti baato ka khyal rakh kar aap unhe gifts dete rahe aur unhe pure tarah se janne ki koshish kare.

• Ijhar Kare Aksar pyar ho jane ke bad ek badi mushkil yeh hoti hai ki iska ijhar kab aur

kaise kiya jaaye. Kayi cases mai log sankoch ke karan pyar ka ijhaar nahi kar pate. Aur kuch log ye sochte hai ki samne wala jab pahal karega tab koi step aage lenge. Esa na kare. Jab aap ko lage ki aap ki samne wale ke sath achhi bonding ya dosti ho gyi hai, tab sahi samay dekh kar use propose kar de.

Page 6: One Sided Love in Hindi : Jaane Jab Ek-Tarafa Pyar Ho Jaaye To Kya Kare

hrelate.com

How to Overcome One-Sided Love – Khud Par Kaise Paye Kabu

Aga aap kisise pyar karte hai, wah aapse pyar nahi karta hai, to aese mai Pain of One Sided Love ko overcome karne ke liye inn tariko ko ajmaye. 

• Jane De (Move on) Pyar ko bhulkar life mai aage badhna sabse mushkil kadam hota hai. Yaha tak

ki ek bahut hi sahsi aur bahadur vyakti bhi aesi sthiti mai ladkhadane lagta hai. Pyar se dur jana aur fir ise swikar karna ki aapka pyar safal nahi ho sakta, yeh jeevan ka behad hi kathin samay hota hai. Magar, Kahte hai na ki kabhi kabhi surango ke andhero se hokar hi ek chamakdar roshni ka rasta jata hai. Isliye khud ko samay de aur jeevan mai aage badhe.

• Maaf Karo aur Bhul Jao (Forgive and Forget) Jab aap ek tarfa pyar mai hote hai tab aap samne wale vyakti se milne ka aur

use apni feeling share karne ka prayas karte hai, fir agar samne wala aapko mana kar de tab aapke man mai uske prati galat aur bure vichar aane lagte hai. Yeh ek galat bhawna hai, agar aapka pyar vakai mai sachha aur pavitra hai, to aap use maaf karke aage bade aur ho sake to bhulne ki koshish kare.

Page 7: One Sided Love in Hindi : Jaane Jab Ek-Tarafa Pyar Ho Jaaye To Kya Kare

hrelate.com

• Parivartan Par Dhyan De Yeh ek aesa samay hota hai jab jeevan mai badlaav laane ki sabse jyada

jarurat hoti hai. Pyar na paane ke dukh mai yadi apaka vyavhar badal gaya hai, to yeh samay hai ki aap ek nayi shuruwat kare, jaise ki aapka naya janam hua hai. Iss tarah jeevan mai aane wale naye avsaro aur mauke ka swagat kare. 

• Depression se Bache Pyar na milne par insaan nirash ho jata hai aur khud ko hara hua mehsoos

karne lagta hai. Aese mai depression hone ki sambhavna bahut badh jati hai. Agar aap iss sthiti se gujar rahe hai, to isse chhutkara pane ke liye akela rahna chhod de aur apna adhiktar samay dosto ya pariwar walo ke sath bitaye aur jitna ho sake khud ko vyast rakhe. Aur, apne career par dhyan de.

Upar apne jana One Sided Love in Hindi. Ek tarfa pyar ko pane ki koshish mai agar aapko nirasha hath lagti hai to udas na ho balki khud ko sambhale. Samay ke sath sath sab thik ho jayega.